Monday, June 30, 2014

Agar Naa Dard Meri Rooh Me Utar Jata

Agar Naa Dard Meri Rooh Me Utar Jata

Me Jesa Be-Khabar Aya Tha Be-Khabar Jata...

Agar Naa Dard Meri

Simplest Truth

Simplest Truth –


One Who Sends More


Forward Messages


To All


….


.


.


Is The One


Who Does Not Have


A b0yfriend .B-)

Zindgi se Piyara

Wo ik shaks jo hamein zindgi se piyara hai


Baghair us k veraan ye jahan sara hai


wo nai janta k uski zaat.. kiya hai


wohi to hai jo mohabt ka ik sitara hai


nai miltato dil ki halat ajeeb oti hai


k is mai mera nai dil ka kasoor sara hai


wo apni sab baton ko chup chup k byan kerta hai


yehi to ada hai jis ne humein mara hai


wo kiya tha?


kiya hai?


kiya ho ga?


kiya khabar?


Yehi pata hai k wo jaisa be hai


“BUS Hamara Hai”.

Khudaa woh waqt na laai



KHUDAA WOH WAQT NA LAAI


Khudaa woh waqt na laai keh sogawaar ho tu


sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaai
teri musarrat-e-peham tamaam ho jaai
teri hayaat tujhay talkh jaam ho jaai


Ghamoon say aaina-e-dil gudaaz ho tera


hajoom-e-yaas say baytaab ho kay reh jaai
wafoor-e-dard say seemab ho kay reh jaai
tera shabaab faqt khawaab ho kay reh jaai


Gharoor-e-hussn sarapa nayaz ho tera


taweel raatoon main tu bhi qaraar ko tersay
teri nigaah kissi ghum gusaar ko tersay
khazaan raseedah tamanna bahaar ko tersay


Koi jabeen naan teray sang-e-aastaan pay jhukay


keh jins-e-ijz-o-aaqeedat say tujh ko shaad karay
faraib-e-waada-e-farda pay aaitamad karay
khudaa woh waqt na laai keh tujh ko yaad aai



Sunday, June 29, 2014

Dipak rag hai chahat apni kahe sunayen tumhen – Hafeez Hoshiarpuri



Dipak rag hai chahat apni kahe sunayen tumhen
hum to sulagte hi rehte hain kyon sulagayen tumhen
tark-e-muhabbat, tark-e-tamanna kar chukane ke bad
hum pe ye mushkil aan padi hai kaise bulayen tumhen
sannata jab tanhai ke zeher mein bujhata hai
wo ghadiyan kyon kar katati hain kaise batayen tumhen
jin baton ne pyar tumhara nafrat mein badala
dar lagata hai wo baten bhi bhool na jayen tumhen



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Hoshiarpuri



Qabil-e-Daad Ye Ankhain Hain K In Ankhon

Qabil-e-Daad Ye Ankhain Hain K In Ankhon Se,
Khud Hi Pa-Maal Hue Khud Hi Tamasha Dekha...

Qabil-e-Daad Ye Ankhain

Saturday, June 28, 2014

Tu Hai Suraj Tujhe Maloom Kahan

Tu Hai Suraj, Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Me Utar Saham K Baad...

Tu Hai Suraj

Friday, June 27, 2014

Guru Ram Das Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Guru Ram Das Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Guru Ram Das Jayanti greeting.


Guru Gobind Singh Janamdivas ie. Birthday is about to come and here we present you small shayari on his birthday. Guru Gobind Singh was 10th Guru of Sikhism and he was behind the establishment of Khalsa. It is considered one of the most important achievement of Sikh Dharam / Sikhism.


Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain


Happy Guru Ram Das Jayanti Mubarak to all of you from Shayari Online Team



ELAAHI Phir Maza Kya Hai Yahan Duniya Me

ELAAHI Phir Maza Kya Hai Yahan Duniya Me Rehne Ka

Hayaat-e-Javedaan Meri Na Marg-e-Nagahaan Meri...

ELAAHI Phir Maza

Hum To Sada Se Log Hain Hum Se Kya Ronaq Hogi

Hum To Sada Se Log Hain Hum Se Kya Ronaq Hogi Teri Mehfil Me

Hum To Us Dil Ko Bhi Abaad Na Kr Paye Jis Me Hum Khud Basa Krte The...

Hum To Sada Se Log

Ache Logon Ko Sab Hi Chaha Karte Hain

Ache Logon Ko Sab Hi Chaha Karte Hain
Hai Koi Talab-Gaar Bohat Bury Hain Hum...

