Wednesday, October 31, 2007

i would die for her

Father: what can u do for my daughter
boy: i would die for her!
Father: i dont like u
boy: why?
Father: i am lo0king for someone who would live for her,not someone who would just die and leave her alone.
.
.
.
.
Moral: ZIADA HERRO BANNE SE B BEZATI HO JATI HAI 😀

Mah E Ramadan Mubarak SMS

Mah E Ramadan Mubarak SMS


Wo*Chand* Ka
Chamakna
Wo*Masjido*Ka
Sawarna
Wo*Musalmano*Ki
Dhoom
Ramzan Is
Coming Soon
Wo*Sehri*Ka
Maza
Wo*Aftari*Ki
Bhook
Wo*Quran*Ki
Talawat
Wo*Namaz*Ka
Mamool
Wo*Roze*Ki
Barkat
Wo*Roze*Ka
Noor
*Sìrf”10″Din Door*
“Mah.E.Ramadan Mubarak”

Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye – Nazeer Baqri



Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye
us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye
khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye
tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye
mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nazeer Baqri



Ab Teri Zarurat Bohat Kam Hai Meri Jaan

Ab Teri Zarurat Bohat Kam Hai Meri Jaan

Ab Shoq Ka Kuch Aur Hi Aalam Hai Meri Jaan...

Ab Teri Zarurat

Tuesday, October 30, 2007

Ghar main jin hai

Beta: Papa Humaray Ghar main Jin hain ?


Baap: Ye Jin Waghera kuch nhi hotay


Beta: Papa Nokrani kehti hy k humaray Ghar main jin hain


Baap: Saman pack karo


Beta: Q papa ?


Baap: Abay.. Humary Ghar main koie Nokrani hi Nhi Hy

Tum ko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi – Mumtaz Mirza



Tum ko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi
sari duniya se chupa lenge tum aao to sahi
ek wada karo ab hum se na bhichadoge kabhi
naz hum sare utha lenge tum aao to sahi
bevafa bhi ho sitamagar bhi jafapesha bhi
hum khuda tum ko bana lenge tum aao to sahi
yun to jis simt nazar uthati hai tariki hai
pyar ke dip jala lenge tum aao to sahi
ikhtalafat bhi mit jayenge rafta rafta
jis tarah hoga nibha lenge tum aao to sahi
dil ke virani se ghabarake na muh ko modo
bazm ye phir se saja lenge tum aao to sahi
reh tarik hai aur dur hai manzil lekin
dard ke shamaen jala lenge tum aao to sahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mumtaz Mirza



November Ki Haseen Raten Zameen Par Jab

November Ki Haseen Raten Zameen Par Jab Utarti Hain
Mere Chote Se Kamray Me Tere Iqrar Rote Hain...

November Ki Haseen

Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karate ho



Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karate ho
aur phir aankh churate ho ye kya karate ho


bad mere koi mujh sa na milega tum ko
khak mein kis ko milate ho ye kya karate ho


chinte pani ke na lo nind bhari aankhon par
sote fitne ko jagate ho ye kya karate ho


hum to dete nahi kya ye bhi zabardasti hai
chin kar dil liye jate ho ye kya karate ho


hon na jaye kaheen daman ka churana mushkil
mujh ko divana banate ho ye kya karate ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Poet Unknown



Monday, October 29, 2007

A Happy Person Is Not A Person

A happy person is not a person
in a certain set of circumstances,


but rather a person with
a certain set of attitudes.

From The Distance Of Our Separation



From The Distance Of Our Separation,
I See The Whole Of Which I Was A Part;


I See The Way My Temper Tore Your Heart,
And Then The Love Beneath The Laceration.


I See The Landscape Shaping Our Relation:
Your Fear That I Might Choose With Little Art,

My Anger At The Dreams You Would Impart,
The Ancient Paths That Lead To Confrontation.


But Knowledge Needn’t Linger In Regret,
Nor Wait Upon Some Wind To Clear It’s Sky.


We Are None The Worse For What Is Gone.
The Moments That I Never Will Forget,


Are Those Whose Careless Grace Must Make Me Cry,
Safe Within A Heart Forever Won.



Zindagi ki takleef

Mout To Naam Se Badnaam Hay Wrna


TakLeef To Zindagi bhi Bohat Deti Hay.

Tere jalave ab mujhe har su nazar aane lage – Saba Afghani



Tere jalave ab mujhe har su nazar aane lage
kash ye bhi ho ke mujh mein tu nazar aane lage
ibtada ye thi ke dekhi thi khushi ke ek jhalak
intaha ye hai ke gham har su nazar aane lage
beqarari badhate badhate dil ke fitarat ban gai
shayad ab taskin ka pehlu nazar aane lage
khatm karade ae ‘saba’ ab sham-e-gam ke dastan
dekh un aankhon mein bhi aansu nazar aane lage


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saba Afghani



Not ur mistake

“Its not ur mistake if u cant read the eyes which cheat u


But its really ur mistake if u can’t read the eyes which care for u”


Shakespeare

Kuch Yadein Hamari Yaad Rakhna - Yaad Shayari

Kuch Yadein Hamari Yaad Rakhna
Kuch Batein hamarai Yaad Rakhna
Umer Bhar Sath Ham Rahein Ya Na Rahein,

Ham Sath Rahe They Kabhi,
"Bas Wo Pal" Yaad Rakhna....

Chirag Se Andhere Door Ho Jate



Chirag Se Andhere Door Ho Jate,
Toa Chand Ki Chahat Kise Hoti,
Katt Sakti Akele Yeh Zindagi Toa
Dosti Naam Ki Ye Cheez Hi Kyo Hoti?
Ek Din Hamare Aansoo Hum Se Pooch Baithe,
Hame Roz Roz Kyu Bulate Ho?
Humne Kaha, Hum Yaad Unhe Karte Hai,
Tum Kyo Chale Atte Ho?



Sunday, October 28, 2007

Gham ke saghar me

Gham k Saghar me kabhi Dhoob na jana,


Raho pe chal k agr Manzil na pao to Toot na jana,


Zindagi me kabhi meri Mohabbat ki kami Mehsoos ho to


Abhi mein Zinda hu ye Bhool na jana

Bahar aayi to jaise ek bar – Faiz Ahmed Faiz



Bahar aayi to jaise ek bar
laut aaye hain phir adam se
wo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit ke har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain


ubal pade hain azab sare
malal-e-ahaval-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir ke bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar aayi to khul gaye hain
naye sire se hisab sare



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Dil bhi bujha ho sham ke parachaiyan bhi hon – Ahmed Faraz



Dil bhi bujha ho sham ke parachaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise mein tanhaiyan bhi hon
aankhon ke surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angadaiyan bhi hon
har husn-e-sada lau na dil mein utar saka
kuch to mizaj-e-yar mein geharaiyan bhi hon
duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ke ho to phir sukhan aaraiyan bhi hon
pahale pahal ka ishq abhi yaad hai ‘faraz’
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Subah raton mein bikhar jati hai – Hurmatul Ikram



Subah raton mein bikhar jati hai
sham bahon mein utar jati hai
din sulag uthta hai chandan ke tarah
raat nagan si lipat jati hai
kisi gumbad ke sada ke manind
fikr ko fikr hi doharati hai
qafile se mujhe rahane do alag
bheed mein ruh bikhar jati hai
lajavanti hai kisi shokh ke yaad
dil bhi dhadake to simat jati hai
doli aankhon ke hai suni “hurmat”
neend mahbub (se/si?) sharmati hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hurmatul Ikram



Pagal Shairy SMS



Wo Mujhse Meri Udasion Ki Waja Pochta He
Kaisa Pagal He Dhalti Rat K Sannate Ki Wajah Pochta Hai


Wo Mujhse Meri Barsati Aankhon Ki Waja Pochta Hai
Kaisa Pagal Hai Barish K Barasne Ki Wajeh Pochta Hai


Wo Mujhse Meri Pasand K Bare Me Pochta Hai
Kaisa Pagal Hai Khud Apne Bare Main Pochta Hai



Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya - Parveen Shakir

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya
Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya
Bazoo: Shoulders; Uraan: Flight; Barhana: Naked; Kaman: Bow;
Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha
Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya
Rafaqton: Companionship;
Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya
Dareeche: Window; Phool_Dan: Flower Pot;
Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha
Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya
Be_Saibaan: Roofless
Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf
Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya
An_Dekha: Unseen; Badbaan: Sail
Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se
Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya
Uqaab: Eagle; Gharz: Purpose; Fakhta: Fakhta: Ringdove; Neem Jaan: Half-Life
Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai
Ke Jo Bhi Thera Wo Aakhir Makaan Chor Gaya
Aasaib: Haunted;
Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal
Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya….
Aqab: Behind; Jangal: Forest; Meharban: Compassionate;
Parveen Shakir Poetry
By: Parveen Shakir
Shared by: Qadeer

Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina



Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho
Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho


Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Who Saath Choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho


Tamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala Mujhay
Yeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na Keho

Yeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj Magar
Who Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na Keho


Humaray Aaib Humain Ungliyon Pay Ginwaao
Humari Peet K Peechay Humain Bura Na Keho



Hindi SMS Jokes Shayari Collection Part 1



Dil Kay Rishtay Ajeeb Hotay Hain
Koi Koi Dil Kay Kareeb Hotay Hain
Meri Tanhai Ka Zikar Na Kiya Kar
Apne Apne Naseeb Hotay Hain


