Tu Hai To Ye Kaynat Hai Ye Khushboo Hai
Aye Dost Tujhse Hi To Ye Gulshan Ye Manjar Hai
Ye Waqt Ye Ghadiya Sub Teri Hi Gulami Karte Hai
Tera Hi Dum Pe To Sab Naakamyab Bhi Kamyabi Ki Aahai Bharte Hai
Tu Zami Hai Aur Aasma Bhi Hai Tu Khamoshi Hai Aur Masti Ka Sama Bhi Hai
Tu Chand Hai Or Umido Se Bhari Chandni Bhi Tu Hai
Tute Hoslo Ke Paro Mein Aatmvishwas Se Bharne Walli Hawa Bhi Tu Hai
Maayuso Ki Hoto Pe Tujhse Hi Muskurahat Hai
Tujhe Hi Dekh Kar Hazaaro Ke Dil Mai Kuch Karne Ki Chahat Hai
Mai Bhi Tera Hi Ek Hissa Hu
Jaanta Nahi Par Aisa Lagta Hai Shayad Pichla Janam Se Juda Koi Kissa Hu
Meri Bhi Umid Aur Takat Tujhse Hai
Jina Ki Wajah Aur Kushiyo Ki Har Aahat Tujhse Hai
Meri Dua Hai Tu Yu Hi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha
No comments:
Post a Comment