Kabhi jo main ne masarrat ka ehatamam kiya
bade tappak se gham ne mujhe salam kiya
hazar tark-e-ta’alluq ka ehatamam kiya
magar jahan wo mile dil ne apna kam kiya
zamane valon ke dar se utha na hath magar
nazar se us ne basad mazarat salam kiya
kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roye
baqadr-e-martaba har gham ka ehataram kiya
hamare hisse ke may kam aaye pyason ke
zer-e-rah-e-khair gunah shikast-e-jam kiya
tulu-e-mahar se bhi ghar ki teergi na ghati
ek aur shab kati ya main ne din tamam kiya
dua ye hai ke na hun gumrah hamsafar mere
‘khumar’ main ne to apna safar taman kiya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi
No comments:
Post a Comment