Sunday, November 29, 2015

Night Is Nice Gift

Night is nice gift. So open the
gift by closing your eyes. You’ll
experience a another world waiting
for you.
Enjoy the sweet dreams and have a
GOOD NIGHT Friends

Saturday, November 28, 2015

Phir aj mujhe tum ko bas itna batana hai – Sudarshan Faakir



Phir aj mujhe tum ko bas itna batana hai
hansana hi jivan hai hanste hi jana hai
madhuban ho ya gulshan ho patajhad ho ya savan ho
har hal mein insan ka ik phul sa jivan ho
kanton mein ulajh ke bhi khushbu hi lutana hai
hansana hi jivan hai hanste hi jana hai
har pal jo guzar jaye daman ko to bhar jaye
ye soch ke jee lain to taqdir sanvar jaye
is umr ke rahon se khushiyon ko churana hai
hansana hi jivan hai hanste hi jana hai
sab dard mita den ham, har gham ko saza den hum
kahate hain jise jina duniya ko sikha den hum
ye aj to apna hai kal bhi apanana hai
hansana hi jivan hai hanste hi jana hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir



Friday, November 27, 2015

Manzil k pass aa k

Aankhon ka rang baat ka lehja badal giya,


Woh shakhs ek rat main kitna badal giya,


Qadmon talay jo rait bichi thi woh chal pari,


Us nay churaya haath to sehra badal giya,


Koi bhi cheez apni jagah par nahen rahi,


Jatay hi ek shakhs k kiya kiya badal giya,


Hairat say saray lafz usay dekhtay rahay,


Baaton main apni baat ko kaisay badal giya,


Shayad wafa k khail say ukta gaya tha woh,


Manzil k pass aa k jo rasta badal gya.

Is Eid Pe



Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn
Aao Is “EID” Pe Hum B Kahin Milte Hyn
Apni Is Chahat Ko
Pyar Bari Rafaqat Ko
Sachi Lagan Ka Rang Dete Hyn,
Dunia K Liye Apni Mohbat Ko Misal Krte Hyn
Rawani K Liye Jese Darya Samandar Me Khud Ko Pamal Krte Hyn
Phool Jese Gulshan Se Wafa Nibane Hr Bar Nikalte Hyn
Aao Is EID pe Hum B Kahin Milte Hyn …



Thursday, November 26, 2015

Zindan mein bhi khinche rahe dar-o-rasan se hum – Sikander Ali Wajd



Zindan mein bhi khinche rahe dar-o-rasan se hum
rehte hain sarkashon mein bahut bankhpan se hum
gul-dosti ne khar ka khugar bana diya
misl-e-nasim shad hain sare chaman se hum
agyar mahar-o-mah se aage nikal gaye
ulajhe huye hain subah ke pahali kiran se hum
past-o-buland-e-dahar se aasan guzar gaye
choote na qaid-e-zulf-e-shikan-dar-shikan se hum
nikle jo gamkade se to surat khizan ke thi
aaye bahar ban ke teri anjuman se hum
ye lutf kam nahi hai gam-e-ashiqi tera
hain hain beniyaz dahar ke ranj-o-mehan se hum


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sikander Ali Wajd



Dil hai sunsan bohat

Ab Koi Nahi Jo Apna Ho, Kehny Ko Hain Insan Bohat


Ay Kaash Wo Waaapis Aa Jaaye Ye Dil Hai Ab Sunsaan Bohat

Teacher’s Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Teacher’s Day  Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Teacher’s Day  2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Teacher’s Day  sms greeting.


Without you, we would have been lost. Thank you teacher for guiding us,
inspiring us and making us what we are today.


———————————————-


We will always be thankful to you for all the hard work and
efforts you have put in, for educating us.


———————————————-


Thanks for being a true mentor of our hearts.
Happy Teachers day


———————————————-



Wednesday, November 25, 2015

Urdu Shayari – Tum To Nahi Ho



Sun Lii Jo Khudaa Ne Vo Duaa Tum To NahiiN Ho?
Daravaaze Pe Dastak Kii Sadaa Tum To NahiiN Ho?


Simatii HuIi SharmaaIi HuIi Raat Kii Raanii?
SoIi HuIi KaliyoN Kii Hayaa Tum To NahiiN Ho?


Mahasuus Kiyaa Tum Ko To Giilii HuIi PalkeN?
Bhiige Huye Mausam Kii Adaa Tum To NahiiN Ho?


In Ajanabii RaahoN MeN NahiiN KoIi Bhii Meraa?
Kis Ne Mujhe YuuN Apanaa Kahaa Tum To NahiiN Ho?



Tund mein aur aise kamsin ke liye – Ameer Minai



Tund mein aur aise kamsin ke liye
saqiya halki si la in ke liye
mujh se rukhsat ho mera ahad-e-shabab
ya khuda rakhna na us din ke liye
hai javani khud javani ka singar
sadagi gahana hai is sin ke liye
sab hasin hain zahidon ko napasand
ab koi hur aayegi in ke liye
vasl ka din aur itna mukhtasar
din gine jate the is din ke liye
sari duniya ke hain wo mere siva
main ne duniya chod di jin ke liye
lash par ibarat ye kahati hai ‘ameer’
aaye the duniya mein is din ke liye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ameer Minai



25th December Happy Quaid Day

I Dont Like to Take


Right Decisions..!!!


