Thursday, September 30, 2010

Jaan Se Aziz Log

Majboriyon K Daor Mein, Jaan Se Aziz Log


Dagha Na Bhi Dain To Badal Zaror Jate Hain……….!!

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak



Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak


Daam Har Mauj Men Hai Halqaa-E-Sad_Kaam-E-Nahang
Dekhen Kyaa Guzare Hai Qatare Pe Gauhar Hone Tak


[Daam = Net/Trap; Mauj = Wave; Halqaa = Ring/Circle]
[Sad = Hundred; Nahang = Crocodile; Gauhar = Pearl]

Aashiqii Sabr-Talab Aur Tamannaa Betaab
Dil Kaa Kyaa Rang Karuun Khuun-E-Jigar Hone Tak


[Sabr-Talab=Patient]

Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak


[Tagaaful=Neglect/Ignore]

Partav-E-Khuur Se Hai Shabanam Ko Fanaa Kii Taaliim
Main Bhii Huun Ek Inaayat Kii Nazar Hone Tak


[Partav-E-Khuur = Sun’s Rays; Shabanam=Dew]
[Fanaa = Perish; Inaayat = Favour]

Yak_Nazar Besh Nahiin Fursat-E-Hastii Gaafil
Garmii-E-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Hone Tak


[Besh = Excess; Gaafil = Ignorant]
[Raqs = Dance; Sharar = Flash/Fire]

Gam-E-Hastii Kaa ‘Asad’ Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shammaa Har Rang Men Jalatii Hai Sahar Hone Tak


[Juz = Other Than; Marg = Death]

Thank Allah Moment By Moment

Happy Moments-PRAISE ALLAH Difficult Moments-SEEK ALLAH Quiet Moments-WORSHIP ALLAH Painful Moments-TRUST ALLAH Moment By Moment – THANK ALLAH

Quit India Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Quit India Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Quit India Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Quit India Day i sms greeting.


The Quit India Movement Day is observed in our country on 9th August every year to mark the memory of the long struggle and as a tribute to the great warriors of independence. On this day, the martyrs of our freedom struggle are remembered with great respect and people pay a visit to the monuments and pay homage to them.


A series of movements were held before India got Independence on 14th August 1947 and among all these Quit India movement was the crucial one. Quit India day is observed every year on August 9 to mark the anniversary of Quit India movement.


Function is held in schools where skits, speeches are staged. The significance of the day is highlighted. The entire nation fills with a sense of patriotism and pay tributes to martyrs of the freedom struggle and the political leaders lay wreaths on the memorial.


Happy Quit India Day Mubarak to all of you from shayari Online Team




Kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye – Adeem Hashmi



Kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
jane wo tu kidhar gaya jane wo hum kidhar gaye
rahon mein hi mile the hum rahen nasib ban gain
tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye
wo bhi gubar-e-khak tha hum bhi gubar-e-khak the
wo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye
koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanvar gaye
tere liye chale the hum tere liye thahar gaye
tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar gaye
waqt hi kuch judai ka itna tavil ho gaya
dil mein tere firaq ke jitne the zakhm bhar gaye
barish-e-vasl wo hui sara gubar dhul gaya
wo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye
itane qarib ho gaye itane raqib ho gaye
wo bhi “adeem” dar gaya hum bhi “adeem” dar gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Adeem Hashmi



Kisi or ka

Teri yaad ne kabhi tanha hone na diya,


Tere ehsaas ne kabhi rone na diya,


Teri dosti main itna pyar mila,


Jis ne mujhe kisi or ka hone na diya.

Wednesday, September 29, 2010

Oper ko uthay

!*PANI*!


Oper ko uthay to”BHAP”
Oper se gry to “BARISH”
Jam k gry to
“OLA”
Gir k jamy to
“BRF”
paty pe giry to
“SHBNAM”
paty se niklay to
“Arq”
ankh se nikly
“Ashk”
bhy to
“Drya”
Hazrat Ismail k qdmon talay nikly to
“ZAMZAM”
Sarkar ki unglion se nikly to
“kousar”
or jahan band ho jae to
“KARBALA”…

Naseeb Walon Ko Hoti Hai Muhabbat Ataa

Naseeb Walon Ko Hoti Hai Muhabbat Ataa Mohsin

Tu Bad-Naseeb Hai To Is Me Muhabbat Ka Kya Qasoor...

Naseeb Walon Ko Hoti

Tuesday, September 28, 2010

Ana Ka Mamla Dar Paish Hai Warna Haqeeqat Main

Ana Ka Mamla Dar Paish Hai Warna Haqeeqat Main
Mujhe Us Ki Usy Meri Kami Mehsoos Hoti Hai...

