Saturday, May 31, 2014

Try Me

When life puts you


in tough situations


Do not say: Why Me


Just say: Try Me

Friday, May 30, 2014

Jagmagate shahar ke ranaiyon mein kya na tha – Ameer Kazalbash



jagmagate shahar ke ranaiyon mein kya na tha
dhundhane nikala tha jis ko main wohi chehara na tha
ret pe likhe huye namon ko padh kar dekh lo
aj tanha rah gaya hun kal magar aisa na tha
hum wohi tum bhi wohi mausam wohi manzar wohi
fasala bad jayega itna kabhi socha na tha
fikr ke dar pe koi aahat koi dastak nahi
wo faqat bimar jis ka koi hamsaya na tha


chod aaya jin safinon ko talatum ke qarib
nakhuda un mein tera shayad koi apana na tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ameer Kazalbash



Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana



Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana


Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana


Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana


Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon
Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana


Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi
Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana


Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana



Suna To Hai Ke Wo Aaye Ga Eid Par Milne

Suna To Hai Ke Wo Aaye Ga Eid Par Milne,
Agar Ye Sach Hai To Phir Eid Hum Mana Layn Ge…

Eid Shayari 2013

Mohabbat Maangte Hain

Rab Se Aap Ki Khushi Maangte Hain,


Duaon Mein Aapki Hasi Maangte Hain,


Sochte Hai Aapse Kya Maange,


Chalo Aap Se Umar Bhar Ki Mohabbat Maangte Hain

Ye Dua Hai Meri K Tujh Par Koi Aanch Na

Ye Dua Hai Meri K Tujh Par Koi Aanch Na Aye

Tu Mehfooz Rahe Seep Main Band Moti Ki Tarha...

Ye Dua Hai Meri

Thursday, May 29, 2014

hum ko shadi per

Pathan: hum ko shadi per Susral se BMW mila hy


Friend: Lekin mene to tumhare ghar koi car nahi dekhi


Pathan: Oye! BMW ka matlab hai..


“Bohat Mota Wife”:-D

Halaat Ki Aik Zarb Ne Soorat Hi Badal

Halaat Ki Aik Zarb Ne Soorat Hi Badal Daali

Mujh Se Meri Tasveer Zara Bhi Nahi Milti...

Halaat Ki Aik Zarb

Sensitive about feelings

Always try to be more sensitive about peoples feelings.


Because sometimes a tear means happiness and a smile means hurt.

Wednesday, May 28, 2014

Business is Going Down

Man 2 Wife : Business is Going Down
If U Learn To Cook
We Can Remove Bavarchi
Wife : Fuck
If U Learn To FUCK
We Can Remove Driver , Gardner & Watchman …

Hum bhi sharabi tum bhi sharabi



hum bhi sharabi tum bhi sharabi
chalake gulabi chalake gulabi
taqadir dil ke khanakharabi
jab tak hai jina khush ho ke jee lain
jab tak hai pina jee bhar ke pi lain
hasrat na koi rah jaye baqi
kal subah ke daman mein tum hoge na hum honge
bas ret ke sine par kuch naqsh-e-qadam honge
????????????????????
bas raat bhar ke mehaman hum hain
zulfon mein shab ke thode se kam hain
baqi rahega sagar na saqi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Poet Unknown



Tuesday, May 27, 2014

Wo Jab Meri Soch Me Dhal Jaye Ga

Wo Jab Meri Soch Me Dhal Jaye Ga
Phir Kisi Roz Wo Badal Jaye Ga

Kiun Me Usy Dil Me Basaaun Bolo
Dil Mera Tor Kar Wo Nikal Jaye Ga

Uski Tanhaiyon Pe Taras Mat Khao
Dekhna Wo Khud Hi Sambhal Jaye Ga

Jism Ki Khoobsurti Pe Naaz Karne Walon
Rait Ki Tarha Ye Phisal Jaye Ga

Aaj Hai Shams Unko Zarurat Meri
Jo Kehte The Suraj Hai Jal Jaye Ga...

Submitted By: Shamsul Hasan

Monday, May 26, 2014

Kuch Khatakta To Hai Pehlu Me Mere

Kuch Khatakta To Hai Pehlu Me Mere Reh Reh Kar

Ab KHUDA Jane Teri Yaad Hai Ya Dil Mera...

Kuch Khatakta To

GF is one who says

Gf is not one who says
.
.


Mai teri kismat me nahi tum muje bhul jao..:(:(
.
.
.
.
.
A true gf is one who says
.
.
.
.
Tu padhai pe dyaan de. Placement k baad Ghar se uta lena.