I Take Decisions


and Make Them


Right


Mohammad Ali Jinnah


25th December


Happy Quaid Day

Pakar K Hath Us Ne Hath Me Ghar Se Nikala Hai

Pakar K Hath Us Ne Hath Me Ghar Se Nikala Hai
Pakar K Hath Jis Ko Hath Me Chalna Sikhaya Tha...

Pakar K Hath

Samne Manzil Thi Or Peache Uski Aawaz



Samne Manzil Thi Or Peache Uski Aawaz


Samne Manzil Thi Or Peache Uski Aawaz
Rukta Tu Safar Jaata, Chaltaa Tu Bichaar Jata
Mehkhana Bhi Ussi Ka Tha, Mehfil Bhi Usski Thi
Aagr Peeta Tu Emaan Jaata, Naa Peeta Tu Sanaam Jaata
Sazaa Aisi Milli Mujhko, Zakhaam Aese Lage Dil Pr
Chupata Tu Jigaar Jaata, Sunta Tu Bikhaar Jaata…!!!



Tuesday, November 24, 2015

Hindi Love Shayari – Tujhe Mehsoos Kya



Baharon Main Ghataon Main Tujhey Mehsoos Kiya
Jeewan Ki Rahoon Main Tujhey Mehsoos Kiya


Jab Bhi Barasnay Lagin Yeh Piyaasi Ankhin
Main Ne In Nigahoon Main Tujhey Mehsoos Kiya


Meri Sansoon Main Rahi Teray Khiyaal Se Hulchal
Dil Ki Panahoon Main Tujhey Mehsoos Kiya


Khushboo Hi Khushboo Bikher Gai Her Sou
Main Ne In Hawaoon Main Tumjhey Mehsoos Kiya


Din K Ujaloon Main Tujhey Mehsoos Kiya
Raat Ki Banhoon Main Tujhey Mehsoos Kiya



Chor Kar Jana Itna Hi Zaruri Tha To

Chor Kar Jana Itna Hi Zaruri Tha To Kam-Az-Kam
Apni Yaadon Ko Bhi Bewafai Sikha Jate...

Chor Kar Jana Itna

Monday, November 23, 2015

Jiju And Bubbli

Jiju ur Bubbli


Jiju:
Main tumhare lye CHRIYAN lya hu
.
Bubbli:
App khud he pehna dein
.
Jiju:
Tumhari baji ne tumhare lye
New BRAZIER b bheja hai


FROM: Asma Zafar

Barasti Barishon Se Bas Mujhe Itni Si Nisbat Hai

Barasti Barishon Se Bas Mujhe Itni Si Nisbat Hai

K Isi Tarha Ka Ek Mausam Mere Andar Bhi Rehta Hai...

Barasti Barishon Se

Saturday, November 21, 2015

Har Lamha Meri Wafaon Ka Aaitraf Yun Kia



66e20015c208c8f868f3c33379e2ba63



Har Lamha Meri Wafaon Ka Aaitraf Yun Kia
Khud Bi Heran Tha Hoa Jo Inkshaf Yun Kia


Nafraton Ke Beej Bo Diye Mere Hi Sehn Main
Mere Hi Ghar Ki Faseel Mai Shigaf Yun Kia


Wehshat Ki Gard Chehre Ki Pehchan Na Bne
Ayne Se Apne Aks Ko Phir Saf Yun Kia


Khat Bi Jala Diye Sabi Aur Naam Mita Diye
Mere Wjod Se Us Ne Inhiraf Yun Kia


Sab Logo Ne Hathon Mai Pathar Utha Liye
Mere Shehr Ke Logo Ko Khilaf Yun Kia?




Pehli Baar Dosti Shayari



Teri Nazar Meri Nazar Se Jab Mili Pehli Baar
Hone Laga Ye Dil Mera Phir Kyun Beqaraar
Teri Nazar Teer-E-Nazar Ban Gayi E Mere Yaar
Ghayal Hua Ye Dil Mera Jeena Hua Dushwar


Mere Zakhmo Mein Chahat Bharoge
Kya Mujhse Dosti Karoge?
Kya Tum Mere Dil Mein Rahoge?
Kya Mujhse Dosti Karoge?


Mujhse Wo Pehli Nazar Ek Daastaan Keh Gayi
Jo Bhi Zubaan Keh Saki Na Wo Ye Bezubaan Keh Gayi
Phir Mere Khwabon Mein Aakar Tune Meri Neendo Ko Churaya
Phir Mere Dil Mein Samakar Tune Dil Ko Diwana Banaya

Teri Yaadon Mein Tadpa Hu Main
Tere Pyar Ko Tarsaa Hu Main
Tu Hi To Hai Meri Justajoo
Tujhse Ye Aaj Kehta Hu Main


Dhoonda Ye Saara Jahan Na Jaane Tum Thi Kahan
Tere Hi Armaan Meri Aankho Mein The Jaan-E-Jan
Kai Barso Tak Jaise Maine Kiya Hai Tera Intezaar
Meri Hasrat Ko Puri Karoge?


