Thursday, July 30, 2015

Kinare Pe Khara Tha

Hum Doob K Aakhri Baar Ubhry To Faqat Itna Hi Dekha


Auron Ki Tarha Tu Bhi Kinare Pe Khara Tha…

Hum sada hi aise the, ke yun hi pazirai – Faiz Ahmed Faiz



hum sada hi aise the, ke yun hi pazirai
jis bar khizan aai, samajhe ki bahar aayi
aashob-e-nazar se ke hum ne chamn-arai
jo shay bhi nazar aayi gul-rang nazar aayi
ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon
tu aur teri mahafil main aur meri tanahai
van millat-e-bul-havasan aur shor-e-vafajui
yan khilvat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-rusavai
yak-jan na ho sakiye anjanna ban sakiye
yon toot gai dil mein shamashir-e-shanasai
is tan ke taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakkha hai maqtal mein ae chashm-e-tamashai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Jivy Jivy Pakistan Na Koi Nokri Na Koi Kam



Jivy Jivy Pakistan


.


Na Koi Nokri


Na Koi Kam


.


Rishwaat Aaam


Traafic Jaam


.


Muhabbat Kam


Nufrat Aaam


.


Jivy Jivy PAKISTAN


Gharieb Karey Kam


Baarh Gaye Daam


..


58 Hazaar Ka Sonaa 12Giraam


..


Naa Chain Naa Aaram


Naa Deen Na ISLAM


..


Hogaa Kiya Humaraa Anjaam


..


Sochh Raha Hay PAKISTAN


Jivy Jivy Pakistan


14 August Mobarak



Wednesday, July 29, 2015

Ab K Kuch Soch K Mujhe Khud Se Juda

Ab K Kuch Soch K Mujhe Khud Se Juda Karna
Zindagi Zulf Nahi Jo Phir Se Sanwar Jaye Gi...

Ab K Kuch Soch

I love you

A boy said:
i love u to a girl
But girl replied
s0ry i love sum 1 else
The b0y in sad m00d l0oked at the girl and said
Bataon teri ammi ko ?

mujhko karani hai pyar ke baten -Saeed Rahi



us ke baten bahar ke baten
vadi-e-lalazar ke baten
gul-o-shabanam ka zikr kar na abhi
mujhko karani hai pyar ke baten
shekh jee mayakada hai kaba nahi
yan to hongi khumar ke baat
ishq ka karavan chala bhi nahi
aur abhi se gubar ke baat
ye qafas aur tera khayal-e-hasin
is pe har su bahar ke baat


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Saeed Rahi



Tuesday, July 28, 2015

Mujh Sa Nahi Mile Ga K Jhonka Hawa Ka Hun

Mujh Sa Nahi Mile Ga K Jhonka Hawa Ka Hun

Tujh Sa Taraash Lein Ge Pathar Nazar Main Hai...

Mujh Sa Nahi Mile

Dil-e-purkhun ke ik gulabi se – Meer Taqi Meer



Dil-e-purkhun ke ik gulabi se
umr bhar hum rahe sharabi se
dil dahal jaye hai sahar se aah
raat guzaregi kis kharabi se
khilana kam kam kali ne sikha hai
us ke aankhon ke nimkhvabi se
kam the ishq mein bahut se ‘meer’
hum hi farig hue shitabi se


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Me Gurezaan Hun Mohabbat Se To Sabab Kuch

Me Gurezaan Hun Mohabbat Se To Sabab Kuch Or Hain

Warna Hai Kon Jo Chaahat Ka Talab-Gaar Nahi

Me To Sarapa-e-Mohabbat Hun Magar Phir Bhi

Mujhe Is Lafz Mohabbat Ka Aitbaar Nahi...