Ana Ka Mamla

Jab Bhi Milti Hai Mujhe

Jab Bhi Milti Hai Mujhe, Ajnabi Lagti Kiun Hai

Zindagi Roz Naye Rung Badalti Kiun Hai...

Jab Bhi Milti

Mum I Just Watched The News

Mum I Just Watched The News, The Cartoon Was Boring Me.


Why Do You Watch It? Mum It Made Me Cry.



Can I Tell You The Story I Heard, Can You Explain It To Me?


I Don’t Understand Mum, How Can Someone Take Their Life?



They Said She Was 15, Just Like Sis,


That She Lived In A Village, She Lived In Leicester Too Mum.



What Is Suicide? Does It Mean Kill Yourself?


Her Body Was Found At Bradgate Park, Bleeding From Her Wrists.



What Does Depressed Mean Mum? They Said That’s What Drove Her To Do It.


She Said No One Loved Her, Not Even Her Family.



Why Are You Crying Mum? Is It Because It’s A Sad Story?


I Cried To Mum. Promise You Wont Let Me Get Like That Mum,



That You Will Always Love Me And Marie, I Don’t Want To Die Mum,


I Don’t Want To End Up Like That. Come Here, I’ll Give You A Special Hug,



Please Stop Crying I Have More Questions Mum, Before You Send Me Up To Bed.


Where Is Marie, She’s Been Gone A Week?



Why Did That Girl Have Her Name? Why Does She Look Like My Sister?


Please Mum, Wipe Your Tears And Tell Me, Why Did Marie Commit Suicide?



Why Didn’t She Tell Me? Was It My Fault?


I Never Told Her I Loved Her, Please Mum, Make Her Come Back,



Or Can I Still Kiss Her Goodnight?

Sunte Hain Ke Har Cheez Mil Jaati Hai Dua Se

Sunte Hain Ke Har Cheez Mil Jaati Hai Dua Se,
Ek Rooz Tumhein Maang Kar Dekhein Ge Khuda Se...

Submitted by: Talha

Mere Hathon Mein Apna Hath Dy



Kbhi Khud Bhi Mere Pass Aa Meri Baat Sun Mera Sath Dy
Jo Khalish Hay Dil Sy Nikal Ke Mujhe Uljhanoo Sy Nijat Dy


Tera Sochna Mera Mashgala Tujhe Deikhna Meri Arzoo
Mujhe Din Dy Apne Khayal Ka Mujhe Apne Qurab Ki Raat Dy


Main Akelia Bhatkun Kahan Kahan Yeh Safar Bahot Taveel Hy
Meri Zindgi Mere Saath Chal Mere Hathon Mein Apna Hath Dy..!!!



Height Of Flirting

Height of Flirting:
Writing a love letter with the title as ‘To Whom So Ever It May Concern’.

Monday, September 27, 2010

Islamic Quotes

Never a weakness that He can’t fillNever a weakness that He can’t fill,
Never a sickness that He can’t heal,
Never a sorrow that He dsn’t share,
Moment by moment- you are under GOD’s care


Submit By: Zain Shuja

Rukh mein gard-e-malal thi kya thi –



Rukh mein gard-e-malal thi kya thi
hasil-e-mah-o-sal thi kya thi


ek surat si yaad hai ab bhi
aap apni misal thi kya thi


mere janib uthi thi koi nigah
ek mubaham saval thi kya thi


us ko pakar bhi us ko pa na saka
justaju-e-jamal thi kya thi


dil mein thi par labon tak aa na saki
aarazu-e-visal thi kya thi


umr bhar mein bas ek bar aayi
sa’at-e-lazaval thi kya thi


koi khvahan na tha ki jins-e-hunar
ek muflis ka mal thi kya thi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Khalil ur Rahman Azmi



Kabhi Wo Khafa Kabhi Mein kahafa

“Yunhi runjashon mein guzar gaye…!
“Kbi wo khafa…! “kbi mein khafa…!
“Chahton k morr per kbi wo ruka…!
“kbi mein ruka…!
“Wohi rasty…! “wohi manzlien…!
“Na usy khabar…!
“Na mujhy pata…!
“Apni apni ana mein gum
“Kbi wo juda…!
“Kbi mein juda…!”

personality in colour

Define my personality in colour:


,


1.Red


(2 much friendly)


.


2.Green


(rude n rubbish)


.


3.Orange


(jolly n loving)


.