Tanha Tanha Kaisay Zindagi Guzarain
Sunlo..Sunsako Toh Tumko Anso Pukarain


Dosti Dariya Hai, Dosti Kinara Hai
Dosti Duniya Mein Jenay Ka Sahara Hai


Duniya Ne Ghum Sehnay Kay Tarekay Sekha Deay
Humara Ghum Hadh Se Barha Toh Hum Muskura Deay


Khelo Toofanon Ki Lehron Se, Kinaron Se Nahi
Manzilain Milti Hain Himat Se Saharon Se Nahi


Har Ek Ko Buri Nazar Se Na Dekho
Kyon Kay Har Chehra Kisi Ka Mehbob Hai


Badla Wafa Ka Dain Gay Badi Sadgi Se Hum
Tum Humse Rooth Jao Gay Or Zindagi Se Hum


Gham Zindagi, Gham Bandagi, Gham Do Jahan, Gham Jadvan
Meri Har Nazar Teri Muntazir,Teri Har Nazar Mera Imtihan


Ek Jhoonka Sar Shaam Aya
Mein Samjha Tera Pegaam Aya


Jub Koi Tumko Pyar Se Bulay Ga
Tumko Ek Shaks Yaad Aay Ga


Kyon Baat Baat Pe Mera Imtihan Letay Ho
Tum Toh Meri Jaan Ho, Kyon Meri Jaan Letay Ho


Kuch Or Toh Khuda Se Nahi Chahtay Hain Hum
Tumse Juda Na Hon Buss Yeh Dua Mangtain Hain Hum


Judaion Ki Raaton Ka Khumar Baqi Hai
Woh Aa Chuke Hain Magar Intezar Baqi Hai


Umar Katay Gi Kisay Saif Yahan
Raat Katti Nazar Nahi Atti


Hum Aah Bhi Bhartain Hain Toh Ho Jatain Hain Badnam
Woh Kataal Bhi Kardain Hain Toh Charcha Nahi Hota



Sakoot Lab Par Aankhon Mein Intezaar Liye

Sakoot Lab Par Aankhon Mein Intezaar Liye,
Har Aik Shaam Teri, Aarzu Rahi Mujh Ko…

Aarzu Teri

Saturday, October 27, 2007

Suraj Ki Kirnain Mat Parna Hein

Tmam dost suun lain Garmiyan Agai Hain Apny Sar Par Geela


or Thanda Kapra Rakhin Dimaag Par Soraj Ki Kiranain Mat Parny Dein


Q K BHOOSA JLdi Aag PKarta Hai..

Soote Hoe Dil Kisi Ka

kitni ZalliM hoti hy ye jaan leva MohabaT


Dost


Sootu hoye bhi DiL ko kisi ka IntezaaR sa Rehta hai.


Good Night :)

December Aaj Bhi Apne Asasay Sath Laya Hai

December Aaj Bhi Apne Asasay Sath Laya Hai

Wohi Taiwar, Wohi Afsurdagi Aur Sard Sa Lehja...

December Aaj Bhi

Solitude have I to endure



Solitude have I to endure,
seemingly held with disclosure.
A fellow left astray,
as yet from yesterday.


Flashing your dainty, disarming smile,
warms my heart every once in a while.
Our longtime kinship
will always bloom with friendship.


It has never been so profound,
a lifetime friend have I found.
Let our friendship be a bond,
which can never be like a dry pond.


Let us not forget the dreams we share,
forever like sisters or brothers we care.
You’ll always be a friend to me,
and that’s the way it should be.



Dil ke bat kahi nahi jati, chup ke rahana thana hai – Meer Taqi Meer



Dil ke bat kahi nahi jati, chup ke rahana thana hai
hal agar hai aisa hi to jee se jana jana hai
surkh kabhu hai aansu hoke zard kabhu hai muh mera
kya kya rang mohabbat ke hain, ye bhi ek zamana hai
fursat hai yan kam rahane ki, bat nahi kuch kahane ke
aankhen khol ke kan jo khole bazm-e-jahan afsana hai
teg tale hi us ke q na gardan dal ke ja baithen
sar to aakhirkar hamen bhi hath ke or jhukana hai




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Car ki Nilami

Ek Car ki Nilami ho rahi thi,
20 lac
25 lac
30 lac


Ek aadmi ne hairat se Car ki kharab halat pe ghor kiya, usay Car me koi cheez theek na lagi to usne paas kharay ek aadmi se poocha:
.
Bhai is khatara Car me aisi kon si khoobi hai ke is ka itna daam lag raha hai?
.
Aadmi bola: Janab ab tak is Car ke 10 haadse ho chukay hain,
aur hairat ki baat ye hai ke har haadse me sirf aur sirf “BV” hi foat hui hai…


Aadmi ne awaz lagai:
40 lakh….

Qabil ajmeri shaery




Tum na mano magar haqiqat hai 



Ishq insan ki zarurat hai 



Kuchh tu dil mubatala e vahashat hai 



Kuchh teri yad bhi qayamat hai 



Mere mahabub mujh se jhuth na bol 



Jhuth surat e gar sadaqat hai 


Ji raha hun is aitamad ke sath 


Share with us more Qabil ajmeri shaery in Comments Section below.









Friday, October 26, 2007

Na Jany Is Zidd Ka Nateeja Kya Hoga

Na Jany Is Zidd Ka Nateeja Kya Hoga,
Samjhta Dil Bhi Nahi, Wo Bhi Nahi, Main Bhi Nahi...

Na Jany Is Zidd Ka Nateeja

Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi


Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi,
Lagta hai ye zindagi, isi Hasrat me katy gi..

Meri hatheli ki pusht par, uske labon ke nishan,
Surkh laali ab dhoodne se, kahan ghaty gi...?

Labon tak aate baddua, dua ban jati hai,
Dil me chupi Mohabbat ab aise hi uthy gi..

Na barha jigar sooz dard, maan ja dil ki baat,
Dunya janti hai tere Sitam, tare aage daty gi..

Jage hain tamam raat, chaand ki ik Jhalak ko,
Na jaane ye Kali badli, aage se kab haty gi...

'Tahir' ne daal diye hain, teri gali me Dairyy,
Suna hai jaldh hi tere, didaar ki Khairaat batyy gi...!

By: Tahir Javaid Tahir


Phone Conversation

A Phone Conversation.


Lady: I think u r the Father of 1 of my children


Man: Oh my God…! R u Kiran?


Lady: No


Man: anum?


Lady: No


Man: MaHa?


Lady (in total confusion): No Sir, I’m the Class teacher of ur son.


Oooppss:-P

Mehman Nawazi

Mehman Nawazi


Host: Lassi tusi pinday Nai, Chaa Asi Plani Nai,Roti da Time Nai,


Bottle da Mosam Nai,
Hun dasso,ki kariey?


Guest: Balance e puwa deyo

Jahan se Sab se Pyara

Rishta Humara Is Jahan Mein Sab Se Pyara Ho,,,,,


Jaise Zindagi Ko Saanso Ka Sahara Ho,,,,,


Yaad Rakhna Humein Us Pal Mein Bhi,,,,


Jab Hum Akele Ho Aur Sara Jahan Tumhara Ho ..!!

कभी सोचा ना था बचपन इतना जल्दि खो जाएगा



कभी सोचा ना था बचपन इतना जल्दि खो जाएगा। जिम्मेदारिओंके बोझ तले हर वो सपना गुम हो जाएगा।
याद आते है वो स्कूल के दोस्त,वो साईकिल की सवारी। गलेमे हाथ डालके घुमना,और वो बाते प्यारी प्यारी।
वो मिट्टि के टिले,वो बारिशका पानी। चाँकलेट पे मिले वो स्टिकर्स,जिन्हे लेके होति थी मारामारि।
वो झुठमूट का रुठना केहके”जा,तु मेरा दोस्त नहि “, पर झगडा होतेहि आके बोलना”साले,तु नहि तो में भी नहि”।
वो टिचरकि डाँटपे ,अँक्टिंग सेहम जानेकी, मन हि मन हँसके बोलना “तुझें भी तो डाँट पडी”।
त्योहारोमें घरघर घुमना,भुलके मजहब और जात, शीर कुर्मे के साथ दिवालिकें लड्डू,और बडोंका आशिर्वाद।
पिकनिक के वो धमाल गाने,नाचना बेसुरि ताल पर, चुईंगम चबाके चिपकाना ,टिचरजिके शर्ट पर।
वो आखरि दिन स्कूलका, “यार मिलते रेहना”बोले आँखोंका पानि, चुपचुपके मन भरकें देखना वो क्लास की “अपनीवालि”।
जिंदगिके ईस मुकाम पर, कभी पिछे मुडकेभि देखो यारो, स्कूलके वो दिन, कभि बैठके याद करो यारो।
तब पता चलेगा, क्या खोया क्या पाया। तब समझोगे, अरे,सारा जीवन तो युहि गवाया।
वो बचपन वापस दे दे कोई, करो रे कोई चमत्कार, दे दे वापस मेरि खिलखिलाति हुई हँसि, और मेरे कमिने दोस्तोंके बाहोंका हार।



Meri Dua Ke Sath

Ek khushbo Gulab k sath


Thori si hansi her baat k sath


Ek YAAD Mulaqat k sath


Naya Mousam


Thori si barsat k sath


Humesha khush raho


Meri “DUA” k sath.

