Friday, May 31, 2013

Raaste Badal Jaate Hain, Manzilain Badal Jaati Hain



Raaste Badal Jaate Hain, Manzilain Badal Jaati Hain
Kyun Nahin Badalte Dil Jo Taqdeerain Badal Jaati Hain
Dil Wohi Rehta Hai, Yaadon Ki Anginat Karchaiyaan Le Ke
Aankhon Ki Nami Chupa Kar, Nazrain Badal Jaati Hain
Rooh Rehti Hai Har Lamha Ashkbaar, Lab Hanste Hain
Bahar Aur Andar Ki Kis Tarah Fizaain Badal Jaati Hain
Koi Hota Hai Rafta Rafta Zindagi Se Door, Bohot Door
Haathon Ki Yeh Lakeerain Kyun Aksar Badal Jaati Hain !!



Thursday, May 30, 2013

Happy New Year 2013 - Urdu Poetry 2013 New Year

Happy New Year 2013… UrduSadPoetry.com is now 8 months old. Thank you for be with us for a long time. We will do our best to keep sharing with you in 2013. Today is 31th December, the last day of the year 2012. :(
Reshmi Door Ki Tarhan
Hath Se Phisalta Hua
Ye Saal Bhi Jaa Raha Hai
Guzarte Is Saal Se
Hisab Kuch Lena Hai
Zakhm Jo Diye Hain Is Ne
Un Ka Marham Poonchna Hai
Apur Poonchna Hai....!!
Jo Kho Diya, Usy Payn Kahan
Yaadon Ko Sari, Dafnayn Kahan,
Aa Gahi Apni Salayn Kahan
Ya Yun Kar Lein
Rootha Pichla Saal Bhula Kar
Aany Wale Saal Sae
Doosti Kar Lein...

Happy New Year 2013 Shayari

Wednesday, May 29, 2013

Aziz Umer Ka Ek Aur Baab Beet Gaya - Inspirational Poetry

Aziz Umer Ka Ek Aur Baab Beet Gaya…
Jaheiz Ban Na Saka, Aur Shabaab Beet Gaya….!

Sad Inspirational Poetry

Bagair mere tujhe chain aa nahi sakata – Naseem Akhtar



Bagair mere tujhe chain aa nahi sakata
mera javab kaheen se tu la nahi sakata


hazar parde bhi dalo agar banavat ke
dilon ke bat ko chehara chupa nahi sakata


bana diya hai zamane ne dil ko patthar ka
sataye koi bhi mujh ko rula nahi sakata


hasin taj mahal ke banane vala bhi
dilon ke tute gharaunde bana nahi sakata



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Naseem Akhtar



Tuesday, May 28, 2013

Naughty Peer Ji

Girl: Peer ji.. Mere 2 Affairs hain.. Un Dono mai kis k sath Shadi hogi??


Wo khushnaseeb kon hoga??


Peer: pehle se Shadi hogi aur doosra Khushnaseeb ho ga. 😛

Monday, May 27, 2013

Basanti ko nahate hue dekha

Gabbar- Aaj maine Basanti ko Nahate hue dekha.


VIRU- Kutte-kamine mai tera khoon pee jaunga.


Gabbar- Abey oh….vampire ki Aulaad.


Mai naha rha tha or Basanti pass se jaa rhi thi

Aansu shayari




Muzhe Maloom H K Meri Zindagi K Gam Kbhi Jane Wale Nhi,
Mai Intezar Krunga Unka Aakhiri Sans Tak Jo Kbhi Aane Wale Nhi,


Gair Mera Koi Nhi Apno Ne Hi Muzhe Sataya H,
Itne Berahm H Wo Apni Aadato Se Baaj Kbhi Aane Wale Nhi,


Zhuthe Pyar K Khel Me Har Bar Hi Wo Jeet Gye,
Mgar Pyar Koi Khel Nhi, Ye Unhe Koi Samzhane Wale Nhi,


Maut Pe Meri Zhuthe Hi Sahi Aansu Na Kisi K Muzhse Dekhe Jayege,
Or Wo Itne Sang-E-Dil H ‘Kumar’ Kiye Pe Apne Kbhi Pachhtane Wale Nhi



Zindagi Khubsurat Thi, Sajaya Tha Aisa Aapke Pyar Ne
Basta Tha Gulistan, Mehkaya Tha Aapke Pyar Ne


Aur Zindagi Se Koi Aash Na Rakhi Humne
Paane Ke Baad Tumhe Koi Pyaas Na Rakhi Humne


Lekin Jaane Kya Khuda Ko Tha Manzur
Ke Paane Ke Baad Apko Kho Diya Humne


Ab Saari Saari Raat Yehi Sochte Guzar Jati Hai
Kyu Khusiyon Ko Nazar Lag Jati Hai


Hum Phir Aisa Khuda Ka Hukum Maan Ker Ro Liya Kerte Hai
Unki Yaadon Ko Seene Mein Dabaye So Liya Kerte Hai


Ab Dard Seene Mein Chupaye Chupte Nahi
Band Aankhon Mein Aansu Rukte Nahi…




Kyo Haasti Hui Mehfilo Me Aate Yeh Aansu…
Kyo Khushi Ke Lamho Ko Metate Yeh Aansu…
Kya Karu K Kitni Mai Kerta Hu Koshish…
Per Her Baat Pe Yeh Tapakte Hai Aansu…


Kya Kahu K Kitna Ab Seham Gaya Hu…
Kya Kahu K Pal Pal Ab Mer Sa Gaya Hu…
Wo Haste Hai Mehfil Me Had Se Bhi Jada..
Yaha Her Baat Pe Tapakte Yeh Aansu..