4.White


(shy n simple)


.


5.Black


(sincere n possesive)


.


6.Blue


(proud n sensitve)


.


7.Purple


(nice n great)


.


8.Brown


(dull n boring)


.


9.Pink


(beautiful nd nice in nature)


.


Reply must.

Han Main Wohi Shakhs Hun - Two Line Poetry

Han Main Wohi Shakhs Hun - Two Line Poetry

Haan Main Wohi Shakhs Hun.....!!
Dil main jiske Koi Bhi Tamanna nahi Baqi....


Ab To Naraaz Na Ho Ge Hum Se

Ab To Naraaz Na Ho Ge Hum Se

Kar Liya Hum Ne Kinaara Logo...

Ab To Naraaz Na

Sunday, September 26, 2010

Height of Recession Shayari Recession



Doobte Hue Aadmi Ne
Pull Par Chalte Hue Aadmi Ko
Aawaz Lagayi “Bachao Bachao”
Pull Par Chalte Aadmi Ne Neeche
Rassi Fenki Aur Kaha Aaoo….


Nadi Mein Dobta Hua Aadmi
Rassi Nahi Pakad Pa Raha Tha
Rah Rah Kar Chillaa Raha Tha
Mein Marna Nahi Chahta
Zindagi Badi Mehengi Hai
Kal Hi To Meri Ek MNC Mein Naukri Lagi Hai..


Itna Sunte Hi Pul Par Chalte
Aadmi Ne Apni Rassi Kheench Li
Aur Bhagte Bhagte Wo MNC Gaya
Usne Wahan Ke HR Ko Bataya Ki
Abhi Abhi Ek Aadmi Doobkar Mar Gaya Hai
Aur Is Tarah Aapki Company Mein
Ek Jagah Khali Kar Gaya Hai…


Mein Berozgaar Hoon Muje Le Lo…
HR Boli Dost Tumne Aane Me Der Kar Di,
Ab Se Kuch Der Pehle Humne Us Aadmi Ko Lagaya Hai
Jo Usse Dhakka De Kar Tumse Pehle Yahan Aaya Hai !!!



The Will To Win

The will to win,
the desire to succeed,
the urge to reach your full potential…
these are the keys that will unlock the door to personal excellence.

khusi ka ek MEHMAN

*.*__?____*.¤
.*/_____/?*.*Har ghar mai do “DASTAK”


Ke khusi ka ek or “MEHMAN”aa raha hai


“MUBARAK”ho aap ko bhi ke
“MAHE-E-RAMZAN” araha hai.

Zakhmo ke Nishan

Udas kar k mujhe khud bhi pareshan hai bohut,


kehny ko wo mery kareeb hai bohat lekin,


faslay ab tak humaray darmiyan hain bohat,


wo naye zakhmo k nishan na dekh payega,


dil pay pichlay zakhmo k nishan hain bohat,


beach bhawar say bhi nikal kar kia mila,


khamosh sahilo par tufan hain bohat,


main naa bhi chahoon to chali aati hai,


teri yadain mujh par meharban hain bohat.

Saturday, September 25, 2010

Kuch Mohabbat ka Nasha pehle - Ahmed Faraz Poetry

Kuch Mohabbat ka Nasha pehle ham ko Tha Faraz
Dil jo Toota to Nashe se Mohabbat Ho gai....!


Add Wife Have Life

If you marry one woman,


she will fight with u


But if you marry with 2 women


They will fight for u.


Think different Add Wife Have life 😉

Tu Bhi Aaya Hai Mujhe Chor Ke Jane Ke Liye

Tu bhi aaya hai mujhe chor ke jane ke liye,
Is se acha tha mujhe khud me bhatakne deta...

Submitted by: Awais

Perfection in my Eyes



Perfection in my Eyes


All I Ever Wanted Was To Be Part Of Your Heart,
And For Us To Be Together, To Never Be Apart.


No One Else In The World Can Even Compare,
You’re Perfect And So Is This Love That We Share.


We Have So Much More Than I Ever Thought We Would,
I Love You More Than I Ever Thought I Could.


I Promise To Give You All I Have To Give,
I’ll Do Anything For You As Long As I Live.


In Your Eyes I See Our Present, Our Future And Past,
By The Way You Look At Me I Know We Will Last.


I Hope That One Day You’ll Come To Realize,
How Perfect You Are When Seen Through My Eyes.



Friday, September 24, 2010

Umar Bhar Kuch Khawab Dil Par Dastak

Umar Bhar Kuch Khawab Dil Par Dastak Dete Rahe

Hum Majboor-e-Wafa The Aahaten Sunte Rahe...