Thursday, October 25, 2007

Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam






Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam,


Sulagta Rha Dil K Andar Akele,


Irada Tha Ji Lo Ga Tuj Se Bichar Kar,


Guzrta Nahi Aik December Akele,,,,,,,,,,,,,,,,,,,



Tamil New Year Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Tamil New Year Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Tamil New Year 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Tamil New Year sms greeting.


Old year sabse ho raha hai dur,
Kya kare yahe hai kudrat ka dastor,
Purane yaadein sochkar udas na ho tum,
Naye saal aayahe chalo…
Dhoom machale, dhoom machale dhoom!!
`
Sarson da Saag
makke di roti
achhe doston ki jodi aur shabhi ka pyar
ye naya sal tera
khub gujare yaar…


Sabke Dilo mein ho sabke liye Pyar,
Aanewala har din laye Khushiyon ka Tyohar,
Es ummid k sath aao bhulke sare Gum,
New Year 2015 ko Hum Sab kare WELCOME


Naya Saal aaye ban k Ujala
Khul jaye ap ki Kissmat ka Tala
Hamesha ap per rahe Meherban Upar wala
Yahi DUA karta hai ap ka yeh chahny wala..


Day by day teri khusiya ho jaye Double,
Teri zindagi se delete ho jaye sare Trouble,
Khuda rakkhe humesha tujhe Smart & Fit,
Tera liye New Year ho Super-Duper Hit!!


Beet gaya jo saal,Bhul jaayein,
Beet gaya jo saal,Bhul jaayein,
Es Naye Saal ko Gale lagayein,
Karte hai dua hum Rab se sar jhukake…
Es Saal k Sare Sapne pure ho Aapke.
*NAYA SAAL MUBARAK*



Happy Tamil New Year Mubarak to all of you from shayari Online Team




Chup Chap Rehtay Hain Wo Aksar

suna tha ki har dil ke kagaj pe kisi ka nam likha hota hai…hum kare ya na hume pyar usi insan se hota hai ,,,,par hamara no. ate ate late ho gaya kyu ki bhagwan ke pas ink ka shortage ho gaya….pyar ho hame kisi se hamare naseeb me nahi tha….ink to dhud hi lia tha humne ..par kamabakat dil me kagaj ki hi shortage ho gaya….

Wednesday, October 24, 2007

Yun na mil mujh se khafa ho jaise – Ehsan Danish



Yun na mil mujh se khafa ho jaise
sath chal mauj-e-saba ho jaise
log yun dekh kar hans dete hain
tu mujhe bhool gaya ho jaise
ishq ko shirk ke had tak na bada
yun na mil hum se khuda ho jaise
maut bhi aayi to is naz ke sath
mujhape ehsaan kiya ho jaise
aise anjan bane baithe ho
tum ko kuch bhi na pata ho jaise
hichakiyan raat ko aati hi rahin
tu ne phir yaad kiya ho jaise
zindagi bit rahi hai “danish”
ek bejurm saza ho jaise



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ehsan Danish



Phool shayari



shabnam Hoon Surkh Phool Pe Bikhra Hua Hoon Main
Dil Mom Aur Dhoop Mein Baitha Hua Hoon Main


Kuch Der Baad Raakh Milegi Tumhe Yahan
Lo Banke Is Chirag Se Lipta Hua Hoon Main


Do Sakht Khushk Rotiyan Kab Se Liye Huye
Pani Ke Intezar Mein Baitha Hua Hoon Main


Auraak Mein Chhipati Thi, Aksar Vo Titliyan
Shayad Kisi Kitab Mein Rakha Hua Hoon Main


Duniya Hai “Bepnah” Aur “Bharpoor” Zindagi
Inhi Do Auraton Ke Beech Mein Leta Hua Hoon Main



Share with us more Phool shayari .in comments section below.



For Moms



FOR MOMS


She was there at the beginning
When the world was new to you –
She was there to turn to happy times
Those when, you were hurt or blue.


She was there to listen to your thoughts
And when you asked, to give advice –
She was there to tell you, “Those don’t match!”
Or, “Hon, you sure look nice.”


She was there with you at nighttime
To help you say your prayers _
She was there to tell you, “It’s alright.”
When you had a dream that scares.


She was there at morning time
To get you up and out of bed –
She was there when you didn’t feel good (or did)
To say, “You’d best stay home, instead.”


She was there when you were hungry
And when you had those dirty clothes –
She was there when you needed her
(How she knew? Only heaven knows.)


She was there at the beginning
And she’ll be there your whole life through –
She’ll be there in your mind and heart
Just like a mother is supposed to do.
Submitted By: Del “Abe” Jones



Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai – Bashir Badr



Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai
main charag wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ke chanv mein
mere sath tha tujhe jagana teri aankh kaise jhapak gai
kabhi hum mile to bhi kya mile wohi duriyan wohi fasale
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijhak gai
tujhe bhool jane ke koshishen kabhi qamayab na ho sakin
teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Marney Se Bhi Pehle

Marney se bhi pehle mar gaye they Jeeney se kuch aese dar gaye they,
Rastey me jahan talak diye they Saarey mere hamsafar gaye they,
Aankhain abhi khul nahi saki thin Aur khwab mere bikhar gaye they,
Jab tak na khila tha us ka waada Mausam mere besamar gaye they,
Ab tak wohi nasha-e-paziraayi Kya jaaniye hum kidhar gaye they…!!!

Tamam umar

Kitab_e_ISHQ likhun or tere naam krdon


Tamam umar ka hisa b tery naam krdon


Tere pas waqt nahi meri zat k liye


Main zindgi ki har ik Sans tere nam kr don.

Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye – Ahmed Faraz



Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar mein hum ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil ke tamanna hai to ae kash yahi ho
aansu ke jagah aankh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diya gul na karo tum ke na jane
kis bam se khurashid-e-qayamat nikal aaye
jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se
jan deke bhi samajho ke salamat nikal aaye
ae hamnafason kuch to kaho ahad-e-sitam ke
ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye
yaro mujhe masalub karo tum ke mere bad
shayad ke tumhara qad-o-qamat nikal aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Mohabbat Main Yehi Khauf Kiun Musallat Rehta

Mohabbat Main Yehi Khauf Kiun Musallat Rehta Hai
Kahin Mere Siwa Koi Aur To Azeez Nahi Usy...

Mohabbat Main Yehi Khauf

Dua Shayari – Meri Aarzu Hey



Meri Aarzu Hey Tujko Miley Humsafer Koi Esa
Terey Faasley Sametey Tujey Dhoop Sey Bachaye


Ye Udasiyon Ki Shamein Jo Guzer Sakein Na Tanha
Terey Paas Aa K Bethey Tujey Rotey Mein Hansaye


Kabi Bhool Ker B Tujko Jo Koi Yaad Aana Chahey
Tujey Itna Piyar Dey K Tujey Yaad Kuch Na Aaye,


AAMEEN



Kuch Beetay Lamhon Ki Yaadain



Kuch Beetay Lamhon Ki Yaadain
Kuch Guzray Waqt K Qissay Hain
Ab Yeh Mata’ Hai Paas Apnay
Baaqi Yehi Tu Yaadain Hain
Woh Daur Umangon Khushiyon Ka
Jo Beet Gaya Hai Ik Pal Main
Us Aehad K Kitnay Saathi Hain
Sab Ik Ik Ker K Chhoot Gaye
Ab Koi Nahi Hai Saath Apnay
Ab Baqi Yehi Tu Yaadain Hain



Aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye – Jigar Moradabadi



aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye
khvabida zindagi thi jaga kar chale gaye
chehare tak aastin wo lakar chale gaye
kya raz tha ki jis ko chipakar chale gaye
rag rag mein is tarah wo sama kar chale gaye
jaise mujh hi ko mujhase churakar chale gaye
aaye the dil ke pyas bujhane ke vaste
ik aag si wo aur laga kar chale gaye
lab thar-thara ke rah gaye lekin wo ae “jigar”
jate huye nigah milakar chale gaye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi




Divaron se mil kar rona acha lagata hai – Qaiser ul Jafri



Divaron se mil kar rona acha lagata hai
hum bhi pagal ho jayenge aisa lagata hai
duniya bhar ke yaden hum se mil ne aati hain
sham dhale is sune ghar mein mela lagata hai
kitne dinon ke pyase honge yaro socho to
shabanam ka qatara bhi jin ko dariya lagata hai
kis ko “qaiser” pathar marun kon paraya hai
shish mahal mein ik ik chehara apana lagata hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qaiser ul Jafri



Tuesday, October 23, 2007

aaye kuch abr kuch sharab aaye – Faiz Ahmed Faiz



aaye kuch abr kuch sharab aaye
us ke bad aaye jo azab aaye


bam-e-mina se mahatab utare
dast-e-saqi mein aaftab aaye


har rag-e-khun mein phir charagan ho
samane phir wo benaqab aaye


umr ke har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa ke bab aaye


kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
aj tum yad behisab aaye


na gai tere gam ke saradari
dil mein yun roz inqalab aaye


jal uthe bazm-e-gair ke dar-o-bam
jab bhi hum khanamankharab aaye


is tarah apani khamashi gunji
goya har simt se jawab aaye


‘faiz’ thi rah sar basar manzil
hum jahan pahunche kamayab aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



