Jamaa Tum Ho Nahi Sakte
Mujhe Manfi Se Nafrat Hai
Tumhe Taqseem Karta Hun
To Haasil Kuch Nahi Aata
Koi Qaida Koi Kuliya
Na Laagu Tujh Pe Ho Paaye
Zarab Tujh Ko Agar Doon To
Hisaabon Me Khallal Aye
Akai Ko Dahai Par
Me Doon Nisbat To Kese Doon
Na Qaalib Ki Tarha Tum Ho
Na Al-Jabra Se Lagte Ho
Umer Ye Katt Gayi Meri
Tujhe Humdam Samjhne Me
Jo Hall Tera Agar Nikle
To Sab Kuch Hi Ulajh Jaye
Sifar Thi Ibtidaa Teri
Sifar Hi Ab Talak Tum Ho
Sifar Zarb-E-Sifar Ho Tum
Na Jis Se Kuch Faraq Aye…
No comments:
Post a Comment