Umar Bhar Kuch

When U Start Ur Day

When u start ur day
Keep 3 words in ur pocket
TRY-TRUE-TRUST
TRY-4 better future
TRUE-wid ur work
TRUST-on Allah
then u will success in ur lifE
Gud Morng dost

Thursday, September 23, 2010

Parveen shakirs poetry in hindi



Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya


Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya


Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya


Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya


Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya


Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya…!




Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai


Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai


Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai


Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai


Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai


Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai


Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai



Share with us more Parveen shakirs poetry in hindi in Comments Section below.




Tere Jatay Hi

Aafatain Jaise Intizaar mein Thin
Tere Jatay Hi Sab ne Ghair Liya.

Lutf ho mehsahar mein

ya Lutf Ho Mehshar Main, Shikwe Main Keye Jaao


Woh Hans Kay Yeh Farmayen Dewana Hai Dewana

Dosti hamesha rahay

Dosti hamesha rahay ye ,DUA, ki jiye ga Hai takaza


wafa ka wafa kijiye gaAur to kuch nahi mangtay


hum ap seJub uthao haath to hamare liye bi ,DUA, kijiye ga

Choota Sa Ek Lafz Tumhari

Choota sa ek lafz Tumhari
Kitna payara lagta hai.
.
Dil main Khushion ki na jane
Kitne Phool Khilata hai.
.
Pheeky se Be-Kaif se din main
Shookhi k Rang sajata hai.
.
Jab EID k din ek Card mile.
Us par hun Surkh Gulab bany.
.
Jis ki andar sab se neeche
Likhne wali ne likha ho.
.
Tum ko dil se chahne wali.
Sirf TUMHARI
.
Tab chota sa aik lafz Tumhari
Kitna payara lagta hai..

aah ko chahiye ik umr asar hone tak – Mirza Ghalib



aah ko chahiye ik umr asar hone tak


aah ko chahiye ik umr asar hone tak
q jita hai teri zulf ke sar hone tak


dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatare pe gauhar hone tak


aashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak


hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak


partav-e-khur se hai shabanam ko fana ke talim
main bhi hun ek inayat ke nazar hone tak


yaknazar besh nahi fursat-e-hasti gafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak


gam-e-hasti ka ‘asad’ kis se ho juz marg ilaj
shamma har rang mein jalati hai sahar hone tak


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Wednesday, September 22, 2010

Khoon Is Dauor Men

Gar Yehi Haal Raha Saaqi Tery Maekhano Ka.!


.


Dher Lag Jaega Toote Hue Paimano Ka.!


.


Qahat Dunya Men Hay Ab Ayse Musalmano Ka..


.


Zor Jo Tor Diya Karte Thy Tufaano Ka.!


.


Koi KHALID he


Na TARIQ He


Na He ibn-e-QASIM.


.


Raasta Saaf He Barhte Hue Shetano Ka.


.


Jis Jaga Chaho Jahan Chaho Baha Do Is Ko.


.


Khoon Is Dauor Men Sasta He MUSLMANO Ka..!

Good Relationship Is like A Tree

GooD Relationship iS LikE a TREE
iT DemanDs
AttenTion & CaRe
iN ThE Beginning,
BuT
oNce iT BLoSsomS,
iT PRovides
Shade & PRotectioN iN aLL SituaTions oF LiFe.

Sad Poetry – Hajoom-e-Gham Say



Hajoom-E-Gham Say Jis Dam Aadmi Ghabra Sa Jata
To Aisay Main Usay Awaz Per Qaboo Nahi Rahta
Wo Itnay Zoor Say Faryad Karta Hai
K Jaisay Wo Zameen Per Or Khuda Ho Asmanoon Per
Magar Aisa Bhi Hota Hai
K Us Ki Awaz K Ruknay Say Pahlay Hi
KHUDA Kuch Is Qadar Nazdeeq Say
Or Is Qadar Rehmat Bhari Muskan Say Us Ko Thapakta Hai
Or Us Ki Baat Sunnta Hai
K Faryadi Ko Apni Awaz Ki Shiddat
Or Sada Ki Bechaini Per Nidamat Honay Lagti Hai



Millat Ka Pasbaan Hai Mohammad Ali Jinnah - 25 December

Millat Ka Pasbaan Hai Mohammad Ali Jinnah,
Millat Hai Jism, Jaan Hai Mohammad Ali Jinnah,
Millat Hui Hai Zinda Phir Uski Pukaar Se,
Taqdeer Ki Azaan Hai Mohammad Ali Jinnah…