Me Gurezaan Hun

Monday, July 27, 2015

umr jalvon mein basar ho ye zaruri to nahi -Khamosh Dehlvi



umr jalvon mein basar ho ye zaruri to nahi
har shab-e-gam ke sahar ho ye zaruri to nahi
chashm-e-saqi se piyo ya lab-e-sagar se piyo
bekhudi aathon pahar ho ye zaruri to nahi
neend to dard ke bistar pe bhi aa sakati hai
unaki aagosh mein sar ho ye zaruri to nahi
shekh karta to hai masjid mein khuda ko sajade
usake sajadon mein asar ho ye zaruri to nahi
sab ke nazron mein ho saqi ye zaruri hai magar
sab pe saki ke nazar ho ye zaruri to nahi


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Khamosh Dehlvi



HAZRAT MOHAMMED (S.A.W.W.) ki kuch aadaat

HAZRAT MOHAMMED (S.A.W.W.) ki kuch aadaat


1-chalty waqt nigah neechay rakhty


2- Salam me hmesha pehal krty


3- Mehman Nawazi khud krty


4- Nafli ibadat chup kr krty


5- Farz ibadat sub k samny krty


6- Bimar ki mizaj pursi krty


7- jb khary hoey ghusa ata to baith jaty or baithy huay ghusa ata to lait jaty


8- miswaq krty


9- isha se phlay kabi na soty.


10 kbi khul kr na hansty,sirf muskraty

Maa Shayari Mother



Zindagi Main Kuch Paya Or Kuch Koya
Lakin Tuje Kona Nhi Chahtha Maa


Zindagi Na Kabhi Hasaya Or Kabhi Rulaya
Lakin Tuje Rulana Nhi Chahtha Maa


Yaad Athi Hai Uhoht Tere Bachpan Ki Wo Lory
Isi Liye Tere Ghod K Ilawa Kahin Or Sona Nhi Chahtha Maa


Kithna Danta Tha Tune Bachpan Main
Ab Q Nhi Dandthi Tu Muja Maa


Kesa Zinda Reh Paonga Main Tere Baghair
Kabhi Fursat Mile Muja Tu Ye Tho Batha Maa


Kiya Hoon Main Tere Dil Main Ab Thak?
Kabhi Tho Dhek Mere Dil Ko Cheer K Apne Aap Ko Maa


Zindagi Tu Na Tho Meri Roshan Kar Di
Lakin Khud Kiss Andhera Main Ko Gayi Tu Maa


Kabhi Tho Kila Muja Apne Hath Ki Roti
Aaj Kal Bhuk Bohoth Lagthi Hai Muja Maa


Kahaan Ho Tum, A Kar Lagalo Gale Iss Bebas PRINCE Ko
Na Jane Kis Kash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa



Yaad Ka Zeher Dil Me Phail Gaya

Yaad Ka Zeher Dil Me Phail Gaya
Bohat Dair Kar Di Usy Bhulany Me...

Yaad Ka Zeher

Goya Andaz-E-Taazeem Hai Ameeron Jesa

Goya Andaz-E-Taazeem Hai Ameeron Jesa
Mere Andar Ka Hai Insan Faqeeron Jesa

Hum Ne Chehre Pe Saja Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai K Weeraan Jazeeron Jesa

Us K Ausaf-O-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Mere Mureedon Me Tha Shakhs Wo Peeron Jesa

Is Se Pehle Thi Aseeri Bhi Rehaai Jesi
Ab K Azadi Me Hai Haal Aseeron Jesa

"MOHSIN" Us ko Ganwa k Hain Khasary Ab Tak
Wo Jo Ek Shakhs Mere Pas Tha Heeron Jesa...

Goya Andaz-E-Taazeem

Ab To Mehfil Se Bhi Hota Nahi Gham Ka ilaaj

Ab To Mehfil Se Bhi Hota Nahi Gham Ka ilaaj

Pehle Tanhai Bhi Dukh Baant Liya Karti Thi...