Mai Samjha Tha Jisse Yeh Manzil Hai Meri..
Mai Samjha Tha Jisse Yeh Duniya Hai Meri…
Jab Guzerta Hai Gum Had Se Bhi Jaada…
Phir Her Aah Pe Yeh Tapakte Hai Aansu…


Kya Karu Mai Bhi Duffer Nahi Tha…
Kya Kerta Woh Mera Humdum Nahi Tha…
Jab Rishtey Hi Ban Jaiye Aankh Ke Chaale…
To Kyo Na Tapakte In Aankho Se Aansu…


Share with us more …Aansu shayari .in comments section below



Dua To Dil Se Maangi Jaati Hai, Zubaan Se Nahi Aye Iqbal

Dua To Dil Se Maangi Jaati Hai, Zubaan Se Nahi Aye 'Iqbal',
Qabool To Uski Bhi Hoti Hai, Jis Ki Zubaan nahi Hoti....!

Submitted By: Rana

Friday, May 24, 2013

A Green Leaf Turned Yellow




A Green Leaf Turned Yellow


And Looked At The Greens Around


A Tall Wind Shook The Bough


And It Fell To The Ground



It Looked Above And Wondered


Why Was He Jerked Out


Then He Saw A Small Green Glean


In His Previous Favourite Spot



Now The Reality Hit Him Hard


That He Was Born To Die


If He Hadnt Turned Yellow


How Will The New Leaf Come By



He Knew He Had To Turn Yellow


Then Fall And Then Dry


Dry And Then Ground To Dust


So That His Children Could


Take His Perch And Survive





Saza Ye Di K Aankhon Se Cheen Li Neenden

Saza Ye Di K Aankhon Se Cheen Li Neenden

Qasoor Ye Tha K Jeene K Khawab Dekhe The...

Saza Ye Di K

Dunya Hai Aik Mela Sa



Dunya Hai Aik Mela Sa
Phir Bhi Her Shakhs Yahan Akala Sa
Kis Kay Kandhay Per Ser Rakh Ker
Kis Ko Sunaie Hal Dil Apna
Phir Pyaar Mohabat Kia Mani
Jab Jena Ho Tanha Tanha
Kuch Loog Yooun Hi Hastay Rahtay Hain
Dokh Roz Naya Setay Rahtay Hain
Magar Kartay Nahi Hain Koi Shikwa
Phir Pyaar Mohabat Kia Mani


Jab Jena Ho Tanha Tanha
Rishtoon Kay Bech Ho Duri Se
Aur Aag Ka Bahta Howa Darya Ho
Phir Pyaar Mohabat Kia Mani
Jab Jena Ho Tanha Tanha
Subha Se Lay Ker Sham Dhalay
Kion Koi Kisi Kay Sath Chalay
Jab Apni Apni Ho Manzil
Aur Apna Apna Ho Rasta
Phir Pyaar Mohabat Kia Mani
Jab Jena Ho Tanha Tanha
Kuch Loog Milay Aur Chor Gay
Sab Qasmay Waday Toor Gay
Phir Pyaar Mohabat Kia Mani
Jab Jena Ho Tana Tanha


Mehwish Afsar



Nafrat Shayari – Tere Kis Kaam Ka



Shehre-Fana Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon
Ek Bujhta Sa Diya Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon


Tu Rafaqat K Liye Or Kisi Ko Chun Le
Me To Khud Aabla Pa Hon Tere Kis Kaam Ka Hon


Tujh Ko Darkar Hain Phoolo K Mehkate Saaye
Main To Sehra Me Khara Hon Tere Kis Kaam Ka Hon


A Paristare Gule-Tar Tera Rasta Takte Takte
Shaakh Pe Sokh Gaya Hon Tere Kis Kaam Ka Hon


Tu B Auron Ki Tarah Mujh Se Kinara Kar Le
Sari Duniya Se Bura Hon Tere Kis Kam Ka Hon..!!



Thursday, May 23, 2013

Itna to yaqeen ni hai

Kaash Uss Se Milne Ka Koi Sabab Ban Jaye


Phir Kya Ho K Jaesa Wo Pehly Tha Ab Ban Jaye


Rishta Uss Se Ho Mera Kuch Iss Tarha Ka


Main Hath Uthaon Dua K Liye Wo Lab Ban Jaye


Itna To Yaqeen Hai Wo ik Din Loat Aaye Ga


Iss Baat Ka Pata Nahi Wo Mera Kab Ban Jaye


Koi Ja K Ussy Ye Mera Paegam To Day Day


Hukamrani Kary Dil Par Wo Mera Jab Ban Jaye


Muhabbat Mein Yun Zabardasti Achi Nahi


Chalo Jab Uss Ka Dil Chahe Wo Mera Tab Ban Jaye.