25 December Quaid Day

Kabhi Yaad Aao To Is Tarha

Kabhi Yaad Aao To Is Tarha
Kabhi Gungunao To Is Tarha

Mera Dard Phir Se Ghazal Bane
Kabhi Dil Dukhao To Is Tarha

Meri Dharkanein Bhi Laraz Uthain
Kabhi Bhool Jao To Is Tarha

Na Sisak Sakain Na Bilak Sakain
Kabhi Chor Jao To Is Tarha

Na Ujar Sakain Na Sanwar Sakain
Kabhi Yaad Aao To Is Tarha...

Kabhi Yaad Aao

Nigahain Mileen

Do Nigahain Mileen
Mil k Phir Jhuk Gaeen
Jhuk K Phir Uth Gaeen
Waqat Tham Sa Gaya
Hosh Bhi Kho Gaey
Faslay!
Aik Lamhay Mein Teh Ho Gaey
Phir Achanak Nigahain
Juda Ho Gaeen
Ye Besaarat Unhain
Dhondti Reh Gaee
Aur Us Waqat Say Haal Bechain Hai
Ye Tha Pehli Muhabbat Ka Pehla Safar
Kiss Qadar TAiz Ru….!
Kiss Qadar Mukhtasir..!!


“2 Ajnabi dost”
03132174713


From: JinNU Rider

Tuesday, September 21, 2010

Happy 23 March Independence Day Sms

Kis Mein Himmat Hai Hmari Perwaaz Mein Khalal Dalay,
Hum Paroon Se Nahi Hosloon Se Urra Kerte Hain.


*23MARCH*


HAPPY RESOLUTION DAY

Mehboob ke yad me Cigrt

Mehboob ki yad meain petrol pump py cigrt


kiya lagya FARAZ..


Meri to Duniya hi badal gai,


faqat ik Dhamaky se… 😀

Monday, September 20, 2010

Hawa jub geet gati hay Mery aansu nahin rukty



Hawa jub geet gati hay Mery aansu nahin rukty”


Tumhari yaad ati hay Mery ansu nahin rukty”


Mai khush hota hon pani mein baha kar kaagzi kashti”


Magar jab dub jati hai Mery aansu nahin rukty”


Mein din bhar khof ruswai ka kitna zabat krta hon”


Magar jab raat chaati hai Mery aansu nahin rukty”


Kabi jab sarad shamun mein may tmko pukaron”


Chalay anaa k her sans pay aansoo nahi ruktay”



Khushi ke mare

Husband: sir meri wife kho gai hai
.
.


Postman: Yeh post office hai police station nahi..
.
.
.


Husband: ohh sorry..!
.
.


Saala khushi k mare kaha jaau, kuch samjh mein nahi aa raha hai

Ek Pthan Ki Murgi

Ek Pthan Ki Murgi Bemar Hui,


Sardar: tum eska sadka utar lo


To phir
.
.
.
.
.
.
.
.
Phir kya hona tha, PATHAN ne murghi k lye 1 “Bakra”
sadqa kr diya.@

Pagal Mohabbat Tumhein Yaad Aayegi



Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad Aayegi


Jab Chaand Sitare Chamak Rahey Hon
Jab Yaadon K Phool Mehak Rahey Hon
Jab Deed Ko Nain Taras Rahey Hon
Jab Aankhon Se Aansoo Baras Rahey Hon


Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad Aayegi


Jab Tanhai Se Dil Ghabraye Ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab Koi Khuwab Hi Nahi Ayega
Jab Phool Kitab Mai Hi Reh Jayega


Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad Ayegi?



Mere ham-nafas, mere ham-nava, mujhe dost banake daga na de – Shakeel Badayuni



mere ham-nafas, mere ham-nava, mujhe dost banake daga na de
main hun dard-e-ishq se janvalab, mujhe zindagi ke dua na de
mere dag-e-dil se hai raushani, usi roshni se hai zindagi
mujhe dar hai aye mere charagar, ye charag tu hi bujha na de
mujhe chod de mere hal par, tera kya bharosa hai charagar
ye teri nawazish-e-mukhtasar, mera dard aur bada na de
mera azm itna baland hai ke paraye sholon ka dar nahi
mujhe khauf aatish-e-gul se hai, ye kaheen chaman ko jala na de
wo uthe hain leke hom-o-subu, arey o ‘shakeel’ kahan hai tu
tera jam lene ko bazm mein koi aur hath bada na de