Kya Mejhse Dosti Karoge?
O Jaana Kya Tum Mujhse Dosti Karoge?
O Jaana Kya



Pathan went 4 interview

Pathan went 4 interview


Afsar:Tell me opposit of the day. Pathan:Night
Afsar:Cool Pathan:Hot
Afsar:Ugly Pathan: pichli
Afsar:I said UGLY Pathan:I said PICHLI
Afsar: oh my God Pathan: oh my devil
Afsar:Get out Pathan:Come in
Afsar:U r rejected Pathan:I am selected!
Afsar: keep quite. Pathan: speak tight.
Afsar: go to hell. Pathan: come to jannat.
Afsar: nikal jao jahil kahe k. Pathan: andar ao laik yahe k.
Afsar: police ko bulao. Pathan: Foj ko bagaon.
Afsar: uffff Pathan: Tuffff.
Afsar office se bhagte hue bhago Pathan: Pakro

Friday, November 20, 2015

Ash-aar K Parday Me Hum Jin Se Mukhatib Hain

Ash-aar K Parday Me Hum Jin Se Mukhatib Hain
Wo Jan Gaye Hon Ge Kiun Naam Liya Jaye...

Ash-aar K Parday Me

Chalo Kuch Der Hanste Hain Muhabbat Par

Chalo Kuch Der Hanste Hain Muhabbat Par Inayat Par!

K Be-Bunyad Baten Hain Sabhi Rishte Sabhi Natay!

Zaroorat Ki Hain Ejaadain Kahin Koi Nahi Marta!

K Sab Hai Phair Lafzon Ka Hai Sara Khail Harfon Ka!

Na Hai Mehboob Koi Bhi Sabhi Jumlay Se Kasty Hain!

"Chalo Kuch Der Hanste Hain"

Jise Hum Zindagi Kehte Jise Hum Shayari Kehte!

Ghazal Ka Qafia Tha Jo Tha Jo Unwan Nazmo Ka!

Wo Lehja Jab Badlta Tha Qayamat Khez Lagta Tha!

Waqt Se Age Chalta Tha Bala Ka Tez Lagta Tha!

Jo Saya Ban K Rehta Tha Juda Ab Us K Raste Hain!

Chalo Kuch Der Rote Hain Chalo Kuch Der Hanste Hain...!

Chalo Kuch Der

Shayad Use Aziz Thein Aankhen Meri

Shayad Use Aziz Thein Aankhen Meri Bohat

Wo Mere Naam Apni Basaarat Bhi Kar Gaya

Dil Ka Nagar Ujaarne Wala Huner Shanaas

Taameer Hosalon Ki Amaarat Bhi Kar Gaya...

Shayad Use Aziz

General Knowledge

General Knowledge


1) Wo Kon Si Jagah Hai Jahan Suraj Ki Kiran Sirf 1 Bar Parri Ab Qayamat Tak Nahi Parregi.?
Ans: Darya-E-Neel Ka Centre..


2) Wo Kya Hai Jo Piya Jata Hai Khaya Nahi.?
Ans:ghussaa


3) Wo Kon Hai Jis Ne Jhoot Bola Or Jannat Men Jayega.?
Ans: firon Ki Biwi Aasia.


4) Wo Kon Hai Jis Ne Sach Bola Or Jahannum Men Jayega.?
Ans:chipkali (Lizard).


5) Insan K Jism Men Rooh K Rahnay Ki Jagah Kahan Hai.?
Ans: Shehrag.


Plz Share It Wid Ur Frndz..

Thursday, November 19, 2015

Khud Ko Parhta Hun Chor Deta Hun

Khud Ko Parhta Hun Chor Deta Hun

Roz Ek Warq Mor Deta Hun

Zakham Itne Hain In Nigaahon Me

Roz Aaina Tor Deta Hun...

Khud Ko Parhta

Wednesday, November 18, 2015

Dhoop Ka Chehra by Bashir Badr



Unko Aaina Banaya, Dhoop Ka Chehra Mujhe
Rasta Phoolon Ka Sabko Aag Ka Dariya Mujhe


Chaand Chehra, Zulf Dariya, Baat Khushboo, Dil Chaman
Ik Tumhe Dekar Khuda Ne De Diya Kya-Kya Mujhe


Jis Tarah Vaapas Koi Le Jaaye Apni Chhuttiyan
Jaane Wala Is Tarah Se Kar Gaya Tanha Mujhe



Tumne Dekha Hai Kisi Meera Ko Mandir Mein Kabhi
Ek Din Usne Khuda Se Is Tarah Maanga Mujhe


Meri Mutthi Mein Sulgati Rait Rakh Kar Chal Diya
Kitni Aawazein Diya Karta Tha Ye Dariya Mujhe