YOU are in trouble

Corporate Lessons: We will do it. means You will do it. 😀


YOU have done a great job. means More work coming your way. :-(


We are a team. means Im not the only one to be blamed. :-@


That is a good question. means I dont know anything about it. 😛


All the best. means YOU are in trouble. 😉

Je Yaar Mere Naal Gusse Ne

Je Yaar Mere Naal Gusse Ne, Koi Kami Mere Vich Hovegi


Jinna Utte Chir Da See Itbaar, Mere Naal Gusse Ne,



Koi Kami Mere Vich Hovegi Rukna See Jithe Rukya Nahin,


Jhukna See Jithe Jhukya Nahin Je Samme De Chaal Nu Takya Nahin,



Jo Ban Na See Oh Ban Sakya Nahin Koi Kami Mere Vich Hovegi


Kise Dil Vich Fera Paya Nahin, Je Kise Ne Mainu Chaya Nahin



Muh Sohne Kinne Hoth Sohne, Na Kise Te Mera Aaya Nahin


Koi Kami Mere Vich Hovegi Horan De Roop Nu Sake Diyan,



Horan Nu Mattha Take Diyan Jo Akhan Bahut Pasand Mainu,


Oh Mere Val Nahin Vekh Diyan Koi Kami Mere Vich Hovegi



Ik Tagma Jo Mashoori Da, Yaaran Dee Hik Te Paaka E


Ik Istihaar Jo Nindiyan Da, Meri Pith To Je Nahin Latha Hai



Koi Kami Mere Vich Hovegi Kayian To Jhootan Pai Gya Main,


Kayian De Mann To Lai Gya Main Oh Mere Naal De Agge Lang Gye,



Je Kalla He Piche Reh Gya Main Koi Kami Mere Vich Hovegi


Je Khat V Aaj Kal Ghat Paunde, Je Milan V Lokeen Ghat Aunde



Jeeban Naal Debi Dangde Ne, Din Aukhe Je Kar Langde Ne


Koi Kami Mere Vich Hovegi, Koi Kami Mere Vich Hovegi

Bana Kar Chor Dete Hain Apni Zaat Ka Aadi - Sad Poetry

Bana Kar Chor Dete Hain Apni Zaat Ka Aadi,
Kuch Loog Yun Bhi Intiqaam Lete Hain….

Intiqaam Shayari in Urdu

Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota – Mirza Ghalib



Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota
agar aur jite rehte yahi intazar hota
tere wade par jiye hum to ye jan jhooth jana
ke khushi se mar na jate agar aitabar hota
teri nazuki se jana ki bandha tha ahdboda
kabhi tu na tod sakata agar ustavar hota
koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke par hota
ye kahan ke dosti hai ke bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota
rag-e-sang se tapakata wo lahu ki phir na thamata
jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota
gham agarche jangusil hai, pe kahan bachen ke dil hai
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozagar hota
kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marana agar ek bar hota
hue mar ke hum jo rusava, hue kyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthata, na kaheen mazar hota
use kon dekh sakata ki yagana hai wo yakta
jo dui ke bu bhi hoti to kaheen do char hota
ye masail-e-tasavvuf, ye tera bayan ‘ghalib’
tujhe hum wali samajhate, jo na badakhvar hota



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Iftaar Party

In the currunt situation of country,I have decided to support only one party and the name of party is
.
.
.
.
.
.Iftaar party 😉

Monday, October 22, 2007

Chalak ke kam na ho aisi koi sharab nahi



chalak ke kam na ho aisi koi sharab nahi
nigah-e-nargis-e-r’ana tera javab nahi


zamin jag rahi hai ki inqalab hai kal
wo rat hai koi zarra bhi mahv-e-khvab nahi


zamin us ke falak us ka qayanat us ke
kuch aisa ishq tera khanamakharab nahi


jo tere dard se maharum hai yahan un ko
gam-e-jahan bhi suna hai ki dastayab nahi


abhi kuch aur ho insan ka lahu pani
abhi hayat ke chehare pe aab-o-tab nahi


dikha to deti hai behatar hayat ke sapane
kharab ho ke bhi ye zindagi kharab nahi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Firaq Gorakhpuri



Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuch kam hai – Shahryar



Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuch kam hai
har ghadi hota hai ehasas kaheen kuch kam hai
ghar ke tamir tasavvur hi mein ho sakati hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuch kam hai
bichde logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein umeed to kafi hai yaqin kuch kam hai
ab jidhar dekhiye lagata hai ki is duniya mein
kaheen kuch cheez ziyada hai kaheen kuch kam
aj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab
ye alag baat ki pahali si nahi kuch kam hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahryar



Ye EID Tere Shehr Men

Ye EID tere shehr men bhi aai hogi


Baray naaz se tu ne manayi hogi


Haseen hath pay mehndi bhi lagai hogi Phir tu ne mithayi bhi khayi hogi


Humein tu surma dalne ki fursat nahi


Tu ne Aankhain apni kajal se sajayi hogi


Unhain kia ehsas kisi ki khushiyoun ka


Jinhon ne EID wale din EID manayi hogi,

Waqt Sab Kuch Cheen Leta Hai

Waqt Sab Kuch Cheen Leta Hai

Ye To Ek Muskurahat Thi...

Waqt Sab Kuch

Pathar jamaa krte krte

“Kabhi us ko nazar


andaz na karo o tumhari bohat


parwah krta ho.


warna kisi din tumhen Ehsas hoga


k pathar jamaa krtr krte tumne heera gawa diya “

Kabar shayari



meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna…


apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna…


raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna…


namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna…


zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge
husan wallon ko inke charasaaz nahi karna…


khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna…



Bichad Gai Saanse Meri, Bina Ruh Tan Chalu Kaise,
Khuda Ne Milaya Tujhse, Khuda Se Gila Jatau Kaise…


Kured Kured Ke Likha Thha Naam Tera Apne Dil Pe,
Ab Dil Se Naam Mitau To Akhir Mitau Kaise…


Nishan Baki Hai Ab Bhi Tere Labo Ke Mere Gaalo Pe,
Lahu Bahake Palkon Se In Galo Ko Neh’lau Kaise…


Jin Raaton Me Shadiiik Mahhobbat Kii Thhi Tuune,
Aaj Un Suunii Raaton Ko Mein Sulaau Kaise…


Panaahon Me Teri Din Biite Umar Guuzari,
Fiir Teri Yaadon Ko Dil Se Bhuulau Kaise…


In Nigaaho Me Tassavur Hai Tera Aaj Bhi,
Banaake Ashq Tujhe Nigaho Se Giraau Kaise…


Bachaati Rahi Jiss Chaman Ko Fiizao Ke Rukh Se,
Aaj Usi Chaman Ko Sehara Me Bahau Kaise….


Ba’basta Rahi “Pooja” Ki Khushiya Sadaa Tujhse,
Ab Tu Hi Bataa Zindagi Pe Apni Kaffan Bichhau Kaise…



Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
tanhayi aur andhere mein khush they hum,
lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..



Share with us more ..Kabar shayari ..in comments section below



Sunday, October 21, 2007

Beauty of Relationship

Alone i can SAY, But together we can TALK.
Alone i SMILE, But together we can LAUGH.
Alone i can ENJOY, But together we can CELEBRATE.
That’s the beauty of our RELATIONSHIP.

Thaki Thaki Si Nigah



Thaki Thaki Si Nigah Dil Bojhal Hua
Main Teri Yaad Main Kitna Bay Kal Hua


Na Raha Hosh Apna Teri Talash Main
Der Der Bhatakta Phira Main Pagal Hua


Jeetey Jeetey Sanum Teri Yaad Ka Mausam
Derd Say Dariya Phir Situm Badal Hua



Bikhri Meri Hasti Ko Sameyta Tu Nay
Teri Chahat Kay Sabab Main Mukamal Hua


Kehney Walay Keh Chukkay Aks-E-Sehra Mujhay
Jo Tera Saath Paya Shokh-O-Chanchal Hua


Chah Kay Tujhay Ghum Ka Siyaah Badal
Ab Kiyoun Meri Nazar Ka Kajal Hua


Wo Aber Der Haqeeqat Mausam-E-Milan Tha
Jis Say Kay Sara Aalam Jal Thal Hua


Ik Ehsas-E-Bay Basi Dherkanoon Main Shaiki
Ik Derd Ka Gumaan Pal Pal Hua.



May The Good Times And Treasures

May the good times and treasures of
the present become
the golden memories of tomorrow
Wish you lots of love joy and happiness
Happy New Year

Hi My Very Special Friend

Hi My Very Special Friend..
I pray you lay in rest,
God bless you always & may New Year 2014..
Bring you a lot of Love and Happiness.by (Name)
Wish U Have a Happy New Year 2014

Saturday, October 20, 2007

Is daur-e-bejunun ke kahani koi likho – Ahmed Faraz



Is daur-e-bejunun ke kahani koi likho
jismon ko barf khoon ko pani koi likho
koi kaho ki hath qalam kis tarah hue
q ruk gai qalam ke ravani koi likho
kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto
kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho
kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan
kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho
han taza sanehon ka kare kon intazar
han dil ke varadat purani koi likho



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Koi deewana kehta hai lyrics in hindi




Koi deewana kehta hai,koi paaga l samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai

Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai


samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta


Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama




Aankh Ke Kinare Bhige Nahi
Aur Woh Samjhe Ke Hum Roye Nahi
Poochte Hain Kal Raat Sapne Mein Kisko Dekha
Par Woh Kya Jaane Hum Ek Arse Se Sooye Nahi



Share with us more Koi deewana kehta hai lyrics in hindi in comments section below.