Wednesday, May 22, 2013

Bachpan Ki Wo Imeeri - Bachpan Shayari

Sad-Bachpan-poetry

Urdu Poetry - Bachpan Shayari

Bachpan Ki Wo Imeeri Na Jane Kahan Chali Gai..
Jab Pani Mein Hamare Bhi Jahaz Chala Karte The…
Imeeri = Richness; Jahaz = Ships

The Work Shop

The Secret for
a Successful Marriage Is:
“The Work-Shop…!!”
.
.
.
.
.
The Husband Works
& The Wife Shops.. =D 😉

Khubsoorat Hain Woh Lub



Khubsoorat Hain Woh Lub
Jo Pyari Batein Kartey Hain
Khubsoorat Hai Woh Muskurahat
Jo Doosron Ke Chehron Per Bhi Muskan Saja De
Khubsoorat Hai Woh Dil
Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhey
Jo Kisi Ke Dard Mein Tadpey
Khubsoorat Hain Woh Jazbat
Jo Kisi Ka Ehsaas Karein
Khubsoorat Hai Woh Ehsaas
Jo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa Baney
Khubsoorat Hain Woh Batein
Jo Kisi Ka Dil Na Dukhaein
Khubsoorat Hain Woh Ankhein
Jin Mein Pakezgi Ho
Sharm O Haya Ho
Khubsoorat Hain Woh Ansoo
Jo Kisi Ke Dard Ko Mehsoos Kerke Beh Jae
Khubsoorat Hain Woh Hath
Jo Kisi Ko Mushkil Waqat Mein Tham Lein
Khubsoorat Hain Woh Kadam
Jo Kisi Ki Madad Ke Liye
Aagey Badhein !!!!!
Khubsoorat Hai Woh Soch Jo Kisi Ke Liye Acha Sochey
Khubsoorat Hai Woh Insan
Jis Ko KHUDA Ne Ye
Khubsoorati Ada Ki



Dukh Dard Ke Maron Se Mera Zikar Mat Karna - Wasi Shah Poetry

Best of Wasi Shah

Urdu Ghazal - Wasi Shah Poetry

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...

Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...

Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...

Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...

Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...

Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna...


Tuesday, May 21, 2013

Meaning Of Life

Life means missing expected things and facing
unexpected things..
When you are right no one remember but when you are
wrong no one forgets.
That’s Life !!
Good Morning Sweeti Have a nice day.


Submit By: Muhammad Ilyas (033484757585)

Jan-e-afasana yahi kuch bhi ho afasane ka naam – Anand Narain Mullah



jan-e-afasana yahi kuch bhi ho afasane ka naam
zindagi hai dil ke dhadakan tez ho jane ka naam
qatara qatara zindagi ke zeher ka pina hai gham
aur khushi hai do ghadi pi kar bahak jane ka naam
intazar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nur
aur bahar-e-bag leti hi nahi aane ka naam
tab-e-nakami nahi to aarzoo karta hai kya
aarzoo hai mauj ke sahil se takarane ka naam
aj tu kal koi aur hoga sadar-e-bazm-e-may
saqiya tujh se nahi hum se hai maikhane ka naam
vaqif-e-“mullah” na thi bazm-e-khirad, ye tay hua
ho na ho, ye hai kisi mashahur divane ka naam



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anand Narain Mullah



Taqdeer Badal Jye

Agr Tum kisi ko chaho to yeh na dekho k wo tmhri taqdeer me hy ya nai, BALKAY
Itni shiddat sy chaho k taqdeer
hi badal jye.

All my sins

O ALLAH, forgive me all my sins
Great and small, the first and the last
those that are apparent and those that are hidden


AMEEN


JUMMAH MUBARAK

Monday, May 20, 2013

Tumhari Mohabbat Ka Pyaasa Hu

Tumhari Mohabbat Ka Pyaasa Hu
Isliye Haath Fayla Diya Maine


Aye Ladkiyo
Hum To Khud Ki Zindagi K Liye Bhi Duaa Nahi Karte

Bewafai Se Koi Shikwa Nahi



Maine To Tumse Pyar Kiya Tha
Dil Jaan Apna Tum Pe Nissar Kiya Tha


Chorhogi Na Saath Mera Saari Zindagi
Wafa Ka Tumne Bhi Ikraar Kiya Tha


Hamne To Tumhari Rahon Par Phool Bichaye The
Un Rahon Ke Kaante Apne Haathon Se Uthaye The


Magar Ey-Bewafa Tune Meri Wafa Ka Kya Sila Diya
Gair Ki Khatir Mujhko Dil Se Bhula Diya


Main Koun Hoon Tumhara Jo Mujhe Yaad Karo Tum
Apne Do Aansoo Bhi Mujh Par Barbaad Karo Tum