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



I Am The Morning’s Orphan




I Am The Morning’s Orphan


The Night Hug Me To The Vigil’s Refuge


Washed His Face By My Writing


And Eyelined My Eyes With His Kohl



Combed His Hair By My Pen


Laid On My Copybook As Bed


Slept On And


My Lines As Tired Weary Breasts



Ragged From The Harvest’s Years


My Heart Is Ashtray For Smoke Secrets


And My Evenings Are Expanding


While My Morn Is Dumb



My Words Are Lighting As Light


And Mirror On The Brazen Roofs


The Vagrant Wind Is Begging


Close To My Window



Suddenly My Eyes Shaken


Then, I Sat Under The Stars Shine


After That I Thought About Flying


I Made Wings From Water



And I Soared


But The Night’s Beloved


Freeze My Blurred Wings


I Loved Her Pride



And I Failed In Love With Her


Then, My Songs Altered


And I Became A Night’s Foe


I Knew That I Couldn’t Fly And


But, I Can Sung




Sunday, September 19, 2010

Bin Sawan Barsat Nahi Hoti

Bin Sawan Barsat Nahi Hoti,


Suraj Dobey Bina Raat Nahi Hoti,


Kya Kare Ab Kuch Ayse Halaat Hain,


Apki Yad Aaye Bina Din Ki Sheruat Nahi Hoti.


Good Morning… Have a Nice Day

Value Of Relation

Value of relation
is not that how much you feel happy with some one
But it is that
How much you feel ALONE without someone..

Saturday, September 18, 2010

Din Guzar Gaya Aitbaar Mein



Din Guzar Gaya Aitbaar Mein
Raat Kat Gayee Intezaar Mein


Woh Maza Kahan Vasal-E-Yaar Mein
Lutf Jo Mila Intezaar Mein


Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayee
Hosh Ab Kahan Hoshyaar Mein


Meray Kabzay Mein Kaaynaat Hain
Mein Hun Aapkay Ikhtayaar Mein


Aankh To Uthi Phool Ki Taraf
Dil Ulaj Gaya Husn-E-Khar Mein


Tujh Say Kya Kahein Kitnay Gham Sahey
Humnay Be-Wafa Teray Pyaar Mein


Fikr-Aashiyan Har Khizan Ki
Aashiyan Jala Har Bahaar Mein !



Meri sham-e-gam ko wo bahala rahe hain – Akhtar Shirani



meri sham-e-gam ko wo bahala rahe hain
likha hai ye khat mein ki hum aa rahe hain
thahar ja zara aur dard-e-furqat
hamare tasavvur mein wo aa rahe hain


gam-e-aqabat hai na fikr-e-zamana
piye ja rahe hain jiye ja rahe hain


nahi shikava-e-tashnagi mayakashon ko
wo aankhon se maikhane barasa rahe hain
wo rashk-e-bahar aanevala hai “akhtar”
kanval hasaraton ke khile ja rahe hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Shirani



Ashk aankhon mein kab nahi aata – Meer Taqi Meer



ashk aankhon mein kab nahi aata
lahu aata hai jab nahi aata
hosh jata nahi raha lekin
jab wo aata hai tab nahi aata
dil se rukhasat hui koi khvahish
giriya kuch be sabab nahi aata
ishq ka hausla hai shart varna
bat ka kis ko dhab nahi aata
jee mein kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahi aa


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Mohabbat Ham Ne Ki Khata Hogai



Mohabbat Ham Ne Ki Jo Ek Khata Hogai
Ki Wafa Or Zindgi Saza Hogai


Wafa Karte Rahe Ham Ibadaton Ki Tarha
Phr Ibadat Khud Ek Gunah Hogai


Kitna Suhana Tha Safar Jab Sath The Ham
Phr Kia Howa Q Manzil Juda Hogai


Koi Chahat Koi Hasrat Koi Umeed Nhi Rahi
Tu Gaya To Laga Dunya Fana Hogai


Ye Dua Ki K Jise Chahe Wohi Mile Tujhe
Par Ye Dua Apne Liye Bad-Dua Hogai


Abhi Kuch Dair Hoi Use Yaad Karte Huwe
Ye Aaj Q Itni Jaldi Subha Hogai..



Fall in love

Dear heart,


Next time you want to fall in love,


make sure you also listen to my head.


Sincerely, Tired of getting hurt

Friday, September 17, 2010

How Big Your House is

No matter how big your house is,
how flashy your car is,
how expensive your clothes are..
Our graves will all be the same size…!