Humase puchh ke hume kya chahiye



Humase puchh ke hume kya chahiye,
Zindagi se do char din udhar chahiye,


Aa chal mai bhi dikhau haqeeqt e zindagi,
Kuchh hai yaha unhe sirf imaan chahiye,


Wo firaq ho bhi to kis tarah sambhalu,
Raasto par mere jaise bewafa chahiye,


Wo raah bhi dikhade jaha thokare nahi,
Manzile ho bhi magar imtehan chahiye,


Badi der baad shama jali aur bujh bhi gai,
Ronake gharo mai nahi dilo mai chahiye.


Shared by : Salman Momin



Sunday, May 25, 2014

Shayad To Kabhi Piyasa Meri Taraf Laut Aaye

Faraz_dard_poetry

2 Lines Sad Poetry

Shayad to kabhi piyasa meri taraf laut aaye ‘faraz’,
Aankhon mein liye phirta hun darya teri khatir…!

Is Dukh Bhari Hayaat Ki Mehroomiyan Na Puch

Is Dukh Bhari Hayaat Ki Mehroomiyan Na Puch
Kya Kya Tumhe Bataun K Kya Kya Na Ho Saka...

Is Dukh Bhari

Saturday, May 24, 2014

Nidamat K Charaghon Se Badal Jati Hain

Nidamat K Charaghon Se Badal Jati Hain Taqdeeren
Andheri Raat K Aansoo Khuda Se Bat Karte Hain...

Nidamat K Charaghon

Umrein beet jayengi

Sabab jo dhoondo ge to umrein beet jayengi,


Kaha na yaad aatey ho…. To bas aatey ho!!!!

Friday, May 23, 2014

Dukh mein doobe hoye lamhoo ki tarha lagti hai



Dukh mein doobe hoye lamhoo ki tarha lagti hai
Woh mujhe shaam ke saayon ki tarhan lagti hai


Aik karwat mein bandhi haanp rahi hai kab se
Raat beemar parindoo ki tarhan lagti hai


Ess mein bus ja tu hamesha ke liye jaan e hayat
Tu meri aankh ko khawaboon ki tarhan lagti hai


Aik lamhe ko sulajhti hai ulajh kar khud se
Zindagi bhi Teri zulfoon ki Tarhan, lagti hai


Mere hontoo pe utare woh kabhi apna badan
Aik larki jo duaoon ki tarhan lagti hai



Thursday, May 22, 2014

Dil to karachi sumja

Dil ko karachi sumj raka hai tum ne
ate ho, jilate ho aur chale jate ho

Zindagi Mein Koi Tere Baad

Zindagi Mein Koi Tere Baad Nahi Aai


Ro Ro Ke Thak Gaye Par Daad Nahi Aai


Kiyon Teri Aankhon Mein Ashk Hain Us Ke Liye


Jis Ko Eid Ke Din Bhi Teri Yaad Nahi Aai

Chand Tanha Hai Asman Tanha



Chand Tanha Hai Asman Tanha
Dil Mila Hai Kahan Kahan Tanha


Bujh Gai As Chup Gaya Tara
Thartharata Raha Dhuan Tanha


Zindagi Kya Isi Ko Kahte Hain
Jism Tanha Hai Aur Jan Tanha


Hamsafar Koi Gar Mile Bhi Kahin
Donon Chalte Rahe Tanha Tanha
Jalti Bujhti Si Raushani K Pare
Simta Simta Sa Ek Makan Tanha


Rah Dekha Karega Sadiyon Tak
Chor Jayenge Ye Jahan Tanha



Zindagi us ke bagair

Guzar to jaye gi Zindagi Us k Bagair b


LekiN…..?


Tarsasta rahe ga Dil Pyar kerne Walon ko Dekh Ker

Eid K Chaand Ko Dekhe Na Koi Mere Siwa

Eid K Chaand Ko Dekhe Na Koi Mere Siwa

Is K Deedar Ko Ek Saal Guzara Main Ne...

Eid K Chaand Ko

Wednesday, May 21, 2014

The Snow Are Falling From Angels




The Snow Are Falling From The Angels Hands


Filling The Empty Ground With White



Luscious Missletoes Are Dangling In The Air


Their Sweet Drops Stain The Joyous Night



Outside Children Are Pulling Down The Night Winds


Rejoice That Santa Will Soon Fall From High



Inside Adults Are Sipping Cider By The Luminous Tree


Chating About The Lively Streets And The Happy Shoppers



The Naked Branches Are Swaying Sadly Alone


But Hopeful To Get Their New Leaves From St Nick



The Longing Milky Way Is Glowing Dimly


Soon To Dazzle Like An Orange Sun At Twelves







Tuesday, May 20, 2014

Hamsafar Hamesha Yaado Ki

Hamsafar Hamesha Yaado Ki Parchai Hoti Hai,
Yaadien Bhi Ajeeb Hoti Hai Jab Nahi Hota Koi Paas,
Toh Yaadein Hoti Hai Kabhi Ek Lamhe Ki Haseen Dastan Hoti Hai,
Toh Kabhi Nazar Bankar Aansu Mein Pirothi Hai,
Kadwi Ho Ya Methi Dil Ke Kisi Kone Mein Rehti Hai,
Kabhi Kashish Hoti Hai Toh Kabhi Chuban Hoti Hai
Yaadein Bhi Ajeeb Hoti Hai Jab Nahi Hota Koi Paas,
Toh Yaadein Hoti Hai

