Tuesday, July 31, 2007

حضرت علي رضہ جو قول آھي



حضرت علي رضہ
جو قول آھي تہ:
کڈھن بہ پنھنجي چھري مان ڈک کي ظاھر تهیٹ نہ ڈیندا کریو
چهو جو ان سان دوست غمگین ء دشمن خوش تهیندو آهي…
سدا مرکندا رهو.
..ASALAM.O.ALAIKUM



Jaan jhoot ker

Tere waade par jiye ham, to yeh jaan jhoot jaana,
Ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota

Ujala Mil Nahin Sakta Kissi Ka Ghar



Talluq Toot Jaaye Ga Mera Saray Zamanay Se
Mere Apany Khafa Hon Gay Tumhain Apna Bananay Se


Tumharay Sath Rehnay Se Mujhe Taskeen Milti Hai
Buhat Takleef Hoti Hai Tumharay Door Janay Se


Mere Ghar Ko Jala Dena Magar Yeh Zehan Mein Rakhna
Ujala Mil Nahin Sakta Kissi Ka Ghar Jalanay Se

Humari Jaan Jaaye Gi Tau Phir Tum Jaan Jaao Gay
K Hasil Kuch Nahin Hota Kissi Ko Aazmanay Se


Tumhare Naam Ko Kaisay Mita Doon Apni Yado’n Se?
Buhat Gehra Talluq Hai Tera Mere Fasanay Se



Dua Nahin To Gila Deta Koi



Dua Nahin To Gila Deta Koi
Meri Wafaon Ka Sila Deta Koi


Jub Muqaddar Hi Nahin Tha Apna
Deta Bhi To Bhala Kya Deta Koi


Haasil-E-Ishq Faqat Dard Hai
Aye Kaash Pehle Hi Bata Deta Koi


Taqdeer Nahin Thi Gar Aasmaan Choona
Khaaq Mein Hi Mila Deta Koi


Bewafa Bhi Humen Bewafa Kah Gaya
Isse Ziada Kya Daga Deta Koi


Gumaan Hi Ho Jata Kisi Apne Ka
Daaman Hi Pakad Kar Hila Deta Koi.


Arse Se Atka Hai Hinchkiyon Pe Dum
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi


Ye To Ro Ro Ke Kat Gayee “Sagar”
Kya Hota Agarche Hansa Deta Koi



Mother Day Poetry SMS



Zindagi Main Who Baat Nahi Hai
Kyu Kah Who Meray Saath Nahi Hai


Us Kay Pyaar Bina Dil Ki Zameen Sookhi Hai
Ek Wohi Mukhlis Thi Sari Duniya Rokhi Hai


Ghar Jab Loton Who Nigahain Dhoondta Hon
Sama Jaon Jin Main Who Bahain Dhoondta Hon

Un Jaghoon Ko Deekhta Rahta Hon Jahan Beth Kay Who Mera Intzaar Karti Thi
Main Ghantoon Apna Chahra Deekhta Hon Jahan Who Mujhay Pyaar Karti Thi


Teri Dua Kay Bagair Sarkon Per Nikal Jata Hon
Her Kadam Her Rastay Per Thoker Khata Hon


Maan To Meray Liay Khuda Ki Soorat Hai
Tu Lout Aa Kah Mujhay Abhi Teri Zaroorat Hai


Main Ghar Jaldi Lout Aaon Ga Khuda Kasam Tujhay Kabhi Na Sataon Ga
Teri Khidmat Sobha Shaam Karon Ga Jo Kahay Gi Who Her Kaam Karon Ga


Meray Kaan Phir Say Muntizar Hain Ek Baar Phir
Who Lori Suna Day Ek Arsa Hua Main Soya Nahi



Shayari in hindi honsala



Ye Hosla Kaise Jhuke
Ye Aarzoo Kaise Ruke


Manzil Mushqil To Kya
Dhundla Sahil To Kya
Tanha Ye Dil To Kya


Raaha Pe Kante Bikhre Agar
Usspe To Phir Bhi Chalna Hi Hai
Shaam Chhupaale Suraj Magar
Raat Ko Ek Din Dhalna Hi Hai



Rut Ye Tal Jayegi
Himmat Rang Layegi
Subhon Phir Aayegi


Ye Hosla Kaise Jhuke
Ye Aarzoo Kaise Ruke


Hogi Hume Jo Rehmat Ata
Dhup Kategi Saaye Tale
Aapni Khuda Se Hain Ye Duwa
Manzil Lagaale Humko Gale


Zurrat Sao Baar Rahe
Uncha Iqraar Rahe
Zinda Harr Pyaar Rahe


Ye Hosla Kaise Jhuke
Ye Aarzoo Kaise Ruke


Singer: Shafqat Amanat Ali Khan Jee


Share with us more Shayari in hindi honsala in Comments Section below.




Monday, July 30, 2007

Yon lage dost tera mujhase khafa ho jana – Qateel Shifai



Yon lage dost tera mujhase khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana
ahal-e-dil se ye tera tark-e-ta’alluq
waqt se pahale asiron ka riha ho jana
yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mo’ajuza tere wade ka wafa ho jana
zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana
jane wo kon si kaifiyat-e-gamkhvari hai
mere pite hi “qateel” us ko nasha ho jana



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



Kamal-e-ishq hai divana ho gaya hun main – Majaz Lucknawi



Kamal-e-ishq hai divana ho gaya hun main
ye kis ke hath se daman chuda raha hun main


tumhin to ho jise kahati hai nakhuda duniya
bacha sako to bacha lo ki dubata hun main


ye mere ishq ke majaburiyan ma’az-ALLAH
tumhara raz tumhin se chupa raha hun main


is ik hijab pe sau be-hijabiyan sadaqe
jahan se chahata hun tumko dekhata hun main


batane wale waheen par batate hain manzil
hazar bar jahan se guzar chuka hun main
kabhi ye zom ki tu mujh se chup nahi sakata
kabhi ye vaham ki khud bhi chupa hua hun main


mujhe sune na koi mast-e-bada-e-isharat
‘majaz’ tute huye dil ke ik sada hun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majaz Lucknawi



Mujh Se Milte Hue Ye Baat To Sochi Hoti

Mujh Se Milte Hue Ye Baat To Sochi Hoti,
Mein Tere Dil Mein Sama Jaonga Dharkan Ki Tarha….

Urdu Romantic Poetry

World Environment Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  World Environment Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate World Environment Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy World Environment Day sms greeting.


Let the
peace of Nature
flow in your life…..
On
World Environment
Day
and always !


Have a Great Envitonment Day


Happy Envitonment Day 2015


Care for the Environment
and
you Care not only for yourself
but
for the entire Universe
and
all that is a part of it.


Happy World Environment Day


Happy World Environment Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



Konse 2 rose

Konse 2 rose ap muje dena chahin gy


RED:love u


PINK: sweet


PRPLE:Hot


LIME:Cute


GREY: smart


BLUE:Cool


WHITE:Nice prsn


BLACK:Lvly


YELLOW:Best frnd


Rply Mst

Young Boy And Girl

A young boy Died, his mother Cried abi mere BACHE ne dikha hi kiy tha ,


Paros ke larki kaan me boli,


Don’t Worry Aunty!! Me ne sab kuch Dikha Diya Tha 😉

Ye husn tera ye ishq mera – Sahir Ludhianvi



Ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi
is raat ke nikhari rangat ko
kuch aur nikhar jane de zara
nazron ko bahak jane de zara
zulfon ko bikhar jane de zara
kuch der ke hi taskin sahi
kuch der ka hi aaram sahi
jazbat ke kaliyan chunana hai
aur pyar ka tohfa dena hai
logon ke nigahen kuch bhi kahen
logon se hamen kya lena hai
ye khas ta’alluq aapas ka
duniya ke nazar mein aam sahi
rusavai ke dar se ghabara kar
hum tark-e-vafa kab karte hain
jis dil ko basa lain pehlu mein
us dil ko juda kab karte hain
jo hashr hua hai lakhon ka
apna bhi wohi anjam sahi
ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sahir Ludhianvi



Kon aayega yahan koi na aaya hoga – Kaif Bhopali



Kon aayega yahan koi na aaya hoga
mera daravaza hawaon ne hilaya hoga
dil-e-nadan na dhadak, ae dil-e-nadan na dhadak
koi khat leke padosi ke ghar aaya hoga
gul se lipati hui titali ko girakar dekho
aandhiyon tum ne drakhton ko giraya hoga
‘kaif’ parades mein mat yaad karo apna makan
ab ke barish mein use tod giraya hoga


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaif Bhopali



2015 Have An Unforgettable New Year







“Lets PrAy For A Year With New Peace & Contentment New………



FoRtune & Friends God BlEss U Through Out 2015 Have An Unforgettable New Year…!!!”



“Happy New Year 2015…!!!”””””””””””””””””””””””””””””””””””””””””””””””



               (`’·.¸ (`’·.¸*¤* ¸.·’´) ¸.·’´)


=——♥Paperpkads.com/Shayari ♥—–=
(¸.·’´ (¸.·’´(`’·.¸ (`’·.¸*¤*)





Dekhana qismat ki aap apne pe rashk aa jaye hai – Mirza Ghalib



Dekhana qismat ki aap apne pe rashk aa jaye hai
main use dekhun bhala kab mujhase dekha jaye hai
hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
aabgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai
gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare
gar haya bhi usako aati hai to sharma jaye hai
shauq ko ye lat ki hardam nala khenche jaiye
dil ki wo halat ki dam lene se ghabara jaye hai
dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se vah vah
nagma ho jata hai van gar nala mera jaye hai
garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq
par hum aise khoye jate hain ki wo pa jaye hai
usaki bazmaraiyan sunakar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai
hoke aashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya
rang khulata jaye hai jitana ki udata jaye hai
naqsh ko usake musavvir par bhi kya kya naz hai
khenchata hai jis qadar utana hi khinchata jaye hai
saya mera mujhase misl-e-dud bhage hai ‘asad’
pas mujh aatishba-jan ki kis se thahara jaye hai




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Sunday, July 29, 2007

Meri beenai

Meri beenai se or meray Zehan se mehv hota nhe,


men ne Roo_e_Muhammad ko socha bohat or chaha bohat!

