Saturday, October 31, 2009

Hamein Pata Tha Ke Teri Mohabbat Ke Jaam Mein Zehar Hai

Hamein Pata Tha Ke Teri Mohabbat Ke Jaam Mein Zehar Hai,
Lekin Tere Pilane Mein Khaloos Itna Tha Ke Ham

Jaam Shayari

Na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe – Malikzada Manzoor Ahmad



Na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe
khud apne bag ke phoolon se dar lage hai mujhe


ajeeb dard ka rishta hai sari duniya mein
kaheen ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
main ek jam hun kis kis ke honth tak pahunchun
gazab ke pyas liye har bashar lage hai mujhe


tarash leta hun us se bhi aaine “manzoor”
kisi ke hath ka pathar agar lage hai mujhe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Malikzada Manzoor Ahmad



3 Charsi On Motorcycle

3 charsi motorcycle per ja rahe the


Darmyan wle ko AWAZ sunai di


““““ thaaaaaa ““““`
Usne apne aagy wale se pocha


“Goli tenu vajji a?”


usne kaha ‘nai’.


usne apne peechy wale se pocha


“te fer Goli tenu vajji a?”


wo b bola ‘nai’


Wo Khud neechy gir gya:


“Le fer Menu e vajji oou”

Most Difficult Exams

Life is the most difficult exam.


Many people fail bcoz they try to copy others,


not realizing that everyone has a different question paper.

Friday, October 30, 2009

Na Lafzon Ka Lahu Nikalta Hai Na Kitabain Bol

Na Lafzon Ka Lahu Nikalta Hai Na Kitabain Bol Pati Hain

Mere Dard K Do Gawah The Dono Be-Zubaan Nikle...

Na Lafzon Ka Lahu

Kisi Din Tez Barish Main



Kisi Din Tez Barish Main
Agar Tum Bheeg Jao To
Agar Barish K Ye Qatray
Tumhari Zulf Ko Chu Kar
Tumharay Gaalon Ko Chumen
Agar Barish K Pani Say
Agar Thandi Hawaon Say
Kisi Purzor Jhonkay Say


Meri Jan Jhoom Jao To
Mujhy Tum Yaad Kar Lena
Agar Khwahish Ho Aisay Main
Koi Sathi Ho Bahon Main
Jo Chheray Zulf Ko Teri
Teray Rukhsar Ko Choomay
Tu Jhoomay Us Ki Bahon Main
Teri Bahon Main Wo Jhoomay
Mujhy Tum Yaad Kar Lena……



Ki Mohammad Se Wafa Tu Ne, To Ham Tere Hain - Eid Milad Un Nabi

Ki Mohammad (PBUH) Se Wafa Tu Ne, To Ham Tere Hain,
Yeh Jahan Cheez Hai Kia, Looh-o-Qalam Tere Hain…!

Mohammad Se Wafa

SomeOne..
MiSSES U..
NeeDS U..
Worries About U
Lonely Without U
Guess Who?
THE MONKEY IN
… THE ZOO ..

Agar Ap Race

1) Agar Aap Race Mein Doosray Number Pe Aanay Walay Ko Overtake Kar Gaye Toh Aap Kaunsi Position Pe Huay?


Ans:2nd
2) Wo Kya Cheez Hai Jo Hathi Jitni Bari Hai Mgr Uska Wazan Koi Nahi Hota? Hathi Ka Saya
3) Wo Kya Cheez Hai Jo Din Rat Dorti Hai Magr Us K Koi Paao’n Nahi Hote?
Ans: Waqt

Kids of our age

Boy and girl of class 2 asked teacher:
can kids of our age have kids?


Teacher replied NO Never !!


Boy said to girl: see i told you not to worry.

This Is A Bridge Of Friendship

This is a bridge of friendship,
when you are sad and lonely,
cross it.
I will wait on the other side.
If u r afraid just tell me, I
will cross it for YOU!

Thursday, October 29, 2009

Tumhari Yaad ke Saaye Mere Seene Mein Baste Hain



Tumhari Yaad ke Saaye Mere Seene Mein Baste Hain,
Tmhri Jo Ijazat Ho Inhy Azad Karna Hai,
Mri Ankho K Ashko Mai,
Tmhra Aks Dkhta H,
Tmhri Jo Ijzat Ho Ye Aks Haqeqat Mai Bdlna Hai
Mri Khushio K Kison Mai,
Mri Yado K Hison Mai,
Tmhra Nam Likha Hai,
Tmhri Jo Ijazat Ho Mje Ye Nam Pana Hai,
Mry Hatho Ki Lakerain Bht S0ni C Hain Jana,
Tmhri Jo Ijazat Ho,
Tmhy In Mai Rakam Krna Hai…



tabeeb (doctor) se bachna

Agr ap kisi tabeeb (doctor) se bachna chahty hen.
(1)To sura-e- FAATIHA mein her bimari ki shifa hy.
( 2 ) Agr aap ki murad puri nahi hoti, to rozana surah-e-YASEEN ki tilawat kren.
(3) Agr Rizq mein barkat chahiye, To rat ko rozana surah-e-WAQEYA Parhen.
(4) Agr Ap ko Qabr k azab ka dar hy, to rozana rat ko surah-e-MULK Parhen
(5) Agr Dunya k her jhagray se nijat hasil krni hy, to QURAN ki tilawat ko apni Adat bna len!

Hamary Sheher Aa Jao Sadaa Barsaat Rehti

Hamary Sheher Aa Jao Sadaa Barsaat Rehti Hai,
Kabhi Baadal Baraste Hain, Kabhi Ankhain Barasti Hain...

Hamary Sheher Aa Jao

Khushk Honton Se Hua Karti Hain - Mohsin Naqvi Poetry

Bewafa-Mohsin-Shayari

Urdu Shayari - Mohsin Naqvi Poetry

Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Batain ‘Mohsin’,
Piyaas Bujh Jaye to Lehje Bhi badal jatey Hain ….!

Koi Jannat Ka Taalib Hai, Koi Ghum Se Preshan

Koi Jannat Ka Taalib Hai, Koi Ghum Se Preshan Hai

Zarurat Sajda Karwati Hai Ebaadat Kon Karta Hai...

Koi Jannat Ka Taalib

Kuch Rang Jo Hathon Pe Samaya Hain

Kuch Rang Jo Hathon Pe Samaya Hain
In Me Tere Pyaar Ki Khushbu Sang Hai...!!!