Sar jo mahafuz hon unake, to rida bhi mangen – Meraj Faizabadi



Sar jo mahafuz hon unake, to rida bhi mangen
hath uthane ke sakat ho to dua bhi mangen
abhi zakhmon ke numaish ka hai insan ka vajud
jism ko jism banalen to qaba bhi mangen
ae ke tu tiragi-e-shab, ke hamari umid
koi dahaliz ata kar to diya bhi mangen
maut se bhi koi umid nahi hai “meraj”
hum jo zinda hon to marane ke dua bhi mangen


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meraj Faizabadi



How Far You Go In Life

How far you go in life depends on your being tender with the young,
compassionate with the aged,
sympathetic with the striving and tolerant of the weak and strong.
Because someday in your life you will have been all of these.

Monday, May 19, 2014

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha | Urdu Sad Poetry


Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha, 

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar, 
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...





Tags: mohabbat, shayari, sad shayari, udas poetry, rog, kinaara, dil, barbad poetry, nazdeek, dard, azal, zamana

Sunday, May 18, 2014

Boy with girlfriend

A Boy Was Going With His GirlFriend
.
.
.
Friend Asked: Who Is She….??
.
.
.
.
.
Boy: My Cousin.
.
.
.
The Friend Said: Last Year She Was My Cousin !

Saturday, May 17, 2014

Dhoop mein Achchhey Bhaley Naqsh



Kachchey Bakhiye ki Tarah Rishtey Udhad Jaatey hain,
Har naye Mod Pe Kuchh Log Pichhad Jaatey hain!


Yoon Hua Dooriyaan Kam Karney Lagey they Dono,
Roz Chalney se to Rastey Bhi Ukhad jaatey hain!


Chhaanw Mein Rakh ke Hee Pooja Karo Yeh Mom Ke But Hain,
Dhoop mein Achchhey Bhaley Naqsh Bigad Jaatey hain!


Bheed Se Kat Ke Na Baithaa Karo Tanhaai mein,
Be-Khayaalee mein Kai Shar Ujad Jaatey Hain!


(Nida Faazli)



Dear Mother, please don’t take away



Dear Mother, please don’t take away my baby.
I’m young, alone, my husband is in jail.
But there’s a wonder in what fortune may be
Given us, though time its wisdom veil.
Please help me be a mother much as you are
By being but a mother once removed,
As I become the daughter that I thus far
Have never been, by love and labor proved.
And let me love as you did my own child,
Making the best of what I wrought in pain;
For once fate leaves, one ought to think it smiled,
Rejoicing in what one would rue in vain.
I would not give my child to another;
I need you now, but only as my mother.



Har taraf har jagah beshumar aadmi – Nida Fazli



har taraf har jagah beshumar aadmi
phir bhi tanahaiyon ka shikar aadmi
subah se sham tak bojh dhota hua
apni hi lash ka khud mazar aadmi
har taraf bhagte daudate raste
har taraf aadmi ka shikar aadmi
roz jeeta hua roz marata hua
har nae din naya intazar aadmi
zindagi ka muqaddar safar dar safar
aakhiri sans tak beqarar aadmi


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nida Fazli



Bhaiya Dooj Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Bhaiya Dooj  Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Bhaiya Dooj 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Bhaiya Dooj  sms greeting.


Brothers are like streetlights along the road,
they don’t make distance any shorter but
they light up the path and make the walk worthwhile.
Happy Bhai Dooj


It means so much to have you around,
As with your presence everything seems just so easy,
God may bless you bhaiya.


Happy Bhai Dooj


Bhaiyaa, you are someone
I admire and look up to,
with lots and lots of love wishing you
Happy Bhai Dooj


Your love makes me feel proud.
And on this day I want to shout it out loud.
Happy BHAI DOOJmy brother…..!!


Rasmalaai?



Nope!
Gulab jaman?
Nah!
Let me c..
How bout jalebi?
Hmm…
Nope!
Damn!
Still cant find
anything as sweet
as U.
Happy Bhai Dooj..!!