Ab To Mehfil

Sunday, July 26, 2015

Sapurd-E-Khaak Kr Dala Teri Aankhon Ki

Sapurd-E-Khaak Kr Dala Teri Aankhon Ki Masti Ne,
Hazaaron Saal Jee Lete Agar Tera Deedar Na Hota...

Sapurd-E-Khaak Kr Dala Teri Aankhon Ki Masti Ne

Ongoing Hajj Sms wishes

And whosoever can afford should visit the
House on pilgrimage as duty to God. Whosoever
denies should remember that God is above heed
of the world.


Quran (3:97)


Wish you very warm ongoing hajj

Koi Aj Tak na Samajh Saka Yeh Usool Gulshan-e-Zeest ka

Mai tere khwabo men aane ko trasti hun.
mai teri zindgi men aa ni sakti
zindgi jeene ka maza kya hai
zindgi mujhko bata ni sakti


chor k galiyan teri mai kahan jaun ab
ab mujhe koi aur gali bula ni sakti


sanson k thamne ka gar hai intezaar tumko
to mujhe ab koi saans jila ni sakti


rasmen vade galiyan aur ye khamoshi
ab mujhe tumse mila ni sakte


intezaar tab tak kar sakti hun tere aane ka
lekin mujhe khabar hai tum chah k bhi aa ni sakte


khwahish jaisi

Dill ko dard Aankhon ko diya pani tumne



dil-ko-dard-aankhon-ko-diya-paani-tumne-Poetry-Ghazals


Dill ko dard Aankhon ko diya pani tumne
Kise Ada sa ujar Di meri jawaani tumne,

Tark-e-Talluk ki baad yeh meetha sa dard
sangeen jurm ki de hai saza suhaani tumne,


Daag dill ki sahayad yaad dilaa dain tumko
barsoon ki hai yeh hukmarani tumne,


kafan Gul-O-Bulbul ka diya hai chaman ko
cheen kar gulshan se baagh baani tumne,


waaqif thi ke toot jaungi nazuk lafzon se
soch samjh kar ki ha manmaani tumne…!!!! –



Dayar-e-gair mein koi jahan na apna ho – Akhtar ul Iman



Dayar-e-gair mein koi jahan na apna ho
shadid karb ke ghadiyan guzar chukane par
kuch ittefaq ho aisa ki ek sham kaheen
kisi ek aisi jagah se ho yun hi mera guzar
jahan hujum-e-gurezan mein tum nazar aa jao
aur ek ek ko hairat se dekhata rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



Saturday, July 25, 2015

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna



Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna
Bohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte Rehna


Zara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar Lena
Phir Is K Baab Main Sari Khudaai Mangte Rehna


Kabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh Dena
Kabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte Rehna


Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati Hai
Kahani Main Zara Si Bewafai Mangte Rehna


Ajab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil Ko
Sakot-E-Sham-E-Gham Se Ham Nawaai Mangte Rehna


Kabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per Rakhna
Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna



Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka



Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai


Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
Mejhe Maangta Koi Aur Hai


Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
Keh Darmayan Hai Zindagi
Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
Mujhe Jaanta Koi Aur Hai


Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
Meri Daastan Koi Aur Thi
Mera Waaqaya Koi Aur Hai


Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
Dekhna Unhen Ghaur Sey
Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai


Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
Ko Saleem Subh Na Mil Saki
To Is Key Mani To Yeh Hue
Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai



Ik Ye Khwahish Ke Koi Zakham Na Dekhe Dil Ka

Ik Ye Khwahish Ke Koi Zakham Na Dekhe Dil Ka,
Ik Ye Hasrat Ke Koi Dekhne Wala Hota.....!


Muhabbat Hath Me Pehni Hui Choori Ki Manid

Muhabbat Hath Me Pehni Hui Choori Ki Manid Hai

Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kr Toot Jati Hai...

Muhabbat Hath Me

Thursday, July 23, 2015

Deemak Zada Kitaab Thi Yaadon Ki Zindagi

Deemak Zada Kitaab Thi Yaadon Ki Zindagi

Har Warq Kholne Ki Khawahish Me Phat Gaya...