Ache Logon Ko

Mehfil Ko Suna Deti Hain



Main Kahoon Na Kahon Ye Aakhian Bata Deti Hain
Gham-E-Dil Ye Tammam Mehfil Ko Suna Deti Hain


Ho Jati Hian, Teri Yad Main Hum, Youn Aksar
Sookhay Hoye Takya Ko Bhi Bhiga Deti Hain


Jiss Nay Bhi Yahan Isiq Kiya Uss Nay Jana
Boolti Khamooshiyan Ye Apnay Main Sama Layti Hain


Youn Tou Nam Leva Isiq Kay Hian Yahan Per Be-Had
Nibhaya Isay, Woh Hi Janay, Ye Kitna Maza Deti Hain


Ye Imtehan Deti Hian Rat-E-Hijr Main Muhabbt Ka
Sooch Hi Sooch Main Ek Darya Baha Deti Hain


Lakh Chaho Gar Tum Chupana Dunya Say, Lali Inn Ki
Daga Baz Hain Ye, Fasana-E-Dard Poray Aalm Ko Bata Deti Hain



Thursday, June 26, 2014

Meri aankhon mein dekh ke tare sitare sare sharma gaye – Ibrahim Ashk



meri aankhon mein dekh ke tare sitare sare sharma gaye
par sajani ne hal na pucha aur samajhane sab aa gaye
din sune hain raten viran ik ik lamha aj pareshan
teri yaad ke kale saye shabon par bhi ab cha gaye
aah bhi ab kuch kam na aaye pyas badhe aur jam na aaye
aisi prit ke rit nibha ke sanam hum pachata gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Ashk



Mangte Hain Log Hum Se Teri Muhabbat

Mangte Hain Log Hum Se Teri Muhabbat Ka Saboot

Meri Mehendi Ka Laal Rang Teri Chahat Ki Gawahi Deta Hai...

Mangte Hain Log

Wednesday, June 25, 2014

Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai



Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai


Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hai
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Hai
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Us Ke Ishq Mein Bheeg Ke Ham Ko Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai



Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain



Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain


Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain


Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain


Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain


Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain


Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain



Haadsa Banke Koi Khawab Bikhar Jaye

Haadsa Banke Koi Khawab Bikhar Jaye To Kya Ho,


Waqt Jazbaat Ko Tabdeel Nahi Kar Sakta,



Dur Ho Jane Se Ehsaas Nahi Mar Sakta,


Ye Mohabbat Hai Dilo Ka Rishta



Ye Mohabbat Hai Dilo Ka Rishta


Aisa Rishta Jo Zameeno Ki Tarah,



Sarhado Mai Kabhi Taqseem Nahi Ho Sakta


Tu Kisi Aur Ki Raato Ka Haseen Chand Sahi,



Meri Duniya Ke Har Rang Mai Shamil Tu Hai,


Tujse Roshan Hai Mere Khawaab,Meri Umeede,



Mai Kisi Bhi Raah Se Guzru Meri Manzil Tu Hai


Meri Manzil Tu Hai.

Aye EID Tum Jab B Aana.



Aye EID Tum Jab B Aana.
Sab K Liye Bus KHUSHIYAN Lana.
Har Chehry Pr Hansi Sajana.
Har Aangan Mein Phool Khilana.
Jo Roaye Hain Enhen Hansana!
Jo Rothy Hain Enhein Manana.!
Jo Bichray Hain Enhein Milana!
Piyari EID Tum Jab Bhi Aana!
Sub K Liye KHUSHIYAN Lana.



Zindagi Ki Har Fizaon Me Yaad Rakhna
Dil Ki Sadaon Me Yaad Rakhna
Ye Tohfa Bohat Hai Mere Liye
Khaloos-E-Dil Se Duaon Me Yaad Rakhna



Share with us more .. Eid  poetry ..in comments section below




Tuesday, June 24, 2014

Wo Tahi Dast Bhi Kya Khoob Kahaani Gar Tha

Wo Tahi Dast Bhi Kya Khoob Kahaani Gar Tha

Baton Baton Me Mujhe Chand Bhi Laa Deta Tha...

Wo Tahi Dast Bhi Kya

Tor Kar Jor Lo Chahe Duniya Ki Har Cheez

Tor Kar Jor Lo Chahe Duniya Ki Har Cheez

Sab Kuch Qabil-e-Murammat Hai Aitbaar K Siwa...

Tor Kar Jor Lo

Monday, June 23, 2014

Barish Hui To Ghar K Dareechay Se Lage Hum

Barish Hui To Ghar K Dareechay Se Lage Hum
Chup Chap Sogwar Tumhe Sochte Rahe...

Barish Hui To

Sunday, June 22, 2014

O My Countrymen.



The Free You Were.
The Free You Are.
The Free You Will Be.
O The Sky Of My Country.
Give Me Your Shadow.
If Not, I Wil Snatch It.
O The Land Of My Country.
Give Me A Step Of Peace.
I Wil Give You My Blood Inreturn.
O The Luck Of My Country.
Give Me The Part Of Your Best.
I Beg To You For Peace.
For Peace I Live.
For Peace I Die.
For Peace I Fight.
For Peace Is My Life
Dedicatd To All Pakistan Lovers.