Khud Ki Naav To Kinaare Par Laga Li
Mujhe Beech Manjhdhaar Main Hi Chod Diya


Is Dil Main Jo Basa Tha Pyar Tera
Maine Bhi Us Dil Ko Hi Tod Diya


Jo Gali Tere Ghar Tak Jaati Thi
Us Gali Se Hi Maine Mooh Morh Liya


Badnaam Na Ho Jaaye Tu Dunia Main Kaheen
Isliye Tera Naam Lena Hi Chod Diya


Jab Kabhi Bhi Yaad Aayegi Tumhari
Samjhain Ge Kabhi Tumhe Chaha Hi Nahi


Jab Bhi Tum Rahon Main Nazar Aayogi
Sochainge Tumhe Dekha Hi Nahi


Tu Jahaan Bhi Rahe Sada Khush Rahe
Tujhe Dil Se Main Bhula Raha Hoon


Tere Pyar Ki Jo Haseen Yaadain Hain Dil Main
Un Yaadon Ko Louta Raha Hoon


Tumhari Bewafai Ka Kya Charcha Karoon
Apni Wafa Pe Sharma Raha Hoon


Mujhe Tumhari Bewafai Se Koi Shikwa Nahi
Main Tumhari Zindagi Se Ja Raha Hoon



Sunday, May 19, 2013

Paich Dar Paich Silsaly Dil Ke - Two Lines

Paich Dar Paich Silsaly Dil Ke,
Mujhe Teri Aur Tujhe Kisi Aur Ki Talash...!

by: Jaan

Apne Mahol Se Manoos Nahi Hain Ab Tak

Apne Mahol Se Manoos Nahi Hain Ab Tak
Hum Kisi Aur Kahani K To Kirdaar Nahi...?

Apne Mahol Se

Friday, May 17, 2013

No Matter How Happily A Woman

No matter how happily a woman may be married,
it always pleases her to discover that
there is a nice man who wishes that she were not.

Thursday, May 16, 2013

Jashan e Azadi Jokes



JASHAN-E-AZADI
Aik Pathan
Pakistan Ka Flag Lene Aik Shop Par Gaya
Usne Dukandar Se Kaha Ke
Pakistan Ka Flag Dikhao…


Dukandar Ne Flag Dikhaya
To Pathan Ne Aik Aisi Baat Ki
Jisse Dukandar Ko Gussa Aagaya…


Guess Pathan Ne Kya Kaha Hoga??


?


?


?


?


?


?


?


Pathan Said:
Yaara Isme Aur Colour Dikhao



Nanhi Chiti Jab Dana Lekar




Koshish Karne Walon Ki Her Nahin Hoti


Lahron Se Dar Kar Nauka Par Nahin Hoti



Koshish Karne Walon Ki Her Nahin Hoti


Nanhi Chiti Jab Dana Lekar Chalti Hai



Chadhti Deewaron Par Sau Bar Phislati Hain


Man Ka Viswas Ragon Mein Sahas Bharta Hain



Chadhkar Girna Girkar Chadhna Na Akharta Hain


Akhir Uski Mehnat Bekar Nahin Hoti



Koshis Karne Walon Ki Her Nahin Hoti


Dubkiyan Sindhu Mein Gotakhor Lagata Hain



Ja Jakar Khali Haath Laut Aata Hain


Milte Nahin Sahaj Hi Moti Gahre Pani Mein



Badhta Duna Utsah Isi Hairani Mein


Muthi Uski Khali Her Bar Nahi Hoti



Koshis Karne Walon Ki Her Nahin Hoti


Asaflta Ek Chunauti Hain Swavikar Karo



Kya Kami Rah Gayi Dekho Aur Sudhar Karo


Jab Tak Na Safal Ho Nid Chain Ko Tyago Tum



Sangharshon Ka Maidan Chod Mat Bhago Tum


Kuch Kiye Bina Hi Jayjaykar Nahin Hoti


Koshis Karne Walon Ki Her Nahin Hoti




Wednesday, May 15, 2013

Chalo Ik Nazam Likhte Hain



Chalo Ik Nazam Likhte Hain,
Kisi Kay Naam Karte Hain,
Magar Ye Sochna Hai Ab,
K Us Main Zikar Kis Ka Ho?
K Us Main Baat Kis Ki Ho?
K Us Main Zaat Kis Ki Ho?
Aur Ye Bhi Farz Karte Hain,
K Jis Pe Nazm Likhte Hain,
Humain Us Se Muhabbat Hai,
Hamare Sary Jazbon Ko Bus Uski Zaroorat Hai,
Chalo Ik Kaam Karte Hain,
K Hum Jo Nazm Likhte Hain,
“Tumharey Naam” Kerte Hain,
Tum He Unwaan Ho Uska,
Tumhara Zikar Hai Is Main,
Tumhari Baat Hai Is Main.



Kis Jurm-e-Arzoo Ki Saza Hai Ye Zindagi

Kis Jurm-e-Arzoo Ki Saza Hai Ye Zindagi
Aisa To Aye Khuda Me Gunah-Gaar Bhi Nahi...

