Sunday, January 26, 2014

Kabe se butkade se kabhi bazm-e-yar se – Shamim Jaipuri



Kabe se butkade se kabhi bazm-e-yar se
aavaz de raha hun tujhe har muqam se
na-ashna hai aj wohi mere naam se
duniya pukarati thi jinhen mere naam se


uff ye shab-e-firaq ke maron ke bekhudi
khud hi bujha diya hai charagon ko sham se


dil mein fareb lab pe tabassum nazar mein pyar
lute gaye ‘shamim’ bade ehatimam se



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri



No comments:

Post a Comment