Shayari on Maa Mother



Ek Pedh Jisne Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di,
Apne Aanchal Mein Chupa Ke Rakha Nazar Kisi Ki Lagne Na Di


Yaad Ate Hai Bachpan Ke Din Jab Tu Mujhe Khilati Thi,
Har Bar Rone Par Tu Hi Mujhe Hasati Thi


Achi Neend Ke Liye Naajane Kaha Kaha
Se Nayi Loria Aur Kahaniya Lati Thi,
Ro Padhta Hai Yeh Dil Yad Karke Woh Din
Jab Haatho Se Apne Khana Khilati Thi

Teri Ungli Pakad Ke Maine Chalna Sikha,
Teri Hi Aankho Se Yeh Sansar Maine Dekha.
Bhagwan Khud Na Aa Ska Is Liye
Shayad Tujhe Mere Liye Bhej Diya,


Nhi To Woh Bhi To Hai Yaha Jinhe Lawaris Hi Sansar Mein Chod Diya.
Aaj Fer Teri God Mein Sone Ko Dil Kare,
Tere Hatho Se Khane Ko Dil Bekrar Hai


Yad Aa Gaye Woh Sunhere Din,
Dil Aaj Bhi Us Samay Mein Jane Ko Bekrar Hai
Bas Ab Yadein Hi Reh Gyi Yaad Karne Ko,
Bachpan Lot Ke To Aa Nhi Sakta,


Tujhe Kitna Chata Hu Maa
Tujhe Kabhi Yeh Bta Nhi Sajkta
Mera Har Saans Tera Ehsan Hai..
Jab Chahe Ise Le Lena,
Chod Ke Na Jana Kabii Chahe
Meri Sanse Bhi Mujhse Le Lena



Zardari Ka Latest Song

Zardari ka Latest Song


Bachna-A Gharibo
Lo Me Aa Gaya


Noto Ka Aashiq
Mulk Ka Dushman


Apni Ada Hai
BIBI Se juda


HE HOO….:-

Jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho – Ahmed Faraz



jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
ae jan-e-jahan ye koi tum sa hai ke tum ho
ye khwab hai khushbu hai ke jhonka hai ke pal hai
ye dhundh hai badal hai ke saya hai ke tum ho
is did ke saat mein kai rang hain larazan
main hun ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
dekho ye kisi aur ke aankhen hain ke meri
dekhun ye kisi aur ka chehara hai ke tum ho
ye umr-e-gurezan kaheen thahare to ye janun
har sans mein mujh ko ye lagata hai ke tum ho
har bazm mein mauzu-e-sukhan dil zadgan ka
ab kon hai shirin hai ke laila hai ke tum ho
ik dard ka phaila hua sahara hai ke main hun
ik mauj mein aaya hua dariya hai ke tum ho
wo waqt na aaye ke dil-e-zar bhi soche
is shahar mein tanha koi hum sa hai ke tum ho
aabad hum aashufta saron se nahi maqtal
ye rasm abhi shahar mein zinda hai ke tum ho
ae jan-e-‘faraz’ itni bhi taufiq kise thi
hum ko gam-e-hasti bhi gavara hai ke tum ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



Saturday, June 21, 2014

Main Shajjar Tha Shajjar Hi Raha

Main Shajjar Tha Shajjar Hi Raha

Wo Badalta Raha Mausam Ki Tarha...

Main Shajjar Tha

On This Special Day

On this special day,
best wishes go to you,
that this wonderful love u skhare,
lasts your lifetime through.
Happy anniversary to you my Love

Main Woh Launda Nahin

Honey Singh : Main woh launda
nahin hu jo tere sath padhta hun…
Girl : Haan IIT mein hun main, teri
aukaat bhi nahi hai wahan padhne
ki…

Charhte Sooraj Dhalde Wekhe, Bujhe Deewe Balde Wekhe - Bullhe Shah

Charhte Sooraj Dhalde Wekhe, Bujhe Deewe Balde Wekhe,
Heeray Da Koi Mul Na Taare, Khote Sikky Chalde Wekhe,

Jinnan Da Na Jag Te Koi, Oovi Puttar Palde Wekhe,
Aohdi Rehmat Dey Naal Bande, Pani Uttey Chalde Wekhe

Loki Kehnde Dal Ni Galdi, Mein Te Pathar Galde Wekhe
Jinha Qadar Na Ketti Yaar Di ‘Bulhiya’ Hath Khali Oo Malde Wekhe

Baba Bullhe Shah

Friday, June 20, 2014

Rone se aur ishq mein bebak ho gae – Mirza Ghalib



Rone se aur ishq mein bebak ho gae
dhoe gae hum aise ki bas pak ho gae
sarf-e-baha-e-mai hue aalat-e-maikashi
the ye hi do hisab so yon pak ho gae
rusava-e-dahar go hue aavargi se tum
bare tabiyaton ke to chalak ho gae
kehta hai kon nala-e-bulbul ko beasar
parde mein gul ke lakh jigar chak ho gae
puche hai kya vajud-o-adam ahl-e-shauq ka
aap apni aag se khas-o-khashak ho gae
karne gaye the us se tagaful ka hum gila
ke ek hi nigah ki bas khak ho gae
is rang se uthai kal us ne ‘asad’ ke nash
dushman bhi jis ko dekh ke gamnak ho gae


