Thursday, November 26, 2015

Zindan mein bhi khinche rahe dar-o-rasan se hum – Sikander Ali Wajd



Zindan mein bhi khinche rahe dar-o-rasan se hum
rehte hain sarkashon mein bahut bankhpan se hum
gul-dosti ne khar ka khugar bana diya
misl-e-nasim shad hain sare chaman se hum
agyar mahar-o-mah se aage nikal gaye
ulajhe huye hain subah ke pahali kiran se hum
past-o-buland-e-dahar se aasan guzar gaye
choote na qaid-e-zulf-e-shikan-dar-shikan se hum
nikle jo gamkade se to surat khizan ke thi
aaye bahar ban ke teri anjuman se hum
ye lutf kam nahi hai gam-e-ashiqi tera
hain hain beniyaz dahar ke ranj-o-mehan se hum


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sikander Ali Wajd



No comments:

Post a Comment