Aaj Kal Ke Baccho Ki Harampanti

aaj kal ke baccho ki harampanti


bubli: madam bus female hai ya male
(madam wat a cute ques.)
suddenly bunti reply
bunty:female pagli
(madam tensed)
bubly:kyu
(madam ?????)
bunty:kyuki saare uspe chadte hai
(madam gusse me)
bubly:agar log uspe chadte he to fir use bacche kyu nhi hote
(madam ghabrai hui)
bunty:kyuki sab uspe piche se chadte hai pagli
(madam sharam se pani pani)
bubly:accha pr conductor or driver to aage se chadte hai na
(madam pareshan)
bunty:are pagli kyuki wo dono topi phen ke chadte hai
(madam behosh)
jisko smjh aaya like kro vrna pogo khao

Naye Zakhm Khaanay Ko



Tere Paas Aane Ko Jee Chahta Hai
Naye Zakhm Khaanay Ko Jee Chahta Hai


Ider Aaye Shayed Woh Moj-E-Tarannum
Ghazal Gungunane Ko Jee Chahta Hai


Zamana Mera Aazmaya Hua Hai
Tujhe Aazmane Ko Jee Chahta Hai

Wohi Baat Reh Reh K Yaad Aa Rahi Hai
Jise Bhool Jane Ko Jee Chahta Hai


Laboun Per Mere Khelta Hai Tabassum
Jab Aansoo Bahane Ko Jee Chahta Hai


Kayi Martuba Dil Pe Bijli Giri Hai
Magar Muskurane Ko Jee Chahta Hai


Rukh-E-Zindagi Se Nikab Ulat Ker
Hakeekat Dikhane Ko Jee Chahta Hai.



Hakeem Ajmal Kahn Sheeda Shayari



کچھ بات ہی تھی ایسی کہ تھامے جگر گئے
ہم اور جاتے بزمِ عدو میں؟ مگر گئے


ارماں جو ہم نے جمع کئے تھے شباب میں
پیری میں وہ، خدا کو خبر ہے، کدھر گئے


رخسار پر ہے رنگِ حیا کا فروغ آج
بوسے کا نام میں نے لیا، وہ نکھر گئے


دنیا بس اس سے اور زیادہ نہیں ہے کچھ
کچھ روز ہیں گزارنے اور کچھ گزر گئے


حسرت کا یہ مزا ہے کہ نکلے نہیں کبھی
ارماں نہیں ہیں وہ، کہ شب آئے سحر گئے


بس ایک ذات حضرتِ شیدا کی ہے یہاں
دہلی سے رفتہ رفتہ سب اہلِ ہنر گئے


(مسیح الملک حکیم اجمل خاں شیدا)




Zindagi jaa dhoond

Ae Zindagi Jaa Dhoond
Koi Kho Gaya Mujh Se


Wo Na Mila To Sun
Tujhay Bhi Khuda Hafiz.


Good Night Take Care :)

Everyday my heart it breaks



Everyday my heart it breaks
the things you do send it in a shake
I want to be with you everyday
But you always seem to run away
I know you think running away is the only choice
But if you sad speak up raise your voice
Because when you leave you only leave other sad too.
So come back and i’ll help you threw thease times
Because i love you and im forever yours if you’ll be forever mine



Look Me Deep In The Eyes



Hey Jaan!
The Eyes Are The Mirror Of Somebody’s Heart.
You Can Look And Discover Everything About That Part.
When They Are Sad
You Will See Their Pain
You Will See The Hurt Inside
Even If They Don’t Complain.
When They Are Happy
Their Eyes Will Shine.
You Will See The Sparkles
So Bright, So Fine.
When There Is Love
You Will See That Special Glowing,
Whatever It Is They Are Feeling
It Is Surely Showing.
So My Love, Look Me Deep In The Eyes
And You Will See
All The Love I Have For You
And All The Sparkles You Are Giving Me.



May This Ramadan Bring You



May This Ramadan Bring Joy, Health And Wealth To You
May The Festival Of Lights Brighten Up You
And Your Near And Dear Ones Lives
May This Ramadan Bring In U The Most
Brightest And Choicest Happiness And
Love You Have Ever Wished For
May This Ramadan Bring You The
Utmost In Peace And Prosperity
May Lights Triumph Over Darkness
May Peace Transcend The Earth
May The Spirit Of Light Illuminate The World
May The Light That We Celebrate At Ramadan
Show Us The Way And Lead Us Together On The
Path Of Peace And Social Harmony
“Wish You A Very Happy Ramadan Mubarak”



Saturday, July 28, 2007

A Better Change

We can not change future. However, we can always make it better.
Be the change, see the change – A Better Change!

Urdu lines shayiri




Ek Mohabat Hy OR Uski Ek Nishani Hy
Ek Dil Hy Jese Koi Haweli Purani Hy


Safar Raat Ka Hy OR Raat Bi Tufani Hy
Samandr Hi Samandr Hy Kashti Bi Doob Jani Hy


Ibteda-e-Ishq Se Inteha-e-Ishq Tak
Main Hi Tha Bewafa OR Mainne Hi Wafa Nibhani Hy


Main Lot aya Hoon Manzil Ko Dekh kar
Yahan To Yadon ki Verani Hi Verani Hy


Ye Intzar Khatam Q Nahi Hota Kis Se Pochon
Kya koi manzil mera muqadar hy Ya yehi meri adhori kahani hy.





Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai


Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai


Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai


Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai


Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai


Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai


Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai




Share with us more ­­­­­­­­­­­­­­­­­­­Urdu lines shayiriin Comments section below.





On your special day

Wishing you all the smiles
and happy moments
that you deserve
on your special day!
Happy Birthday to you!

A Man Jumpd Into Water

A Man Jumpd into Water & Didnt Come Out
Anothr Man Jumpd into Water & Didnt Come Out
A Pathan Scientst Was Watching
& Concluded
Humans r Soluble in water

I Offer Her My Blue




I Offer Her My Blue,


The Sadness On My Soul.



For All I Hold As True


Stems From This Endless Hole.



The Wake Of Shadowed Tears


To Forgone Self Esteem.



Flowing In Fleeting Years,


A River Of Lost Dream.



She Offers Me Her Blue,


A Tender Midnight Kiss.



Awakening Anew


Beyond Pain’s Chrysalis.



A Butterfly In View,


New Dream Set Free In Flight.



She Offers Me Her Blue,


Sadness Becomes Delight.



I Offer Her My Green,


The Stain Of Broken Trust.



With Nothing Left To Glean,


Dried Hands Sifting Through Dust.



Counting The Blessings First,


Weighed Against My Own Need.



I Proffer Up The Worst,


Challenge The World’s Greed.



She Offers Me Her Green,


The Forest’s Sweet Perfume.



An Ever Crystalline


Vision Of Dogwood Bloom.



My Gypsy And My Queen,


Chasing Petals Adrift.



She Offers Me Her Green,


My Greed Becomes My Gift.



I Offer Her My Red,


Bricks Stacked To Form A Wall.



With Emotion Laid Dead


Inside, To Hide From All.



A Man Molding Vision,


In Heart, In Hope, Cast Blind.



Forming The Great Prison


Of My Subconscious Mind.



She Offers Me Her Red,


The Petals Of A Rose.



Lays Me In Love’s Own Bed,


Emotion Overflows



Passion Given Full Fled,


Past The World’s White Glove.



She Offers Me Her Red,


My Hate Becomes My Love.




Friday, July 27, 2007

Aankhon mein jee mera hai idhar yar dekhana – Meer Taqi Meer



aankhon mein jee mera hai idhar yar dekhana
aashiq ka apne aakhari didar dekhana
kaisa chaman ke hum se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ke divar dekhana
aankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhana
ae ham-safar na aable ko pahunche chashm-e-tar
laga hai mere paon mein aa khar dekhana
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhana
sayyad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib ye gulazar dekhana
gar zamzama yahi hai koi din to ham-safir
is fasl hi mein hum ko giriftar dekhana
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka kaheen har dekhana
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhana
us khush-nigah ke ishq se parahez kijio ‘meer’
jata hai leke jee hi ye aazar dekhana


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Khuda ko Bhool gaye

Is Dil ko Dillagi se bachaya na ja saka


Qismat se apna ap churaya na ja saka


Hariet hai log kaise KHUDA ko bhool gye


Hum se to ik insan bhulaya na ja saka

Simplest Truth

Simplest Truth –


One Who Sends More


Forward Messages


To All


….


.


.