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib



Kabhi ae haqiqat-e-muntazir nazar aa libas-e-majaz mein – Sir Muhammad Iqbal



Kabhi ae haqiqat-e-muntazir nazar aa libas-e-majaz mein
ke hazaron sajde tadap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab aashana-e-kharosh ho tu nava hai maharam-e-gosh ho
wo surur kya ke chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina
ke shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kaheen jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-navaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gazanavi mein tadap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sir Muhammad Iqbal



Aitbaar Nahi Hota



Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Hote Hain Bass Samjhote Dilon Ke, Koi Pyar Nahi Hota


Kitna Bhi Samjha Leinn Hum, Iss Dil-e-Nadaan Ko
Ek Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota


Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pay Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota


Lagte Hain Jo Pal Suhane, Wo Hain Mere Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahi Hota


Dhal Jaate Hain Ye Ashk, Ek Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota



Aqayad vaham hai mazahab khayal-e-kham hai saqi – Sahir Ludhianvi



aqayad vaham hai mazahab khayal-e-kham hai saqi
azal se zahan-e-insan bast-e-auham hai saqi
haqiqat-ashanai asl mein gum-kardah-rahi hai
urus-e-agahi paravardah-e-abaham hai saqi
mubarak ho zaifi ko khirad ki falsafadani
javani beniyaz-e-ibrat-e-anjam hai saqi
abhi tak raste ki pech-o-kham se dil dhadakata hai
mera zauq-e-talab shayad abhi tak kham hai saqi
vahan bheja gaya hun chak karne pard-e-shab ko
jahan har subah ki daman pe aks-e-sham hai saqi


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



Thursday, June 19, 2014

Kaash 6 Za Domra Khaista Way



Kaash 6 Za Domra Khaista Way,
Laka Ta Che Ye Janana.


Za Ba Domra Maghroor Na Way,
Laka Ta Che Ye Janana.


Da Che Sta Nafrat Ta Goram,
No Pa Shundo Me Dua Shi.



Dase Za Hum Be-Parwah Way,
Lakah Ta Che Ye Janana.


Yao Patang Ba Azaar Na Way
Sta Da Kali Pa Koso K,


Paky Baala Shama Za Way
Laka Ta Che Ye Janana.


Ka Pa Yao Gutt Ye Ajal Wo,
KHIYAL Bas Kali Wo Jamoona,


Da Sharab Domra Trakha Way,
Laka Ta Che Ye Janana.



Waqt insan ko sikha deta

Waqt insaan ko sikha deta hai ajab ajab cheezain.


Phir kya naseeb, kya muqaddar, kya hath ki lakeerain..:-).

Wednesday, June 18, 2014

Jiye Jaana Bari Aziyyat Hai

Jiye Jaana Bari Aziyyat Hai

Kash Azal Se Hi Mar Gaye Hote...

Jiye Jaana Bari

Aya Kuch Is Adaa Se K Palkein Bhigo Gaya

Aya Kuch Is Adaa Se K Palkein Bhigo Gaya

Jhonka Tere Khayal Ka Kitna Shadeed Tha...

Submitted by: Rashid Khalid

Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam



Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam
Deeda Jalwo Ki Ataa Keeje Aankhe He Nam


Rahmate Rabbe Ala Sarware Ardo Sama!
Hum Gunegar Sahee Teri Ummat Me He Hum


Sabze Ghumbad Ki Faqat Tasnaghi Awj Pe He
Rakna Ya Salle Ala Hum Faqeero Ka Bharam



Zeest Ki Ekh Ghari Sakht Mushkil He Khari
Ab Bulaa Le?Jiye Hame Tan Me Saanse Bhi He Kam


He Dua Shaam-O Sahar Ho Madine Ka Safar
Khaake Aqdas Pe Jabein Jhukte Hi Nikle Ye Dam


He Dua Seekh Le Woh Naat Lekhne Ka Hunar
Kar Do Ishrat Ko Ataa Ya Nabi Aisa Qalam



Majboori shayari




Waqt Ne Hume Kuch Yu Majboor Kr Diya
Ki Meri Hr Khushi Se Mujhe Door Kr Diya
Waqt Ne…


Kuch Baat To Hogi Us Haseen Pal Mein
Jo Shayad Haasil Na Ho Aane Wale Kal Mein
Gum Ki Galiyo Mein Hume Ab Mash-hoor Kr Diya
Waqt Ne Hume Kuch Yu Majboor Kr Diya…



Bitha Ke Saamne Jee Bhar Ke Deedar Karna
Ek Roz Baahon Mein Bhar Ke Pyar Karna
Meri Majboori Samjhna Shikva N Koi Karna
Hum Tere Hi Rahenge Humara Aitbar Karna



Tumse Pyaar Na  Karma Meri
Majboori Hai
Apni Zindgi Mein Jagah Na Dena
Meri Majboori Hai


Khud Ko Apne Aapme Chuppakar
Rakhna Meri Majboori Hai


Ankhon Mein Ansooyon Ka Sailab Hai
Hoot.On Par Fir Bhi Muskarahat Lana
Meri Majboori Hai


Apni Tadap Tum Par Naa Khul Gaye.
Tumse Door Jana Meri Majboori Hai


Meri Inn Majbooriyon Ko Tum Par
Zahir Na Karma Bhi Meri Majboori Hai.