Allah Insaan Sey Fermata Hey



Allah Insaan Sey Fermata Hey


Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna


Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna


Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon To Kehna


Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon To Kehna


Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna


Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna


Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna


Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna


Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon To Kehna


Meray Naam Ki Tazem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Do To Kehna


Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna


Mujhey Haieyolkaieyoom Man K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna


Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehna



Bhula Nahi Saktay



Bhool Kar Bhi Tumhein Ham Bhula Nahi Sakte,
Karen Lakh Kosh’shein Ham Tujhko Paa Nahi Sakte,
Khud Pe Ilzaam Dhar Lein Ge Ham,
Tujh Pe Tuhmat Kabhi Kar Nahi Sakte,
Dil Pe Likha Hy Kuch Is Tarah Se Tera Naam,
Chah Kar Bhi Kabhi Ham Mita Nahi Sakte…


Posted by Yousaf



Epic conversation

Epic conversation. :)
Boy: Call me sweetu.
Girl: Sweetu.


Boy: Call me sweetheart.
Girl: Sweetheart.


Boy: Call me honey.
Girl : Honey.


Boy: Abay Jaahil Call kar na.
Girl: Oh ok ok :p 😉

Dosti sms in hindi character



Kehte Hein Ke Ache Log
Mar Kar Sitary Ban Jatey Hain
Magar Hum Kehtay Hain K Achey Sitary
Toot Kar Aap Jaisey Dost Ban Jate Hein…
`
Ye Dosti Meri Nhi Hamari Ha
Tbhi To Sab Rishto Se Pyari Ha
Zarori Nhi Dosto Ka Roz Milna
Tbhi To Sms Ka Silsila Jari Hay…
`
Logo Ko Kehte Suna Aksar
Logo Ko Kehte Suna Aksar,
Zinda Rahe To Phir Milenge…
Magar Iss Dil Ne Mehsus Kiya Hai…
Milte Rahenge To Zinda Rahenge!!…
`
Yon To Hum B Bharosa Kiya Nahi Karte.
Choclate Kya Toffee B Diya Nahi Karte.
Ye Baat Aap Se Hai Warna.
Msg Kya Hum Kisi Ko
Miss Call B Diya Nahi Krtay……
`
DOSTI Or Pyar Nadi Pe Ghoomne Gae,
Pyar Nadi Mein Gir Gaya Q?
Q K Pyar Andha Hota Hai
Us K Peeche Dosti B Gir Gai Q.?
Q K Dosti Kabhi Saath Nahi Chorti…!…




Aap Hame Rulado Hame Gam Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi…
`
Sacchi Dosti Bezubaan Hoti Hai
Ye To Aankhon Se Bayan Hoti Hai
Dosti Mein Dard Mile To Kya
Dard Me Hi To Apno Or Parayon Ki Pehchan Hai…
`
Dhire Dhire Dur Hote Gaye
Waqt K Aage Majbur Hote Gaye
Ishq Me Hum Ne Aisi Chot Khai K
Hum Bewafa Or Wo Bekasur Hote Gaye…
`
Khuda Ne Dost Ko Dost Se Milaya
Doston Ke Liye Dosti Ka Rista Banaya
Par Kehate Hai Dosti Rahegi Uski Kayam
Jisne Dosti Ko Dil Se Nibhaya…
`
Dard Kafi Hai Bdkhudi Ke Liye
Maut Zaruri Hai Zindagi Ke Liye
Kaun Marta Hai Kisi Ke Liye
Hum To Zinda Hain Bus Aapki Khushi Ke Liye…
`
Mohabbat Kuch Nahi Hai WAFA K Siwa
Zindagi Kuch Nahi Hai SAJA K Siwa
Unke Paas Humare Siwa Sab Kuch Hai
Bas Humare Pass Kuch Nahi Hai Unke Siwa…
`
Dil Ka Dard Jab Panno Par Aa Jata Hai
Ek Aansu B Dariya Ban Jata Hai
Dil K Tutne Ki Aawaz Bhi Nahi Aur
Sara Dard GAZAL Ban Jata Hai…
`
Me Tod Leta Agar Wo GULAB Hoti
Me Jawab Banta Agar Wo Sawal Hoti
Sab Jante Hai Me Nasha Nahi Karta
Phir B Pi Leta Agr Wo SHARAB Hoti …
`
Udasiyo Pe Mai Un Sabka Hisab Kar Duga
Hansa Dho Kr Cehra Gulab Kr Duga
Agar Kahi Mil Gye Tum Mujhko
To Itna Padunga Ki Cehra Kitab Kr Duga…
`
Khamosh Se Tum Rehne Lage Ho
Intezaar Kisika Karne Lage Ho ?
Yakinan Kisise Hui Hai Mohabbat
Bina Baat Ke Hi Muskurane Lage Ho…


Share with us more ..Dosti sms in hindi  character .in comments section below



Friday, October 19, 2007

zindagi ki qeemat ka andaza

Kisi ke zindagi ki qeemat ka andaza


uski maut ke baad hi hota hai


Jese….


Zinda murghi Rs – 200


Aur


Chicken karahi Rs – 700

we will always be there for one another

When it rains, you dont see the sun, but its there.
Hope we can be like that.
We dont always see each other,
but we will always be there for one another.

Tum nahi fitana-saz sach sahab – Meer Taqi Meer



Tum nahi fitana-saz sach sahab
shahar pur-shor is gulam se hai
koi tujh sa bhi kash tujh ko mile
mudda hum ko intaqam se hai
sher mere hain sab khvas pasand
par mujhe guftagu aavam se hai
sahal hai ‘meer’ ka samajhana kya
har sukhan usaka ik maqam se hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Dil Ka Aangan Teri Khushbu Se Mehakta Shab

Dil Ka Aangan Teri Khushbu Se Mehakta Shab Bhar
Hum Muhabbat Se Tujhe Raat Ki Raani Likhte...

Dil Ka Aangan

Kal na main itna bura tha kya hua – Naseem Ajmeri



Kal na main itna bura tha kya hua
tera dil bhi aaina tha kya hua
zindagi mein mod kitne aa gaye
ye to sidha rasta tha kya hua
bheed q hai aashiyan ke aas pas
ek shola sa uthta tha kya hua
ye imarat aj q viran hai
is jagah par ek khuda tha kya hua
q “naseem” ab maikade jane lage
aadmi to parasa tha kya hua


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Naseem Ajmeri



Aap aye shayari



Khairmaqdam Hai! Aap Aaye Nam Huyeen Aankheyn!
Kaash, Ham Saath-Saath Houn Kabhi: Yahaan, Ki, Wahaan!!
Qaarwaan-E-Jahaan Mein, Yoon To, Saath Hain Ham Sab;
Qareeb Pahluoun Mein Houn, ?Abd? Wo Baat Kahaan?



Share with us more Aap aye shayari in Comments Section below.



Thursday, October 18, 2007

Tum To Ulajh Kar Reh Gaye Ho Apni Hi Zindagi

Tum To Ulajh Kar Reh Gaye Ho Apni Hi Zindagi Me

Tumhe Kya Yad K Koi Tha, Koi Hai, Kahan Tha, Kahan Hai...

Tum To Ulajh Kar

Aapki Tarif Me

EK “CHUHA” THA ?
.
?
?
?
,
!
?
?
(
=
+

?


.
/
?
*
Batameez sara msg hi kutar gya..
wrna itna kuch likha tha
Aapki tarif me k pucho mat.:-P

First one to Pick U

beautiful words by a best frnd:-)


alwaz remembr that if u fall,i will be the first one to pick u up…


only aftr i finished laughing..
:-D;-):-P…

Mana K Mene Ghor Se Dekha Na Tha Tumhe

Mana K Mene Ghor Se Dekha Na Tha Tumhe

Sooraj Ko Aankh Bhar K Koi Dekhta Hai Kya??

Mana K Mene Ghor

Jin Ki Aankhon Ka Muqaddar Nahi Bantin Neendein

Jin Ki Aankhon Ka Muqaddar Nahi Bantin Neendein,
Un Ke Sab Khuwab Adhoory Hi Hua Karte Hain….

Adhora Khuwab

Meri Zindagi ki Qeemat

Koi pooch raha hai Mujh se Meri Zindagi ki Qeemat…


Mujhay yaad aa raha hai, Tera Halka sa MuskUrana.

Mere Ghar Ki Chhat Par

Mere Ghar Ki Chhat Par
Aagaye Hain Badal,


Wah wah wah..


Mere Ghar Ki Chhat Par
Aagaye Hain Badal,
.
.
.
Ye Message Faltoo Hai, Mat Parho Pagal!=P:)

Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati



Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Youn Baghoon Main Wo Chah Jati
Phir Choti Phirti Pholoon Ko
Youn Rang Wo Apna Bikhrati


Es Haray Bharay Gulshan Ko Wo
Youn Apnain Rang Say Chamkati
Nadani Thee Us Ki Apni
Oroon Kay Hath Na Aati


Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati



Attitude Teacher

ATTITUDE Teacher:


Why r u talking during my lesson…???
.
.
.
.
.


Student: Why r u teaching during our conversation ??