Shak ki Inteha

Shak ki Inteha
Shohar:
Darling I will love you for the next 1000 years
Biwi:
Uss k baad kon si maa k pass janey ka irada hai

Thursday, September 16, 2010

Funny Eid Sms 2011

1 baat puchun?
Mazaq my mat talna
Gol mol jawab nhi chlega
Daiko kuch baten zndgi my bht ehm hoti han
Sch sch batao


.


.


.


IS EID PE NAHAO Gy?

Chaman Jal Gaya



Banaya Tha Maali Ne Jo Chaman Badi Chaah Se
Kaisi Giri Ye Barq, Muskurata Chaman Jal Gaya


Har Paudhe Ko Seencha Tha Pyar Ke Ehsas Se
Kyun Khilta Hua Phool Pairon Se Masal Gaya


Ugta Tha Jahan Muskurate Hue Suraj Har Roz
Wo Suraj Kyun Waqt Se Pehle Hai Dhal Gaya



Jo Dil Jude The Ek Doosre Se Ek Anjani Dor Se
Ye Kaunsa Ehsaas Aaj Un Dilon Ko Chhal Gaya


Kahan Gayi Wo Mohabbat Jo Ek Doosre Se Thi
Aapas Main Kyun Shak Ka Yeh Teer Chal Gaya !!



Apni FIQAR Kr

IBN E MAS00D (R*A) Frmaty Hain


Bandy K Gunagar Hony K Liye Itna Kafi Hy


Jab Us Sy Kaha Jaye


ALLAH Sy Daro To Wo Kahy


Tu Apni FIQAR Kr.

Wednesday, September 15, 2010

Mera 1 jumla

“INTRESTING YADAIN”


TELL ME?


Mera 1 jumla?


Jo Apko aksar yaad Aata ho or aap muskura daity hon..?


Frwd it all frnds n get cool replies.


But rply me must..

Mohabbat ke pyase

Teri Mohabbat Ke Pyase The To Hath paila Diya Warna


Hum To wo Khudgrz Hain Jo Khud Ki Zindagi Ke Liye Bhi Dua Nahi Karte

Pareshaan Thi Champu Ki Wife



Pareshaan Thi Champu Ki Wife
Non-Happening Thi Jo Uski Life
Champu Ko Na Milta Tha Aaram
Office Main Karta Kaam Hi Kaam


Champu Ke Boss Bhi The Bade Cool
Promotion Ko Har Baar Jate The Bhul
Par Bhulte Nahi The Wo Deadline
Kaam To Karwate The Roz Till Nine


Champu Bhi Banna Chata Tha Best
Isliye To Wo Nahi Karta Tha Rest
Din Raat Karta Wo Boss Ki Gulami
Onsite Ke Ummid Main Deta Salami


Din Guzre Aur Guzre Fir Saal
Bura Hota Gaya Champu Ka Haal
Champu Ko Ab Kuch Yaad Na Rehta Tha
Galti Se Biwi Ko Behenji Kehta Tha


Aakhir Ek Din Champu Ko Samjh Aaya
Aur Chod Di Usne Onsite Ki Moh Maya
Boss Se Bola, “Tum Kyon Satate Ho ?”
“Onsite Ke Laddu Se Buddu Kyun Banate Ho”


“Promotion Do Warna Chala Jaunga”
“Onsite Dene Par Bhi Wapis Na Aunga”
Boss Haans Ke Bola “Nahi Koi Baat”
“Abhi Aur Bhi Champus Hai Mere Paas”


“Yeh Duniya Champuon Se Bhari Hai”
“Sabko Bas Aage Badhne Ki Padi Hai”
“Tum Na Karoge To Kisi Aur Se Karunga”
“Tumhari Tarah Ek Aur Champu Banaunga”



Aik dorsay ke wastay

EIK DOSRAY KY WASTAY DONO BANAY


WASI


GULDAN MERA DIL TRI YAAD PHOOL HAI

Tuesday, September 14, 2010

Depth of My Heart

One day I’ll go far away in the depths of my grave.
My Real Home.
Nobody can meet me,
I’ll b all alone.
My parents can’t come to help me.
I’ll b afraid of dark.
But,
Ur prayers may lighten my grave.
So,Please do remember me in ur prayers & forgive my last year’s mistakes in this Holy month of Ramzan If I have ever hurt you I’m saying sorry from depth of my heart and soul. Please accept my apology.
Regards…

Eid Gifts 2012

Aziz Dosto: Main aj se Baqaida Elaan karte hon


K Main ne Eid Gifts Dosti k Tohfay,


Cash Cheque
Sweets Mobile Cards
Perfumes Waghera


Qabool karne ka Aaghaz kar diya hai,


To Dair na Karain Rash Se Bachain. Jaldi Karain Waqt Bachaain.