Kis Jurm-e-Arzoo

Bicharte Lamhe, Usne Kaha

Bicharte Lamhe,
Usne Kaha,
Jee Na Paon Gi,
Tumhare Bin,
Phir Aaj Muddat Baad,
Mehakti Hawa,
Suna Gai,
Haal Uska…..

Haal

Mehsoos To Karta Hun Par Chu Nahi Sakta

Mehsoos To Karta Hun Par Chu Nahi Sakta,
Wo Phool Nahi, Phool Ki Khushbu Ki Tarha Hai....

Umar Malik

Monday, May 13, 2013

Us Shaks Ke Janazey Py Aya Hi Nahi Koi

Us Shaks Ke Janazey Py Aya Hi Nahi Koi,
Lagta Hai Wo Shaks Ishq Ke Hathon Mara Hai...

Jo Baat Hum Keh Nahi Sakte Usy Hum

Jo Baat Hum Keh Nahi Sakte Usy Hum Farz Karte Hain,
Chalo Hum Farz Karte Hain Humen Tum Se Muhabbat Hai...

Jo Baat Hum Keh Nahi Sakte

Ishq fana ka naam hai ishq mein zindagi na dekh – Jigar Moradabadi



Ishq fana ka naam hai ishq mein zindagi na dekh
jalva-e-aftab ban zarre mein roshani na dekh
shauq ko rahnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
aag dabi hui nikal aag bujhi hui na dekh
tujh ko khuda ka vasta tu meri zindagi na dekh
jis ke sahar bhi sham ho us ke siyah shavi na dekh


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Khumar Barah Bankavi Shayari



Hataaye The Jo Raaste Se Doston Ki
Wo Patthar Mere Ghar Men Aane Lage Hain

Wahi Phir Mujhe Yaad Aane Lage Hain
Jinhen Bhulaane Men Zamaane Lage Hain


Ye Kehnaa Thaa Un Se Muhabbat Hai Mujhko
Ye Kehne Men Mujh Ko Zamaane Lage Hain


Qayaamat Yaqinan Qarib Aa gaii Hai
Khumar’ Ab To Masjid Men Jaane Lage Hain


Khumar Barah Bankavi



Urdu Version:
ہٹائے تھے جو راہ سے دوستوں کی
وہ پتھر میرے گھر میں آنے لگے ہیں

وہ پھر مجھے یاد آنے لگے ہیں
جنہیں بھولنے میں زمانے لگے ہیں


یہ کہنا تھا ان سے محبت ہے مجھ کو
یہ کہنے میں مجھ کو زمانے لگے ہیں


قیامت یقینا قریب آگئی ہے
خمار اب تو مسجد میں جانے لگے ہیں


(خمار بارہ بنکوی)




Ba-rang-e-bu-e-gul, is bag ke hum aashna hote – Meer Taqi Meer



Ba-rang-e-bu-e-gul, is bag ke hum aashna hote
ki ham-rah-e-saba tuk sair karate, aur hawa hote


sarapa aarazu hone ne banda kar diya hamako
vagarana hum khuda the, gar dil-e-bemuddaa hote


falak, ae kash! hamako khak hi rakhata, ki us mein hum
gubar-e-rah hote ya kisi ke khak-e-pa hote


ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi khvahish
hamen to sharm daman-gar hoti hai, khuda hote


kahen jo kuch malamatagar, baja hai ‘meer’ kya jane
unhen malum tab hota, ki vaise se juda hote



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Sunday, May 12, 2013

The Power Of Words That We Speak

The Power Of Words That We Speak


Can Comfort A Child Encourage A Stranger



Or Find A Friend To Keep I Have Spoke Many Words


To You As You Have Spoke Many Words



With Me Too When You Or I


Have Tears In Our Eyes Words Of Comfort Between Us



We Share We Reach Out To Each Other


Because It Is For Each Other We Care Starting Out As Strangers



A Long Time Ago Giving Words Of Encouragement


As We Spoke Of Our Tales Of Woe Laughing Together



Brought Sadness To An End Someone Told Me Once Before


To Have A Full Heart You Must Start With A Friend My Heart Has Been Filled



To Over Flowing There Is A Feeling Inside


That Is Forever Now Growing Like Two Children We Were



Lost In A World Of Hate Was This Something


We Were Caught Inside Forever Or Could We Escape



Two Friends We Have Become And Now Can You See


You Have Taken All The Sadness Away From Me



First We Spoke Words To A Stranger Then To A Friend


But Now, Even More We Have Shared The Words



That Two Hearts Must Explore Three Little Words


That Can Move Mountains Or Lift You Up So High



Three Little Words That Can Chase The Pain Away


And Give The Soul A Gentle Sigh The Feeling Was There



And I Think We Already Knew


Those Three Little Words I Love You

Life is a Song

L!fe !s a Song… S!ng !t


L!fe !s a Game… Play !t


L!fe !s a Challenge… Meet !t


L!fe !s a Dream… Realize !t


L!fe !s a Sacrifice… Offer !t


L!fe !s a Love… Enjoy !t

Toothpaste Me Namak

FARAZ” ne larki ko dekh k arz kia,
Teri smile me kya chamak hy,
Teri smile me.. Kya Chamak hy
Larki smile kr k boli bhaiya
mere toothpaste me namak hy.