Kuch Rang Jo

Wednesday, October 28, 2009

No beauty

Somebody said to God…
“I hate life as it has no beauty”
…God Replied…
“Who asked u to love life???
Just love me, life will become beautiful

Khamosh Samandar Ki Tarhan

Ek Main Hun K Lehron Ki Tarhan Chain Nahi Hai,
Ek Wo Hai K Khamosh Samandar Ki Tarhan Hai.

Mohabat Rishta Aur Aietebar

4 cheeze jab khatm ho jati hy to boht tkleef hoti hy…
1– Mohabat
2– Rishta
3– Aietebar
or
<(‘, ‘)  ))>_/ _
4–ITWAR :-

Is Qadar Toot Ke Tum Pe Hamein Piyaar Aata Hai

Is Qadar Toot Ke Tum Pe Hamein Piyaar Aata Hai,
Apni Banhon Mein Bharain Maar Hi Dalain Tum Ko… ♥
For Someone Special… ♥
Romantic Love Poetry

Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain

Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat HAI


Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai


Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai


Zara Aye Zindagi Dum Le Tera Deedar Toh Kar Loo
Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo
Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai


Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai


Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar Tha Hai Fizaaon Mein
Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein
Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai


Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai

Tuesday, October 27, 2009

A Beautiful Belief

A beautiful belief:


If God answers ur prayer,
He is increasing ur faith.


If He delays,
He is increasing ur patience


If he doesnt answer,
He knows u can handle

Zarron say be chun saktay

Jab Kabhi Tum Toot Kar bikhro To batana Hum Ko


Hum Tumhein Rait K Zarron Say b Chunn Saktay Hain

Boys never change

1 Day boy was sitting with a Girl.
.
.
2nd Day with another Girl.
.
.
3rd Day with a different Girl
.
.
Moral: Girls change but Boys never change =p

Pakistan Tujhe Salaam

Pakistan Tujhe Salaam
Roushan Rahey Tera Kalaam
Raat Aur Din Chamke Tera Naam
Tujhi Se Hay Subha Meri Tujhi Se Mera Shaym
Her Waqt Yaad Aati Hay Teri Fizaeean
Jab Bhi Leta Hai Koi, Pardes Mein Tera Naam
Pakistan Tujhe Salaam
wish u 23rd March

Hindi sher for sistr



Ho puri dil ki har khwahish aapki,
Aur mile khushiyon ka jahan aapko,
Jab agar aap mange aasma ka ek tara,
To bhagwan dede sara aasma aapko.
*Happy Birth Day*


Dua karte hain hum sar jhuka ke,
Aap apni manzil ko paye.
Agar aapki rahon me kabhi andhera aaye,
To roshni ke liye khuda humko jalaye…


Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein.
Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.
*Janm Din Ki Hardik Shubh Kaamnaayein*


Yahi dua karta hu khuda se,
Aapki zindigi mein koi Gam na ho,
Janamdin per mile hazaro khusiyan,
Chahe unme shaamil hum na ho. …


Share with us more Hindi sher for sistr in Comments Section below.



Mujhe Rulao Ge Nai

Mujh se Wada Karo Mujhe Rulao Gay Nahi


Halaat Jo Bhi Ho Mujhe Bhulaao Gay Nahi


Chupa Ke Apni Aankhon Mein Rakho Gay MujhKo


Duniya Mein Kisi Aur Ko Dikhao Gay Nahin


Mere Lafz Mere Dil Ki Tahrerein Hai


Qasam Uthao InKo Kabhi jalao Gay Nahi


Mujhe Yeh Yaqeen Dilao


Mujhe humesha Yaad Rakho Gay


Meri Yaadon Ko Apne Dil Sy Mitao Gay Nahi

Milna hindi sms



Gile kagaj ki trah hai Zindgi apni,
koi jalata bhi nahi aur koi bahata bhi nahi,
is kadar raaho me akela hai dil,
koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi,



Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.



Share with us more Milna hindi sms in Comments Section below.




Monday, October 26, 2009

Shab-e-barat Shayari

Rahmaton ki hai yeh raat,
Namazon ka rakhna sath,
Manwa laina rab say her bat,
Duaon main rakhna yaad,
Mubarak ho aap sab ko
Shab-e-barat


(shaban shayri)

Kyu Akela Chodh Diya ??



Kyu Akela Chodh Diya ??


Kyu Rulaate Ho Mujhe ?
Kyu Bhool Jaate Ho Mujhe?
Tere He Sahaare To Jee Rahe Hain Hum..


To Phir Kyu Akela Chodh Jaate Ho ?
Har Baat Ko Chupana Ataa Hai Tumko,
Roothon Ko Manana Ataa Hai Mujhe.
Roothe Ho Tum Na Jaane Kis Baat Par Mujh Se…
To Phir Wo Baat Kyu Nahi Bataate Ho Tum Mujhe?


Jaan Jaati Hai Meri
Jab Yaad Aati Hai Tumhari
Tum To Mujhe Bhula Dete Ho
To Phir Kyu Yaad Aate Ho Mujhe?
Hum Jeene Ke Bahaane Marte Rahenge


Pyaar Hum Tumse Karte Rahenge
Pyaar To Tum Bhi Karte Ho Na
To Phir Kyu Yu Sataate Ho Mujhe?
Ya Keh Do Zeher Peene Ko
Ya Kaho Phir Mujhe Jeene Ko


Agar Mere Saath Main Nahi Chalna Tha Tumk
To Phir Kyu Mujhe Raasta Zindagi Ka Dikhaya ?
Beech Raaste Main Kyu Is Tarah Akela Chodh Diya?
Kaho …
Kuch Tho Kaho
Kyu Akela Chodh Diya



Mere Ghar Se Bhi Aek Din Doli Uthegi



Mere Ghar Se Bhi Aek Din Doli Uthegi
Tere Ghar Se Bhi Doli Uthengi
Muje Bhi 4 Uthaaenge Tuje Bhi 4 Uthaaenge
Par Fark Sirf Itana Hoga Ki Tuje Tere Sage Uthaaenge
Aur Muje Mere Yaar Uthaaenge
Muj Per Bhi Phool Bikharen Ge
Aur Tuj Per Bhi Phool Bhikharenge
Par Fark Sirk Itana Hoga Ki
Tuj Per Bikhare Huae Phool Mushkurate Honge
Aur Mujper Bikhare Huae Phool Murjate Honge
Tere Jane Ae Bhi Log Roaenge
Aur Mere Jane Se Bhi Log Roaenge
Par Fark Sirf Itana Hoga Ki
Tu Ghar Chhodkar Jarahi Hongi
Aur Me Dunia Chodakar Jaraha Honga



Sunday, October 25, 2009

Safar-E-Zeest Main Tere Saath Ki Khatir

Safar-E-Zeest Main Tere Saath Ki Khatir Jaana,
Un Manzilon Ko Bhi Chora Hai Jo Mera Muqaddar Thin...