– Bashir Badr




Kahaniyan bhi gain qissakhvaniyan bhi gain – Kishwar Naheed



Kahaniyan bhi gain qissakhvaniyan bhi gain
wafa ke bab ke sab bezubaniyan bhi gain
wo beziyabi-e-gam ke sabil bhi na rahi
luta yun dil ke sabhi be-sabatiyan bhi gain
hawa chali to hare patte sukh kar tute
wo subah aayi to hairannumaiyan bhi gain
ve mera chehara mujhe aaine mein apna lage
usi talab mein badan ke nishaniyan bhi gain
palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahi
wo ahad-e-zabt bhi tuta shitabiyan bhi gain
mujhe to aankh jhapakana bhi tha garan lekin
dil-o-nazar ke tasavvurshi’ariyan bhi gain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kishwar Naheed



Pal Pal Sanse Khatam Ho Rahi Hai

A chand zara ik kaam too kar,
dil me jan rehti hai,
jo mujhe ko apna kehti hai,
os aankh mai jo bhi sapnay hain,
woh saaray mere or jan k apnay hain,
jan ki pyari si ankhon ka chupkay se ik bosa lena or phir kehna..!
Jan
tumhe koi yaad karta hai,
tumhe koi yaad karta hai,
jan ILOVE YOU ANNA
tru_life2005@yahoo!.com

World Laughter Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  World Laughter Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate World Laughter Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy World Laughter Day sms greeting.



Bhidu tujhe aaj hasne ka hai,
Dil khol ke sabko pakane ka hai,
Bole toh aaj laughter day hai..
Isliye apun socha…
tujhko hasane ka hai !


Bhidu tujhe aaj hasne ka hai,
smsnshayari.com
Dil khol ke sabko pakane ka hai,
Bole toh aaj laughter day hai..
Isliye apun socha…
tujhko hasane ka hai !


Happy World Laughter Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



NICE WORDS

” NICE WORDS ”


-1-


Insan Apni Toheen Maaf Ker Sakta Ha’


Bhool Nahi Sakta”


=====


-2-


“Jis Sy Mohabbat Ki Jaye Us Sy Muqabla Nahi Kiya Jata”


======


-3-


“Kabhi Na Girna Kaamal Nahi’


Balkey


Gir K Sambhal Jana Kaamal Ha”


======


-4-


” Kisi Ko Paa Leina Mohabbat Nahi’


Balkey


Kisi K DiL Mein Jaga Bna Leina Mohabbat Ha”


======


-5-


“Kisi Sy Rooz Mil K Batain Kerna Dosti Nahi’


Balkey Kisi Sy Bicher K Yaad Rakhna


DOSTI hay.

Tuesday, November 17, 2015

Latest Urdu Dosti Shayari Sms

There comes a time in your life that you may be wondering what exactly is dosti Shayari in Urdu language, as people search dosti Shayari Urdu which means they are looking for friendship poems and poetry. Relationships between people, family, lovers and friends are always so complicated that some time was left very confused as radical point that we do not know what friendship is all about.
The best way to explore this phenomenon is through dosti Urdu Shayari. At first you may be skeptical and will not see the connection between the two, but as you dig deeper and read hundreds of them dosti Shayari you can come to the right conclusion. Although this is a broad topic the true meaning of friendship is very simple: to care for someone who is close to us. Also there are many words about sad love shayari related to dosti, it is true that most of those shayari are sad, because we only turn to them when we are unhappy and we want to find comfort by reading these words meaningful. In most cases people who are happy friendship really do not think about what is happening in their lives, this is just the start to bug them when they have a crisis.
History is witness to the fact that it is old dosti most trusted link in the world since time immemorial. What really counts on him and maybe the aura of this connection is that it does not require anything from us. This is a perfect definition of respect and friendship cannot be withdrawn superficially. Come, let this friendship day to celebrate it in a completely different way and give our guest a pleasant surprise and let him / her know that you care for him / her. We can give you some greater than the largest celebration of ideas dosti days will never cease to amaze your friend or you. You can always amaze him / her a wonderful cake beautiful day or day Shayari dosti friendship flower arrangements. It is the day to observe your friendship and make your friend feel special. One day when we take time especially for our friends, no matter where we are Friendship is a gift, like a delicate flower, it needs care and love to nurture and take over.
So why not share some lovely gifts with your friend / s in this day and send dosti dosti day Shayari on your wants and friends phones. You can choose from a wide range of gifts friendship day available in the markets. You can buy flowers for friendship. You can also arrange a party and celebrate your relationship with cake dosti day.

Taskin-e-dil-e-mahazu na hui wo sai-e-qaram farama bhi gaye – Majaz Lucknawi



Taskin-e-dil-e-mahazu na hui wo sai-e-qaram farama bhi gaye
us sai-e-qaram ka kya kahiye bahala bhi gaye tadapa bhi gaye
ek arz-e-vafa bhi kar na sake kuch kah na sake kuch sun na sake
yahan hum ne zaban hi khole thi vahan aankh jhuki sharama bhi gaye
aashuftagi-e-vahashat ke qasam hairat ke qasam hasrat ke qasam
ab aap kahe kuch ya na kahe hum raz-e-tabassum pa bhi gaye
rudad-e-gam-e-ulfat un se hum kya kahate kyonkar kahate
ek harf na nikala hothon se aur aankh mein aansu aa bhi gaye
arbab-e-junun pe furkat mein ab kya kahiye kya kya guzra
aaye the savad-e-ulfat mein kuch kho bhi gaye kuch pa bhi gaye
ye rang-e-bahar-e-alam hai kya fiqr hai tujh ko ae saqi
mahafil to teri suni na hui kuch uth bhi gaye kuch aa bhi gaye
is mahafil-e-kaif-o-masti mein is anjuman-e-irafani mein
sab jam-ba-kaf baithe rahe hum pi bhi gaye chhalaka bhi gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majaz Lucknawi