Tujhe qasam hai saqiya sharab la sharab de – Ibrahim Ashk



Tujhe qasam hai saqiya sharab la sharab de
utha subu nazar mila sharab la sharab de


har ek aisa jam ho ke jis pe tera naam ho
tu apne naam ke pila sharab la sharab de
na dil mein koi gham rahe na meri aankh naam rahe
har ek dard ko mita sharab la sharab de
bahut hasin raat hai tera hasin sath hai
nashe mein kuch nasha mila sharab la sharab de
surur hai khumar hai bahar hi bahar hai
magar zara ae dilruba sharab la sharab de


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Ashk



Wednesday, October 17, 2007

U SMILED SHE SMILED

U SMILED;


SHE SMILED;


LIFE SMILED!!!!!!!!


TAMIL:


NEE SIRICHA;


AVA SIRICHAA;


UN POLAPPU SIRIPPA SIRIKKUM!!!!!!!!!!!

Allama iqbal islamic shayari



tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai hur-o-khayam se guzar,


bada-o-jam se guzar garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar tayarek buland bal


dana-o-dam se guzar koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam


Wo Mu’aziz Theh Zamane Mein MUSALMAN Hokar
Aur Hum Khwar Hue Tareek-E-QURAN Hokar



Wo Utah Shour Ho Gaye Duniya Sey Musalman Na-bud
Hum Yeh Kehte Hain,Theh Bhi Kahin Muslim Mujud


allama iqbal poetry


Wasee Mein Tum Ho Nasara Tou Tamaddun Mein Hanud
Yeh Musalman Hain Jinhein Dekh Ke Sharmayein Yahud



Yun Tou SYED Bhi Ho,MIRZA Bhi Ho,AFGHAN Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho! Batao Tou MUSALMAN Bhi Ho



sitaron se age jahan aur bhi hain abhi ishq k imtihan aur bhi hain tahi zindagi se nahin ye fazayen yahan saikaron karawan aur bhi hain kanat na kar alam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain agar kho gaya ek nasheman to kya gam maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain tu shahin hai parwaz hai



Share with us more Allama iqbal islamic shayari . in comments section below.



Koi Eid Meray Ghar May Teray Naam Say Ho



Koi Eid Meray Ghar May Teray Naam Say Ho
Meri Eid Ki Subha-O-Shaam Teray Dedaar Say Ho


Koi Apna Ho Meri Eid Ko Bahaar Karay
Meri Zindagi May Eido Ko Yalgaar Karay


Bohat Tarap Hay Koi Muj Ko Pyaar Say Eid Par Izhaar Karay
Meri Zindagi Ko Eido Ki Talab Gaar Karay



company of good peøple

Yøur life’s happiness depends on the quality of your thoughts,


But


The quality of your thoughts depend on the people you meet in yøur life.


So


alwaz keep the company of good peøple .

Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hai



Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hai,
Wo Apni Be-Rukhi Se Pehchaane Jaate Hai,


Roz Milte Hai Lekin, Kuch Kehte Sunte Nahi,
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badaane Aate Hai,


Shab-Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekha Karte Hai,
Sawera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hai,


Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din-Bhar Taraste Hai,
Wo Shaam Ko Gamlon Ko Paani Pilaane Aate Hai,


Mere Is Haalat Pe Hansna Nahi MUSAFIR Tu,
Ishq Mein Sab Ke Saamne Aise Zamaane Aate Hai..!!!



Ab Ke Hum Bichre Tu Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein



Ab Ke Hum Bichre Tu Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein
Jis Tarhan Sukhe Howe Phool Kitaboun Mein Milain


Dond Ujre Hove Logo Main Wafa Ke Moti
Yeh Khazne Tujhe Mumkin Hy Kharbon Mein Milain


Ghum-e Duniya Bhi Ghum-e-Yar Mein Shamal Kr Lo
Nisha Barta Hy Shahrabain Jo Shahrabon Mein Milain


Tu Khuda Hy Na Mera Ishq Farishton Jisa
2no Insan Hain Tu Kiyun Itne Hijbon Mein Milein


Aj Hum Dar Pr Khenche Gye Jin Batoon Pr
Ajab Kal Woh Zamane Ke Nisaboon Mein Milain..?



Happy Eid DAy

Happy Eid DAy !!!! :)


i Knw Its too early but i have Hundreds of pretty girls & handsome Boys to wish


So i Decided To finish OFF UNCLES & AUNTIES 1st…!!!!

Nikal Do Sene Se

Nikal Do Sene Se Kambakhat Hai Ye Dil


Mohabat, Mohabat, Mohabat Laga Rakhi Hai

In Every Thing There

In every thing there must be a season,
a time 2come and a time 2go.
I pray that this New Year brings
2you happiness and joy 4ever and ever.

Ke Tum Kaun Hote Ho

wo subah neend se jaage
to muje se larne aye faraz…..
ka tum koun hote ho mare
khwaboon mein aane wale..

Tujhe Badnaam Kiun Karta Me Aisa Kaam Kiun

Tujhe Badnaam Kiun Karta Me Aisa Kaam Kiun Karta

Jo Apne Sath Beeti Hai Use Me Aam Kiun Karta...

Tujhe Badnaam Kiun

Wafa Hai Riyasat Apni Phir Bhi Hum

Wafa Hai Riyasat Apni Phir Bhi Hum Ghareeb Thehre,
Bewafai Ka Taaj Pehne Kitne Hum Ne Nawaab Dekhe...

Wafa Hai Riyasat Apni

Aankhein shayari



  Aankho Ka Jaam Jisne Nahi Piya,
Usne Apni Zindagi Me Kiya To Kya Kiya..
Waise To Aksar Nashili Hoti Hai Aankhe,
Ye Zeher Piye Bina Tu Jiya To Kya Jiya..


Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain..
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain..
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise..
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain!


Koi Chehra Hua Roshan Na Ujaagar “Aankhen”
Aaina Dekh Rahi Hain Ye Patthar “Aankhen”
Le Udhi Waqt Ki Aadhi Jinhe Apne Hamraah
Aaj Phir Dhundh Rahi Hain ye Manzar “Aankhen”
Chhalak Nikali To Kai Shahar-e-Tamanna Doobe


Jab mere haanthon me tera haanth aa jaata hai,
ye dil bas tere hi khayaalon me kho jaata hai….


jab bhi teri aankhon ke mehkhane se peeta Hoon,
khumaari se jaane kyon ye dam nikalta jaata hai….


jab teri ek muskurahat hi aati hai Honthon talak,
use dekhte hi mera har zakhm sanwar jaata hai….


Hum Ghabra Kar Aankhen Jhuka Lete Hain…
Kaun Milaaye in Aankho se Aankhein,
Suna Hai Aap Aankho se Apna Bana Lete Hain…



Unki Jheeeeeeel Si Gehri Aankhen Dekh Lein,
To Unki Aankhon Se Pyaar Ho Jaaye…


Chale jo do kadam saath,
To unke saath se Pyaar Ho jaaye..


Thaame jo Pyaar se mera Haath,
To apne hi haath se Pyaar Ho jaaye..


Jis raat aaye khwaabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar Ho jaaye..


Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar Ho jaaye..


Jab pukaare Pyaar se mera naam lekar,
Too Apne Hi naam se Pyaar Ho jaaye..


Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
To aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar Ho jaaye..



Unki Jheeeeeeel Si Gehri Aankhen Dekh Lein,
To Unki Aankhon Se Pyaar Ho Jaaye…

Chale jo do kadam saath,
To unke saath se Pyaar Ho jaaye..


Thaame jo Pyaar se mera Haath,
To apne hi haath se Pyaar Ho jaaye..


Jis raat aaye khwaabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar Ho jaaye..


Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar Ho jaaye..


Jab pukaare Pyaar se mera naam lekar,
Too Apne Hi naam se Pyaar Ho jaaye..


Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
To aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar Ho jaaye..


Share with us more .Aankhein shayari ..in comments section below



Ye bhi nahi bimar na the – Ashufta Changezi



Ye bhi nahi bimar na the
itane junun aasar na the
logon ka kya zikr karen
hum bhi kam ayyar na the
ghar mein aur bahut kuch tha
sirf dar-o-divar na the
sab par hansana shevah tha
jab tak khud us par na the
teri khabar mil jati thi
shahar mein jab akhbar na the
pahale bhi sab kuch bikata tha
khwabon ke bazar na the
maut
ke baten pyari thin
marane ko tayyar na the


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ashufta Changezi



Tuesday, October 16, 2007

Har Taraf Hai Ronak, Bas Ek Teri Hi Hai Kami

Har Taraf Hai Ronak, Bas Ek Teri Hi Hai Kami,
Sard Mausam, Halke Badal, Aur Udas November Ki Aakhri Sham…

November Night Poetry

Har bezaban ko sholanava kah liya karo – Qateel Shifai



har bezaban ko sholanava kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo
khud ko fareb do ki na ho talkh zindagi
har sangdil ko jane-e-vafa kah liya karo
gar chahate ho khush rahen kuch bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo
insan ka agar qad-o-qamat na badh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hava kah liya karo
apne liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo
le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya “qateel”
jab dil jale to us ko diya kah liya karo




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



Monday, October 15, 2007

Khushboo hawa mein shamil hai



Nazar se durr hai fir bhi fiza mein shamil hai,
Kisi ke pyar ki khushboo hawa mein shamil hai….


Mein chah kar bhi tere paas aa nahi sakta,
Ke durr rehna bhi meri wafa mein shamil hai….


Khazane gum ke mere dil mein dafan hai yaaro,
Ye muskurana toh meri ada mein shamil hai….


Khuda kare ki ye usko kabhi pata na chale,
Ki bebasi bhi humari raza mein shamil hai….