Karavan guzra kiya hum rahaguzar dekha kiye – Fani Badayuni



Karavan guzra kiya hum rahaguzar dekha kiye
har qadam par naqsh-e-pa rahabar dekha kiye
yas jab chai ummiden hath mal kar reh gain
dil ke nabazen chut gayin aur charagar dekha kiye
rukh meri janib nigah-e-lutf dushman ke taraf
yun udhar dekha kiye goya idhar dekha kiye
dard mandan-e-vafa ke haye re majaburiyan
dard-e-dil dekha na jata tha magar dekha kiye
tu kahan thi ae ajal ae namuradon ke murad
maranevale reh teri umar bhar dekha kiye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Fani Badayuni



Wo MUSTAFA (S.A.W) Ki Aankhon Ka Taara HUSSAIN(A.S) Tha



Kosar Ke Saaqi Ka Wo Nawasa,
“HUSSAIN Tha…


Jab Karbala Ke Dasht Me Pyasa,
“HUSSAIN Tha…


Baadal Yazeedyat Ke Jo Phelay Thay Char Soo


Un Me Chamakta Aik Sitaara,
“HUSSAIN tha…


Karta Wo Kese Haath Pe Baet Yazeed Ke


Us Waqt Sab Se Urfa o Aala,
“HUSSAIN Tha…


Hilnay Laga Tha Arsh e Ilaahi Bhi Us Gharri


Jab Karbala Ki Rait Pe Tarrpa,
“HUSSAIN Tha…


Pardes Me Shaheed Jisay Kar Dya Gaya


Wo MUSTAFA(S.A.W) Ki Aankhon Ka Taara,
“HUSSAIN(A.S) Tha.


Posted by : Wajeeha Khan



Saturday, May 11, 2013

Tera Har Bar Mere Khat Ko Parh Dena Or

Tera Har Bar Mere Khat Ko Parh Dena Or Ro Dena

Mera Har Bar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti...

Tera Har Bar Mere

Friday, May 10, 2013

Tarif Karen Kya Aapki Alfaz Nahi Milte



Tarif Karen Kya Aapki Alfaz Nahi Milte
Aap Jaise Chaman Ke Phool Baar Baar Nahi Milte


Chand se hasen hai chandni,
Chaandni se hasen hai raat,
Raat se hasen hai zindgi,
Aur woh zindagi hain aap…!


Share with us more tareef shayari in Hindi /Urdu in comments section below so that others can do tarif of their lovers as well.


Tareef shayari is really important for lovers because they think their boyfriend or girlfriend is the most cute person in the world to themm them they need tarif shayri or poetry. Sms msgs are the most common way to tell girs that they are most beautiful.


Urdu and Hindi Poets most use phrases like chand / moon , flower etc for beauty and if you say a girl like chand of phool it means its height of khubsurti ki tarif.


Tarif shairy is not only for lovers but husband wife , ofice workers and others can also praise each other through these by sms messages



Us Ka Chehra

chand ny kaha rothy ho kis liye
mein ny kaha dil toota hai is liye
chand ny kaha chahat mein to esa hota hi hai
mein ny kaha chahat b to ek dhoka hai
chand ny kaha bhol jao usy
mein ny kaha to meri zindagi le ja
chan ny kaha dunia mein aur b chehry hain
mein ny kaha dil py usi ki yaad k pehry hain


From: WAQAS AHMED (03456665541)

Thursday, May 9, 2013

Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya



Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya
Bas Abhi Rang-E-Mehfil Badal Jaye Ga
Jo Behosh Hai, Hosh Main Aye Ga
Girne Wala Jo Hai Woh Sambhal Jaye Ga
Tum Tasalli Na Do Sirf Bethe Raho
Waqt Kuch Mere Marne Ka Tal Jaye Ga
Kia Yeh Kam Hai Masiha Ke Hone Hi Se
Maut Ka Bhi Irada Badal Jaye Ga
Mera Daman To Jal Hi Chuka Hai
Magar Aanch Tum Par Bhi Aaye Gawara Nahi
Mere Aansu Na Ponchho Khuda Ke Liye
Warna Daman Tumhara Bhi Jal Jaye Ga
Phool Kuch Ais Tarah Tod Aye Baghbaan
Shakh Hilne Na Paye Na Aawaaz Ho
Warna Gulshan Main Phir Na Bahar Aye Gi
Har Kali Ka Kaleja, Dahal Jaye Ga
Teer Ki Jaan Hai Dil Dil Ki Jaan Teer Hai
Teer Se Yun Na Khelo Khuda Ke Liye
Teer Nikla To Dil Bhi Nikal Jaye Ga
Dil Jo Nikla To Dum Bhi Nikal Jaye Ga



Mohabbat Na Samajh Hoti Hai



Mohabbat Na Samajh Hoti Hai, Samjhana Zaroori Hai
Jo Dil Mein Hai Use Aankhon Se Kehalwana Zaroori Hai

Usoolon Par Jo Aanch Aaye To Takrana Zaroori Hai
Jo Zinda Hai To Fir Zinda Nazar Aana Bhi Zaroori Hai

Bohot Bebaak Aankhon Mein Talluq Tik Nahin Sakta
Mohabbat Mein Kashish Rakhne Ko Sharmana Zaroori Hai

Saleeqa Hi Nahi Shayad Use Mehsoos Karne Ka
Jo Kehte Hai Gar Khuda Hai To Nazar Aana Bhi Zaroori Hai.