Thukarao ya ab ke pyar karo main nashe mein hun – Shahid Kabir



Thukarao ya ab ke pyar karo main nashe mein hun
jo chaho mere yar karo main nashe mein hun
ab bhi dila raha hun yaqin-e-vafa magar
mera na aitabar karo main nashe mein hun
girane do tum mujhe mera sagar sambhal lo
itna to mere yar karo main nashe mein hun
mujhko qadam qadam pe bahakane do vaizon
tum apna karobar karo main nashe mein hun
phir bekhudi mein had se guzarne laga hun
itna na mujhase pyar karo main nashe mein hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahid Kabir



Udaasi Tum Pe Beete Gi To Tum Bhi

Udaasi Tum Pe Beete Gi To Tum Bhi Jan Jaogi

Koi Nazr-Andaaz Karta Hai To Kitna Dard Hota Hai...

Udaasi Tum Pe

Sunday, November 15, 2015

Bhool Kar Bhi Na Dena Kandha Mere Janaze Ko

Roman Urdu

Bhool Kar Bhi Na Dena Kandha Mere Janaze Ko,
Kahin Phir Zinda Na Ho Jaon Tera Sahara Samajh Kar..

Urdu

بھول کر بھی نہ دینا کندھا میرے جنازے کو
کہیں پھر زندہ نہ ہو جاؤں تیرا سہارا سمجھ کر 




Desh-Prem Ki Dhara



Sundar Hai Jag Me Sabse, Naam Bhi Nayara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai


Jaha Jati-Bhasha Se Badh Kar Desh-Prem Ki Dhara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai


Jita Tha Prem Se Sabko, Hai “Baapu” Us Ka Naam
Desh Ke Khatir Jisne Kiya Apna Jeewan Balidan



Jaha Pe Vir Bhagat, Azad Aur “Bose” Ka Nara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai


Jaha Pe “Suraj” Puja Aur Nadion Me Mata Ganga
Chandrama Pe Lahraya Jisne Apna Dhwaj “TIRANGA”,


Vishv Ko Jisne ZERO Dekar Kiya Navyug Ka Ujiyara Hai,
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai


Jo Sadion Se Aaj Bhi Har Rishte Se Pyara Hai
Sincha Jisko Khun Se Humne Aur Mamta Se Sawara Hai


Jaha Ajuba Hai Vishv Ka, Kehlata “TAJ” Humara Hai
Woh Desh Hamara Hai, Woh Desh Hamara Hai


Jis Desh Ko “Mata” Keh Ke Hum Sab Ne Diya Samman
Wo Hai Bharat Desh Mahan, Wo Hai Bharat Desh Mahan



Phoolon Ne Dia Zakhm To Kanto Se

Phoolon Ne Dia Zakhm To Kanto Se See Liya

Ye Bhi Rafoo-Gari Ki Ajab Daastan Hai...

Phoolon Ne Dia

Saturday, November 14, 2015

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne
Jis Ka Har Aib Zamany Se Chupaya Main Ne...

Mere Qissy Sar

Friday, November 13, 2015

Darood Sharif

=== HADEES =====


Kuch asey log hongay jin ko jannat me janay


ka hukum diya jaye ga lakin wo JANNAT ka raasta


bhol jaengay ye wo Log hai jin k samne


Ap RASOOL (S.A.W.W) ka name liya jaye aur wo DAROOD SHARIF na bhejen

Khushi Mili Mujhe To Kai Gham

Khushi Mili Mujhe To Kai Gham Mujhse Rooth Gaye

Us Khushi Se To Gham Ache Jis Khushi Me Teri Khushi Na Ho...

Khushi Mili Mujhe

Boondain Girin To Aankh Mein Aansu - Barish Shayari

Barish-Yaad-Poetry

Urdu Barish Yaad Poetry

Boondain Girin To Aankh Mein Aansu Bhi Aa Gaye,
Barish Ka Uski Yaad Se Rishta Zaroor Hai… :(

Saaf Keh Do Agar Gila Hai Koi

Saaf Keh Do Agar Gila Hai Koi

Faisla Faslay Se Behtar Hai...