Another fresh Bhai Dooj is here . . .
Another year to live!
To vanish worry, doubt, and fear,
To love and laugh and give!
Happy Bhai Dooj


Happy Bhaiya Dooj  Mubarak to all of you from shayari Online Team




Friday, May 16, 2014

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi,
Elfaaz Se Bharpur, Magar Khamoosh….

Khamosh Kitab

Iss Bedard Duniya Mein



Iss Bedard Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.


Bhole Bhale Bandon Ko,Yeh Duniya,
Dakoo Ke Jaise Thagti Hain.


Is Begairat Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.


Doosron Ke Sapne Tod Ker,
Aapna Mahal Banati Hain.

Haste Huye Ko Sekh Ker,
Yeh Sah Nahin Paati Hain.


Gire Huye Ko Ja Ker,
Yeh Nahin Uthati Hain


Is Swarthi Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.


Aapne Liye Bhagwan Se,
Yeh Her Pal Mangati Rehti Hain.


Bhookhe Bache, Nange Jism Ko Dekh Ker,
Yeh Chup Hi Rehti Hain.


Es Pather Duniya Mein,
Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hain.


Rupiya Hee Eska Bhagwan Hain
Yehi Eska Deen,Yehi To Eski Emaan Hain.


Der Per Aaye Fakeer Ko,
Bhaga Hee Deti Hain.


Paisa Hai To Tere Liye,
Pairon Mein Bish Jati Hain,


Aur Kabhi Chatri Ban Tere Ser Per Cha Jati Hain,
Paise Tere Ko Dekh Ker,


Yeh Duniya Ko Bhool Hi Jati Hain,
Her Pal,Her Ghadi Bus Yeh Tere Hee Gunn Gati Hain.


Arre Duniya Walo,Tum To Bus Keemat Lagao,
Insaniyat To Es Duniya Mein,


Ab Her Pal Neelam Hoti Hain.
Es Lalchi Duniya Mein,Insaniyat Paise Ke Mol Bikti Hai.



Thursday, May 15, 2014

Ujaaly Apni Yaadon K Hamary Sath Rehne Do

Ujaaly Apni Yaadon K Hamary Sath Rehne Do
Na Jane Kis Gali Me Zindagi Ki Shaam Ho Jaye...

Ujaaly Apni Yaadon

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab

Duniya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab
Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gaya Ho...

Sohni Lagdi See K

Sardar: Jadon Meri Navi Navi Shadi Hoi,


Menu Meri Biwi Inni Sohni Lagdi See K


Dil Karda See Kha Hi Jawan


Friend: Aur Ab?


Sardar: Kha Hee Jaanda Te Changa See

Wednesday, May 14, 2014

Koi Talash Karna Chahy

Uska Pyaar Nahi To Mujhe Kaza De De
Khuda Tu Meri Zindagi Ko Parda De De


Me Bas Nahi Paya Jiske Dil Me
Us Saksh Ko Mere Dil Me Jagha De De


Gar Usko Chahna Khata Hai Meri
Phir Shouk Se Tu Mujhko Saza De De


Ya To Me Jee Saku Uske Bagair
Ya Mujhe Chahne Ki Use Wajha De De


Gar Ho Sake To Mujhe Kaafir Kar De
Nahi To Mujhko Tu Mera Khuda De De


Apni Surat Me Uska Chehra Nazar Aaye
Ya Khuda Mujhko Tu Aisa Aaina De De


Ya Bhuja De Chirag Meri Raaho Ke
Ya Mujhe Meri Manzil Ka Pata De De


Jaane Kyu Dam Nahi Nikalta Mera
Mere Yaar Mujhe Jeene Ki Dua De De

Subha Sawere Utha Karo

Dada: Subha Sawere Utha
Karo, Is ke Bohot faide
Hain.
Dekho Jo Chiryan
Subha Sawere Uthti Hain
Unko Keere Makore Khane
Ko Mil Jate Hain…


Pota: Or Jo Keere Makore
Subha Sawere Uthte Hain
Unko Juldi Uthne Ki Saza
Bhi To Milti Hai…..

Sagar Ke Bahoun Mein

Sagar ki bahoun may mojean hean Jitnii


hum koo b Tum sy Muhabt hy utnee


k yea bekarari na….ab hoo gee km

Husn-e-Yousuf Ki Qasam Chahen Ge Tujhe Zulaikha

Husn-e-Yousuf Ki Qasam Chahen Ge Tujhe Zulaikha Ki Tarha
Kabhi Humein Bhi To Khareedo Aziz-e-Misr Ban Kar...