Deemak Zada Kitaab

Lo G Agya Garmi Da

Lo G agya garmi da tord FARAZ
Bhai ka taza shair
Hotay hain duniya main hay jagah
hadsay hotay hain
.
.
.
Duniya main har jagah hadsay
THANDAY MITHAY FAALSAY
THANDAY MITHAY FAALSAY…:p

Best Mothers Day Poems Collection



I call you “Ma,” though you are not my mother,
But more a ma than any ma could be.
I’ve come to love you more than any other;
You took me in your charge and set me free.
You let me run and kissed me when I fell;
You kept your eyes on me and let me stray.
I learned things hard, which means I learned them well,
And got to know myself along the way.
My hope and faith and pride are all from you.
My roots are in your heart; you are my home.
You will be part of everything I do,
In all my thoughts a wise and lovely poem.
For all our lives we’ll have this common ground:
You were my rock when else I would have drowned.



Kon Ujarta Hoga Bhari Duniya Me Hamari Tarha

Kon Ujarta Hoga Bhari Duniya Me Hamari Tarha
Tu Bhi Na Mila Hum Ko Aur Khud Ko Bhi Hum Ganwa Bethy....

Kon Ujarta Hoga

Wednesday, July 22, 2015

Niklo Ge To Har Morr Pe Mil Jayngi Laashein

Qatil-Moor-Shayari
Niklo Ge To Har Morr Pe Mil Jayngi Laashein
Dhoondo Ge to Is Shehar Mein Qatil Na Mile Ga…

Meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkara – Shakeel Badayuni



meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkara
tera gham hai dar-haqiqat mujhe zindagi se pyara
wo agar bura na mane to jahan-e-rang-o-bu mein
main sukun-e-dil ke khatir koi dhundh lun sahara
ye fulak fulak havayen ye jhuki jhuki ghatayen
wo nazar bhi kya nazar hai jo samajh na le ishara
mujhe aa gaya yaqin sa yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe daffa’atan pukara
main bataun farq nasih, jo hai mujh mein aur tujh mein
meri zindagi talatum, teri zindagi kinara
mujhe guftagu se bad kar gam-e-izn-e-guftagu hai
wahi baat puchte hain jo na kah sakun dobara
koi aye ‘shakeel’ dekhe, ye junun nahi to kya hai
ke usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



Monday, July 20, 2015

Har Kisi Yad Nay Har Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko



Har Kisi Yad Nay Har Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko


Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko


Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko


Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko


Uoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko


Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko


Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko


Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko



Kabhi jo main ne masarrat ka ehatamam kiya – Khumar Barabankvi



Kabhi jo main ne masarrat ka ehatamam kiya
bade tappak se gham ne mujhe salam kiya
hazar tark-e-ta’alluq ka ehatamam kiya
magar jahan wo mile dil ne apna kam kiya
zamane valon ke dar se utha na hath magar
nazar se us ne basad mazarat salam kiya
kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roye
baqadr-e-martaba har gham ka ehataram kiya
hamare hisse ke may kam aaye pyason ke
zer-e-rah-e-khair gunah shikast-e-jam kiya
tulu-e-mahar se bhi ghar ki teergi na ghati
ek aur shab kati ya main ne din tamam kiya
dua ye hai ke na hun gumrah hamsafar mere
‘khumar’ main ne to apna safar taman kiya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi



Sunday, July 19, 2015

Aasaib Zada - Loog Kehte Hain

Aasaib Zada
Loog Kehte Hain
Larki Ye Aasaib Zada Hai,
Kisi Ko Kia Khabar,
Ke Is Ke Dil Par,
Ek Insaan Ka Saaya Hai..!