Share with us more ....Majboori shayari .…in comments section below



I Know You Are Not Ok

Sometimes When I Say: ” I’m Okay ”
I Want Someone To Look Into My Eyes….
“HUG” Me Tight And Say
” I Know You Are Not ok…!! “

Tuesday, June 17, 2014

Tumhe Dekha Hai Jis Din Se

Tumhe Dekha Hai Jis Din Se
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Mere Khawabon Ki Tehreerein
Mehaz Teri Hi Tasveerein

Nazar Ye Aashna Bhi Hai
Tumhe Shayad Pata Bhi Hai

Tumhe Socha Hai Jis Din Se
Adawat Tab Se Karta Hun
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Meri Khamosh Dharkan Ki
Sada Bas Tum Hi Ho Jana

Main Jis Ko Apna Kehta Hun
Dua Wo Tum Hi Ho Jana

Nazar Me Jab Se Ayi Ho
Main Chahat Tab Se Karta Hun
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Kabhi Samjho Isharon Ko
Tumhe Pane Ki Hasrat Hai

Bata Do Aye Meri Jana
Kya Tum Ko Bhi Mohabbat Hai

Hua Hun Jab Se Dewaana
Wafaawat Tab Se Karta Hun
Mohabbat Tab Se Karta Hun

Tumhe Dekha Hai Jis Din Se
Mohabbat Tab Se Karta Hun...

Submitted By: Shamsul Hasan

Belong to our future

Sometimes we need to forget some people


from our past because of one simple reason


They just do not belong to our future

Monday, June 16, 2014

Tom And Jerry Sms

Some relations r like


‘TOM n JERRY’


they tease each other,


They knock down each other,


They irritate each other,


But they even cant live without each other.


Submit By: nabeel

Is ada se wo wafa karte hain – DaaG Dehlvi



Is ada se wo wafa karte hain
koi jane ke wafa karte hain
hamako chodoge to pachataoge
hansanae valon se hansa karte hain
ye batata nahi koi mujhko
dil jo aa jaye to kya karte hain
husn ka haq nahi rehta baqi
har ada mein wo ada karte hain
kis qadar hain teri aankhen bebak
in se fitne bhi haya karte hain
is liye dil ko laga rakkha hai
is mein dil ko laga rakkha hai
“dag” tu dekh to kya hota hai
jabr par jabr kiya karte hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



Kis Tarah Aur Pass Aaon Main



Kis Tarah Aur Pass Aaon Main,
Sirf Apna Tumein Banaaon Main.


Paas Ho Kar Bhi Door Hain Itne,
Kis Nidaa Se Tumein Bulaaon Main.


Raat Din Be Qaraar Rehta Hoon,
Kaash, Lamhe Ka Chain Paaon Main.


Dhoop Hai Tez,Kahin Chaaon Nahin,
Abra Ko, Ab,Kahan Se Laaon Main.


Aik Lamhe Bhoola Nahin Paata,
Khoob Kehto Ho,Bhool Jaaon Mai



Kya Husn Tha K Aankh Se Dekha Hazaar

Kya Husn Tha K Aankh Se Dekha Hazaar Baar

Phir Bhi Nazar Ko Hasrat-E-Deedaar Reh Gai...

Kya Husn Tha K

Khwabon mein tere gar meri khvahish nahi hogi – Farhat Shehzad



khwabon mein tere gar meri khvahish nahi hogi
mujhase teri aankhon ke parastish nahi hogi
aavaz meri baith to sakati hai thakan se
lahaje mein agar mere guzarish nahi hogi
ho fikr jise khud wo mera hal parakh le
mujhase to mere gham ke numaish nahi hogi
mane ke na mane mujhe ‘shehzad’ zamana
ye tai hai ke mujh se koi sazish nahi hogi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Farhat Shehzad



Sunday, June 15, 2014

Talkhi-e-may mein zara talkhi-e-dil bhi gholen – Krishan Adeeb



Talkhi-e-may mein zara talkhi-e-dil bhi gholen
aur kuch der yahan baith ke pi lain ro lain
har taraf ek purasarar si khamoshi hai
apne saye se koi baat karen kuch bolen
koi to shakhs ho jee jan se chahen jis ko
koi to jan-e-tasavvur ho ke jis ke ho lain
aah ye dil ke kasak haye ye aankhon ke jalan
neend aa jaye agar aj to hum bhi so lain


Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Krishan Adeeb



Saturday, June 14, 2014

No One is Prefect

People say
Find good people & leave bad ones.
But it should be, find the good in people &
ignore the bad in them
No one is prefect