Husn-e-Yousuf Ki

Tuesday, May 13, 2014

Bol ki lab aazad hain tere – Faiz Ahmed Faiz



Bol ki lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutawan jism hai tera
bol ki jan ab tak teri hai
dekh ke aahangar ke dukan mein
tund hain shole surkh hai aahan
khulane lage quffalon ke dahane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thoda waqt bahot hai
jism-o-zaban ke maut se pahale
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahane hai kah le



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Tere Naina Da Hamesha Saroor



Tere Naina Da Hamesha Saroor Jeha Rehnda Hai
Har Pal Teri Yaad Da Aauna Jaroor Jeha Rehnda Hai
Main Sb Kujh Apna Har Gaya
Shayad Tainu Isda Garoor Jeha Rehnda Hai
Tere Gairan Naal Hasseyan Da Koi Dukh Nahi Mainu
Par Kyun Phir Vi “Preet” Chuur Jaha Rehnda Hai



Monday, May 12, 2014

Dekhta Hun Tasveer-E-Yaar To Aata Hai

Dekhta Hun Tasveer-E-Yaar To Aata Hai Khayal

Har Baat La-Jawab Thi Agar Bewafa Na Hota...

Dekhta Hun Tasveer

Hum Rone Pe Aa Jaen To Dariya Hi Baha Den

Hum Rone Pe Aa Jaen To Dariya Hi Baha Den
Shabnam Ki Tarha Se Humen Rona Nahi Aata...

Hum Rone Pe Aa

Sunday, May 11, 2014

Ek Salam Kiss Ka Tha



Tumharay Khat Main Naya Ek Salam Kiss Ka Tha
Na Tha Raqeeb Tu Akheer Woh Name Kiss Ka Tha


Raha Na Dil Main Woh Baydard Or Dard Raha
Mukeem Kon Howa Hai Makaam Kiss Ka Tha


Wafa Karain Gay Nibhain Gay Baat Manain Gay
Tumhain Bhee Yaad Hai Kuch Yah Qalaam Kiss Ka Tha


Guzar Gaya Woh Zamana Kahoon Tu Kiss Say Kahoon
Khayal Dil Ko Maray Subh-O-Sham Kiss Ka Tha



Mujhe Zindagi Mai Ya Rab Sar-E-Bandagi Ata Ker



Mujhe Zindagi Mai Ya Rab Sar-E-Bandagi Ata Ker
Meray Dil Ki Be-Hisi Ko Gham-I-Aashiqi Ata Ker


Teray Dard Ki Chamak Ho, Teri Yaad Ki Kasak Ho
Meray Dil Ki Dharkano Ko Nai Be-Kali Ata Ker


Jo Tujhi Se Lo Laga De, Jo Mujhey Mera Pata De
Meray Ahed Ki Zuban Mai Mujhe Gum- Rahi Ata Ker


Jo Dilon Mai Noor Ker De Wo Hi Roshini Ata Ker


Mai Safr Mai So Na Jaon ,Mai Yahin Pe Koh Na Jaon
Mujhe Zoq-O-Shoq-I-Manzil Ki Hama-Hami Ata Ker


Bari Duur Hai Abhi Tak Rag-I-Jan Ki Musafat,
Jo Dia Hai Qurb Tu Ne Tu Shahor Bhi Ata Ker


Bhari Anjuman Mai Rah Ker Na Hua Aashana Kisi Se
Mujhe Doston K Jhurmat Mai Wo Be Kassi Ata Ker


Mujhe Teri Justo Jo Ho, Meray Dil Mai Tu Hi Tu Ho
Meray Qal’b Ko Wo Faiz –I-Dar-Aarfi Ata Ker



Bari Tabdiliyan Laye Hain Apne Ap Me

Bari Tabdiliyan Laye Hain Apne Ap Me Lekin
Tumhe Bus Yad Karne Ki Wo Adat Ab Bhi Baki Hai...

Bari Tabdiliyan Laye

Pthan se kisi ne pucha

Pthan se kisi ne pucha: Radio or Akhbar me kya farq hy?
Pthan (Boht sochny k baad)
Dekho yara
bat ye hy k
“Radio me ap Rotiyan to nhi Lpait sakty na?

Saturday, May 10, 2014

Ye Eid Tere Shehr Men Bhi Aai Hogi



Ye Eid Tere Shehr Men Bhi Aai Hogi
Baray Naaz Se Tu Ne Manayi Hogi


Haseen Hath Pay Mehndi Bhi Lagai Hogi
Phir Tu Ne Mithayi Bhi Khayi Hogi


Humein Tu Surma Dalne Ki Fursat Nahi
Tu Ne Aankhain Apni Kajal Se Sajayi Hogi


Unhain Kia Ehsas Kisi Ki Khushiyoun Ka
Jinhon Ne Eid Wale Din Eid Manayi Hogi………………………….