Saaya Shayari

Beautiful line

A Beautiful line by “Munir Niazi”:


“Quran Paak ki ayaton main itna Husan hy k ye


Be-zameer Logon se parda kr leti hen.”.

Saturday, July 18, 2015

Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga



Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga
Aaap Aye Tho Mere Ghar Me Ujaala Hoga


Hashr Me Hogah Who Sarkaar Ke Jandhe Ke Thale
Mere Sarkaar Ka Jo Chahne Wala Hoga


Isqh-E Sarkaar Ki Ek Sham?Ma Jalaalo Dil Me
Baad Marne Ke Lehad Me Bhi Ujalaa Hoga



Jab Bhi Maangho To Waseele Se In?Hi Ke Maangho
Is Waseele Se Karam Aur Do Baala Hoga


Hashr Me Is Ko Bhi Seene Se Lagaa?Yenge
Huzoor Jis Ghuneghaar Ko Har Ekh Ne Taala Hoga


Mahe Tayba Ki Tajalli Bhi Niraali Hogee
Aap Ke Gard Bhi Ashaab Ka Haala Hoga


Silah Naat Nabi Paayega Jis Din Khalid
Who Karam Dekhna Tum Dekhne Walaa Hoga



Friday, July 17, 2015

Ush Pagli Ladki Ke Liye



Umaves Ki Kali Rato Mai Jab Dil Ka Darwaza Khulta Hai
Gum Asouo Main Ghulta Hai


Tab Ush Pagli Ladki Ke Liye Jina Gaddari Lagata Hai
Ush Pagali Ladaki Ke Liye Marna Bhi Bhari Lagata Hai


Jab Baba Wali Bathak Mai Kuch Risty Wale Aate Hai
Baba Hame Bulate Hai Or Samjate Hai

Sadi Mai Lipte Ladki Ka Photo Hami Dikhaya Jata Hai
Tab Ush Pagli Ladki Ke Liye Jina Gaddari Lagata Hai


Us Pagali Ladaki Ke Liye Marna Bhi Bhari Lagata Hai
Pichwade Wale Angan Mai Jab Ham Nipat Akele Hote Hai


Sab Sote Hai Hum Rote Hai Badki Bhabhi Kaheti Hai
Munna Sehat Ka Kuch Dhyan Karo


Kya Likh Te Rehete Ho Sapno Ka Samna Karo
Jab Ghar Walo Ka Samjana Hum Ko Fan Kari Lagata Hai


Tab Us Pagli Ladki Ke Liye Jina Gaddari Lagata Hai
Ush Pagali Ladaki Ke Liye Marna Bhi Bhari Lagata Ha



Hum Ne Kuch Aisa Tarasha Hai Teri Aankhon Ko

Hum Ne Kuch Aisa Tarasha Hai Teri Aankhon Ko,
Loog Sahar Ki Misaalon Se Tujhe Jaante Hain.... <3

Mohabbat Love Poetry

Light walo se mohabbat

Wapda walun se hum ko itne mohabbat hai faraz


Wo roth jaen to hame nend nai ati

Rasm e Duniya

Bhol jana to rasm-e duniya hy,


kuch to auron s munfarid krte

Thursday, July 16, 2015

Hamein Kehne Ki Aadat Nahi, Likhne Ka Shoq Hai

Hamein Kehne Ki Aadat Nahi, Likhne Ka Shoq Hai,
Jazbon Ko Apne Qalam Ki Ta'seer Likhon Ga....!!

Shared By: Sabir

Wednesday, July 15, 2015

Shyamaharan Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Shyamaharan Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com. Celebrate Shyamaharan Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Shyamaharan Jayanti sms greeting


New Delhi, April 14 (IANS) Police reforms, upgrading intelligence gathering system and strengthening the counter-terrorism mechanism in the country will top the agenda of the annual chief ministers’ conference to be inaugurated by Prime Minister


Tamil Nadu Chief Minister J. Jayalalithaa on Monday warned against an “emerging pattern” wherein the State’s powers are “abrogated” by the Centre through passage of bills and accused it of showing “scant respect” for State governments.


Happy Shyamaharan Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team





Saturday, July 11, 2015

Tasvir teri dil mera bahala na sakegi – Faiyaz Hashmi



Tasvir teri dil mera bahala na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi
main baat karunga to ye khamosh rahegi
sine se laga lunga to ye kuch na kahegi
aaram wo kya degi jo tadapa na sakegi
ye aankhen hain tahari huin chanchal wo nigahen
ye hath hain sahame huye aur mast wo bahen
parachai to insan ke kam aa na sakegi
in honton ko “faiyyaz” main kuch de na sakunga
is zulf ko main hath mein bhi le na sakunga
ulajhi hui raton ko ye sulajha na sakegi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiyaz Hashmi



Ab Lout Aao Ke Zindagi - Two Lines Poetry

Ab Lout Aao Ke Zindagi
Khud Jeeny Ke Liye Tumhari Muntazir Hai.....

shared by: Aneesa Minhas

Aye Jaane Waley Thori Deir Aur Thehar Jaa

Aye Jaane Waley Thori Deir Aur Thehar Jaa,
Tere Aashiq Ko Dafnaney Me Thora Waqt Baqi Hai....

Love Funeral
Shared By: Rais

Ego and Self Respect

Some people can not understand the difference


between Ego and Self respect !

Friday, July 10, 2015

Attitude Of Girls

Attitude of Girls


Wen a boy sends dirty sms she laughs for 10 minutes, forward dat to her friends n


then replies the boy.


I dont like that kind of sms ok?

Thursday, July 9, 2015

Railway Week Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Railway Week Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Railway Week  2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Railway Week sms greeting.


Ghulami Main Na Kaam Aati Hain Shamsheerain, Na Tadbeerain Jo Ho Shok-E-Yaqeen Paida Tou Cut Jaati Hain Zanjeerain Koi Andaza Ker Sakta Hai Iss Kay Zor-E-Bazu Ka? Nigha-E-Mard-E-Momin Say Badal Jati Hain Taqdeerain


Happy Railway Week  Mubarak to all of you from shayari Online Team



Tukre Pare The Raah Me Kisi Larki Ki Tasveer

Tukre Pare The Raah Me Kisi Larki Ki Tasveer K

Lagta Hai Koi Deewana Samajhdaar Ho Gaya...

Tukre Pare The Raah

Wednesday, July 8, 2015

Haar jeet hindi sms



Ab yeh talab hay ke usey jeet ke haaroon


khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon
har aks tere husn ka ankhun main utaroon


woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata
dariya ko sada doon k samander ko pukaroon


jeewan bhi tu uljhi hoi doroon ki terha hay
iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon?


ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay
her saans ko khushnoodi e janaa pe main waroon


bahter hay k ab moot ko seene se laga loon


iss mann ko tere hijer main ab kitna main maroon


pehle tu faqat hasrat e deedar thi Wasiq
ab yeh bhi talab hay k USEY jeet k haroon



Gulashan ke faqat phoolon se nahi kanton se bhi zinat hoti hai



gulashan ke faqat phoolon se nahi kanton se bhi zinat hoti hai
jine ke liye is duniya mein gham ke bhi zarurat hoti hai
ae vaiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milati hain yahan roz qayamat hoti hai
wo purasish-e-gam ko aaye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun
kamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai
karana hi padega zabt-e-alam pine hi padenge yah aansu
fariyad-o-fugan se ae nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai
jo aake ruke daman pe ‘saba’ wo ashq nahi hain pani hai
jo aansu na chalake aankhon se us ashq ke qimat hoti hai


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Saba Afghani



Tum Aty Ho Chale Jate Ho

Tum Aty Ho Chale Jate Ho
Main Jurti Hun Toot Jati Hun...

Tum Aty Ho

Happy Valentine Day 2015




Bin Aapke Kuch Bhi Aacha Nahi Lagta,
Ab Mera Wajood Bhi Saccha Nahi Lagta.
Sirf Aapke Deedar K Intezaar Me Kat Rahi Hai Zindagi..,
Varna Kabki Maut Ki Aagosh Me So Jati Ye Zindagi.
Laut Aao K Aapke B’gair Ek Lamha Nahi Kat Ta
Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta



Tu Ne Ahsaan Kia Tha To Jataya Kion Tha

Tu Ne Ahsaan Kia Tha

Tu Ne Ahsaan Kia Tha To Jataya Kion Tha?
Is Qadr Bojh Ke Layk Shaney Nahi Mere...

Shaney = Shoulders;

Tuesday, July 7, 2015

Ya Allah – Teri Azmaton Say Hoon Bay-Khabar



Ya Allah – Teri Azmaton Say Hoon Bay-Khabar
Ye Meri Nazar Ka Kasoor Hai
Teri Rah’guzar May Kadam Kadam
Kahin Arsh Hai Kahin Toor Hai
Ye Baja Hai Malik-E-Band Agi
Meri Bandagi May Kasoor Hai
Ye Khata Hai Meri Khata Magar
Tera Naam Bhi To Ghafoor Hai
Ye Bata Tujh Se Miloon Kahan
Mujhe Tujh Say Milna Zaroor Hai
Kahin Dil Ki Shart Na Dalna
Abhi Dil Nigahon Say Dur Hai



Monday, July 6, 2015

Dil aur wo bhi tuta hua dil – Taskeen Qureshi



Dil aur wo bhi tuta hua dil
ab zindagi hai jine ke qabil
kya zindagi ka ehasas-e-shamil
tere bagair ek garat-gari dil
hota hai jitana khun-e-tamanna
badati hai utani rangini-e-dil
josh-e-junun mein yak sa hai dono
kya gard-e-sehra, kya khak-e-manzil
taqdir-e-insan aur ye zamana
ek marg-e-asan aur wo bhi mushqil
lab par tabassum, aankhon mein aansu
hum likh rahen hain afsana-e-dil
‘taskeen’ se aksar hum bhi mile hain
kuch bhi ho lekin hai sahib-e-dil


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Taskeen Qureshi



Jee Bhar K Dekhon Tujhe Agar Tujhko Gawara Hoo

Mere Jaan-O-Dil, Mery Humsafar Koi Baat Kar, Koi Baat Kar, Tery Lab Hilain, To Katy Safar Koi Baat Kar, Koi Baat Kar, Koi Bojh Hay To Utaar Dy Koi Khouf Hay To Nikaal Dy, Mera Haath Hay Tere Haath Par Koi Baat Kar, Koi Baat Kar, Nahi Yaad Kitny Baras Gaye Teri Guftgu Ko Taras Gaye, Meri Khirkiyaan, Mere Baam-O-Dar Koi Baat Kar, Koi Baat Kar, Tujhe

Sunday, July 5, 2015

Rimjhim Barsati Barsaat Mein



Rimjhim Barsati Barsaat Mein
Milane Jab Bhi Tum Aati Ho
Paani Ki Yeh Bondein Tum Per
Kyu Itna Sitam Mujh Per Dhati Ho


Jhulti Hai Tumhare Balo Per
Palko Per Attak Kahi Jaati Hai
Galo Ko Tumhare Chute Hue
Gale Se Lipat Si Aati Hai
Najar Humari Behakti Hai
Dil Ki Dhadkan Bad Jaati Hai
Bahot Jalta Hai Yeh Man
Bond Jab Tumahre Seene Mai Chup Jaati Hai


Tadap Kar  Jalta Hai Yeh Dil
Boond Ban Jaane Ko Man Karta Hai
Barish Ki Boond Ki Tarah
Tere Seene Se Lipat Jaane Ko Dil Karta Hai



Chand Ko Kia Khaber



Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber


Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber


Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber


Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber


Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber



Gile fuzul the ahad-e-vafa ke hote hue



gile fuzul the ahad-e-vafa ke hote hue
so chup raha sitam-e-narava ke hote hue
ye qurbaton mein ajab fasale pade ki mujhe
hai aashna ke talab aashna ke hote hue
wo hilagar hain jo majaburiyan shumar karen
chirag hum ne jalayen hawa ke hote huye
na kar kisi pe bharosa ke kashtiyan dubin
khuda ke hote huye nakhuda ke hote huye
kise khabar hai ki kasa-ba-dast phirate hain
bahut se log saron par huma ke hote hue
‘faraz’ aise bhi lamhen kabhi kabhi aaye
ki dil girifta raha dilruba ke hote hue


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ahmed Faraz



Saturday, July 4, 2015

True Love sms

Girl: What you’ll do, if I die?
Boy (naughtily said): I’ll be happy.


Next day he got news of girl’s death & she left a letter for him,
“I can do anything to make you happy”

Friday, July 3, 2015

Na jane ashk se aankhon mein kyon hai aaye hue – Firaq Gorakhpuri



Na jane ashk se aankhon mein kyon hai aaye hue
guzar gaya zamana tujhe bhulaye hue
jo manzilen hain to bas raharavan-e-ishq ke hain
wo sans ukhadi hui panv dagmagaye hue
na rahzanon se ruke raste mohabbat ke
wo kafile nazar aaye lute lutaye hue
ab is ke bad mujhe kuch khabar nahi un ke
gham aashana hue apne hue paraye hue
ye iztirab sa kya hai ki muddaten guzri
tujhe bhulaye hue teri yaad aaye hue


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri



Thursday, July 2, 2015

Wo Shakhs Jis Ki Yaad Me Ankhain Pighal

Wo Shakhs Jis Ki Yaad Me Ankhain Pighal Gain

Chup Chap Mere Pas Se Ho Kar Guzr Gaya...

Wo Shakhs Jis

Pathan ka Tarjarbay- Urdu Sms

Pathan ne makhi k dono par kat diye aur kaha


“UR ja”


wo na uri to pathan ne kaha:


Tajarbay se sabit hua k Agr makhi k dono pr Kat diye jain to wo Sun nai skti :)

Wo Din Kahan K Thi Mujhe Jeenay Ki

Wo Din Kahan K Thi Mujhe Jeenay Ki Aarzoo
Phirta Hun Ab To Dil Ka Janaza Liye Hue...

Blogger: Waqas Ali

Wednesday, July 1, 2015

Meri Udasion Ki Waja Pochta He



Wo Mujhse Meri Udasion Ki Waja Pochta He,
Kaisa Pagal He Dhalti Rat K Sannate Ki Wajah Pochta Hai,


Wo Mujhse Meri Barsati Aankhon Ki Waja Pochta Hai,
Kaisa Pagal Hai Barish K Barasne Ki Wajeh Pochta Hai,


Wo Mujhse Meri Pasand K Bare Me Pochta Hai,
Kaisa Pagal Hai Khud Apne Bare Main Pochta Hai



Mere Jesa Is Zamaany Me Koi Rehta

Mere Jesa Is Zamaany Me Koi Rehta Bhi Ho

Jo Khud Apne Haal Pe Hansta Bhi Ho Rota Bhi Ho...

Mere Jesa Is

Thahar jao ke hairani to jaye – Mohsin Naqvi



Thahar jao ke hairani to jaye
tumhari shakl pahachani to jaye
shab-e-gam tu hi mahaman ban ke aaja
hamare ghar ke virani to jaye
zara khul kar bhi ro lene do hum ko
ke dil ke aag tak pani ho jaye
bala se tod dalo aainon ko
kisi surat ye hairani to jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mohsin Naqvi