Dil mein na ho jurrat to muhabbat nahi milati – Nida Fazli



Dil mein na ho jurrat to muhabbat nahi milati
khairat mein itni badi daulat nahi milati
kuch log yun hi shahar mein hum se bhi khafa hain
har ek se apni bhi tabiyat nahi milati
dekha tha jise main ne koi aur tha shayad
wo kon hai jis se teri surat nahi milati
hanste huye cheharon se hai bazar ke zinat
rone ko yahan vaise bhi fursat nahi milati


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



Friday, June 13, 2014

Hai mashq-e-sukhan jari chakki ke mushaqqat bhi – Hasrat Mohani



hai mashq-e-sukhan jari chakki ke mushaqqat bhi
ek turfa tamasha hai “hasrat” ke tabiyat bhi


jo chaho saza de do tum aur bhi khul khelo
par hum se qasam le lo ke ho jo shikayat bhi


khud ishq ke gustakhi sab tujh ko sikha degi
ae husn-e-haya-parvar shokhi bhi sharat bhi


ushaq ke dil nazuk us shokh ke khu nazuk
nazuk isi nisabat se hai kar-e-muhabbat bhi


ae shauq ke bebaki wo kya teri khvahish thi
jis par unhen gussa hai inkar bhi hairat bhi


hain ‘shad’-o-‘safi’ shayar ya ‘shauq’-o-‘wafa’ “hasrat”
phir ‘danish’-o-‘mahashar’ hain ‘iqbal’ bhi ‘vahashat’ bhi


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Mohani



Wednesday, June 11, 2014

Ye Jo Samne Ladka

Girl:


Ye Jo Samne Ladka Betha Hai


Is Ka Naam Kya Hai


Waiter:


Yeh Ali Shahb Hain


Girl:


Yeh Mjhe Aik Ghantay Se Pareshan Kar Rahey Hain


Waiter:


Magar Wo To Apki Taraf Dekh Bhi Nahi Rahay?


Girl:


Yahi To Pareshani Hai


Moral:


Dunia Shareefon Ko Jeenay Nahi Deti

Tuesday, June 10, 2014

Jamaa Tum Ho Nahi Sakte Mujhe Manfi Se Nafrat Hai

Jamaa Tum Ho Nahi Sakte
Mujhe Manfi Se Nafrat Hai
Tumhe Taqseem Karta Hun
To Haasil Kuch Nahi Aata
Koi Qaida Koi Kuliya
Na Laagu Tujh Pe Ho Paaye
Zarab Tujh Ko Agar Doon To
Hisaabon Me Khallal Aye
Akai Ko Dahai Par
Me Doon Nisbat To Kese Doon
Na Qaalib Ki Tarha Tum Ho
Na Al-Jabra Se Lagte Ho
Umer Ye Katt Gayi Meri
Tujhe Humdam Samjhne Me
Jo Hall Tera Agar Nikle
To Sab Kuch Hi Ulajh Jaye
Sifar Thi Ibtidaa Teri
Sifar Hi Ab Talak Tum Ho
Sifar Zarb-E-Sifar Ho Tum
Na Jis Se Kuch Faraq Aye…

Jamaa Tum Ho Nahi

Jo Baat Hum Keh Nahi Sakte, Usey Ham Farz

Farz-Mohabbat-Shayari

2 Lines Romantic Poetry

Jo Baat Hum Keh Nahi Sakte, Usey Ham Farz Karte Hain
Chalo Hum Farz Karte Hain, Hame Tum Se Mohabbat Hai…

Barishon K Mosam Me

Barishon K Mosam Me
Tum Ko Yad Karne Ki
Aadatein Purani Hain
Ab Ki Bar Socha Hai
Aadatein Badal Daalein
Phir Khayal Aya K
Aadatein Badalne Se
Barishein Nahi Rukti...

Submitted By: Ayesh

Monday, June 9, 2014

Palkon Ko Gham-e-Hijar Ne Araam Na

Palkon Ko Gham-e-Hijar Ne Araam Na Bakhsha

Ankhon Se Nahi Neend Muqaddar Se Uri Hai...

Palkon Ko Gham

Sunday, June 8, 2014

Dil De Asmaani, Gamm De Badal



Dil De Asmaani, Gamm De Badal Cha Hi Jande Ne
Yaad Ohdi Ch Hanju Jhadiyan Laa Hi Jande Ne
Pyaar Ch Aksar So Jande Aa Naseeb Par Raatan Di Neend Uda Hi Jande Ne
Amrinder Eh Ishq Smunder Tarna Na Mumkin
Pher Sochida Tufaan V Kayi War Kinare Laa Hi Jande Ne



Dil Us Ko Dia Hai To Wohi Is Me Rahe Ga

Dil Us Ko Dia Hai To Wohi Is Me Rahe Ga

Hum Log Amaanat Me Khayanat Nahi Karte...

Dil Us Ko Dia Hai

Kabhi yun bhi to ho – Javed Akhtar



Kabhi yun bhi to ho
dariya ka sahil ho
pure chand ke raat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
pariyon ke mahafil ho
koi tumhari baat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye narm mulayam thandi havayen
jab ghar se tumhare guzaren
tumhari khushbu churayen
mere ghar le aayen
kabhi yun bhi to ho
suni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye badal aisa toot ke barase
mere dil ke tarah milane ko
tumhara dil bhi tarase
tum nikalo ghar se
kabhi yun bhi to ho
tanahai ho, dil ho
bunden ho, barsat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Javed Akhtar



Kaha Tha Us Ne Ke Apna Bana Kar Choron Ga - Dard Shayari

Urdu-Dard-Shayari

Urdu Dard Shayari

Kaha Tha Us Ne Ke Apna Bana Kar Choron Ga,
Aur Phir Hua Bhi Yehi, Apna Bana Ke Chorr Diya…:(

Saturday, June 7, 2014

Kam aa sakin na apni vafayen to kya karen – Akhtar Shirani



Kam aa sakin na apni vafayen to kya karen
ik bevafa ko bhool na jayen to kya karen
mujh ko ye etaraf duaon mein hai asar
jaye na arsh par jo duayen to kya karen


ik din ke baat ho to use bhool jayen hum
nazil hon roz dil pe balayen to kya karen


shab bhar to un ke yaad mein tare gina kiye
tare-se din ko bhi nazar aayen to kya karen


ahad-e-tarab ke yaad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhool na jayen to kya karen


ab jee mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lain
wo bar bar yaad jo aayen to kya karen
tark-e-vafa bhi jurm-e-muhabbat sahi “akhtar”
milane lagen wafa ke sazayen to kya karen


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Shirani



Teri Aankhon Main Mere Dil Ka Naqsha



Teri Aankhon Main Mere Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Rasta Ho Bhi Sakta Hai


Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi ki Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai


Wo Apni Sard Mohri Se Mujhe Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai


Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kaun Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai


Yeh Seedhii Raah Par Chalna Kaha’n Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Ra’sta Dostii Ka Hai Yeh Tairha Ho Bhii Sakta Hai


Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai


Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai



Friday, June 6, 2014

Dil 1 Bar TOOT Jaye to

Usy Main ne hi Likha Tha,
K.!
Lehjy Barf ho jayen to Pighla Nhi krty
Parindy Darr k urr jayen to lota Nhi krty,
Usy Main ne hi Likha tha
Yaqeen uth Jaye to
Shayad
Kabi Wapis Nhi aata
Hawaon ka koi Tufan
Kabi Barish Nhi Lata
Usy Main ne hi Likha Tha
K
dil1 Bar TOOT Jaye to
Kabi JURR Nhi Pata.
Wabasta jin sy UMEEDAIN hon
WO Badal jayn
To!
Phir un Per Aetbar nahi rehta.

Thursday, June 5, 2014

Bachay bhi Ghareebi Ko Samjhny lagay - 2 Line Poetry

Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shyed - two line poetry

Urdu Dard Shayari


Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay...!

Need to Make It

“No nation is perfect,
it needs to be made perfect”
.
.
.
Happy Independence day.

Wednesday, June 4, 2014

Muhabat Ki Tabiyat Main



Muhabat Ki Tabiyat Main Yeh Kaisa Banchpana Qudrat Ne Rekha Hai
K Yeh Jitni Purani Jitni Mazbot Ho Jaye
Ise Taeede Taza Ki Zarorat Phir Bhi Rehti Hai
Yaqeen Ki Akhri Had Tak Dilon Main Lehlahati Ho
Nigahun Se Tapakti Ho Lehu Main Jagmgati Ho
Hazaron Tarah K Dilkash Haseen Hale Banati Ho
Ise Izhaar K Lafzun Ki Hajat Phhir Bhi Rehti Hai
Muhabt Mangti Hai Youn Gawahi Apne Hone Ki
K Jaise Tifl E Sada Sham Ko Ik Beej Boye
Aur Shab Main Barha Utthe
Zameen Ko Khod Kar Dekhe , K Pooda Ab Kehan Tak Hai
Muhabt Ki Tabiyat Main Ajab Takrar Ki Khu Hai
K Yeh Iqrar K Lafzun Ko Suunne Se Nahi Thakti
Bichardne Ki Ghardi Ho Ya Koi Milne Ki Saaat Ho
Ise Bas Aik Hi Dhun Hai
Keho” Mujh Se Muhabat Hai
Keho Mujh Se Muhabbat Hai


Tumhain Mujh Se Muhabat Hai
Sumander Se Kahin Gehri,Sitarun Se Siwa Roshan
Pahardun Ki Tarah Qaim , Hawaon Ki Tarah Daaim
Zameen Se Asman Tak Jis Qadar Ache Manazar Hain
Muhabt K Kanaye Hain Wafa K Istaare Hain
Humare Hain
Humare Waste Ye Chandni Ratain Sanwarti Hain
Sunehra Din Nikalta Hai
Muhabt Jistaraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai”