Ye Doorian In Raho Ki Doorian



LOVE AAJ KAL Movie Songs Lyrics
Ye Doorian In Raho Ki Doorian Lyrics Hindi Song Title: Ye Doorian In Raho Ki Doorian : LOVE AAJ KAL
Singer(s): MOHIT CHAUHAN
Cast(s): SAIF ALI KHAN , DEEPIKA PADUKONE , NEETU SINGH , RISHI KAPOOR
Hindi Lyrics:


Yeh Doorian Aaann….
Yeh Doorian Aaann….


Yeh Doorian
In Raho Ki Doorian Nigahon Ki Doorian
Humraho Ki Doorian Fanna Ho Sabhi Doorian


Kyun Koi Paas Hai, Door Hai
Kyun Koi Jaane Na , Koi Yahan Pe
Aa Raha Paas Ya Door Mein
Ja Raha Janoo Na Mein Hu Kahan Pe


Yeh Doorian
In Raho Ki Doorian Nigahon Ki Doorian
Humraho Ki Doorian Fanna Ho Sabhi Doorian


Yeh Doorian Yeh Doorian
Yeh Doorian Aa….


Kabhi Huwa Yeh Bhi, Khali Rahon Pe Bhi
Tu Tha Mere Saath ,
Kabhi Tujhe Milke, Lauta Mere Dil
Yeh Khali Khali Haath
Yeh Bhi Huwa Kabhi, Jaise Huwa Abhi
Tujko Sabhi Mein Paa Liya


Tera Mujhe
Kar Jathi Hai Doorian Satathi Hai Doorian
Tarsathi Hai Doorian Fanna Ho Sabhi Doorian


Kaha Bhi Na Mein Ne, Nahin Jeena Mein Ne
Tu Jo Na Mila
Tujhe Bhule Se Bhi, Bola Na Mein Yeh Bhi
Chahu Fasala
Bas Fasala Rahe Banke Kasak Jo Kahe
Ho Aur Chahat Yeh Jawan


Teri Meri
Mit Jani Hai Doorian Begani Hai Doorian
Haat Jani Hai Doorian Fanna Ho Sabhi Doorian


Kyun Koi Paas Hai, Door Hai
Kyun Koi Jaane Na , Koi Yahan Pe
Aa Raha Paas Ya Door Mein
Ja Raha Janoo Na Mein Hu Kahan Pe


Yeh Doorian
In Raho Ki Doorian Nigahon Ki Doorian
Humraho Ki Doorian Fanna Ho Sabhi Doorian



Friday, May 9, 2014

Choom Leti Hain Latak Kar Kabhi Chehra

Choom Leti Hain Latak Kar Kabhi Chehra Kabhi Lub

Tum Ne Zulfon Ko Bohat Sar Pe Charha Rakha Hai...

Choom Leti Hain

Thursday, May 8, 2014

Nazroon Ko Jhukaa Lon Ga



Woh Samnee Aayee To Nazroon Ko Jhukaa Lon Ga
Dekhon Ga Nahee Phir Bhi Tasveer Bana Loon Ga


Aana Hai To Aajao Ruswayee Nahee Ho Giii
Dekhee Ga Nahee Koi Palkon Men Chupaa Lon Ga


Jo Hum Per Guzarni Hai Aik Baar Guzer Jayeee
Her Ghum Ki Tarha Tugh Ko Seene Se Laga Loon Ga


Veeran Ger Dil Ho Aankhon Men Andheera Ho
Yaadon Ke Dyiee Apni Palkon Men Saja Lon Ga


Manzoor Ger Ho Gi Ruswai Teri Mugh Ko
Men Beth Sahil Se Tofan Uthaa Lon Ga


Naraaz Ger Woh Hain Meree Nasheman Se
Men Nasheman Ke Tinkoon Ko Hata Doon Ga


Kyoun Mugh Se Khafaa Ho Ker Woh Door Gayee
Bahoon Men Woh Aajayeen Men Un Ko Mana Loon Ga



Wednesday, May 7, 2014

Boy Teasing a Girl

Boy Teasing A Girl: Ae Chalti Kiya?


Girl: Kaha?


Boy: Wherever You Say


Girl: Ok Lets Go Shopping
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Boy: Kasam Se Didi , Aapke Sath Toh Na Mazak Krna Bhi Gunaah Hai

Tuesday, May 6, 2014

Passive voice of mistake

Teacher: Write the passive voice of (I made a mistake)


Student: I was made by a mistake.. 😀 😀

Urdu Ghazal SMS

Log pochtey hen kyon surkh hen tumhari Aankhen,
Hans k keh deti hon raat so na saki,


Lakh chahon bhi magar yeh keh na sakon,
Raat ronay ki hasrat thi magar ro na saki…..Judai ki kasak liye
teri yaad se jura aansoo
har shab meri aankh se tapka hay
guzry kal ki terha aaj ka din bhi
tum bin udaas guzarta hay … !!!