Safar-E-Zeest Main Tere

Be Mesal Hota

Nazar Nazar Ka Farq Hota Hai Husn Ka Nahi…….!!


Mehbob Jis Ka Bi Ho Jesa Bi Ho Be Mesal Hota Hai……!!

Saturday, October 24, 2009

Saying Good Morning

Saying Good Morning is not a formality or Due to free msg,.. It’s the art of Saying that i rmember u in My starting of the DAY.


SUBAH BAKHAIR…

Look at Person

When you look at a person, any person,
remember that everyone has a story.
Everyone has gone through something that
has changed them.

surah Fateha surah ikhlas ke fazeelat

Hadis : Jab tum apne bister par jao tu Surah


“FATEHA” aur Surah “IKHLAS” parh lia kro


Moat k ilawa hr cheez se be-khauf ho jao.


APSA.W.W) ne farmaya:jo koi b ye khabar logon tak puhunchaye ga,


Qayamat k din JANNAT mein us k liye mukam mere zimma hoga.


(IN$HALLAH)

Friday, October 23, 2009

Kis Jaal Me Uljha Hun Kis Yad Me Khoya

Kis Jaal Me Uljha Hun, Kis Yad Me Khoya Hun
Koi Taweez Mujhe La Do, Mujhe Us Shakhs Ka Saya Hai...

Kis Jaal Me Uljha

Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain



Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Taarikiyo’n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati Hai
Sehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati Hai
Aksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti Hai
Kyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti Ha
Ishaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain


Inn Waadiyo’n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati Hoon
Ye Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate Hain
Sehraa Mein Hoon Mai Tanha, Iss Neele Falak Ke Neeche
Ye Aasmaa’n Bhi Mujhpar, Kyon Bijliyaa’n Giraate Hain


Shaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain



Mohabbat zakhm deti

Mohabbat zakhm deti hy mohabbat jaan leti hy….!!
Mohabbat khud nahen marti mohabbat maar deti hy….!!

Kon say Ambiya Karaam

Kon say Ambiya Karaam kahan Dafan hain :


1. Adam (A.S)
Sri Lanka


2. Nooh (A.S)
Jordan


3. Hood (A.S) Yemen


4. Saaleh (A.S) Lebanon


5. Loot (A.S)Iraq


6. Ibraheem (A.S) Israel


7. Ishaq (A.S) Phalestin


8. Yaqoob (A.S) Phalestin


9. Yousuf (A.S) Phalestin


10. Ayuob (A.S) Oman


11. Shoaib (A.S) Jordan


12. Moosa (A.S) Israel


13. Haroon (A.S) Jordan


14. Dawood (A.S) Israel


15. Suleman (A.S) Israel


16. Younis (A.S) Lebanon


17. Zikriya (A.S) Syria


18. Yahya (A.S) Syria


19. Ismaeel (A.S)


Or


20. Nabi Kareem Hazrat Muhammad Mustafa( S A A W )Saudi Arabia.

Jo Gehri Neend Sote Hain Muhabbat Kar Nahi Sakte

Jo Gehri Neend Sote Hain Muhabbat Kar Nahi Sakte
Sukoon Itna Kahan Haasil Muhabbat Karne Walon Ko...

Jo Gehri Neend Sote

Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei

Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mei
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho
Hm Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal
Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho

Talab Maut Ki Karna Gunah-e-Kabeera Hai

Talab Maut Ki Karna Gunah-e-Kabeera Hai Saaqi

Marne Ka Shoq Hai Aao Tumhe Ishq Ki Taleem Dun...

Talab Maut Ki Karna

Gogamedi Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Gogamedi Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com. Celebrate Gogamedi Fair 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Gogamedi Fair sms greeting.



Gogamedi Fair has a great cultural significance. It is actually held to commemorate the regional hero, Goga Veer. Goga is regarded as the snake God and this fair is the result of participation of almost every household. The fair has a great religious significance as it is believed that a snake bite can be treated by chanting the name of the snake God.


The Gogamedi Fair is one of the largest fairs organized in India. It is held in the village of Gogamedi in the Ganganagar district of Rajasthan. The fair is organized to offer respects to Chouhan Rajput, also called Gogaji, who hailed from Dadrewa Village in the Churu District. This festival which is usually held during the Hindu month of Bhadrapada (August to September).


Happy Gogamedi Fair Mubarak to all of you from shayari Online Team



Gardishon shayari



Gardishon mein hamare sitare hain,
Kya gam hi naseeb mein hamare hain?
Tair rahe hain thak kar bhi,
Isi ummed mein ke dariya-e-gham ke bhi kahin kinaare hain,
Jaane kab khushi ka saamnaa hoga,
Jahan tak nazar jaati hai bas bebasi ke nazaare hain.



Jin Dino Gardishon Ka Daur Hota Hai
Aasman Neela Nahi Kuch Aur Hota Hai


Sare Jahan Ki Ghata Ghir Aati Hai Mere Aashiane Par
Pahle Garajti Hai Phir Barasne Ka Asar Kuch Aur Hota Hai



Share with us more Gardishon shayari  in Comments section below.




Thursday, October 22, 2009

Dil K Totne Ki Hoti Jo Awaaz



Agar Tpakta Ashkon Ki Jagah Laho Aankhon Se
Koi Kisi Ko Phir Shayad Hi Rulata


Dil K Totne Ki Hoti Jo Awaaz
To Tumhen Mere Dard Ka Andaza Ho Pata


Yadain Jo Na Aati Yoon Khamoshi Se Chupke Chupke
To Mere Ghar Ki Raunaq Hoti Teri Mehfil Se Bhi Zyada

Na Hota Agar Chand Main Daag
Teri Khubsorti Ka Mujhe Tod Mil Jata


Agar Karta Na Koi Kisi Se Bhi Be-Wafaai
To Shairon Mein Mera Naam Kahan Se Aata



Meri Behn Ko Curent Laga Hai

A girl to doctor on phone:
Meri behn ko curent laga hai , hm kia krein?