Kuch Aisi Be-Sakooni Hai Wafa Ki Sarzameenon Main
K Jo Ehl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai
K Jaise Phool Main Khushboo, K Jaise Hath Main Para
K Jaise Sham Ka Tara
Mohabbat Karne Waloon Ki Seher Ratoon Main Rehti Hai
Guman K Shak-Choon Main Aashian Banta Hai Ulfat Ka
Ye Ain-E-Visl Main Bhi Hijr K Khadshoon Main Rehti Hai


Mohabbat K Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte Hain
Thakan Ki Kerchiaan Chunte, Wafa Ki Afrkiaan Pehne
Same Ki Rah Guzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rakhte Hain
To Koi Doobti Sansoon Ki Dori Tham Kar
Dheere Se Kehta Hai

Ye Sach Hai Na !!
Hamari Zindagi Ek Dosre Ke Naam Likhi Thi
Dhund-Laka Sa Jo Aankhoon K Qareeb-O-Door Phela Hai
Isi Ka Naam Chahat Hai
Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi
” Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ”

Mohabbat Ki Tabiat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai


Amjad Islam Amjad



Manzil To Yehi Thi Bas - Inspirational Poetry

Manzil To Yehi Thi…. (Qabar) Bas,
Zindagi Guzar Gai Yahan Tak Aate Aate…

Sach

Mein Ny Mohabbat Mein Tum Par Yun Bharosa Kia

Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Haath Pakar Ke Chalty?
Mein Ny Mohabbat Mein Tum Par Yun Bharosa Kia Tha.....

Bewafa Mohabbat Shayari

When you speaks

When you speak to Allah do not embarrassed to tell him anything.


The most beautiful thing is that he knows


what you are about to tell him and yet he still listens

Khoon Behta Hai Uski Galiyon Me

Khoon Behta Hai Uski Galiyon Me
Mera Lahore Aab-Deeda Hai...

Pray For Lahore

Khoon Behta Hai

Tuesday, June 3, 2014

Ghalib Sher O Shayari

maikhano me jaam ke sahare jite rhe,,,,,,,,,,,,,,, jindgi thi dastan gamon ki use aasuon se likhte rhe,,


kisi ne kaha ye teri kaisi jindgi hai ,,,,,,,,aur mere labon pe gujre dino ki kahani aai
dil tha mera betab aur aankho me pani aai kabhi rehta tha mai rimjhim taron ki dunia me ek din koi pariyon ki raani aai ,,


chhoti chhoti baten ki aehsas dilai pyar ka ye vada kiya ki mai fir aaungi mai intjaar karta raha unki par ek din o to nhi aai par unki ek likhi hui chhoti si kahani aai ,,


alfaz thee bhhol ja mujhe dulhan ban gai mai aur aaj mere ghar ek rajkumar ki doli aai,,,


fir kya mere dil me lagi aag aur jindgi me gamon ki baadl chhai,,,,,, socha mitadu apne aap ko :


kosis kiya tabhi maikhane aaya sarab uthai
ek karishma hua har jaam me unka muskurata hua chehra paya


kisi ne kaha chhor do sarab par kaise chhor du ishe jisme maine apni jindgi pai ;(

Aye Hasil-e-Khaloos Bata Kya Jawab Dun

Aye Hasil-e-Khaloos Bata Kya Jawab Dun
Duniya Ye Puchti Hai Me Kiun Udaas Hun...

Blogger: Waqas Ali

Shair o shayari romantic



Na jane kiyon tumhare naam se itni muhabbat hai
Kisi ka naam leti hoon to tumhara naam aata hai


Jab khayalon me nideyen palak hoti hai
Dil me paida teri yaadon ki mahak hoti hai


Tu shabo roz ka hasil hai mera saath na chod
Tu hi ham raaz ke qabil hai mera sath na chod


Itni haya itna tabassum kyu hai aaj in aakho me,
kyu bahak rahi hai tu kya basa hai in saanso me,
hai tu mera aks meri parchhai meri jan tu,
aa me bhar du bas fool hi fool teri in raaho me….


Na dil diya hota na jaan diya hota


Kuch tuhi mere dard ka mafhoom samajh le


Hasta hua chehra zamane ke liye hai


Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte


Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte


Share with us more Shair o shayari romantic in comments section below.



Monday, June 2, 2014

Usey Keh Do Wo Mera Hai - Urdu Ghazal Shayari

Love-Sad-Picture

Urdu Poetry - Love Shayari

Usey Keh Do Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta ,
Bohat Nayab Hai, Us Jaisa Koi Ho Nahi Sakta...

Us Ke Sath Jo Guzra Wo Mousam Yaad Aata Hai,
Us Ke Baad Koi Mousam Suhana Ho Nahi Sakta...

Chupane Se Nahi Chupta, Dikhane Se Nahi Dikhta ,
Ye Atish-E-Ishq Hai Is Mein Bahana Ho Nahi Sakta...

Wo Dil Pe Naqsh Ho Jaye, Nigahon Mein Sama Jaye,
Ke Is Dil Mein Kisi Ka Phir Se Aana Ho Nahi Sakta....

Bohat Hain Chahne Wale Us Ke Hum Ne Suna Hai, Par
Koi Bhi Doosra Hum Sa Deewana Ho Nahi Sakta…