Tere Rukhsaar Pe Na Giry Kabhi Koi Ghum

Tere Rukhsaar Pe Na Giry Kabhi Koi Ghum Ka Aansu

Khuda Teri Har Dua Teri Taqdeer Bana De...

Tere Rukhsaar Pe

Monday, May 5, 2014

Jo MIl Jayen Wo Apne

Zindagi ik raat he


Jis me na jane kitne khawab hen


Jo mil jayen wo apne hen


Jo toot jayen wo sapne hen…

A Strong Man

A strong man can handle


a strong woman.


A weak man will say she has


attitude.

Sunday, May 4, 2014

Dont Marry The Person

Dont marry the person you think you can live with;
marry only the individual you think you cant live without.

Hamare Har Raaz Ka Jo Humraaz Hai

Hum Or Humaray Waaday


Na kabhi bhoolengay woh din dosti kay hum,
Sung jhoomengay humesha har pal har dum,


Aik sath baantengay khushi o ghum,
Yaaron ko daingay kabhi na dard hum,


Jeet sathi ki ko jeetaingay hum,
Haar yaaron ki to haaraingay hum………………..
Poetess-Am

The 1st Time We Met

The 1st time we met
We were strangers 2 each other,


Not knowing each other & not even ready 2 know,


Bt slowly we started vd a simple HI


Relti0nship begins.


Many metingz we had.


Then a silent wish that may we bec0me friendz.


& n0w the time has come that i have u.


Some one whom i can count on,


trust on.


No matter where life takes us away from each other in future


We wr


We are


& We will always b friends.

Tsokum Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Tsokum Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Tsokum Festival greeting.


Na sar jhuka hai kabhi
Aur na jhukayenge kabhi,
Jo apne dum pe jiyen
Sach me zindagi hai wahi.
Live like a true INDIAN.


HAPPY INDEPENDENCE DAY


Rangdo tum hame, rangde ham aapko,
Ham milkar rangde sara ye jaha,
Bass haseen aur gale lagen,
Aur bhulen dusmani ke nishan…


Holi Mubarak!


Holi ke rang mast bikhrenge,
kyuke piya ke sang ab ham bhi toa bheegenge…


Holi mein iss baar toa aur bhi rang honge,
kyuke mere piya bhi toa mere sang honge……


Mohobbat ka imtihan aasan nahi,
Pyar sirf pane ka naam nahi,
Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein,
Ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.


Soch ko badlo, sitare badal jayeng;


Najar ko badlo, najare badal jayenge;


Kashtiya badalne ki jarurat nahi, Dishao ko badlo


KINARE badal jayenge


Happy Tsokum Festival Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Saturday, May 3, 2014

Ye karen ya wo karen aisa karen vaisa karen – Nazeer Banarasi



Ye karen ya wo karen aisa karen vaisa karen
zindagi do din ke hai do din mein hum kya kya karen
jee mein aata hai ki den parde se parde ka javab
hum se wo parda karen duniya se hum parda karen
sun raha hun kuch lutere aa gaye hain shahar mein
aap jaldi band apne ghar ka daravaza karen
is purani bevafa duniya ka rona kab talak
aaiye mil-jhul ke ik duniya nai paida karen


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nazeer Banarasi



Friday, May 2, 2014

Parveen shakir poetry sms



Main Apni Dosti Ko Sheher Mein Ruswa Nhi Krti,


Mohbt Main Bhi Krti Hoon Magar Charcha Nhi Krti,


Jo MuJ Se MiLne Aa Jaye Main Us Ki DiL Se Khadim Hoon,


Jo Utth K Jana Chahay Main Usey Roka Nhi Krti,


Jisey Main Chhor Deti Hoon Usey Phir BhooL Jati Hoon,


Phir Us Hasti Ki
Janib Main Kabhi Dekha Nhi Krti,


Tera Israar Sir Aankhon Pe K Tum Ko BhooL Jaon Main,


Main Koshish Kr K Dekhoon Gi Magar Waada Nhi Krti




Dasht-E-dariya k us paar kahan tak jati,
Ghar ki deewar thi mere yaar kahan tak jati,
.
Mitt gayi hasrat-E-deedar bhi rafta rafta,
Hijar mein hasrat-E-deedar kahan tak jati,
.
Thak gaye hont tera naam bhi lete lete,
Aik hi lafz ki takraar kahan tak jati,
.
Rehbar us ko Saraapon mein liye phirte they,
Khalqat-E-shehar thi beemar kahan tak jati,
.
Tu bohat door bohat door gaya tha mujh se,
Meri Aawaz mere yaar kahan tak jati…



Kese Kahu Mujhe Chhor Diya Us Ne
Baat to sach hai Mgar Baat Hai Ruswai Ki


Woh Kahin Bhi Gaya, LOT to mere Paas Aaya
Buss Yehi Baat Hai Achhi Mere Harjai Ki


Tera Pehlu tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe
Tujh pe Guzary Na Qayamat Shab-e-Tanhai Ki


Us Ne Jalti Hui Peshaani Pe Jabb Haath Rakha
Rooh Takk Aa Gai Taseer Maseehai Ki


Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Main Badan Toot’ta Hai
Jaag Uth’ti Hain Ajab Khwaahishein Angraai Ki



Share with us more Parveen shakir poetry sms .in comments section below.