Doctor:
Ap 2 nafal shukraney k ada krein k ap ki taraf light hai…

Tumhaari Yaad Ka Mausam



Koi Mausam Ho Dil Men Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Ke Badla Hi Nahin Janaan Tumhaare Baad Ka Mausam


Nahin To Aazma Kar Dekh Lo, Kaise Badalta Hai
Tumhaare Muskraane Se Dil-E-Nashaad Ka Mausam


Kahin Se Uss Haseeb Aawaaz Ki Khushbu Pukaare Gi
To Uss Ke Saath Badle Ga Dil-E-Barbaad Ka Mausam

Qafas Ke Baam-O-Dar Men Roshani Si Aayi Jaati Hai
Chaman Men Aa Geya Shaayed Lab-E-Aazaad Ka Mausam


Mere Shahr-E-Parishaan Main Teri Be Chaand Raaton Men
Buhat Hi Yaad Karta Hoon Teri Buniyaad Ka Mausam


Na Koi Gham Khizaan Ka Hai Na Khawahish Hai Bahaaron Ki
Hamaare Saath Hai Amjad Kissi Ki Yaad Ka Mausam



Tere qarib rahun ya ki dur jaun main – Iftikhar Imam Siddiqui



Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main janata hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to samajhega badguman mujhe
bura bhala hi sahi kuch to bol aaun main
phir is ke bad ta’alluq mein fasale honge
mujhe sanbhal ke rakhna bichad na jaun main
muhabbaton ke parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein nikalun tujhe na paun main


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Imam Siddiqui



Kis Zalim Ada Se Wo Apna Bister Chorti Ho Gi - Romantic Poetry

Kis Zalim Ada Se Wo Apna Bister Chorti Ho Gi,
Khuli Zulfein, Band Hont, Uljhi Sansain, Or Ghazab Ki Angraiyan….

Beautiful Girl Poetry

It Is Said That If A Girl

It Is Said That If A Girl Closes Her Eyes,
She Sees The Person She Loves The Most
And When Boys Do That,
.
.
.
.
.
Slide-Show Begins 😛

Wednesday, October 21, 2009

Zindagi Ki Kitaab

Yeh Warq Warq Teri Daastaan,


Yeh Sabaq Sabaq Tere Tazkaray,


Main Karoon To Kaisay Karoon Alag,


Tujhay Zindagi Ki Kitaab Say.

Teacher To Pathan

Teacher to pathan:


can u translate the following sentence in a single English word?


Moti larki intezaar kar rahi hai?


Pathan: Motivating

Kabhi Dekha Hai Andhay Ko Kisi Ka Hath

Kabhi Dekha Hai Andhay Ko Kisi Ka Hath Pakar K Chalte
Me Ne Muhabbat Me Tum Par Yoon Bharosa Kia Tha...

Kabhi Dekha Hai

Gaye Baras Ki Eid Ka Din

Gaye baras ki eid ka din kya acha tha,
chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha
Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi
mausam apne rang mein faiz ka missraah tha
Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein
woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha
Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein
us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha
Phir mere chehre ko haathon mein le ker
kitney pyar se mera maatha chooma tha!
Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kya woh apni chat per aj akela tha?
Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?

Zameen Ki Wakalat Nahi Chalti

Zameen Ki Wakalat Nahi Chalti
Jab Asman Se Faislay Utarty Hain...

Zameen Ki Wakalat

Tum bohat haseen ho

Tum bohat haseen ho,


Wife: Choro Naa,


Husband: Tumhari Aankhein bohat khoobsorat hen


Wife: Choro na G


Husband: Tumharay Baal Uff Kia Ghazab k hen,


Wife: Choro Na Janu,


Husband: Tum bolti Bohat Acha ho,


Wife: Aray Choro Naa,


Husband: Itni to Chor Raha hon, Ab aur kitni choron

Tuesday, October 20, 2009

Muhabbat Tol Di Us Ny

Mere israr pr aakhir,
Boht majbur ho kr aaj,
Mujhe Apni nigahon ki,
Udasi sounp di us ny,
Boht be-bas, boht tanha,
Boht bikhri muhabbat ki,
Haqiqat khol di us ny,
Khalish jo us k dil mein thi,
Wo ab meri amanat hai,
Shikasta lehjy ki jitni bhi,
Thakan thi, bol di us ny,
Kisi ki khatir jo mujh ko,
Apni muhabbat keh nahi paya,
Magar aaj apny aansuon se,
Muhabbat tol di us ny?


From: Shabi_Rana (0333-9781720)

Zindagi hai khel

Zindagi hai khel


Phir bhi pyari hai


Kya thamasha hai..


Kab se jaari hai


Kya thamasha hai..


Kab se jaari hai

Hadd Mohabbat ki

Usne mujse poocha
kya hadd hai teri mohabbat ki
maine kaha….
suno!


aey meri Jaan
Mohabbat ki koi hadd nahi hoti
Jo haddon me reh kar ki jaaye
wo Mohabbat nahi hoti

Confess To Wife

A Man On His Death Bed


Confesses To His Wife :


“I Had Affairs With Your Sister,


With Ur Best Friend & Even Our Maid” :(


Wife:


“I Know Darling


Now Relax, Let The Poison Work”:-D

Monday, October 19, 2009

Thokar Lagne se

DuNya Me Sari Chezein Thokar Lagne se TOOT jati Hain Magr


1 Insan Hi Aesi cheez Ha Jo Aksar Thokar Lagne K Baad Banta He,


Good Night :)

sochti aankhen

Suno tum lot aao na ..


woh dekho chand nikla hai…


sitaray jagmagay hen…


hamari muntazir aankhen…


duwayen mangti aankhen..


tumhen hi sochti aankhen …

Sunday, October 18, 2009

Umrain Beet jati hen

Zara si Ranjish pe na choro Wafa ka Daman…..
~~ Wasi ~~


Umrain Beet jati hen Dil ka Rishta Banany mai…

Saturday, October 17, 2009

Shayari roona



Rona padta hai ek din muskurane ke baad..


Yad aate hain wo dur jane ke baad..


Dil to dukhta hee hai uske liye..


Jo apna na ho sake itni mohabat jatane ke baad..!



Gum na ker eh duffer….yeh to bus…ik zind hai…
Issme gum aur khushi….dono he aate jaate hai..


Dil:-


Phir kya karu??…laakh koshish bhi karu…..per…
bebus hu mai…bus….insaan he to hu…naasuk..
si mitti ka…koi khuda to nahi….


Dimaak:-


Jo milta hai duffer…ussi me saber ker….jo jaata
hai uske jaane ka….tu gum na ker….