Saaf Keh Do

Thursday, November 12, 2015

Mohabbat Ab Kabhi Na Hogi

Mohabbat ab kabhi na hogi
Ab har raat mein tumhari yaad hogi
Par mohabbat kabhi na hogi

Mein tumhein bhool na kabhi paon gi
Yaad raho gey tum jab tak jism mein jaan hogi
Mohabbat ab kabhi na hogi

Tumharey naam ki zindagi ab kis aur ki hogi
Tumhari yadein, tumhari batein, tumhari muskurahatein
Uff ye mohabbat ab hargiz na hogi…

Mohabbat ab kabhi na hogi
Mohabbat ab kabhi na hogi…

Mohabbat-Dard-Poetry

by: Any Zaffar

Kab yaad mein tera sath nahi kab hath mein tera hath nahi – Faiz Ahmed Faiz



Kab yaad mein tera sath nahi kab hath mein tera hath nahi
sad shukr ke apni raton mein ab hijr ke koi raat nahi
mushkil hain agar halat vahan dil bech aayen jan de aayen
dil valo kucha-e-janan mein kya aise bhi halat nahi
jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahati hai
ye jan to aani jani hai is jan ke to koi baat nahi
maidan-e-vafa darbar nahion yan nam-o-nasab ke puch kahan
aashiq to kisi ka naam nahi kuch ishq kisi ke zat nahi
gar bazi ishq ke bazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jit gae to kya kahana hare bhi to bazi mat nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Raksha Bandhan Wishes



Warm Wishes On Rakhi Day!
Rakhi Day Is The Day When Special People
Like U R Thought Of Fondly With Luv & Cheer.
Hope Every Hour Of This Special Day Is Filled With Moments,
That Will Bring Happiness 4 ?
U?.
?Have A Gr8 Rakhi Bhayya?
With Loads Of Luv
Yours Ever Loving Sis



Poems on corruption in hindi



Mil Gayi Azaadi par Inquilab ab bhi Jaari Hai


Naye Bharat ke Nirman Ki Jimmedari ab hamari hai


Nikal aaye hain ham ghar se, mila liye hain jab haath


To Dikhne lagi seyaasat daan ki lachaari hai


Kya karein – wo to bhrashtachari hai


Par ab hamare junoon ke aage unke sab daanv bekaari hai


ukhad fenkna hai bhrashtachar ko jo mulq ki sabse badi bimari hai


Mil Gayi Azaadi par Inquilab ab bhi Jaari Hai……





aaj ke is kalyug me
kaha hai gandhi ki toli ?
saath me jise liye chalte
thi shanti hi gita ki hamjoli


ramdev, anna bhi gaye
sarkar ke is khatai me
shanti ke saath chaturai bhi gayi
bhrashtachar ki ladai me


nahi mila mukaam abtak
jiski hame talash thi
kranti ab wo phir chhidegi
jo san 47 ki aawaz thi


angrej darke bhage the
janta ke aage kampe the
wahi janta phir jagegi
sarkar ko milkar bhapengi


aawaj satyagrah kahi nahi
garmajoshi ka dabaw bhi tha
tabhi desh aajad hua tha
jisse bharat ka guman hua tha





Share with us more .Poems on corruption in hindi in comments section below



Wednesday, November 11, 2015

Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya



Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Dia
Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia


Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia


Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia


Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
Duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya


Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
Mele Mein Is Jahan Ke Khone Nahi Diya



Misaal-e-Sheesha Hain Hamein Tham Ke Rakhna

Misaal-e-Sheesha Hain Hamein Tham Ke Rakhna,
Hum Tere Haath Se Chootay To Bikhar Jayn Ge…

Misaal Sheesha

Toot Kar Chubh Raha Hai Aankhon Main

Toot Kar Chubh Raha Hai Aankhon Main

Aaina To Nahi Tha Khawab Mera...

Toot Kar Chubh

Is Qehat-e-Dosti Mein Koi Mujh Se Kia Mile

Dosti-Dard-Shayari

Dard Shayari

Is Qehat-e-Dosti Mein Koi Mujh Se Kia Mile..!
Khud Apne Aap Ko Bhi Mayassar Nahi Hun Mein..!

Jis Dil Wich Sajan Was Jaiye

Jis Dil Wich Sajan Was Jaiye

Us Dil Te Zulam Kamai Da Nai

Jadon Pyar Kise Nal Pa Laiye

Ohnu Kaleyan Chad K Jai Da Nai

Tenu Ki Dasan Tu Jan Da Nai

Eh Pyar Di Gal Freeda

Jehra Zakham Dilbar Yar Dewe

Us Zakhm Te Marham Lai Da Nai....

Jis Dil Wich

Allah Aap Sab Ki Sari Jayaz Tamannaye Puri Kare

Allah aap sab ki sari jayaz tamannaye puri kare.
is ramzaan me meri yahi dua hai.
& HAPPY RAMZAAN & upcoming EID

Tuesday, November 10, 2015

Tumhain Kiya Fark Parta hai

karo phr se koi wada kabhi na phir bicharny ka….!!


tumhain kya farq parta hai, chalo phr sai mukar jana…..!!

Once There Was A Hungry Kutta

Once


There Was A Hungry Kutta


He Stole A Piece of Boti By Chacha Dimu Shop


Then He Durki Lai &


Reach on The Bridge of The Naala


He Saw Another Kutta in Water with boti


His thoughts Were Kuttean Aalay.HE Mari Jo CHal Vich Te He Lost HIS Own Boti


Moral;


Kuttean Aali Socho Gay Te Kuttean Aali Hovay Gi.