Share By : Aamir Sunny




Bara Dushwar Hota Hai - Sad Poem

Bara-Dushwar-Hota-Hai

Bara dushwar hota hai,
Zara sa faisla karna,
Ke jeevan kahani ko,
Yahan be_zubani ko,
Kahan se yaad rakhna hai,
Kahan se bhool jana hai,
Usey kitna batana hai,
Usey kitna chupana hai,
Kahan hans hans ke rona hai,
Kahan awaz deni hai,
Kahan khamoosh rehna hai,
Kahan rasta badalna hai,
Kahan se lout aana hai,
Bara dushwar hota hai,
Zara sa faisla karna….

Wednesday, May 8, 2013

Zamany Me teri

Bhulany se jo Bhulay Na Vo kahani chor Jaon Gi


Zamany Me teri
Ankhon Me pani chor jaon Gi


Lipat kr dair Tuk dar-o-diwar se Log roynge


Me aisi sog me lipti jawani chor Jaon Gi


Mitaogi kahan Tak Tum Meri yaden meri baten


Me har 1 mor pr apni nishani chor jaon Gi


Mery ye lafz mr k b mujhy marny nai dengy


Me chup ho k b Lehjy ki rawani chor jaon gi


Kuch is tarha se Niklu gi sari Dunya ko rulaa kr


Mn dushman k b chehray pr herani chor jaon gi…

Friends Forever Friendship Day 2015



Friends Forever!


Written With A Pen
If You Are My Friend,
Please Answer This:


Are We Friends Or Are We Not?
You Told Me Once, But I Forgot.
So Tell Me Now And Tell Me True,
So I Can Say, I Am Here For You.
Of All The Friends I’ve Ever Met,
You’re The One I Won’t Forget.
And If I Die Before You Do,
I’ll Go To Heaven
And Wait For You………



Eidi Urdu Poetry



Ub Keh Yeh Kaisi Eidi Ayi Hai,
Methayai Na Kachori Hath Aayi Hy,
In Cheezoon Ke Ilawa Bhi Ek Attraction Hy Eidi Milney Ki,
Lekin Raat Ho Gayi Kararay Noton Ki Khushboo Nhi Aayi Hy,
Abba Aurr Ama Keh Diya Howa Paisey
Bhi Doston Pr Showbazi Main Aur Diya Hain,
Is Umeed Pr Jeerahay Hein,
Kall Eid Ka Dosra Din Hy,
Koi Qaloo, Mamo,Cachaa Hum Ko Bhi Eidi Deyga,
Hum Apney Aurmanoo Ko Lekar Asi Aas Pr Raat Guzar Rahey Hein..!!!



Monday, May 6, 2013

Sacha Dost wo hy

Sacha dost wo hy jo apki ankh m phla ansu dekhle.


2sra ansu ponch le


3sra ansu rokle,


Or 4tha ansu dekhe to


1 kas k thapar laga k bole


Ley hun rajj k ro

Wo Shakhs Jo Sab Se Aziz Tha Mujhe

Wo Shakhs Jo Sab Se Aziz Tha Mujhe.
Wo Bhi Mujhe Tanha Chor Gaya Yeh Keh K,
Tu Gham Ka Samander Hai,
Kahin Mein Bhi Is Mein Doob Na Jaon......

by: Fatima Khan


Sunday, May 5, 2013

Saawan Ka Mausam Tha



Saawan Ka Mausam Tha
Poonam Ki Raat Thi


Mein Uske Paas Tha
Woh Mere Karib Thi
Fir Woh Mere Paas Aayi
Aur Thodi Si Ghabraayi


Jab Meine Uska Haath Pakada
To Woh Thodi Si Sharmaayi
Usne Kaha Aaj Hum
Aise Bandhan Me Bandh Jaaye
Jise Duniya Ki
Koi Taakat Na Tod Paaye


Meri Khushi Ka Andaaza
Lagana Mushkil Tha
Par Iske Aage Jo Hua
Woh Batana Bhi Mushkil Hai

Usne Mera Haath
Haatho Me Lekar Kaha
Yeh To Janam Janmo
Ka Bandhan Hai


Phir Mujhe Yaad Aaya
Woh Saawan Ka Mausam
Woh Poonam Ki Raat
Yeh To Raksha Bandhan Hai!



Saturday, May 4, 2013

Khubsurat shayari



Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.


Unhe Chahna hamari kamjori hai
Unhe keh nahi pana hamari majburi hai
Woh kyo nahi samjhte hamari khamoshiya
Kya pyar ka izhar karna jaruri hai


Tum na mano ye haqikat hai.
Dosti insan ki zarurat hai.
Kisi din aao hamari mehfil me,
Jan jaoge zindagi kitni khubsurat hai.