Is The One


Who Does Not Have


A b0yfriend .B-)

Mirza Asad Ullah Khan Ghalib Shayari



Mirza Asad Ullah Khan Ghalib


Ye Na Thi Hamari Qismat, K Visaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte, Yehi Intezaar Hota


Tere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot Jana
K Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar Hota



Rug-E-Sung Say Tapakta, Wo Lahoo K Phir Na Thumta
Jese Ghum Samajh Rahay Ho, Ye Agar Sharaar Hota


Kahoon Kiss Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Mujhay Kya Bura Tha Marna, Agar Aik Baar Hota


Huwe Mar K Hum Jo Rusva, Huwe Kyun Na Gharq-E-Darya
Na Kabhi Janaza Uth’ta, Na Kahin Mazaar Hota


Ye Masail-E-Tasav’vuf, Ye Tera Bayan “Ghalib”
Tujhay Hum Wali Samajhte, Jo Na Baada Khuwar Hota


Urdu Version:


یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتا
اگر اور جیتے رہتے ، یہی انتظار ہوتا


کوئی میرے دل سے پوچھے ترے تیرِ نیم کش کو
یہ خلش کہاں سے ہوتی، جو جگر کے پار ہوتا


غم اگر چہ جاں گسل ہے پہ کہاں بچیں کہ دل ہے
غمِ عشق گر نہ ہوتا، غم روزگار ہوتا


مرزا اسد اللہ خان غالب



Mere Baad Zindagi Ko Tu Na Bekaraar Karna



Mere Baad Zindagi Ko Tu Na Bekaraar Karna..
Main Palat K Aaungi Fir Mera Intezaar Karna..


Kabhi Dil Me Rahungi…Kabhi Ankhon Me Tere..
Tujhe Aaun Yaad Jis Dum,Mere Naam Se Pyaar Karna..


Mujhe Bhulne Ki Khatir..Naa Kisi Aur Se Dil Lagana..
Main Na Ji Sakungi Tujh Bin Wahan V,Mera Aitbaar Karna..


Mere Chaahaton Pe Koi Jal Na Jaaye Tujhse..
Mera Zikr Har Kisi Se Tu Na Baar-Baar Karna….


Mere Baad Zindagi Ko Yun Na Bekaraar Karna…
Main Palat K Aaungi Fir Mera Intezaar Karna…….!!



Isi mein khush hun mera dukh koi to sahata hai – Parveen Shakir



Isi mein khush hun mera dukh koi to sahata hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rehta hai
zamin-e-dil yun hi shadab to nahi ae dost
qarib mein koi dariya zarur bahata hai
na jane kon sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kon kis se kehta hai
mere badan ko nami kha gai ashkon ke
bhari bahar mein jaise makan dahata hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir



Heart Of Gold Will Never Rust



A Heart Of Gold Will Never Rust
It Is Too Precious And Too Fine
Those Who Know This Think It To Be
Sweeter Than The Sweetest Wine


More Valuable Than Any Treasure
Shining Brighter Than Anything Ever Known
It’s Love Is Stronger Than Any Weapon
And Those Who Know This Are Never Alone


Nothing Else Is Like This Friendship Of Ours
Hearts Of Brass And Silver Cannot Compare
To The Beauty And Warmth It Offers Each Day
And With It I Shall Always Be There Whenever
You Need Anything To Share



I Plan To Continue It In 2013

There have been many time in 2011
when I may disturbed you
troubled u
irritated u
bugged u
.
.
.
.
today I just wanna tell you
.
.
.
.
I plan to continue it in 2013.

Thursday, July 26, 2007

Pagal shayari



Piyaar Key Deep Jalaney  waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein
Apni Jaan Sey Janey Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Hijar Key Gehrey Zakham Miley
To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhaaney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein


Jaan Sey Piyarey Loogon Sey Bhi
Kuch Kuch Perda Lazim Hey
Sari Baat Bataney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Khawbon Main Bhi Anmol Milan
Key Sapney Dekhtey Rehtey Hein
Neendon Main Muskraney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Iss Jhooti Nagri Main Hum Ney
Yehi Hamesha Deikha Hey
Sachi Baat Bataney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Piyaar Jinhein Ho Jaye Un Ko
Chain Bhala Kab Mill Pata Hai
Shab Bhar Ashk Bahaney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Apni Zaat Key Ujrey Gulshan Sey
Wo Piyaar Kahan Kertey Hein
Auroon Ko Mehkaney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein !!



Bahar se nafrat thi,
Par dil me wo mere basta tha !
Wo pagal sa ek ladka,
Jo dekh ke mujhko hanstatha !!
Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtati hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!
Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deta ab dikhayi!
Roz guzarta tha wo idhar se,
Uska yahi rasta tha !!
Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar rota tha wo,
bahar-bahar hansta tha !!



Dharti so rahi hai,
Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,
Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai


Share with us more .Pagal shayari .in comments section below



Tum ne dekha

Tum ne dekha
hai kbi Chand pr behta Pani..??


Mene dekha hai Ye Manzer apna moun dhote hue.:-)


0ooh ) ( MY God:-) / /

Mohabbat Chup Nahi Rehti - Farhat Abbas Shah

Mohabbat Chup Nahi Rehti

Farhat Abbas Shah Poetry

Mohabbat Kehti Hai, Chalo ‘Farhat’ Hawa Ke Sath Chalty Hain,
Mein Khamoshi Se Is Ke Sath Chal Deta Hun Bujhne Ko

Wo Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Ghybe Ho Sadiyon Se
Mein Kehta Hun, Hazaron Waswason Ke Darmiyan Gum Hon

Wo Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Be Chainiyan Kia Hai
Mein Kehta Hun, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Me Hoti Hain

Wo Mujh Se Poochti Hai, Khoof Ka Dorania Kia Hai
Mein Kehta Hun, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Me

Wo Mujh Se Poochti Hai, Baadlon Ki Umer Kitni Hai,
Mein Kehta Hun, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai

Ghareebon Ki Ye Basti Hai Kahan Se Khushiyaan

Ghareebon Ki Ye Basti Hai Kahan Se Shokhiyaan Laun?
Yahan Bachay To Rehte Hain Magar Bachpan Nahi Rehta...

Ghareebon Ki Ye Basti Hai

Lokranjan (M.P) Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Lokranjan (M.P) Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Lokranjan (M.P) greeting.


Adhikar milte nahi liye jate hain
Aajad hain magar gulami kiye jate hain
Vandan karo un senaniyon ko
Jo maut ko aanchal mein jiye jate hain…


Desh Bhakti, Ek Dujey Ke Liye Pyar Abb Yahan Harr Dil Mein Hain
Dekh Lenge Jorr Jitna Bazuein Katil Mein Hain
Devta Tum Jitne Bomb Se Udaou
Mita Na Sakogey Aaastha Jo Dil Mein Hain
Bal, Budhi Aur Vidhya Hai Kann Kann Mein
Josh Abb Hamarey Bhi Dil Mein Hain!!!
Bhakti Aaur Adbhut Shakti Bass Yehi Hamari Mehfil Mein Hai
Dekhna Hai Jorr Kitna Bazuein Katil Mein Hain



Dear friend you are looking old.
I got, you have become Dad
and your youth has a pause now.
You will be young again when your
son be of your height.
Hope you are really happy to have a baby boy.




Happy Lokranjan (M.P) Mubarak to all of you from Shayari Online Team




Wednesday, July 25, 2007

Tonight Is The Night That We Die




Tonight Is The Night That We Die,


People Look At Us In Fright,



We Realize They Dont Hate Us They Dont Love Us,


But They Are Afraid,They Laught,They Lie,They Cry,They Mock Us,



And Say Were Different From Everybody Else,


But They Dont Realize That


Everybody Is Different From Each Other,



So On This Day And Tomorrow The Next Day And On,


These People That Say This Will Never Change,



They Dont Know That They Scare Other People


And So They Will Never Know That


They Are Different From Everybody Else




Wo bakshta hy

Wo bakshta hy gunah e azem b lekin
hmari choti c naiki sanbhal rkhta hy
Hm usy bhol jaty hn roshni me
wo tariqi me b khyal rkhta hy
Jo kbi dair se lotun to mri maa ki tra
wo mry rizk ka hisa nikal rkhta hy
gharo me jin k diya b nhi hy un k ly
fiza me chand sitary uchal rkhta hy
(subhanAllah)
Subha bkhair!

Aitbaar Mat Karna!



Yeh Jhuki Jhuki Aankhein
Yeh Ruka Ruka Lehja
Lab Pe Baar Baar Aa K
Toot’ta Hua Fiqra
Gard Me Ati Palkein
Dhoop Se Tapaa Chehra
Sar Jhukaaye Aaya Ha
Ik Umr Ka Bhoola ..
Dil Hazaar Kehta Ha
Hath Thaam Loon Uska
Choom Loon Yeh Peshaani
Lautne Na Doon Usko
Koi Dil Se Kehta Ha
Saare Harf Jhoote Hain
Aitbaar Mat Karna!
Aitbaar Mat Karna!