Dil:-


per kya kare yeh duffer bhi….kambaqt is dil ka…is dil ka kya kare ab???
Yeh dil hai ki….saala maanta hi nahi….
Duffer:-



Apni ankhon se hi ashkon ko chhupakar rona,
jab bhi rona ho chiragon ko bujhakar rona,
log padh lete hain chehre pe likhi tehriren,
kitna dushwar hai logon se chhupakar rona.



Share with us more Shayari roona in Comments Section below.




Friday, October 16, 2009

US NE CHAHA

USNE CHAHA TU CHAHATTON KI HADON SE BARH KAR,
KEHTA THA HATH NA CHORNA TUFANO SE DAR KAR.
PHIR KHUD HI TOR DIYA WO TALUQ ZINDAGI KE MUR PE.
AJJ MEIN NE POCHA TU KEHTA HAI WO LAMHA THA JO GUZAR GAYA KINARO KO TOR KAR,
KHUD HI RO PARA WO EK ZINDAGI KE MUR PAR,


AUR KEH GAYA TUM KESI AUR KI HO JAYO MUGHY BHOL KAR,
MEIN HASRAT SE DAIKHTI RAHY USY HATHO KO JHOR KAR,
AUR WO CHAL DIYA MERI WAFAO KO RONG KAR.


MAGAR MEIN KARO GI INTEZAR UN LAMHAT KO THAM KAR,
KBI TU HOGA USY YE AHSAS KESI NE CHAHA THA USY DUNIYA KO BHOL KAR

Deprived of all good

Reported by Jarir bin Abdullah (RA):


Messenger of Allah (peace be upon him) said,


He who is deprived of forbearance and gentleness is,
in fact, deprived of all good. [Muslim]

Thursday, October 15, 2009

Aik Pagal Larki

Hatoon may aik qalam dabye


khoni ko ghutnoo’n pay takaye


palkoo’n per resham Khawab sajye


Dil may aik Asha si jagye


aur aanchal ko sar per jamaye


aik Pagal larki


pharo’n kisi ko sochti hai


har pal har dam chonkti hai


mann hi mann may ro dati hai


phir lamha bhar kuch sochti hai


or khud hi khud hans dati hai


aik pagal larki


“drivE KiLLER”
03132174713


From: Jinnu Rider

Throughout Life People Will

Throughout life people will make you mad,
disrespect you and treat you bad.
Let God deal with the things they do,
cause hate in your heart will consume you too.

Hadis E Pak

Hadis e Pak
Kisi Musalman ko jaiz nai k wo kisi Musalman ko khofzada kary
(ABU DAUD V4 P391 H5004)

Wednesday, October 14, 2009

Hum ke thahare ajanabi itane madaraton ke bad – Faiz Ahmed Faiz



hum ke thahare ajanabi itane madaraton ke bad
phir banenge aashna kitni mulaqaton ke bad
kab nazar mein aayegi bedag sabze ke bahar
khoon ke dhabbe dhulenge kitni barasaton ke bad
dil to chaha par shikast-e-dil ne mohalat hi na di
kuch gile-shikave bhi kar lete munajaton ke bad
the bahut bedard lamhen khatm-e-dard-e-ishq ke
thin bahut bemahar subahen meharaban raton ke bad
un se jo kahane gaye the “faiz” jan sadaqa kiye
anakahi hi rah gai wo bat sab baton ke bad


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz



Close Your Eyes

Close your eyes and think about yourself for 30 seconds.
.
.
Now open your eyes and you will realize that
.


.


.


.


.


.
you have wasted 30 seconds.

Take Me To A Wondrous Place




Take Me To A Wondrous Place


Where The Sun Stands Illuminated



And Time Passes At My Pace


Where Life Is At My Command



And Death Is Merely A Fiction


A Novelty In This Far Off Land



A Place Where Summer Reigns


And Zephyrs Bring Peace



With Calm From Worldly Pains


Where The Spirit And Self Exist As One



And The Book Of Destiny Lies Forever Open


Incomplete And Undone





Us K Honton Ko Chooma To Ye Ehsas

Us K Honton Ko Chooma To Ye Ehsas Hua,
Ek Paani Hi Zaroori Nahi Piyaas Bujhane K Liye...

Us K Honton Ko Chooma

Mujhay itna pyar na do

Mujhay itna pyar na do Baba,
Kal jitna mujhay naseeb na ho,


Ye jo maatha chuma kertey ho.
Kal is per shikan ajeeb na ho


Main jab bhi roti hon Baba
Aap ansoo poncha kertey ho


Mujhay itni dooor na chor aana
Main roun aur ap qareeb na ho


Meray naz uthatey ho Baba
Meray laad uthatey ho Baba


Meri choti choti khwahish per Ap
jaan lutatey ho Baba


Kal aisa na ho ik nagri mein Mein
tanha apko ko yaad karon,,


Aur ro ro ker faryad karon
Ay Allah meray Baba sa,
Koi pyar jataney wala ho
Mera Naz Uthaney Wala Ho..

There Is No Perfect Life

Life never seems to be
the way we want it,
but we live it in the
best way we can.


There is no perfect life but we
can fill it with perfect moments.

Tuesday, October 13, 2009

Iss Rah Main

Dil Toot Bhi Jae To Muhabat Nahi Mit-ti


Iss Rah Main Lut Ker Bhi Khasara Nai Hota

Likha parha PUNJAB

Tariq Mehmood Bajwa, MPA of PML(N) from Nanka Sahib 68, has made an amazing record by doing
MA in 2002
BA in 2006
& Matriculation in 2007
Please forward ths msg to all ur friends as an attempt 2 make his name in Guinness Book of World Records… Likha parha PUNJAB.

Dad Your Guiding Hand

Dad, your guiding
hand on my shoulder
will remain with me forever.


Happy Fathers Day

Entrepreneurs Problem In Pakistan

Problems Of Entrepreneurs In Pakistan


Pakistani Girls Still Believes:


In Engineers and Doctors Rather Than Entrepreneurs

Allah Blessings Come as a Surprise

Allah blessings come as a surprise!


But what U receive?


Depends on what you believe!


May you be blessed beyond your expectations.


Aameen !!

Monday, October 12, 2009

Yaadein Kyun Nahi Bichar Jati

IQßaL”


“Likhna Nahin Aata To Meri Jaan Parha kar,,


“H0 Jaye Gi Mushkil Teri Aasaan Parha kar,,


“Parhne k Liye Tujh ko Agar kuch Na Mile To,


“Chehron pe Likhy Dard k Unwaan Parha kar


“Laraib Teri Rooh ko Taskeen Mile Gi


“Tu Karb k Lamhaat Main Quran Parha kar


“Paida Ho Tere Behr ki Moujon Main Talatum


“Tu Hasti E Iqbal k Dewaan Parha Kar


“Aa Jaye Ga “IQBAL” Tujhe Jeeney Ka Qareena


Tu ‪#‎Sarvar_E_Kounain‬ k Farmaan Parha kr…!

Jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha tha – Saadullah Shah



jahan phoolon ko khilana tha waheen khilate to acha tha
tumhin ko hum ne chaha tha tumhin milate to acha tha
koi aakar hamen puche tumhen kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkon se shab-e-gam mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silate to acha tha
tumhen jitana bhulaya hai tumhari yaad aayi hai
bahar-e-nau jo aayi hai wo hi khushbu lai hai
tumhare lab meri khatir agar hilate to acha tha
mila hai lutf bhi hum ko hasin yadon ke jhil-mil mein
katati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil mein
agar tum aate to acha tha agar milate to acha tha




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saadullah Shah



Define GIRL?

Define GIRL?


The one who before going out,
Puts on..


Eye shadow
Eye liner
Lipgloss
Glitter
Rouge
Blush 0n
Kajal
&
Asks..


Yar
Natural to lag rai hun na? 😉

Power to Face Challenges

Umbrella Cannot Stop The Rain But Allows US To Stand in The Rain.


Confidence MayNot Bring Success But it Gives The Power to Face Challenges.


KeepSMILINg.=)

Sunday, October 11, 2009

Texting to the most beautiful girl of the world

Boy: Hi


Girl: Hey How are you . what are you doing ?


Boy: I am texting to the most beautiful girl of the world.


Girl: (Emotionally)
Awwwwww. …… :'( 😀 😀
So sweet of you :):)
.
.
.
.
.
Boy: But she is not replying so i am texting you.

Dil Afsurda To Hua Dekh K Us Ko Lekin

Dil Afsurda To Hua Dekh K Us Ko Lekin
Umer Bhar Kon Jawan, Kon Haseen Rehta Hai...

Dil Afsurda To

Barish Mein Ghar Se Nikalna



Kisi Rooz Barish Mein Ghar Se Nikalna
Khizaan Mein Ghire Toute Patoun Pe Chalna


Tapkane Lage Jab Dharakhtoun Se Pani
Tumein Yaad Aye Ghi Bheeti Kahani


K Jab Hum Kisi Shaam Tum Se Mile They
Mohabat K Rastoun Pe Hum Tum Chale They

Teri Neeli Aankhoun Mein Rang-E-Wafa Tha
Kanwal Jheel Mein Jaise Khilne Laga Tha


Wo Sadiyoun K Qisse Wo Batein Porani
Karein Yaad Kyoun Ker Wo Bheeti Kahani


Chita Kaghzoun Ki Hai Kya Khojte Ho
Bhoji Rakh Mein Abh Kisse Dhondhte Ho


Ghagan Pe Jo Chapai Thi Kis Ne Mita Di
Dhanak Saat Ranghoun Ki Kis Ne Uora Di


Mohabat Ki Shamma Jala Di Bhoja Di
Aajab Ek Kahani Hai Rang-E-Wafa Ki



Saturday, October 10, 2009

Hum Bhe Is Waqt Main Geetay Hain



Hum Bhe Is Waqt Main Geetay Hain


Hum Koi Jag Se Niraley Tu Nahe
Hum Bhe Is Waqt Main Geetay Hain
Jahan
Titliyaan Khwab Hain Aur Phool Gulab Hain
Shehar Hum Ko Bhe Muqqader Main Mila Hai
Jis Main
Dharkanain Band Aur Shehar Main Hoo Ka Aalam
Hum Bhe Is Ghar Ke Maqeen Hain K Jahan
Waqt Ke Kat Tey He Bujh Jati Hai Is Umar Ki Loo!
Is Bey Aaman Gum Naam Irradey Ki Terha
Hum Bhe Logon Ki Terha Hain Ke Hamain
Dukh Chupana Hai Aur Hassna Sar-E- Baazar Bhe Hai
Hum Pe Bhe Ehd-E- Jawaani Ka Aazab Utra Hai
Hum Ne Bhe Door Kisi Shehar Main Bastey Huey
Hasstey Huey Kisi Shaks Ko Chaha Hai Bohat



Kis ne bhige hue balon se ye jhataka pani – Arzoo Lucknawi



kis ne bhige hue balon se ye jhataka pani
jhum ke aayi ghata toot ke barasa pani
ro liya phut ke sine mein jalan ab kyon hai
aag pighala ke nikala hai ye jalta pani
koi matavali ghata thi ke javani ke umang
jo baha le gaya barsat ka pahala pani
tik-tiki bandhe wo phirate hain main is fikr mein hun
kaheen khane lage chakkar na ye gehara pani
baat karne mein wo un aankhon se amrit tapaka
‘arzoo’ dekhte hi muh mein bhar aaya pani


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Arzoo Lucknawi



Awaaz Bhi Do To Nahi Laut K Any Wale

Awaaz Bhi Do To Nahi Laut K Any Wale

Tootne Wale Qayamat Ki Anaa Rakhte Hain...

Awaaz Bhi Do To

Friday, October 9, 2009

Milna hindi sms



Gile kagaj ki trah hai Zindgi apni,
koi jalata bhi nahi aur koi bahata bhi nahi,
is kadar raaho me akela hai dil,
koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi,



Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.



Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.
Pyar ka har farz ada kiya humne.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.




Share with us more Milna hindi sms in Comments Section below.




Thursday, October 8, 2009

Aansu Bhi Ab Meri Ankh K Khushk Ho Gaye

Aansu Bhi Ab Meri Ankh K Khushk Ho Gaye
Tu Ne Mere Khaloos Ki Qeemat Bhi Cheen Li...

Aansu Bhi Ab

Parents Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Parents Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Parents Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Parents Day sms greeting.


Many hugs
Only luv never anger
Teaching me
Helping me
Every smile when I was sad
Raising me to be strong
It spells Parents.
Happy Parents Day


You’ve seen me laugh
You’ve seen me cry
And always you were there with me
I may not have always said it
But thanks and I love you
Happy Parent’s Day


Eik sahabi ne Aap (SAW) se pocha k ALLAH
k nazdeek kon sa kaam sab se aziz hay
tu App (SAW) ne teen (3) kaam bataey jin
main se 1 kaam ye tha “apne maan baap k
sath achaai karna aur ukni farman bardari
karna” ALLAH k han buhat aziz hay.
Mama And Papa I Love You.