Share with us more …Khubsurat shayari .in comments section below



Dhoop Me Saya-e-Dewaar Zaroori To Nahi...

Dhoop Me Saya-e-Dewaar Zaroori To Nahi,
Ab Tere Baad Koi Pyar Zaroori To Nahi...

Hum Tere Ek Ishaaray Pe Kata Den Sir,
Ho Tere Hath Me Talwaar Zaroori To Nahi...

Mere Elaan-e-Baghawat Se Salaamat Reh Jaye,
Teri Baadshaahi Tera Darbaar Zaroori To Nahi...

Nafratain Phaink K Aa Phir Se Galay Lag Jaaen,
Aisa Moqa Mile Har Baar Zaroori To Nahi...

Jeet Lungi Tujhe Duniya Se Mera Wada Hai,
Har Baar Ho Meri Haar Zaroori To Nahi...

Dhoop Me Saya-e-Dewaar

Aye Rah-E-Haq Ke Shaheedo - Defence War Poetry

Aye Rah Haq Ke Shaheedo

Aye Rah-e-Haq Ke Shaheedo - Happy Defence Day

Aye Rah-E-Haq Ke Shaheedo, Wafa Ki Tasveero
Tumhein Watan Ki Hawain Salam Kehti Hain
Shaheed = Martyr; 
Lagane Aag Jo Aaye The Aashiyane Ko
Wo Sholey Apne Laho Se Bhuja Diye Tum Ne
Sholey = Flames; Laho = Blood;
Bacha Liya Hai Yateemi Se Kitne Phoolon Ko,
Suhaag Kitni Baharon Ke Rakh Liye Tum Ne…
Tumhein Watan Ki Hawain Salam Kehti Hain…
Yateemi = Orphan; Suhaag = Wedding;
Chale Jo Ho ge Shahadat Ka Jaam Pee Ke Tum,
Rasool-E-Paak (P.B.U.M) Ne Bahoon Me Le Liya Ho Ga…
Jaam = Drink; Bahoon = Arms;
Ali (R.A) Tumhari Shahadat Pe Choomte Hon Ge
Husain (R.A) Paak Ne Irshaad Ye Kia Ho Ga….
Tumhein Khuda Ki Razaain Salam Kehti Hain…
Razaain = Pleasures;
Janab-E-Fatima (R.A) Jigar-E-Rasool (P.B.U.H) Ke Aage,
Shaheed Ho Ke Kia Maan Ko Surkhuru Tum Ne…
Maan = Mother; Surkhuru = Succeed
Janab-E-Hazrat Zenab (R.A) Gawahi Deti Hain
Shaheedo! Rakhi Hai Behnon Ki Aabroo Tum Ne
Watan Ki Betiyaan, Maain Salam Kehti Hain…
Gawahi = Testify; Aabroo = Honor;
Aye Rah-E-Haq Ke Shaheedo, Wafa Ki Tasveero,
Tumhein Watan Ki Hawain Salam Kehti Hain…

Defence Video By Naseem Begum

Aye Rah-E-Haq Ke Shaheedo by Naseem Begum

Friday, May 3, 2013

Tu hai ya tera saya hai – Nasir Kazmi



Tu hai ya tera saya hai
bhesh judai ne badala hai
dil ke haveli par muddat se
khamoshi ka qufl pada hai
chikh rahe hain khali kamare
sham se kitni tez hawa hai
daravaze sar phod rahe hain
kon is ghar ko chod gaya hai
hichaki thamati hi nahi ‘nasir’
aj kisi ne yaad kiya hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



Doobi Hain Meri Ungliyaan Mere Hi Lahoo Me

Doobi Hain Meri Ungliyaan Mere Hi Lahoo Me

Ye Kanch K Tukdon Pe Bharosy Ki Saza Hai...

Doobi Hain Meri Ungliyaan

Wednesday, May 1, 2013

Humein Is Sard Mosam Me Teri Yadein Satati Hain

Humein Is Sard Mosam Me Teri Yadein Satati Hain
Tumhe Ehsas Hone Tak Ye Mosam Beet Jaye Ga...

Humein Is Sard Mosam

Maloom he Tha mujh

Maloom Hi Tha Kuch Nahi Ho Ga Haasil Lekin…!!


Wo Ishq Hi Kya Jis Men Khud Ko Na Gawaya Jaaye…!!

Lovely Poems for Mothers Day



How much I love you I can’t say:
It’s more than words can hold.
You’re all at once my rich, red clay,
My potter and my mold.
Yours the words that shaped my voice,
The spirit within mine.
Yours the will that shaped my choice,
My fortune, and my sign.


How lucky I was to have had you
At the core of me!
Wise and good, you always knew
Just what I could be.


And so I came to be someone
Whom I could be proud of.
For this I give my swollen sum
Of gratitude and love.



Shiddat-e-Dard Me Aai Na Kami Koi Bhi Janan

Shiddat-e-Dard Me Aai Na Kami Koi Bhi Janan,
Dard Phir Dard Raha, Ulta Likha Ya Seedha….

shiddat dard