Gair lain mahafil mein bose jam ki



gair lain mahafil mein bose jam ki
hum rahen yun tashnalab paigam ki
khastagi ka tum se kya shikwa ki ye
hathakande hain charkh-e-nili fam ki
khat likhenge garche matalab kuch na ho
hum to aashiq hain tumhare naam ki
raat pi zam-zam pe may aur subh-dam
dhoe dhabbe jama-e-eharam ki
dil ko aankhon ne phansaya kya magar
ye bhi halqe hain tumhare dam ki
shah ki hai gusl-e-sehat ki khabar
dekhiye din kab phiren hammam ki
ishq ne ‘ghalib’ nikamma kar diya
varna hum bhi aadmi the kam ki


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Mirza Ghalib



10 ladkiyo ke sath affair

Shadi kw mandap me ladka ladki se Bola:
Mera 10 ladkiyo ke sath affair rha tha…
.
.
.
.
.
.
Ladki: Mujhe Pata tha, Jab Kundli Mili he to Character to milnge hi…

Tuesday, July 24, 2007

Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly

Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly,

Kitne Be-Dard Hain Ye Log Zamanay Waly,

Koi Apna Nahi Matlab Ki Hai Duniya Saari,

Ab Kahan Milte Hain Wo Dost Purany Waly,

Main Dua-Go Hun Sada Neenden Hon Mubarak Tujh Ko,

Hijar Ka Dard Mujhe De k Jagany Waly,

Bus Yehi Soch K Hr Baar Manaata Hun Tujhe,

Loat k Aaty Nahi Rooth K Jane Waly,

Hamary Seeny Main Kabhi Jhaank K Dekho To Sahi,

Kitne Afsurda Hain Hum Auron Ko Hansany Waly...

Meri Chahat K Takazay Na Nibhany Waly

Her Naimat Dastiyaab Thi Duniya Jahan Ki

Her Naimat Dastiyaab Thi Duniya Jahan Ki,
Lekin Ek Us Ki Kami Ka Azaala Na Ho Saka...

Her Naimat Dastiyaab Thi

Khatir se ya lihaz se main man to gaya – DaaG Dehlvi



Khatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuthi qasam se aap ka iman to gaya
dil leke muft kahate hain kuch kam ka nahi
ulati shikayaten rahi ehsaan to gaya
ab shay-e-raz-e-ishq go zillaten hui
lekin use jata to diya, jan to gaya
dekha hai butakade mein jo ae shekh kuch na kuch
iman ke to ye hai ki iman to gaya
darta hun dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye q na ho mehaman to gaya
go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko wo mere naam se pehchan to gaya
hosh-o-havas-o-tab-o-tavan “dag” ja chuke
ab hum bhi jane wale hain saman to gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



If U Never Taste

If U Never Taste A Bad Apple.
You Would Never Appreciate A Good Apple.
Sometimes We Need To Experience Bitterness Of Life To Understand The Value Of Sweetness.

Dard Ke Phuul Bhii Khilate Hain



Dard Ke Phuul Bhii Khilate Hain Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhii Hon Kuchh Roz Men Bhar Jaate Hain


Raastaa Roke Khadii Hai Yahii Uljhan Kab Se
Ko_Ii Puuchhe To Kahen Kyaa Ki Kidhar Jaate Hain


Chhat Ki Khidakiyon Se Utarate Hain Mere Khvaab Magar
Merii Diivaaron Se Takaraa Ke Bikhar Jaate Hain

Narm Aavaaz Bhalii Baaten Mohazzab Lahaje
Pahalii Baarish Men Hii Ye Rang Utar Jaate Hain


Us Dariiche Men Bhii Ab Ko_Ii Nahiin Aur Ham Bhii
Sar Jhukaaye Huye Chup-Chaap Guzar Jaate Hain



ALLAH is the best listener

ALLAH is the best listener


u do not need to shout nor cry out loud because he hears even the very silent prayer of a sincere heart…..

Jhootay Ho Tum Bhee Shaam Kay Akhbar Ke Terhaan



Urdu Shayari , Hindi Shayari , Akhbar , News , Urdu Akhbar , Urdu News , Akhbar , News , Urdu Akhbar , Urdu News , Urdu Akhbar Online , Urdu Online News , Weekly Akhbar , Nayee Aur Purani Khabrain , Tazaa Tareen Khabrain , Aham Khabrain , Aj Ka Akhbar Aik Nazar Main , Weekly Urdu Magazine , The Largest Circulated Urdu Weekly In The World , Akhbar Pakistan , Al-Akhbar


Urdu/Hindi Shayari on ” Akhbar ”


Har Kisi Ke Hath Me Bik Jane Ko Ham Tayyar Nahi
Yeh Mera Dil Hai,Tere Sahar Ka Akhbar Nahi


Tum Rakh Sakay Na Pass Zarah Apnay Kol
Is Bar Bhee Badal Gayah Her Bar Kee Terhaan
Wada Kia Tha Raat Ko Aanay Ka Per Na Aayah
Jhootay Ho Tum Bhee Shaam Kay Akhbar Ke Terhaan


Ujdha Sansarr Lugg Rahi Hay Duniya
Bhojal Beemar Lagg Rahi Hay Duniya
Jiss Din Say Gaye Ho Tum Uss Din Say Mujhey
“Baasi Akhbar” Lagg Rahi Hay Duniya



Monday, July 23, 2007

Asal spelling ye hain

“Muhammad” ye spelling galat haiaur ye yahudion ney likhay hain”MU” latieni zaban ka lafz hai jis k mani pagal,(NA’OUZBILLA) Asal spelling ye hain “MOHAMMAD” ye SAUDIA WALON NE SAHI KIEY HAIN.Plz ye sms ko send kro ta k mere pyre “MOHAMMAD (Sallal laho alaihi wasallam) ki shaan mai gustakhi na ho.

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai



Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai
Kagaz Ki Haveli Hai Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Sharte Mohabbat Hai Kya Sharte Zamaana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana Hai
Uss Paar Uterne Ki Ummeed Bahot Kam Hai
Kashti Bhi Purani Hai Tufaan Ko Bhi Aana Hai
Samjhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz Mohabbat Ke
Ek Shaks Ko Aakhon Se Dil Ka Sara Dard Sunana Hai
Bholi Si Ada Koie Phir Ishq Ki Zid Per Hai
Phir Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai



Sunday, July 22, 2007

waqt jo mere ikhtiyar mein tha – Anees Amrohvi



waqt jo mere ikhtiyar mein tha
main usi waqt ke hisar mein tha
khainch laya use bhi maqtal tak
wo jo ik lutf iqtadar mein tha
kal hua qatl shahar jis ke sabab
husn ab bhi usi singar mein tha
laut aaunga surkh-ru ho kar
sara lashkar is intezar mein tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anees Amrohvi



Relationship with Allah

The most important relationship we can have is a relationship with Allah.


Embrace it, cherish it..

Is bar wo mila to ajeeb us ka rang tha – Himayat Ali Shayar



is bar wo mila to ajeeb us ka rang tha
alfaz mein tarang na lahaja dabang tha


ek soch thi ki bikhari hui khal-o-khad mein thi
ek dard tha ki jis ka shahid ang-ang tha


ek aag thi ki rakh mein poshida thi kaheen
ek jism tha ki ruh se masaruf-e-jang tha


main ne kaha ki yar tumhen kya hua hai ye
us ne kaha ki umr-e-ravan ke ata hai ye


main ne kaha ki umr-e-ravan to sabhi ke hai
us ne kaha ki fikr-o-nazar ke ata hai ye
main ne kaha ki sochata rehta to main bhi hun
us ne kaha ki aaina rakha hua hai ye
dekha to mera apna hi aks-e-jamal tha wo
wo main tha aur “himayat ali” tha wo


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Himayat Ali Shayar



Bheer Main Ik Ajnabi Ka Saamna



Bheer Main Ik Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sub Se Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laga


Surmayi Ankhon K Neechay Phool Se Khilnay Lagay
Kehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga


Baat Tau Kuch B Nahi Thi Laikin Is Ka Aik Dum
Haat Ko Honton Pe Rakh K Rokna Acha Laga


Dil Main Kitnay Ahad Bandhay Thay Bhoolnay K Usay
Wo Mila Tau Sub Iraday Torna Acha Laga



Jaagti Raat K Honton Pe Fasaney Jaisy



Jaagti Raat K Honton Pe Fasaney Jaisy
Ek Pal Men Simat Aaye Hon Zamany Jaisy


Aqal Kehti Hai Bhula Do Jo Nahi Mil Paya
Dil Wo Pagal K Koi Baat Na Maany Jaisy


Raasty Men Wohi Manzar Hen Puraany Ab Tak
Bus Kami Hai To Nahi Log Puraany Jaisy


Aaina Dekh K Ehsas Yehi Hota Hai
Le Gaya Ho Waqt Umron K Khazaany Jaisy


Raat Ki Aankh Se Tapka Hua Aansu
Makh-Mali Ghaas Pe Moti K Hon Daany Jaisy


Share By : Asim Aslam



Is duniya mein sab hain akele – Sehba Akhtar



Is duniya mein sab hain akele
koi kisi ka nahi
kaisi mohabbat kasi vafayen kaise pyar ke sapane
aj khayalon mein bhi nahi hain sath jo the kal apne
jhuthee hain sab jag ke mele
saya bhi apana nahi
kagaz ke ek nanv hai jivan koi nahi hai manjhi
bich bhavar mein kon bana hai dubate man ka sathi
kahate hain maujon ke rele
koi kinara nahi




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sehba Akhtar



Saturday, July 21, 2007

Acha Ha Kisi Or Nazaray S Juri Hay



Acha Ha Kisi Or Nazaray S Juri Hay
Dunya Ke Talab Yun Bhi Khasary S Jurri Hay,

Bahar Koi Or Tamasha Hay Gali Mein
Har Aankh Joo Khirrki Ke Isharay S Jurri Hay,


Mein Si Liyeh Dunya Pay Bharosa Nahi Karta
Matti Ki Yeh Deewar Bhi Garay S Jurri Hai,


Yeh Kashtiyon Walay Tou Yun He Khof-Zada Hain
Darya Ki Tou Har Mouj Kinaray S Jurri Hay,


Har Dinn Kisi Sooraj Ke Ta’aqqub Mein Hay Gohar
Har Raat Kisi Aur Sitaray S Jurri Hay…!!! –