Toofan mein humko chor ke jaane ka shukriya,
Khairsigali meri urdu zuban mein shamil hai….


Tere suluk ne jeena sikha diya lekin,
Tere bagair ye jeena saza mein shamil hai….



Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain



Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain, Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Roze Main Bhar Jaate Hain


Us Khwabon Main Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi Nahi
Itne Roze Se Aaye Hain, Chup Chaap Guzar Jaate Hain


Nurm Aawaaz, Bholi Baatain, Mohazzab Lehjaa
Pehle Baarish Main Hi, Sab Rang Utar Jaate Hain


Raasta Roke Khari Hai, Wahi Uljhan Kab Se
Koi Puche To Kahen Kya Ke Kidhar Jaate Hain



Darta Hun Maut Se Mager Marna Zaroor Hai

Maut-Dar-Heart-Touching

Heart Touching Poetry

Darta Hun Maut Se Mager Marna Zaroor Hai
Larazta Hun Kafan Se Mager Pehanna Zaroor Hai

Ho Jata Hun Ghamgeen Janaze Ko Dekh Kar
Lekin Mera Janaza Bhi Uthna Zaroor Hai

Hoti Hai Bari Kapkapi Qabroon Ko Dekh Kar
Par Muddatoon Is Qabar Mein Rehna Zaroor Hai

Sunday, October 14, 2007

Anchal me Aksar

wo larki sedhi sadhi si


din rat hi darti rhti thi


kuch sharmo hyay ka paikar thi


kuj nram mizaj rakhtiii thi


apni khudi ky anchal men aksar


jazbat chupae rakhti thi


kya sabar tha us dewani ka


kya jazbaty mohabat rakhtii thi


kya khoob muhabat rakhtii thi

Hamesha Shukar Ada karte Raho

“Hmesha ‘SHUKR’
Ada Krty Rha Kro Us ‘RAB’ Ka Jo’DUKH”BARDASHT’
Se Zyada Nhi Deta, Mgr’SUKH”AUQAT’
Se Ziada Deta He”

Team ko Bech Do

Pretty: Kings XI haar gye


Shahrukh !!


Main Haar Gayi.


Shahrukh: Apne aap ko sambhalo


aur team ko OLX par Bech Do 😛

Ek Din Mere Dil Ko Jalan Dey Gaya

Ek din mere dil ko jalan dey gaya..
Zindagi mujhe jeene ka kafan dey gaya..


Lakhon pholo mai se ek phol chuna humne..
Jo kanton se gehri chuban dey gaya..

Best Urdu Dua SmS

Ay__Parwardigar Tu__Rehmaan Tu__Raheem Tu__Ghafoor Tu__Razzaq Tu__Kareem Tu__Qadir Tu__Qadeer Tu__Muqtadir Tu__Ghaffar Tu__Wahab Tu__Noor Tu__Malik Tu__Qudoos AEY! Mere__RAB rehmat__farma Mere__Maa__Baap par__Mere__ Asatza__par Mere__Behan__ Bhaiyon__par Mere__Aziz Rishtadaron__par Mere__Doston par__or__us__par bhi__jis__ne__ye Dua__likhi, jis__ne__parhi, jis__ne__suni__or jis__ne__ hasb_e_tofeeq aagay__bheji ALLAH ap ki prshaniyan dor farmay.. (Aamean)

Hazaron khvahishen aisi ki har khvaish pe dam nikle – Mirza Ghalib



hazaron khvahishen aisi ki har khvaish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
dare q mera qatil kya rahega usaki gardan par
wo khoon jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
nikalana khuld se aadam ka sunate aaye hain lekin
bahut be-abaru hokar tere kuche se hum nikle
bharam khul jaye zalim tere qamat ke darazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle
magar likhavaye koi usako khat to hum se likhavaye
hui subah aur ghar se kan par rakkhar qalam nikle
hui is daur mein mansub mujhase bada-ashami
phir aaya wo zamana jo jahan se jam-e-jam nikle
hui jinase tavaqqo khastagi ke dad pane ke
wo hum se bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam nikle
muhabbat mein nahi hai farq jine aur marane ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle
zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle
khuda ke vaste parda na kabe se utha zalim
kaheen aisa na ho yan bhi wohi kafir sanam nikle
kahan maikhane ka daravaza ‘ghalib’ aur kahan waiz
par itna janate hain kal wo jata tha ke hum nikle


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Wafa sms



Dasht-e-Wafa Men Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha,


Dekha To Aik Dard Ka Darya qareeb Tha.


Guzray Jidhar Jidhar Se Tamanna Ke Qaafilay,


Har Har Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha.


Kuch Aisi Meharban To Na Thi Hum Pe Zindagi,


Kyun Har Koi Jahan Mein Hamara Raqeeb Tha?


Kya Kya Lahu Se Apne Kiya Hum Ne SurKharoo,


Us Door K Nagar Ko Jo Dil K Kareeb Tha.


Apna Pata Tou usne Diya Tha Mujhay “QATEEL”


Me Khud Hi Kho Gaya To Ye Mera Naseeb Tha.



Tu mujhe itne pyaar se mat dekh


teri palako’n ke narm saaye mein


dhoop bhi chaandni si lagti hai


aur mujhe kitni door jaana hai


ret hai garm, paanv ke chhaale


yoon damakte hain jaise angaare


pyaar ki ye nazar rahe, na rahe


kaun dasht-e-wafa mein jaata hai


tere dil ko khabar rahe na rahe


tu mujhe itne pyaar se mat dekh



Share with us more ….Wafa sms …in comments section below



Saturday, October 13, 2007

Teer shayari



Jane kab hum pyar ka rog lga baithe,
pta chlla tab jub bewaffai ka teer seene par kha baithe,
humne to ki thi mohubbat apse,
par aap isse waqt ek khel samaz baithe,



Dil ki choton ne kabhi chain se rahne na deya,
Jab chali sard hawa main ne tujhye yaad kiya..!


Is ka rona naheen kyun tum ne kiya dil barbad,
Is ka gham hay k bohot dair main barbad kiya..!


Hum ko kis k gham ne mara yeh kahani phir sahi,
Kis ne tora dil hamara yeh kahani phir sahi..!


Dil k lutne ka sabab poucho na sab ke samne,
Naam aye ga tumara yeh kahani phir sahi..!


Nafartoon k teer kha kar dostoon k shaher main,
Hum ne kis kis ko poukara yeh kahani phir sahi..!


Kiya batayeen pyaar ki bazi wafa ki rah main,
Koun jeta koun hara yeh kahani phir sahi..!



falak ke teer ka kya nishana tha
idhar mera ghar, udhar uska aaashiyana tha
puhunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed
usi waqt is tofaan ko bhi yahaan aana tha
kalam uthai hai lafs nahi milta,
jisko dhund rahe hai wo shaks nahi milta,



Share with us more Teer shayari in Comments Section below.





Expecting world to be fair

If you expect the world to be fair with you
because you are fair,
its like expecting the lion not to eat you
because U dont eat him.


Gudnite!

Utarin ajeeb roshaniyan raat khwab mein-Shakeb Jalali



utarin ajeeb roshaniyan raat khwab mein
kya kya na aks tair rahe the sarab mein
kab se hain ek harf pe nazaren jamin huin
wo padh raha hun jo nahi likkha kitab mein
phir teergi ke khwab se chaunka hai rasta
phir raushani-si daud gai hai sahab mein
pani nahi ki apne hi chehare ko dekh lun
manzar zamin ke dhundhata hun mahatab mein
kab tak rahega ruh pe pairahan-e-badan
kab tak hawa asir rahegi hubab mein
jine ke sath maut ka dar hai laga hua
khushki dikhai di hai samandar ko khwab mein
ek yaad hai ki chin rahi hai labon se jam
ek aks hai ki kanp raha hai sharab mein


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Shakeb Jalali



Kaise kaise hadase sahate rahe – Wajida Tabassum



Kaise kaise hadase sahate rahe
hum yun hi jite rahe hanste rahe
us ke aa jane ke ummiden liye
rasta mud mud ke hum takate rahe
waqt to guzra magar kuch is tarah
hum charagon ke tarah jalate rahe
kitne chehare the hamare aas-pas
tum hi tum dil mein magar basate rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wajida Tabassum



Musaafir To Gaya



Ho Na Duniya Main Koi Hum Sa Bhi Piyaasa Logo
G Main Aati Hay K P Jaayn Ye Darya Logo


Kitni Is Sheher K Sakhiyon Ki Suni Thin Baaten
Hum Jo Aaye To Kisi Ne Bhi Na Poocha Logo


Ab Koi Aaye To Kehna K “Musaafir To Gaya”
Ye Bhi Kehna K,Bhala Ab Bhi Na Jaata Logo



Friday, October 12, 2007

Tumhen jafa se na yun baz aana chahiye tha – Pirzada Qasim



Tumhen jafa se na yun baz aana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha
tavil raat ke pehlu mein kab se soi hai
navid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha
bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
ke kon dube kinhen dub jana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hain jo jale hi nahi
savad-e-vaqt inhen jagamagana chahiye tha
ajab na tha ke qafas sath leke ud jate
tadapana chahiye tha phadaphadhana chahiye tha
ye meri har ke kar-e-janan se hara magar
bichadane wale tujhe yaad aana chahiye tha
taman umr ke aasurdagi-e-vasl ke bad
firaq aakhiri dhoka tha khana chahiye tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Pirzada Qasim



Style of Proposing

3 dfrnt styles of proposing:


English: Would U mind being my girlfriend


Urdu: kia ap meri dost banengi


Punjabi: Velli phirdi ae Kisi gareeb de kum ee aaja 😀

Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho



Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge
Na Jaane Mujhe Kyoon Yakin Ho Chala Hai
Mere Pyaar Ko Tum Mitaa Na Sakoge
Meri Yaad Hogi Jidhar Jaaoge Tum
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Kabhi Nagma Banke Kabhi Banke Aansoo
Tadapta Mujhe Har Taraf Paaoge Tum
Shama Jo Jalaayi Hai Meri Wafa Ne
Bujhaana Bhi Chaaho Bujha Na Sakoge
Kabhi Naam Baaton Mein Aaya Jo Mera
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
To Bechain Ho Hoke Dil Thaam Loge
Nigahon Mein Chaayega Gham Ka Andhera
Kisi Ne Jo Poocha Sabab-A-Suboon Ka
Bataana Bhi Chaaho Bata Na Sakoge



Fana Ho Jao

“Fana” itna ho jaoon Main Teri zaat mein
(ALLAH PAk)


Jo Mujhko dekh le Usay Tujh sy muhabat ho jaye..
(SUBHAN A££AH)


Goodmorning!
Hv a nice day..

