Monday, November 9, 2015

Na hara hai ishq na duniya thaki hai – Khumar Barabankvi



Na hara hai ishq na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sukun hi sukun hai khushi hi khushi hai
tera gham salamat mujhe kya kami hai
charagon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nai roshni hai
are o jafaon pe chup rahane valo
khamoshi jafaon ke taid bhi hai
mere rahbar mujh ko gumrah kar de
suna hai ki manzil qarib aa gai hai
‘khumar’ ek balanosh tu aur tauba
tujhe zahidon ke nazar lag gai hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi



No comments:

Post a Comment