Computer Shairi – Part 3



 Urdu Computer Shairi , Computer Poetry , Funny Hindi Computer Poetry , Hindi Computer Shayari , Urdu Funny Shayari , Urdu News , Urdu Pakwan , Hindi News


Computer Shairi – 3


Dil Se Ek Ishq Ki , Application Create Kar Raha Hoon
Pyaar Se Debug Karna ,Mein Wait Kar Raha Hoon


Nazar Mein To Kai Hain , Aur Shaayad Lonely Hain
Problem Yehi Hai Ki Voh ,Ab Read Only Hain


Tumhaare Intezaar Mein ,Neend Aayee So Gaya
Yeh Dekho Mera Connection ,Time Out Ho Gaya


Ab Aur Kaho Na Tum, “But” Ya “If”
Tum Ho Meri Zindagi Ki Animated Gif


Main Tumhein Pyaar Kyun Karoon,Tum Nahi Ho Ash
Phir Bhi Tumhe Dekh Kar Mera,System Hota Hai Crash



Meri Dharkanun Ki Kitab Main



Meri Dharkanun Ki Kitab Main
Meri Chahatun K Hisaab Main
Wo Jo Roshni Sa Tha Humsafar
Wo Jo Chand Sa Shaks Tha
Meri Dharkanun Main Shareek Tha
Wo Jo Chal Raha Tha Door Tak
Mera Hath Tham K Hath Main
Wo Janay Kaisy Chala Gaya
Mujy Khuwab O Wisal Main Chor Kar
Magar Aj Bhe Hy Basa Hoa
Mery Dil Ki Band Kitab Main



Urdu Love Shayari – Karb Ka Tofaan



Ye Karb Ka Tofaan Guzarta Kion Nahin
Dil Toot Gia Hai To Bikhartaa Kion Nahin


Aik Hi Shaks Ko Chahta Hai Kion Itnaa
Koi Dosra Is Dil Pe Utarta Kion Nahin


Har Bar Iski Berukhi Pe Pyar Aata Hai
Dil Us K Riwajon Pe Akarta Kion Nahin


Kehne Ko To Wo Dard Ek Lamhe Ka Hai Magar
Wo Dard Ka Lamha, Guzarta Kion Nahin



Thursday, May 1, 2014

Lau de uthe wo harf-e-talab soch rahe hain – Shakeb Jalali



Lau de uthe wo harf-e-talab soch rahe hain
kya likhiye sar-e-daman-e-shab soch rahe hain
kya janiye manzil hai kahan jate hain kis simt
bhataki hui is bheed mein sab soch rahe hain
bhigi hui ek sham ke dahaliz pe baithe
hum dil ke dhadakane ka sabab soch rahe hain
tute huye patton se darakhton ka ta’alluq
hum dur khade kunj-e-tarab soch rahe hain
is lahar ke piche bhi ravan hain nai laharen
pahale nahi socha tha jo ab soch rahe hain
hum ubhare bhi dube bhi siyahi ke bhanvar mein
hum soye nahi shab-hama-shab soch rahe hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeb Jalali



Pareshan Raat Saari Hai Sitaron Tum To So Jao



Pareshan Raat Saari Hai Sitaron Tum To So Jao
Sakun A Marg Tari Hai Sitaron Tum To So Jao,


Hanso Aur Hanste Hanste Dub Jao Khayalon Mein
Ham Pe Raat Bhari Hai Sitaron Tum To So Jao,


Hamen To Aaj Bhi Shabe Pou Tak Jagna Hai
Yahi Kismat Hamari Hai Sitaron Tum To So Jao,

Tumhe Kya ? Aaj Bhi Koi Agar Milne Na Aaya
Yah Baazi Hamne Haari Hai Sitaron Tum To So Jao,


Kahe Jate Ho Ro Ro Kar Hamara Hal Duniya Se
Yeh Kaisi Rajdari Hai Sitaron Tum To So Jao,


Hamen Bhi Nind Aa Jaigi Hum Bhi So Hi Jainge
Abhi Kuch Bekarari Hai Sitaron Tum To So Jao