Monday, November 9, 2015

Na hara hai ishq na duniya thaki hai – Khumar Barabankvi



Na hara hai ishq na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sukun hi sukun hai khushi hi khushi hai
tera gham salamat mujhe kya kami hai
charagon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nai roshni hai
are o jafaon pe chup rahane valo
khamoshi jafaon ke taid bhi hai
mere rahbar mujh ko gumrah kar de
suna hai ki manzil qarib aa gai hai
‘khumar’ ek balanosh tu aur tauba
tujhe zahidon ke nazar lag gai hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi



Woh Chaand Ban Ke Mere Sath Sath Chalta Raha


Woh Chaand Ban Ke Mere Sath Sath Chalta Raha,
Mein Uske Hijr Ki Raaton Mein Kab Akeli Hui....??

Shared By: Faisal / By: Parveen Shakir

Sunday, November 8, 2015

Har Pal Yaad Aaungi Main




Tum Mujhe Bhulana Bhi Chahoge Toh Tumhe Har Pal Yaad Aaungi Main


Kabhi Ban Ke Badal Kabhi Ban Ke Aansu Teri Aankh Se Baras Jaaungi Main



Jab Bhi Kholega Tu Yaado Ki Kitaab Apne Dil Mein


Toh Har Pane Per Tasveer Ban Ke Teri Aankho Mein Nazar Aaungi Main



Jab Kabhi Khoya Hoga Duniya Ke Bheed Mein Kahi


Toh Tere Khayalo Mein Aa Kar Tujhe Tanha Kar Jaaungi Main



Tu Chhaae Kitni Bhi Duri Bana Le Per Main Tujse Dur Nahi


Dekhega Jab Dhalata Suraj Toh Uski Laali Ban Ke Tere Jehan Per Chhaa Jaaungi Main



Soya Hoga Raat Ko Jab Chein Ki Neend Mein Kahi Tu


Kabhi Khawab Ban Ke Kabhi Chand Ban Ke Teri Aankho Mein Bas Jaaungi Main.



Jab Kabhi Thandi Hawa Ka Jhonka Chhooega Tujhe Hole Se


Toh Teri Aankho Ko Tere Maathe Ko Hole Se Chum Jaaungi Main




Saturday, November 7, 2015

Mil kr karty thy mazak jin k sath,



Mil kr karty thy mazak jin k sath,
Aj un doston se milne ko Dil trasta hy,
Hr pal Muskraty thy jo chehry,
Aj unhe dekhny ko Dil trsta hy,
Nafrat thi jis class room se,
Aj usi clas me bethny ko Dil trsta hy,
Zindgi k sub se Haseen wo pal,
Aj W0hi zindgi phr se jeene ko Dil krta hy..!
<<<<<Miss You Frends<<<<<



aankh jab band kiya karte hain – Saeed Rahi



aankh jab band kiya karte hain
samane aap hua karte hain
aap jaisa hi mujhe lagata hai
khwab mein jis se mila karte hain
tu agar chod ke jata hai to kya
hadase roz hua karte hain
naam un ka na koi un ka pata
log jo dil mein raha karte hain
hamane ‘rahi’ ka chalan sikha hai
hum akele hi chala karte hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi




Friday, November 6, 2015

Hafiz Ghulam Mujtba

The Holy Prophet(PBUH)Said.
JO SHEKHS MUJH KO 2 CEEZON KI HIFAZET ZEMANET DAY TU MAIN US KO JENNET KI ZEMANET DAYTA HON
1 JO 2 TANGON KAY DERMIYAN HA
2 JO 2 JEBRRON KAY DERMIYAN HA

Happy Birthday

This message has No Fat
No cholesterol n No Addictive
this is all natural except, with a lot of sugar.
But it can never be as sweet as the one reading it.Happy Birthday

Thursday, November 5, 2015

Be-aitadaliyon se subuk sab mein hum hue – Mirza Ghalib



Be-aitadaliyon se subuk sab mein hum hue
jitne ziyada ho gaye utane hi kam hue


pinhan tha dam sakht qarib aashiyan ke
udane na
paye the ki giraftar hum hue


hasti hamari apani fana par dalil hai
yan tak mite ke aap hum apani qasam hue


sakhtikashan-e-ishq ke puche hai kya khabar
wo log rafta-rafta sarapa alam hue


teri wafa se kya ho talafi ki dahar mein
tere siva bhi hum pe bahut se sitam hue


likhate rahe junun ke hikayat-e-khunchakan
harchand is mein hath hamare qalam hue


ALLAH re! teri tundi-e-khu jis ke bim se
azza-e-nala dil mein mere rizqe-ham hue


ahal-e-havas ke fatah hai tark-e-nabard-e-ishq
jo
panv uth
gaye wo hi un ke alam hue


nal-e-adam mein chand hamare supurd the
jo wan na khinch sake so wo yan aake dam hue


chodi ‘asad’ na hum ne gadai mein dillagi
sail hue to aashiq-e-ahal-e-karam hue



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Wednesday, November 4, 2015

Hurt a Heart Till it Loves

A very meaningful thought of humanity….