Baadal Orh K Guzroon Ga Main



Baadal Orh K Guzroon Ga Main Teray Aangan Se
Qaus O Qazah K Sab Rangonmain Tujh Ko Bheega Dekhoon Ga


Raat Gaye Jab Chaand Sitaray Lukan Meeti Khelein Gay
Aadhi Raat Ka Sapna Ban Kar Main Bhi Tum Ko Chuu Loon Ga


Be-Mausam Baarish Ki Soorat Der Talak Aur Door Talak
Teray Diyar-E-Husn Pe Main Bhi Kin Min Kin Min Barsoon Ga

Love Your Parents

Love your parents
and treat them
with loving care…
For you will
only know
their value
when you see
their empty chair.

sans lena bhi kaisi aadat hai – Gulzar



sans lena bhi kaisi aadat hai
jiye jana bhi kya ravayat hai
koi aahat nahi badan mein kaheen
koi saya nahi hai aankhon mein
panv behis hain, chalte jate hain
ik safar hai jo bahata rehta hai
kitne barason se, kitni sadiyon se
jiye jate hain, jiye jate hain
aadaten bhi ajeeb hoti hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Gulzar



Wo Bole Muhabbat Ka Sagar Bohat Gehra Hai

Wo Bole Muhabbat Ka Sagar Bohat Gehra Hai SAQI
Hum Ne Kaha Doobny Wale Kabhi Socha Nahi Karte...

Wo Bole Muhabbat

Karb chehare se mah-o-sal ka dhoya jaye – Shahid Kabir



Karb chehare se mah-o-sal ka dhoya jaye
aj fursat se kaheen baith ke roya jaye
phir kissi nazm ke tamid uthai jaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaye
kuch to ho raat ke sarhad mein utarane ke saza
garm suraj ko samundar mein duboya jaye
itni jaldi to badalate nahi honge chehare
gardalud hain aaine ko dhoya jaye
maut se khaufzada jine se bezar hain log
is almiya pe hansa jaye ki royajaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahid Kabir



Friday, July 20, 2007

Ayudha Mela Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Ayudha Mela Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Ayudha Mela greeting.


Sarot-er akas, Roder jhilik
Siuli fuler gondho.
Ma aseche ghore abar darja keno bondho.
Puja elo tai to abar bajna bajay dhaki,
pujo aste r je nei ekta din-o baki


May her blessings remove all obstacles from your path of life
as she removes the darkness from the universe….
Happy Durga Puja


Himer paras lage prane
Sharodiyar agomone
agamonir khabor peye
boner pakhi utlo geye
sishirveja notun bhore
ma asche aalo kore.
Happy durga puja!


Happy Ayudha Mela Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Bara Dhushwar Hota Hai



Bara Dhushwar Hota Hai
Zara Sa Faisla Karna
K Geevan Ki Khanai Ko
Bayan-E-Bezubani Ko
Kahan Se Yad Rakhna Hai
Kahan Se Bhol Jana Hai
Kise Kitna Batana Hai
Kisse Kitna Chupana Hai
Kahan Ro Ro K Hansna Hai
Kahan Hans Hans K Rona Hai
Kahan Awaz Deni Hai
Kahan Khamosh Rehna Hai
Kahan Rasta Badalna Hai
Kahan Se Lot Ana Hai
BARA DUSHWAR HOTA HAI
ZARA SA FAISLA KARNA!



Kafir gesu valon ke raat basar yun hoti hai – Sagar Nizami



Kafir gesu valon ke raat basar yun hoti hai
husn hifazat karta hai aur javani soti hai
mujh mein tujh mein farq nahi mujh mein farq hai ye
tu duniya par hansata hai duniya mujh par hansati hai
sabr-o-sukun do dariya hain bharate bharate bharate hain
taskin dil ke barish hai hote hote hoti hai
jine mein kya rahat thi marane mein taklif hai kya
tab duniya kyon hansati thi ab duniya kyon roti hai
dil ko to tashkhish hui charagaron se puchunga
dil jab dhak-dhak karta hai wo halat kya hoti hai
raat ke aansu ae ‘sagar’ phoolon se bhar jate hain
subah-e-chaman is pani se kaliyon ka muh dhoti hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Nizami



Kahan Tak Phire Hum Akele Akele



Kahan Tak Phire Hum Akele Akele
Bata Kuch Toh Humdum Akele Akele


Savere Savere Mere Haal Par Ab
Woh Roti Hai Shabnam Akele Akele


Kasam Teri Tujhse Bahot Dur Rehkar
Uthaye Bade Gham Akele Akele


Kahan Tak Bhala Zakhmi DIl Apna Seke
Lagakar Marham Akele Akele


Judai Mein Teri Guzare Yeh Kaise
Baharon Ka Mausam Akele Akele


Mere Khwab Mein Jab Mar Chuka Hai Tu
Kiya Humne Matam Akele Akele



Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi - Sad Poetry Words

Kitaabon Ki Tarhan Hai Wo Bhi,
Ilfaaz Se Bharpoor, Mager Khamoosh….

Sad-words

Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega – Bashir Badr



Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chod ke mat jao kaheen ghar na milega
phir yaad bahur aayegi zulfon ke ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
aansu ko kabhi os ka qatara na samajhana
aisa tumhen chahat ka samundar na milega
is khwab ke mahaul mein be-khvab hain aankhen
bazar mein aisa koi zevar na milega
ye soch lo ab aakhiri saya hai muhabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Ye Haseen Mausam, Ye Barish, Ye Hawaayn

Ye Haseen Mausam, Ye Barish, Ye Hawaayn,
Lagta Hai Mohabbat Ne Aaj Kisi Ka Saath Diya Hai…

Mohabbat Barish

Dil-e-purarazu nakam hokar – Naresh Kumar Shad



Dil-e-purarazu nakam hokar
zyada khubasurat ho gaya hai
karam aise kiye hain doston ne
ki har dushman pe pyar aane laga hai
tera gham to meri jan-e-tamanna
teri surat se badhakar dilruba hai
jab aaye to ujala ho gaya tha
gaye to phir wohi ghar ke faza hai
nahi hai apana gham ae “shad” jab se
zamane bhar ka gham apana liya hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Naresh Kumar Shad



Wo khubasurat ladakiyan – Munir Niazi



Wo khubasurat ladakiyan
dasht-e-vafa ke hiraniyan
shahar-e-shab-e-mahatab ke
bechain jadugaraniyan
jo badalon mein kho gain
nazron se ojhal ho gain
ab sard kali raat ko
aankhon mein gahara gham liye
ashkon ke bahati nahar mein
gulnar chehare naam kiye
hasti ke sarahad se pare
khwabon ke sangin ot se
kahati hain mujh ko bevafa
hum se bichadakar kya tujhe
sukh ka khazana mil gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



Charsi And Doctor

1 Charsi eyes donate karne gaya
After operation
Doctor: Kuch kehna chahte ho
Charsi: jisko b ankhen lagao ose bata dena
Ye 2 sooote lagane k baad khulti hain. :p

Ary Wah December

Ary wah Decembr…!!


aj to tu ne yakeen dila dia…


ke bin barse guzar jana teri adat na thi na hai ur na ho gi…


HAPPY RAINI9G NIGHT

Thursday, July 19, 2007

saharay jitnay bhe

Khuda pe bhrosay ka hunar seekh lo


,,,MOHSIN,,,


saharay jitnay bhe sachay hon sath chorr jatay hein.

Yaad Ate Hain To Kuch Bhi Nahi Karne Dete

Yaad Ate Hain To Kuch Bhi Nahi Karne Dete

Ache Logon Ki Yehi Baat Buri Lagti Hai...

Yaad Ate Hain To

Hasb e Sabiq

Yeh Eid Bhi Guzaro Ga Hasb-e-Sabiq


Puranay Kapray Hain Aur Naye Ghum

Shayari on maa



Pyar ek maa ka kurbani hai
Jo hakikat mei daya ki rani hai


Pyar uska khatm nhi hota
Zindagi chahei khatm ho jay


Maa ki mamta kbhi nhi marti
Zindagi chaheip moot pajaye


Maa kbhi bhi khta nhi karty
Tum chahe kit ni khtay kardalo


Apne bachcho ko ak maa he jo
Zindagi bhar duway dety hai


Maa ki mamta mile jhan me jise
Wo bade khush nasib hote hai


Jin ki kismat me maa nahi hoti
Wo bade bad nasib hote hai


Sari khushya jhan ki mil kar
Phir bhi wo gam gin hote hai


Un se ulfar karo jahan walo
Wo hi to dar asl me yatim hote hai!!!




Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko


to laaal hai na sata mujh ko


pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi


na chahty hue bhi akela choor jaun gi


zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko


yaad kerke roye ga tu phir mujh ko


muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a


ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya



Maa Sath ha to saya-e -Qudrat bi sath ha
Maa k beghair lagy din b raat ha
.
Mein dur jaon to uksa mery sar pe hath ha
Mery liye to meri Maa hi kaynat ha
.
Daaman mein Maa k sirf wafaon k phool hein
Hum sarey apni Maa k Qadmoon k dhool hein
.
Aulaad k Sitam usey Hass k Qabool hein
Bachon ko Bakash deina hi Maa k Usool hein
.
Din Raat Us ne Paal Pos k bada kiya
Girney laga to Maa nemuje phir khara kiya



I Honestly Tried

I Honestly Tried to ignore You
I Honestly Tried to Let You Go
I Honestly Tried to Forget You
I Honestly Tried Not to Care For You
I Honestly Tried Not to Think of You
I Honestly Tried Not to Long For You


But


I Honestly Cant… Because
I Honestly Love You so much


&


I Honestly Want you You Always With Me
Even if Sometimes i Get Hurt n Cry,
My Love For You Keeps Going Strong

Wednesday, July 18, 2007

Punjab 4 Fighting

Chalo Us Sheher Jatay Hain. . !
Chalo Taqdeer Ko Phir Aazmatay Hain
Chalo Hum Rait Se Peero’n K Ja Kar Naqsh Chuntay Hain
Hawao’n Per Likhi Sargoshi’on Ko Aaj Sunty Hain
Chalo Palko’n Se, Neelay Aur Sunehray Reshmi Se Khuwab Bunty Hain
Hatheli Per Kisi Ne Likh Diya Tah Lams Honto’n Ka
Aur Aankhon K Dareecho’n Mein Adhoora Khuwab Rakha Tha
Sama’at An-Chooi Si Aahato’n Ki Zadd Mein Hai Shayad
Jabhi To Dharkanain Chup Hain, Jabhi To Sa’atain Chup Hain
Chalo Us Sheher Jatay Hain
Jahan Per Wasl Ko Zanjeer Se Bandha Nahi Jata
Jahan Tadbeer Ko Tadeer Se Bandha Nahi Jata
Ma’ni Ko Jahan Tehreer Se Bandha Nahi Jata
Jahan Dil Ko Kisi Jageer Se Bandha Nahi Jata
Jahan Per Chaand, Taaro’n Se Mazayyan Raat Hoti Hai
Jahan Per Chahato’n Ki Har Taraf Barsaat Hoti Hai
Muhabbat Ki Jahan Per Jeet Hoti Hai
Jahan Per Dil K Saray Dushmano’n Ko Maat Hoti Hai
Chalo Us Sheher Jatay Hain. . !

You Are Sunshine Of My Life

Boy: You Are Sunshine of My Life.
Without You Life Is Cloudy.
You are in My Heart Like Rainy Water for Barren Land.
Girl: Darling!
Is it Proposal or Weather Report?

Woh Mera Naseeb Hoti Thi



Shaam Rangeen Apni Hoti Thi
Jab Woh Mera Naseeb Hoti Thi


Mast Jhonke Saba Ke Hote The
Chaandni Bhi Kareeb Hoti Thi


Chaand Taaron Ki Bheed Me Khokar
Kaifiyat Ek Ajeeb Hoti Thi


Raat Deepawali Se Kam Na Thi
Din Hamare Bhi Eid Hoti Thi


Husn Aur Ishq Ki Adawat Mein
Na Koi Haar Na Hi Jeet Hoti Thi


Door Hote Toh Band Aankhon Se
Ek Dooje Ki Deed Hoti Thi


Quais-O-Laila Se Hum Mamasil The
Aisi Chaahat Ki Reet Hoti Thi


Jiski Hasti Hamari Jannat Thi
Mah-e-Rukh Ek Haseen Hoti Thi



Say I Love You On Your Birthday



I Want To Say I Love You On Your Birthday,
Though Love Is Something You Don’t Want From Me.


Things Didn’t Go So Well When I Last Said It,
And So I’ll Keep It Silent In My Heart.


But How The Words Reverberate Within Me!
A Song That I Must Struggle Not To Sing,

A Music I Must Dance To Without Motion,
A Poem That I Must Never Read Aloud.


Your Wishes Are A Wall I Would Not Scale,
Yet Won’t Abandon, Loathe To Leave Behind.


I Cannot Have, And Cannot Bear To Lose You,
And So I Send You This In My Despair.



Milange Lakh Vaari

Jeende Rahe Ta Milange Lakh Vaari


Mar Gaye Ta Dilon Bhulaawi Na

pa-ba-gil sab hain rihai ke kare tadabir kon -Parveen Shakir



pa-ba-gil sab hain rihai ke kare tadabir kon
dast-basta shahar mein khole meri zanjir kon
mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le
kar raha hai mere fard-e-jurm ko taharir kon
meri chadar to chini thi sham ke tanhai ne
beridai ko meri phir de gaya tashahir kon
neend jab khwabon se pyari ho to aise ahad mein
khwab dekhe kon aur khwabon ko de tabir kon
ret abhi pichale makanon ke na vapas aayi thi
phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya tamir kon
sare rishte hijraton mein sath dete hain to phir
shahar se jate hue hota hai damangir kon
dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain
dekhana hai khenchata hai mujh pe pahala tir kon


Poet of the poem  / Ghazal or Nazam :Parveen Shakir



Rose Poems And Poetry




First Rose



A Heart Of Youthful Year Was Yearning,


Crying Out The Pain; The Burning


Tears Would E’er Remain Until


An Answer From The Man Would See Them Die.



A Sympathetic Mirror Blessed Her


Softened Up The Curves, Caressed Her


Skin To Help Regain A Calm –


Assuage A Heaving Breast And Blushing Eye.



And Through A Struggling Mind, A Chiming:


Someone At The Door; The Timing


Perfect And Exquisite In The


Reconciliation Of Her Woes




Happy wid u

If every-1 is Happy wid u


Den surely u’ve made many “compromises” in ur life
&
If u r Happy wid every-1


Surely u’ve “ignored”many faults of others.

Urdu font poem



میرادل مجھ سےکہتاہے.
میری دھڑکن میں تورہتاھے،


توخواب ھےیاسپناہے،
توغیرنہیں میرااپناھے،


تورات بھرمجھ کوجگاتاہے،
کچھ کہتےکہتےچپ ھوجاتاہے،


میری سوچوں پہ تیرابسیراہے،
تومیراہےتومیراہے،


کوئی کہانی کوئی قصہ ہے،
تومیری ذات کاحصہ ہے،.،.!!



Tuesday, July 17, 2007

Kisi Din Tujh Se Milne Ka Bahana Dhoond Lete Hain

Kisi Din Tujh Se Milne Ka Bahana Dhoond Lete Hain
Chalo Kuch Saal Pehle Ka Zamana Dhoond Lete Hain

Andhera Kitna Hi Gehra Ho Raatain Kitni Kaali Hon
Parinday Apna Apna Aashiyana Dhoond Lete Hain

Kayi Dar Khul Jate Hain Jo Ek Dar Band Hota Hai
Hum Aise Log Apna Aab-o-Dana Dhoond Lete Hain

Chatain Jin K Saron Se Cheen Li Jati Hain Wo Be-Ghar
Kahin Bhi Sir Chupane Ka Thikana Dhoond Lete Hain

Galay Hum Se Bhi Aa Lagta Hai Koi Dard Ka Maara
Kisi Dil Sokhta Ka Hum Bhi Shaana Dhoond Lete Hain

Khuda Mehfooz Rakhe In Ki Zid Pe Hum Na Aa Jaen
Shikari Apne Matlab Ka Nishana Dhoond Lete Hain

Ana Ki Jang Me Akhir Bharam Qaim Bhi Rakhna Hai
To Yoon Karte Hain Rasta Darmiyana Dhoond Lete Hain...

Kisi Din Tujh Se

Ke Tum Kaun Hote Ho

wo subah neend se jaage
to muje se larne aye faraz…..
ka tum koun hote ho mare
khwaboon mein aane wale..

Last month loadshedding ka

Le wapda: yeh bass last month hai loadshedding ka


Le awam: wow great! yani us k baad bijli ni jaye gee?


Le wapda: ni, phirr bijli khatam ho jaye ge

Mera Haal wohe

Kyun Sharminda Kartay Ho,


Yeh Rasmi Baatein Poch Kar chand


Haal Mera Wohee Hai Jo Tum Ne BaNA Rakha Hai..

Monday, July 16, 2007

Bas ek waqt ka khanjar meri talash mein hai – Krishan Bihari Noor



Bas ek waqt ka khanjar meri talash mein hai
jo roz bhes badal kar meri talash mein hai


main katara hun mera alag vajud to hai
hua kare jo samandar meri talash mein hai


main devata ke tarah qaid apne mandir mein
wo mere jism ke bahar meri talash mein hai


main jisake hath mein ik phul deke aaya tha
usi ke hath ka patthar meri talash mein hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Krishan Bihari Noor



Terey Baghair Sard Mosmon



Terey Baghair Sard Mosmo’n Ke Khusgawar Din Udaas Hen…
Fiza Me Dukh Racha Hoa Hi..
Hawa Koi Udaas Geet Gungana Rahi Hi…
Phool Ke Labo’n Pe Peyas Hi..
Aisa Lagta Hi..


Hawa Ki Aankhen Rotey Rotey Khushk Ho Gai Hon..
Saba Ke Dono Hath Khali Hon..
Keh…

Shehr Mein Tera Koi Pata Nahen…
Saans Lena Kitna Mahaal Hi..
Udassian Udassian Ajab Haal Hi..
Tamam Sabz Sayya-Dar Pero’n Ney…
Tery Baghair Wehshato’n Me Apney Perahan Ko Tar Tar Kr Dia…
Ab Kisi Shajr Key Jism Per Qubba Nahen….
Sookey Zard Pattey…


Koo Ba Koo Teri Tilaash Me Bhatak Rahey Hen…
Meray Daricho’n Me Gulabi Dhoop Roz Jhaankti Hi…
Mgr Uss Ki Aankho’n Me..
Wo Jag-Mgahetie’n Nahen…


Jo Teray Waqt Me Zameen Key Sabeeeh Maathey Per… (Sabeeh=Roshan)
Soorajo’n Ki Kehkashan’n Sajaaney Aatie’n Thien..
Zamee’n Bhe Meri Trah Hi..
Teray Baghair Es Ki Kohk Se Bhe Ab..
Koi Gulaab Uug Na Paye Ga..
Zamee’n Banjer Ho Gai Hi…


Aur…
Meri Rooh Ki Bahaar Aafree’n Kohk Be…
Meri Soch Key Sadaf Mein…
Fun Key Suchey Moti Kis Trah Janam Lia Kren…
Keh Main Sarapa-E-Tashnagi Hon…
Aur Door Door Tak, Visaal-E-Abr Ki Khabr Nahen…
Meray Aur Teray Darmian…
Paanch Paanio’n Key Des Mein…
Kachey Gharrey Bhe To Meri Dastars Se Door Hen…
Mian Kis Trah SHER Kahoo’n…
Meri Soch Key Badn Ko, Tooo Namoo To Dey…
Keh…
Main Teray Baghair Ek Sehra Hon……….!!



Phir kahoge tum muqabil ko saza ke vaste – Qamar Jalalwi



Phir kahoge tum muqabil ko saza ke vaste
aaine ko hath se rakh do khuda ke vaste
kaba-e-dil ko na takotum jafa ke vaste
ae buto ye ghar khuda ka hai khuda ke vaste
ya ilahi kis taraf se pas hai bab-e-asar
kon sa nazadik hai rasta dua ke vaste
kah gaye kya dekh kar nabzon ko kya jane tabib
hath uthaye hain azizon ne dua ke vaste
tum bhi nam-e-khuda ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasman se mashvara kar lo jafa ke vaste
mujh ko us matti se khaliq ne banaya hai “qamar”
reh gain thi jo azal ke din wafa ke vaste


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalwi



Muhabbat Kar To Lete Hain Nibhana Bhool

Muhabbat Kar To Lete Hain Nibhana Bhool Jate Hain

Laga Kar Aag Seeny Me Bujhana Bhool Jate Hain...

Muhabbat Kar To

Sunday, July 15, 2007

Tera muqam

Teri Yaad ElaJ-E-Gham Hai


S0och tera MuQaam Kia Ho Ga.?

Apni Gaariyon Ko

Ajeeb Hein Wo Log Jo Apni Gaariyon Ko To Dhaank Kr Rkhte Hein


Magar Apni Aurton Ko Beparda Rkhna Psnd Krte Hein.

Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

More The Knowledge

More the knowledge lesser the ego


Lesser the knowledge more tha ego


-Albet Einstein

Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar



Jis Din Se Bandha Hai Dhyan Tera
Ghabraye Huye Se Rehte Hain
Har Waqt Tasavvur Kar Kar Ke
Sharmaye Huye Se Rehte Hain
Kumhlaye Huye Phoolon Ki Tarah
Kumhlaye Huye Se Rehte Hain
Pamaal Na Kar Bedaad Na Kar
Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar
Ae Ishq Humein Barbaad Na Kar



Saturday, July 14, 2007

Zakham e shanasa

Aik shakhs mujhe zakhm-e-shanasa day gya..
Jab day na saka pyar to ruswai day gya..
Aur jatay jatay apni nishani k tor pe..
Kitnay khaloos se mujhe tanhai day gya..!!

Ye Kamaal

!!!…Karta To Hai Wo Yaad Mujhe Chaahat Se Magar….!!!


!!!…Hota Hai Ye Kamaal Bari Muddaton Ke Baad.

Marriage can make mothers instantly



Marriage can make mothers instantly,
Opening a can of well-fed worms.
The trick is to provide love patiently,
Having faith in what one’s life affirms.
Even at the nadir of neglect,
Resented for the sin of merely being,
‘Tis the common highway to respect
So to be one asks for no agreeing.
Deeper far than anger there is need,
A yearning that from anger can be freed,
Yielding something simpler than one’s seeing.



An idea that can change your Wife

1 million copies of a new book sold In just 2 days due to typing error of 1 alphabet in title.


An idea, that can change ur wife


While real word was(life) :p

Love Can Sometimes Be Fresh




Love Can Sometimes Be Fresh


Love Can Sometimes Be New



Love Can Sometimes Make You Happy


And Sometimes Make You Blue



Love Is The Light That Radiates From Your Eyes


Love Is Your Image Floating In The Skies



Love Is True


And Darling The Only Love For Me Is You






Goal in our Lives

Dear friends, relatives and strangers:


There are more goals in our lives than marrying someone.


So please stop asking us that when are you marrying.


Regards,
Irritated bachelors

Friday, July 13, 2007

Insan Hi Dushman Insan Ka Hota Hai



Insan Hi Dushman, Insan Ka Hota Hai
Kahin Nainsafi Ka Sitam Ubhar Kar Ata Hai,
Kahin Khamoshi Se Zulm Ko Saha Jata Hai,
Insan Hi Dushman, Insan Ka Hota Hai.


Koi Maarta Hai Apni Talkh Nighahon Se,
Kahin Jism Ki Farokht Ko Saraha Jata Hai,
Insan Hi Dushman, Insan Ka Hota Hai.


Andheron Mein Dhakelta Hai, Qabar Tak Phnchata Hai,
Matlab Ka Jahan Nahy, Matlab Ka Insan Hota Hai,
Insan Hi Dushman, Insan Ka Hota Hai.


Insan Hi Hota Hai Bewafa, Be-Dawa, Daga Baz Yahan,
Insan Se Barh Kar Koi Nahy Hewan Yahan,
Insan Hi Dushman, Insan Ka Hota Hai.


Shaoor Sikhata Hai Insan Ko Insaniyat,
Binshaoor Kay Ye Veeran Hota Hai,
Insan Hi Dushman, Insan Ka Hota Hai…!!!



Jab Tak Tere Sath Hain

Jab Tak tere sath hain tujhe,
“MAYOS”na hone dein ge…
“DOST”
Ummer bhar ki khushyon ka
Hum “WADA”nahi karte…

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay



Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Tufan Utha Kartay Thay
Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko
Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay
Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir
Ham Tera Naam Likha Kartay Thay
Kal Tujhay Daik Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay



Mayusi Ke Lamhon Main

Agar Wo Mayusi K Lamhon Main, Zara Bhi Hosla Deta
Hum Kagaz Ki Kashti Pe, Samandar Main Utar Jate.

Mere Pukhta Iraday Khud Meri Taqdeer

Mere Pukhta Iraday Khud Meri Taqdeer Badlain Ge IQBAL

Meri Qismat Mohtaaj Nahi Hathon Ki Lakeeron Ki...

Mere Pukhta Iraday

Mery Pyary pakistan

1 kharb


1 arab


1 karor


1 lakh


1 hazar


1 so


1 dafa


I LOVE YOU


Meri jaan


Mery chand


Mery sohny


Mery pyary


PAKISTAN
kia smjhe nadaan?

Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua – Bashir Badr



Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua
kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua
mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua
wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua
vahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua
mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Thursday, July 12, 2007

Ña Wafa Mangi

Ña Tüm Sé Muhbt Mangi
Ña Wafa Mangi


Hüm Ñé Tö Faqat Dosti Ki Éntiha Mangi


Tü Jahan B Rehy Sada Khush Rehy


Hum’Ñe Rö K Khuda Sé Yéhi Duaa Mangi.

Tute huye dilon ke dua mere sath hai – Nizam Rampuri



tute huye dilon ke dua mere sath hai
duniya teri taraf hai khuda mere sath hai
aavaz ghungharuon ke nahi hai to kya hua
sagar ke tutane ke sada mere sath hai
tanhai kis ko kahate hain mujhko pata nahi
kya jane kis hasin ke dua mere sath hai
paimana samane hai to kuch gham nahi “nizam”
ab dard-e-dil ke koi dawa mere sath hai


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Nizam Rampuri



MUSHARAF vs PPP JAMHORIAT

MUSHARAF vs PPP JAMHORIAT


Aata: Rs. 13=31
Sugar: 21=65
Milk: 32=58
Petrol: 54=661300 cc
car: 850000=1300000
Bike: 32000=45000
AC: 20000=32000
Stock Exchange: 16000 points=9000 points
US $: 60=84
GST: 11%=16%
Tax on call & sMs:15%=19%
Load shedding elec: 1-2 hours=14-18 hours
Suicidal attacks: few=daily.


Wasn t he better than these ppl whom we elected
to dig our own graves?
Must think next time when you select your leaders..

Wednesday, July 11, 2007

Todana tute huye dil ka bura hota hai – Munir Niazi



Todana tute huye dil ka bura hota hai
jis ka koi nahi us ka to khuda hota hai
mang kar tum se khushi lun mujhe manzur nahi
kis ka mangi hui daulat sebhala hota hai
log nahak kisi majabur ko kahate hain bura
aadmi ache hain par waqt bura hota hai
kyon “munir” apni tabahi ka ye kaisa shikwa
jitana taqadir mein likha hai ada hota hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



Mohabbat ke tabiyat mein – Amjad Islam Amjad



Mohabbat ke tabiyat mein
ye kaisa bachapana qudarat ne rakkha hai
ke jitani purani jitani bhi mazabut ho jaye
ise taid-e-taza ke zarurat phir bhi rahati hai
yaqin ke aakhiri had tak dilon mein lahlahati ho
nigahon se tapakati ho lahu mein jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar ke lafzon ke hajat phir bhi rahati hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apne hone ke
ke jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab mein baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
ke paudha ab kahan tak hai
mohabbat ke tabiyat mein ajab takarar ke khu hai
ke ye iqrar ke lafzon ko sunane se nahi thakati
bichadane ke ghadi ho ya koi milane ke sa’at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
kuch aisi besakuni hai wafa ke sarzaminon mein
ke jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhati hai
ke jaise phul mein khsuhbu ke jaise hath mein tara
ke jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ke sahar raton mein rahati hai
gumanam ke shakhchon mein aashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal mein bhi hijr ke khadshon mein rahati hai
mohabbat ke musafir zindagi jab kat chukate hain
thakan ke karachiyan chunate wafa ke ajaraken pahane
samay ke rahguzar ke aakhiri sarhad pe rukate hain
to koi dubati sanson ke dori tham ker
dhire se kehta hai
ke ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare ke naam likhi thi
dhundhalaka sa jo aankhon ke qarib-o-dur phaila hai
isi ka naam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ke tabiyat mein
ye kaisa bachapana qudarat ne rakkha hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad



True Love Never Ends

True love does not have


a happy ending.


Because true love does not end

Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Teri Ankhon Ko Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Tumhara Nam Parhne Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Me Huns Kar Jhail Leta Hun Judai Ki Sabhi Rasmen
Galy Jab Us K Lagta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Na-Jany Ho Gaya Hun Is Qadar Hassas Me Kab Se
Kisi Se Bat Karta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Wo Sab Guzry Hue Lamhaat Mujh Ko Yad Ate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Me Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Magr Junhi
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Har Aik Muflis K Mathy Par Alam Ki Dastany Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Bary Logon K Oonchy, Bad-Numa Or Sard Mehlon Ko
Gareeb Ankhon Se Takta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Tere Koochy Se Ab Mera Ta'aluq Wajabi Sa Hai
Magr Jab Bhi Guzrta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain

Hazar Mosamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe WASI
Me Jab Bhi Hansta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain...

Samandar Me Utarta

Bujh gaya dil hayat baqi hai – Khumar Barabankvi



Bujh gaya dil hayat baqi hai
chup gaya chand raat baqi hai
hal-e-dil un se kah chuke sau bar
ab bhi kahane ke bat baqi hai
raat baqi thi jab wo bichde the
kat gai umr raat baqi hai
ishq mein hum nibha chuke sab se ae ‘khumar’
bas ek zalim hayat baqi hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi



Tuesday, July 10, 2007

Dhoka shayari



Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,


Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,


Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,


Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,


Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,


Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..



Kya pata tha mujhe ki wo is tarah bhula degi,
Apna bana ke, phir paraya bana degi,
Wo aayi zindagi main, ek hasin lamha de gayi,
Mere ruthe hue labon pe hasi de gayi.
Aaja tu wapas zindagi main meri,
Ke maut bhi salli mujhe dhoka de gayi…



Dil diya aitbar ki had thi


Jaan de di yeh mere pyar ki had thi
Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi
Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi



Share with us more Dhoka shayari .in comments section below.



My Sorrow Never Dry Happiness




My Sorrow Never Dry


Happiness Try


Always Loser


Why My Hopes Shy?



When I Open My Eye


My Luck Said Good Bye


Between Me And The  Door


There Is Abyss Like Tie



My Door Knocked Strong Now


Open Door Need Rose, How


I Open, Around Me Thistles


My Rose Eaten By Cow



If I Wanted Open Door


I Mustn’t Scared From  Shore


Made  Bridge Need To Heart


My Heart Is Summer Cloud Core



I Must Swim In Hole Like Diamond


Cloud Made By Fume, That’s Bond


I Walked On The Hole, Opened The Door


It Was Wind No Other  Told



By Nouzad Jadan





Monday, July 9, 2007

Ashar mere yun to zamane ki liye hain – Jan Nissar Akhtar



ashar mere yun to zamane ki liye hain
kuch sher faqat unko sunane ki liye hain
ab ye bhi nahi thik ki har dard mita den
kuch dard kaleje se lagane ki liye hain
aankhon mein jo bhar loge to kanton se chubhenge
ye khwab to palkon pe sajane ki liye hain
dekhun tere hathon ko to lagata hai tere hath
mandir mein faqat dip jalne ki liye hain
socho to badi cheez hai tahazib badan ki
varana to badan aag bujhane ki liye hain
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ik shakhs ki yadon ko bhulane ki liye hain


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nissar Akhtar



Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha

Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha
Aik Ye Bhi Zamana Hai, Aik Wo Bhi Zamana Tha

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Suhana Tha

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha
Maloom Na Tha Tum Ne Yoon Chor K Jana Tha

Kiun Hum Se Khafa Ho Tum Kiun Hum Se Juda Ho Tum
Kya Jurm Hua Hum Se Itna To Batana Tha

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi
Tukre Bhi Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha...

Kiun Bhool Gaye

Tarapta Sisakta Tarasta Hai Magar Mohsin

Tarapta, Sisakta, Tarasta Hai Magar Mohsin
Usy Keh Do Kisi K Hijr Main Marta Nahi Koi...

Tarapta Sisakta Tarasta

Kahate hain mujhase ishq ka afasana chahiye – Qamar Jalalvi



Kahate hain mujhase ishq ka afasana chahiye
rusavai ho gai tumhen sharmana chahiye
khuddar itni fitarat-e-rindan na chahiye
saqi ye khud kahe tujhe paimana chahiye
aashiq bagair husn-o-javani fizul hai
jab shamma jal rahi hai to paravana chahiye
aankhon mein dam ruka hai kis ke liye zarur
warna marize hijr ko mar jana chahiye
wada tha unake raat ke aane ka ae “qamar”
ab chand chup gaya unhen aa jana chahiye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalvi



Safar Me Dhoop To Hogi



Safar Me Dhoop To Hogi
Jo Chal Sako To Chalo
Sabhi Hain Bheed Me Tum Bhi
Nikal Sako To Chalo


Kisi Ke Vaaste Raahen
Kahan Badalti Hain
Tum Apne Aap Ko Khud Hi
Badal Sako To Chalo



Yahan Kisi Ko Koi
Raasta Nahi Deta
Mujhe Girake Agar Tum
Sambhal Sako To Chalo


Yahi Hai Zindagi
Kuch Khwaab Chand Ummeendein
Inhi Khilono Se Tum Bhi
Behel Sako To Chalo



Jab nazar aap ke ho gai hai – Firaq Gorakhpuri



jab nazar aap ke ho gai hai
zindagi zindagi ho gai hai
barha bar-khilaf-e-har-ummid
dosti dushmani ho gai hai


hai wo takamil purakariyon ke
jo meri sadagi ho gai hai


teri har pursish-o-meharbani
ab meri bekasi ho gai hai


bhool baitha hai tu kah ke jo baat
wo meri zindagi ho gai hai
bazm mein aankh uthane ke taqasir
ae “firaq” aj bhi ho gai hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Firaq Gorakhpuri



Optimistic in Life

Worries at the start of the day means u r still alive!!


Clothes that don’t fit means u have a good appetite.


Tears in ur eyes means there is somebody u care for.


The mess to clean after party means u have friends around u.


Roof that needs fixing means u have got a house.


Taxes to pay means u r not unemployed.


Msg on ur mobile means there is somebody who remembers u.


Learn to be optimistic in life because everything around u happens for a reason.:-)

My Sister Holds Me Tight



My Sister Kisses Me Goodnight 
My Sister Knows When I’m Mad
My Sister Helps Me When I’m Sad
My Sister Is So Smart
My Sister Has My Heart
My Sister Loves Me Lots
My Sister Ties The Knots
My Sister Is Here To Stay
My Sister I Have Until This Very Day
My Sister I Wish You Well
My Sister Yes I Can Tell
My Sister Asked If I Lied
My Sister Knows If I’ve Cried
My Sister Has Moved Away
My Sister Is In My Heart To And Will Always Stay

Carniz Fatema


Jaate jaate jo mu.D ke dekh liyaa-Syed Shafaz Shah Chishti



us ne ruKh se haTaa ke baalo.n ko
raastaa de diyaa ujaalo.n ko


[ruKh=face; ujaalaa=light/brightness]

jaate jaate jo mu.D ke dekh liyaa
aur uljhaa diyaa Khayaalo.n ko


[uljhaanaa=to create confusion/complication]

ek halkii sii muskuraahaT se
us ne hal kar diyaa savaalo.n ko


[halkii=slight; muskuraahaT=smile]
[hal karanaa=to solve; savaal=question]

mar gaye ham to dekh lenaa “Shafaq”
yaad aaye.nge husn vaalo.n ko


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam : Syed Shafaz Shah Chishti



Sunday, July 8, 2007

Janu Main Uski Har Ek Baat

तेरी मर्ज़ी है जो चाहे तू मेरे यार पैदा कर,
भले ही चायवाला या कि चौकीदार पैदा कर !
बडी हैरत है वो खुद एक भी पैदा न कर पाये,
जो हर भाषन में ये कहते हैं बच्चे चार पैदा कर !!

Kabhi kabhi yun bhi hum ne apne hi ko bahalaya hai – Nida Fazli



Kabhi kabhi yun bhi hum ne apne hi ko bahalaya hai
jin baton ko khud nahi samajhe auron ko samajhaya hai
hum se pucho izzat valon ke izzat ka hal kabhi
hum ne bhi is shahar mein reh kar thoda naam kamaya hai
usase bichde barason bite lekin aj na jane kyon
aangan mein haste bachon ko bekaran dhamakaya hai
koi mila to hath milaya kaheen gae to baten ke
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bhoj uthaya hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli