Monday, July 6, 2015

Dil aur wo bhi tuta hua dil – Taskeen Qureshi



Dil aur wo bhi tuta hua dil
ab zindagi hai jine ke qabil
kya zindagi ka ehasas-e-shamil
tere bagair ek garat-gari dil
hota hai jitana khun-e-tamanna
badati hai utani rangini-e-dil
josh-e-junun mein yak sa hai dono
kya gard-e-sehra, kya khak-e-manzil
taqdir-e-insan aur ye zamana
ek marg-e-asan aur wo bhi mushqil
lab par tabassum, aankhon mein aansu
hum likh rahen hain afsana-e-dil
‘taskeen’ se aksar hum bhi mile hain
kuch bhi ho lekin hai sahib-e-dil


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Taskeen Qureshi



No comments:

Post a Comment