Read it twice


You can only hurt a heart till it loves you, not after it

Bohat Roya Tha Jis Din Paida Hua Tha

Bohat Roya Tha Jis Din Paida Hua Tha

Or Hans Rahi Thi Duniya

Badla Lunga Ek Din Sab Se

Hansta Hua Chala Jaunga Or Roye Gi Duniya...


Bohat Roya Tha

Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna



Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna


Apney Pichley Barah Mah Ke
Dukh Sukh Ka Andaza Kerna
Guzri Yadien Taza Kerna
Sadah Sa Ik Kaghz Le Ker
Bhuley Basrey Pel Likh Laina
Apney Sarey Kal Likh Laina
Phir Us Beetey Ik Ik Pel Ka
Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka


Ik Ik More Ka Ahatah Kerna
Sarey Dost Ikathey Kerna
Sari Subhey Khazir Rakhna
Sari Shamey Pass Bulana
Or Ailawa In Ke Dekhoo
Sarey Mosam Deehan Mai Rakhna
Ik Ik Yad Guman Mai Rakhna
Phir Muhtat Qayass Lagana
Ger To Khushiya Bher Jati Hai
To Phir Tum Ko Meri Taraf Se
” Aney Wala Sal Mubarak ”


Aor


Ager Ghum Bher Jay To
Mat Bekar Takaluf Kerna
Dekhoo Phir Tum Aisa Kerna
Meri Khushiya Tum Le Laina
Mujh Ko Apney Ghum De Dena


Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna!!!!



Tuesday, November 3, 2015

Funny Sardar and Google sms

Sardar: Aaj mere parrosyo ka bacha gum ho gya


Major Rohail: Phir tm ne kya kya?


Sardar: mei ne use kaha Google pe search kr lo


From: Asma Zafar

Naye zakhm khane ko jee chahata hai



terey paas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai


zamana mera aazmaya huwa hai
tujhey aazmane ko jee chahata hai


wahi baat reh reh k yaad aa rahi hai
jisey bhool jane ko jee chahata hai


labo`n par merey khailtey hain tabassum
jab aansoo bahane ko jee chahata hai


takalluf na kar aaj barq e tajalli
nasheman jalaney ko jee chahata hai


rukhey zindagi se naqabain ulat karr
haqiqat dikhane ko jee chahata hai



Monday, November 2, 2015

Zarurat Jab Bhi Thi Mujh Ko Kisi K Sath Ki

Zarurat Jab Bhi Thi Mujh Ko Kisi K Sath Ki
Unhi Makhsoos Lamhon Main Mujhe Chora Hai Apno Ne...

Zarurat Jab Bhi

Urdu Jumma Mubarak Sms Wishes

Humaray Pyare Nabi Pak (PBUH) Ki Juma Ki Sunnatain:
Acha Libas Pehnna
Ghusal Karna
Khushbu Lagana
Miswak Karna
Surma Lagana
Sura Kahf Ki Tilawat Karna
Agr Kisi Aur Ko Bhi Batain To, Ajar Milega.
Jumma Mubarak.

Us K Narm Hathon Se Phisal Jaati Hain

Us K Narm Hathon Se Phisal Jaati Hain Aksar Cheezen 

Meri Zindagi Lagi Hai Hath Us K, Khuda Khair Kare...

Us K Narm Hathon

Logon Ne Jashan Rat Naye Saal Ka Manaya

Logon Ne Jashan Rat Naye Saal Ka Manaya
Hum Apne Ghar Me Tere Liye Sochte Rahe...

Blogger: Waqas Ali

Sunday, November 1, 2015

Mere Walid Tera Shukriya

meray walid Tera shukria poet raja kashif janjua (urdu)

Mere Walid Tera Shukriya,
Jo zindagi ka inaam hai
Sab tera hi muqaam hai
Har soch
Teri soch hai
Har raah
Teri raah hai
Mein bhatak jata
Raah kia pata
Tu ne samjhaya
Tu ne batlaya
Tu ne socha bhala
To phir rasta khula
Mere aqeedton ke aansu qabool kar
Meri hare k khata bhool kar
Mujhe apne galay se laga
Meri manzilon ka pata bata
Mera zehan
Teri soch se munawar hai
Har rasta
Manzilon ki aurh behay
Agarcha ilfaaz nahi
Koi aaghaz nahi
Phir bhi
Mere walid
Tera shukriya
Tu ne socha yehi
Tu ne chaha yehi
‘Janjua’ Jahan jahan paye
Rahatoon ke samaan paye

Rok dena meri saanso ko

Ay Khuda rok dena meri saanso ko us waqt,,


Jab wo mujay chor kar kisi or ka honay lagay.

Is qadar musalsal thin shiddaten judai ke – Ahmed Faraz



Is qadar musalsal thin shiddaten judai ke
aj pahali bar main ne us bevafai ke


varana ab talak yun tha khvahishon ke barish mein
ya to toot kar roya ya gazalsarai ke


taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein
aj un se majaburan taza aashanai ke


ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghadi zalim meri hamnavai ke


tanz-o-tana-o-tohamat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puche hum ne kya burai ke


phir qafas mein shor uttha qaidiyon ka aur sayyad
dekhana uda dega phir khabar rihai ke


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz