Friday, June 13, 2014

Hai mashq-e-sukhan jari chakki ke mushaqqat bhi – Hasrat Mohani



hai mashq-e-sukhan jari chakki ke mushaqqat bhi
ek turfa tamasha hai “hasrat” ke tabiyat bhi


jo chaho saza de do tum aur bhi khul khelo
par hum se qasam le lo ke ho jo shikayat bhi


khud ishq ke gustakhi sab tujh ko sikha degi
ae husn-e-haya-parvar shokhi bhi sharat bhi


ushaq ke dil nazuk us shokh ke khu nazuk
nazuk isi nisabat se hai kar-e-muhabbat bhi


ae shauq ke bebaki wo kya teri khvahish thi
jis par unhen gussa hai inkar bhi hairat bhi


hain ‘shad’-o-‘safi’ shayar ya ‘shauq’-o-‘wafa’ “hasrat”
phir ‘danish’-o-‘mahashar’ hain ‘iqbal’ bhi ‘vahashat’ bhi


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Mohani



No comments:

Post a Comment