Happy Parents Day Mubarak to all of you from shayari Online Team





Dard ki had se guzarana to abhi baqi hai – Rashid Kamil



Dard ki had se guzarana to abhi baqi hai
toot kar mera bikharana to abhi baqi hai
pas aake mera dukh-dard batanevale
mujhase katara ki guzarana to abhi baqi hai
chand sheron mein kahan dhalati hai ehasas ki aag
gham ka ye rang nikharana to abhi baqi hai
rang-e-rusvai sahi shahar ki divaron par
naam “rashid” ka ubharana to abhi baqi hai




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rashid Kamil



Manind-e-shama majalis-e-shab ashkabar paya – Meer Taqi Meer



manind-e-shama majalis-e-shab ashkabar paya
al qissa ‘meer ko hum ne beikhtiyar paya
shahar-e-dil ek muddat ujada basa gamon mein
aakhir ujad dena usaka qarar paya
itna na dil se milate na dil ko kho ke rehte
jaisa kiya tha hum ne vaisa hi yar paya
kya aitabar yan ka phir us ko khvar dekha
jisne jahan mein aakar kuch aitabar paya
aahon ke shole jis jan uthe hain ‘meer’ se shab
van ja ke subah dekha musht-e-gubar paya



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Meer Taqi Meer



Cycle De Wich Waj Paray

Ghazal-e-shararat


Hm jandy paye thy sair ko


Kinary kinary nehar ko


Kuta paya nigah me


Suta paya tha rah me


Hm ne gul khila dia


Kuty ko jaga dia


Kuty ne dandi wad li


Pinni ki pinni kad li


Itny me hm paj paray


Cycle de wich waj paray


Kuta maghron le gaya


Te cycle wala pichy pe gaya.

forgotten by our

Shakespear says…!


“We dont die when death comes to us,


But,


We die when we are forgotten by our own dears…

Wednesday, October 7, 2009

Think different in marriage

If you marry one woman, She will fight with you.


But, if you marry 2 women, They will fight for you.


Think different. Add wife, have life.

Kehte Hain Umar-e-Raftaa Kabhi Laut'ti

Kehte Hain Umar-e-Raftaa Kabhi Laut'ti Nahi

Jaa Maikade Se Meri Jawaani Uthaa K Laa...

Kehte Hain Umar

Tuesday, October 6, 2009

Dill Main Na Ho Jurrat Tu Mohabbat Nahi Milti



Dill Main Na Ho Jurrat Tu Mohabbat Nahi Milti
Khairaat Main Itni Bari Doulat Nahi Milti


Kuch Log Yoon Hi Sheh’r Main Hum Sey Bhi Khafa Hain
Har Aik Sey Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti


Dekha Tha Jisey Main Nay Koi Aur Tha Shaiyad
Wo Koun Hay Jis Sey Teri Sourat Nahi Milti


Hanstey Howe Chehroon Sey Hay Bazaar Ki Zeenat
Roney Ko Yahan Waise Bhi Fursat Nahi Milti



Ke wafa hum se to gair use jafa kahate hain – Mirza Ghalib



ke wafa hum se to gair use jafa kahate hain
hoti aayi hai ke achon ko bura kahate hain
aj hum apni pareshani-e-khatir un se
kahane jate to hain, par dekhiye kya kahate hain
agale vaqton ke hain ye log, inhen kuch na kaho
jo may-o-nagmen ko andoharuba kahate hain
dil mein aa jae hai, hoti hai jo fursat gash se
aur phir kon se nale ko rasa kahate hain?
hai par-e-sarahad-e-idarak se apna masjud
qible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahate hain
pa-e-afagar pe jab se tujhe raham aaya hai
khar-e-rah ko tere hum mehr-e-giya kahate hain
ik sharar dil mein hai, us se koi ghabarayega kya
aag matalub hai hamako, jo hawa kahate hain
dekhiye lati hai us shokh ke nakhvat kya rang
us ke har baat pe hum nam-e-khuda kahate hain
vahashat-o-shefta ab marsiya kahaven shayad
mar gaya “ghalib”-e-ashuftanava kahate hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib



Care VS need

Always express yourself to
someone who cares for u,
not to someone who needs u..
because care means personal
commitment & need means
personal requirement!

Monday, October 5, 2009

Saza Dete Hain Log

Khulus-e-Dil Se Milo To Saza Dete Hain Log.
Sache Jazbat B Thukra Dete Hain Log.
Dekh Nahi Sakte Do Pyar Karne walon Ko.
Bethe Huwe Do Prinde B Ura Dete Hain Log

Mujhe Pyar Tera

Ye yaad nahi kab pyar huwa
bas yaad raha mujhe pyar tera,


jab pyar huwa sab bhool gay
ek yaad raha bas naam tera,


hum har baat apni bhool gay
humen yaad raha bas saath tera,


kuch saalon bad wo hum se mile
humne pocha kia haal hai tera,


wo hans kay bole aye pagal
tu ye to bata kia naam tera…

Sunday, October 4, 2009

Bichar Kar Tujh Se Zinda Hun Meri Taqdeer

Bichar Kar Tujh Se Zinda Hun Meri Taqdeer To Dekh
Kabhi Aa Kar Mere Halaat ki Tasveer To Dekh

Mujhe Mehfil Main Dekha To Kaha Us ne Raqeebon Se
Mera Aashiq, Mera Pagal, Mera Dilgeer To Dekh

Teri Tasveer k Peechy Hain Jaalay Be-Wafai K
Ulat Kar Tu Zara Apni Kabhi Tasveer To Dekho

De Kar Pyar Ki Daulat Khareedy Khoon k Aansoo
Mili Jo Ishq Main Hum Ko Zara Jageer To Dekho

Likha Hai Naam Mera Sharaarat Hai Raqeebon Ki
Ye Khatt Mera Nahi Jaana Zara Tehreer To Dekh...

Bichar Kar Tujh

HATHON MAIN HATH

NAFRART KEY SAY MAIN PALTI HA MUHABBAT JANIIIIIII


HATHON MAIN HATH HON TO LAKIREN MIILL HE JATI HAAN

Is ahad mein ilahi mohabbat ko kya hua – Meer Taqi Meer



Is ahad mein ilahi mohabbat ko kya hua
choda wafa ko unne muravvat ko kya hua
ummidvar vada-e-didar mar chale
aate hi aate yaron qayamat ko kya hua
bakshish ne mujh ko abr-e-karam ke kiya khijal
ae chashm-e-josh ashk-e-nadamat ko kya hua
jata hai yar teg bakaf gair ke taraf
ae kushta-e-sitam teri gairat ko kya hua



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Saturday, October 3, 2009

Agar Nend Aa Jaye Tu

Agar Nend Aa Jaye Tu So Bhi Liya Karo….
Raaton Ko Jagney Se Muhabbat Lota Nahi Karti…

Japanese Psychology

‘Japanese Psychology’
The 3rd letter of your name shows yr character. Check  what’s yours?
A: Gifted
B: Loved by all
C: Innocent
D: Talented
E: Good but hurts
F: Feels for others
G: Logical thinking
H: Calm
I: Respected
J: Enjoys life
K: Loveable
L: Funny
M: Great person
O: Supportive
P: Smiling
Q: Cool
R: Unpredictable
S: Caring
T: Geniune
U: Practical
V: Genius
W: Angry
X: Takes it easy
Y: Intelligent
Z: Jovial.

Love you Birthday Sms Messages

Somebody up there Loves you Somebody down here cares for you Happy Birthday!!!

Veena And Misbah

Sirf L ki trha khara hony sy kam ni banta,
hilna julna bi parta hi…


veena malik ki misbah par sakht tanqeed

Hardest Thing Ever

Hardest thing ever in students life,
.
.
.
.
.
Is
.
.
.
.
.
Controlling your laughter at serious times in front of Teachers.

Friday, October 2, 2009

World Confused Nation

World Confused Nation: Want to study in U.K… Want to work in USA or UAE… Want to live in Canada… Want to die in Makkah… Want to be burried in Madina… Want to speak in English… Want to Eat Chinese rice, Italian Pizza and Russian Salad… Want to use Japanese electronics.. Want to spend vaccations in Europe… Want to watch English Movies… Want to listen Indian music… So… Where is Pakistan…??? And… Who is Pakistani..???: Then above all want a Leader to be Pure PAKISTANI. *>}§TØÑ£ }{€@RT{<*

Ab K Saal Kuch! Aisa Karna



Ab K Saal Kuch Aisa Karna
Apney Pichley Bara Maah K


Dukh Sukh Ka Andaza Karna
Bisri Yaadein Taza Karna


Sada Sa Ik Kagaz Ley Kar
Bhooley Bisrey Pal Likh Lena


Phir Iss Beetey Ik Ik Pal Ka
Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka


Ik Ik Mour Ka Ihata Karna
Sarey Dost Akatha Karna
Saree Subhein Hazir Rakhna
Saree Shamein Paas Bulana


Aur Alawa In K Dekhoo
Sarey Mausam Dheyaan Mein Rakhna
Ik Ik Yaad Gumaan Mein Rakhna


Phir Mohtaat Qiyaas Lagana


Gur To Khushiyaan Barh Jati Hain
Tu Phir Tum Ko Meri Taraf Se Yeh Saal Mubarak


Aur Agar Gham Barh Jaye To
Matt Bekaar Takaluf Karna
Dekho Phir Tum Aisa Karna
Meri Khushiyaan Tum Ley Lena
Mujh Ko Apney Ghum Dey Dena
Ab K Saal Kuch! Aisa Karna



Patient to Doctor

Patient to Doctor: Apne nurse bauhat aachhi rakhi hai,


uska hath lagte he main theek ho geya..!!


Doctor: Janta hoon, thhapad ki awaaz


mujhe bhi sunai di thi.. :p:p

Stronger Life

When life changes to be harder,


change yourself to be stronger

Break Nai Lag Rahi

Girl:
HUM Kahan Ja Rahay Hain?


Boy: Long Drive Pr


Girl:
Wow
Pehle Kyun Nai Batya


Boy:
Mjhe B Abhi Pata Chala Hai


Girl:
Kaise


Boy:
Break Nai Lag Rahi…

Thursday, October 1, 2009

Aitbaar ki Aadat Nahi rahi

Kuch hum bhi thak gye hain usy dhondty hoye..
Kuch zindagi ke pas bhi mohlatt nahi rahi…
Uski her ik ada se jhankne laga khalus..
Jab mujh ko aitbar ki adat nahi rahi…

Zindagi Raqs Kia Karti Thi Kabhi

Zindagi Raqs Kia Karti Thi Kabhi

Ab To Chup Chap Pari Hai Mujh Me...

Zindagi Raqs Kia

Eid ul Fitr Shayari

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..


khch dair to man ko chain mile
khcuh roz to man k phool khilain…


kehte hian eid ki amad hai
ab log khch takeed karain


TUM AO TO HUM B EID KARAIN….


tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khahish hai…


aik bar milo aik bar milo
her bar yehi takeed karain…


TUM AO TO HUM B EID KARAIN….


mana k hum dewane hain
sub bato se anjane hain


jub apne hi begane hain
kia gero se umeed karain


TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

Mere Aasoon Ne Tera Hi Naam Likha



Mainey Socha Tha Apni Kahani Likhonga Mein Khon Se
Per Merey Kalam Ne Bas Tera Hi Naam Likha


Meri Kahani Mein Pehla Shabd Tera Naam Tha
Merey Kalam Ne Aakhri Shabd Tera Hi Naam Likha


Likhtey Likhtey Tera Naam Kuch Panno Ke Baad
Badi Mushquil Se Ek Shabd Likha Dard
Use Badal Kar Mere Aasoon Ne Tera Hi Naam Likha



Pepsi 140 Words Jokes SMS



1 Chooha Bari Tezi Se
Jungle Se Bahar Bhag Raha Tha
K Kisi Ne Us Se Pucha K
Kahan Bhagay Ja Rahay Ho


Choohay Ne Bari Jaldi Se
Idhar Udhar Dekhtay Hoye Kaha
Jungle Me Sb Mere Peeche Par Gaye Hain
Unhe Lagta Hai Mjhe Pta Hai. . .
K
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Kisne Kaha Tha K Pepsi Pe 5 Rs Kam Krdo;



Beautiful girl

A beautiful girl cant give u a beautiful future


“but beautiful future can giv u many beautiful girls”.


(Hitler)

Wo Jo Apna Tha Humse Hai Khafa

Jazbaaton ko jazbaaton se mil jane de,
teri aagoshi mein mujh ko aaj kho jaane de,
mujhe acchi nhi lagti tere chehre par ye khamoshi,
zara dil ko dil ke karib toh aane de,
jaane kesey jee raha hu mein tujh se juda ho kar le aaj toh mujhe mar jane de,
teri doli toh kuch der baad bhi nikal jayegi pehle mere janazey ko toh nikal jaane de…!
– Noumaan