3 nice thoughts

3 nice thoughts


Kill tension before tension kills you.


Reach your goal before goal kicks you.


Live life before life leaves you.

Pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya – Bahadur Shah Zafar



pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use aah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya
mujhe dafn karana tu jis ghadi to ye us se kahana ki ae pari
wo jo tera aashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya
dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kaheen jave us ka na dil dahal meri lash par se hata diya
meri aankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha ki uth ke chal
dil-e-beqarar ne o miyan waheen chutaki leke jaga diya
zara un ke shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aaye dabe-dabe mujhe sanp kah ke dara diya
main ne dil diya main ne jan di magar aah! tune na qadr ke
kisi baat ko jo kaha kabhi use chutakiyon mein uda diya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam:Bahadur Shah Zafar



Thursday, October 11, 2007

Khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakata hai – Zaka Siddiqui



Khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakata hai
sannata hi gunj raha ho aisa bhi ho sakata hai
mera mazi mujh se bichad kar kya jane kis hal mein hai
meri tarah wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakata hai
sahara sahara kab tak main dhundhun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sahara ho aisa bhi ho sakata hai
ahl-e-tufan soch rahe hain sahil duba jata hai
khud un ka dil dub raha ho aisa bhi ho sakata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zaka Siddiqui



Badi mushkil se sikha

Badi mushkil se sikha hai khush rhna uske bagair
pr suna hai ye baat use pareshan bahot krti hai..

Hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu – Ahmed Faraz



hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahar ke musafir tu
bahut udas hai ik shakhs tere jane se
jo ho sake to chala aa usi ke khatir tu
meri misal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahara hun
tera khayal ki shakh-e-chaman ka tair tu
main janata hun ke duniya tujhe badal degi
main manata hun ke aisa nahi bazahir tu


hansi khushi se bichad ja agar bichadana hai
ye har maqam pe kya sochata hai aakhir tu
‘faraz’ tune use mushkilon mein dal diya
zamana sahib-e-zar aur sirf shayar tu


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



Muharram Nauhay SMS



Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Oh Khafela
Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibt-e-Mustafa
Saath Main Zainab, Sakina Aur Ruhe-e-Fatema
Sayyed-e-Sajjad Asghar, Saath Sughra Ki Dua
Khafela Tha Eik, Laykin Do Thay Ruh-e-Khafela
Ek Ali Ki Ladli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha


Haaie Oh Kis Shaan Sai, Nikle Thay Sui-e-Karbala
Saath Abbas-e-Jari, Qabze Main Tegh-e-Murtaza


Markaz-e-Taazim Theen, Do Hastiyan Har Ek Ka


Apne Batoon Ku Fida, Bhai Pe Zainab Ne Kiya
Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab, Sai Huwa Ek Pal Juda
Sar Barehna Oh Chali, Oh Barsare Neza Chalaa


Sar Diya Bhai Nai Chaadar Di Bahen Nai Deen Ku
Na Bahen Aysi, Na Aysa Bhai Hoga Momino
Jis Nai Sar Unchaa Kiya Hai, Baani-e-Islaam Ka


Sar Barehna Thi Bahen To Bhai Bhi Tha Bai Kafan
Bhai Kai Baazu Juda, Bahnaa Kai Baazu Mai Rasan
Sar Kiya Donoon Nai, Mil Kar Karbala Ka Maarka


Bhai Nai Chae Maah Kai Bache Ki Mayyat Ghaar Kar
Ek Nayi Tarikh Likhi Karbala Ke Khaak Par
Shukar Ka Sajda Jawan Baite Ke Mayyat Par Kiya


Thi Rasan Basta Bahen Laykin Jalalat Al-Amaan
Khutba-e-Zainab Sai Larzan Thai Zameen-o-Aasmaan
Rakh Diya Takhta Palat Kar, Jis Nai Mulk-e-Shaam Ka


Bhai Khaak-o-Khoon Main Ghaltan Aur Zindaan Mai Behan
Aabrou-e-Mustafa Ek, Aabrou-e-Panjatan
Dourta Tha Jism Main Donoon Kai Sheer-e-Sayyada


Tashat Main Bhai Ka Sar, Zainab Bahr-e-Darbar Main
Koie Bhi Insaan Nahi Tha Lashkar-e-Kuffar Main
Khaak Madfan Main, Uratai Thai Nabi-e-Dosra



Teri umeed tera intazar jab se hai – Faiz Ahmed Faiz



Teri umeed tera intazar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam
gila hai jo bhi kisi se teri sabab se hai
hua hai jab se dil-e-nasabur beqabu
kalam tujhase nazar ko badi adab se hai
agar sharar hai to bhadake, jo phul hai to khile
tarah tarah ke talab tere rang-e-lab se hai
kahan gaye shab-e-furqat ke jaganevale
sitara-e-sahar ham-kalam kab se hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Mahe Ramadan Bass Alwida Hai



Alwida Alwida Alvida Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Dil Teray Aanay Say Motbar Thay,
Noor Mein Dubay Shaam O Sehar They.
Teray Anay Say Dil Ro Raha Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramazan Bass Alwida Hai.


Sehri Iftar Qir’at Tarawi,
Aur Azaan E Namazein O Tasbeeh.
Yeh Saman Noori Tujh Say Mila Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan Bass Alwida Hai.



Rehmatoon Ka Tu Pegham Laya,
Barkatoon Ka Tu Inaam Laya.
Rutba Aala O Afzal Tera Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvida Hai, Mah E Ramadhan Bas Alwida Hai.



Jaam Rehmat Kay Tunay Pilaye,
Gul Muradoon Kay Tuney Khilaye.
Tu Juda Hum Say Ab Ho Raha Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramdhan Bas Alwida Hai.



Humko Baykal Tu Paye Ga Kab Tak,
Gar Rahe Zinda Aglay Baras Tak.
Phir Milein Gay Jo Huqmay Khuda Hai
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramadhaan Bass Alwida Hai.



Chal Diya Hai Tu Jo Rab Ki Janib,
Ahl E Imaan Kay Purnam Hain Qalib.
Qalb E Ishrat Bhi Gham Say Bhara Hai,
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvida Hai, Mah E Ramazaan Bass Alwida Hai.



Humko Bekal Tu Payega Tab Tak
Gar Rahay Zinda Agle Baras Tak.
Phir Milengay Jo Huqm E Khuda Hai
Mah E Ramzan Bas Alwada Hai.


Alwada Alwida Alvada Hai, Mah E Ramzan Bas Alwida Hai.




Itna tu karam hum pe ae sayyad kare hai – Farosh



Itna tu karam hum pe ae sayyad kare hai
par noch ke ab qaid se aazad kare hai


ae bad-e-saba un se ye kah dijiyo ja kar
parades mein ek shakhs tujhe yaad kare hai


aave hai teri yaad to hans deve hai aksar
divana tera yun bhi tujhe yaad kare hai
farazana ujade hai bhare shaharon ko lekin
divana to sahara ko bhi aabad kare hai


likh likh ke mita deve hai tu naam ye kis ka
sach kahiyo “farosh” aj kise yaad kare hai




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Farosh



Wednesday, October 10, 2007

Raat Ki Jawani Angrayi Le Rahi Thi



Raat Ki Jawani Angrayi Le Rahi Thi,
Chandni Chupke Se Hum Pe Muskura Rahi Thi,


Dhadkane Hone Lagi Tej Ek Dum Se,
Tanhayio Me Apki Yaad Jo Aa Rahi Thi.


Tera Ikrar Tera Roothna Teri Pyar Ki Baate
Uf Hum Pe Ek Deewangi Si Chah Rahi Thi

Chupke Se Lipat Gayi Sharam Mere Badan Se,
Jab Teri Nazron Se Apna Shingar Kar Rahi Thi,


Hawa Ke Jonke Humare Pas Se Gujar Rahe Te Jaise
Madhoshiyan Pas Ane Ka Rasta Bana Rahi Thi,


Teri Bahen Jo Bani Mere Gale Ki Warmala,
Ang Ang Me Mere Teri Kushboo Si Bikar Gayi,


Maum Jaise Pigal Kar Tere Pyar Ki Aag Me,
Mai Khud Se Bichad Kar Tum Me Sama Rahi Thi!