Desh Bhakti Shairy



Desh Bhakti, Ek Dujey Ke Liye Pyar Abb Yahan Harr Dil Mein Hain
Dekh Lenge Jorr Jitna Bazuein Katil Mein Hain


Devta Tum Jitne Bomb Se Udaou
Mita Na Sakogey Aaastha Jo Dil Mein Hain
Bal, Budhi Aur Vidhya Hai Kann Kann Mein
Josh Abb Hamarey Bhi Dil Mein Hain!!!


Bhakti Aaur Adbhut Shakti Bass Yehi Hamari Mehfil Mein Hai
Dekhna Hai Jorr Kitna Bazuein Katil Mein Hain



Kul Raat Janai Kya Hova



Kul Raat Janai Kya Hova
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Kuch Ashq Milnai A Gai
Kuch Khwab Bhi Totai Hovai
Kuch Log Bhi Bholai Hovai
Kuch Rasta Bhutki Hoi
Kuch Gurd Mai Lipti Hoi
Bai-Rubt Si Souchain Kai
Bhooli Hoi Baatai Kai
Ik Shaks Ki Yaadai Kai
Phir Dair Tuk Jaga Raha
Souchon Mai Gum Baitha Raha
Ungli Sai Thundai Fursh Pur
Ik Naam Bus Likhta Raha
Kul Raat Hi Wo Raat Thi
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Mai Dair Tuk Roota Rahaa



Monday, September 13, 2010

maa poetry sms

Jb b merey DIL ki MASJID me teri yaadon ki azaan hoti hai MAA…


Main apney hi aansuon se wazu kr k terey jeeney ki dua krta hoon..!

Tarz e zindagi

HaaLat-E-Faqeeri Mein dkH Kr iTna heraAn KyOn hO


SAzA


Tera AndaZ-E-WAFa bAdal Gya, AUr Mera TarZ-E-ZndGi

Friend Is Like A Flower



A Friend Is Like A Flower,
A Rose To Be Exact,
Or Maybe Like A Brand New Gate
That Never Comes Unlatched.
A Friend Is Like An Owl,
Both Beautiful And Wise.
Or Perhaps A Friend Is Like A Ghost,
Whose Spirit Never Dies.
A Friend Is Like A Heart That Goes
Strong Until The End.
Where Would We Be In This World
If We Didn’t Have A Friend



Masala Filmi Shayari



Dil Ke Chhalon Ko Koi Shayari Kahe, To Dard Nahi Hota
Takleef To Tab Hoti Hai, Jab Log Wah-Wah Karte Hain


Apne Hisse Ki Zindagi To Hum Kabke Jee Chuke,
Ab To Sirf Dhadkanon Ka Lihaj Karte Hain,


Kya Karen Is Duniya Walon Ka,
Jo Aakhari Dhadkano Pe Bhi Aitaraz Karte Hain.


Yu Nazar Se Nazar Ki Baat Ki, Ki Dil Chura Le Gaye
Hum To Samjhe The But, Aap To Dhadkan Suna Gaye



Sunday, September 12, 2010

justaju me hon

Main kisi aisi jagah ki justaju me hon


… “MOHSIN” …


Jahan gehri tanhai to ho


Par ehsas-e-tanhai na ho….

A Dirty joke

Do U Want To Hear A Dirty Joke?
.
.
.
Are You Sure?
.
.
.
Ok, Here You Go…
.
.
.
A White Horse Fell In The Mud.:-)

Saturday, September 11, 2010

Nahi Rehta Koi Shakhs Adhura Kisi Chez K Pechy

Nahi Rehta Koi Shakhs Adhura Kisi Chez K Pechy

Waqt Guzr Hi Jata Hai Kuch Paa Kar Bhi Kuch Kho Kar Bhi...

Nahi Rehta Koi

Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur – Mirza Ghalib



Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur
mit jayega sar, gar tera paththar na ghisega
hun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur
aaye ho kal aur aj hi kahate ho ki jaun
mana ki hamesha nahi acha koi din aur
jate hue kahate ho qayamat ko milenge
kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur
han ae falak-e-pir, jawan tha abhi aarif
kya tera bigadata jo na marata koi din aur
tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar ke
phir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur
tum kon se aise the khare dad-o-sitad ke
karta malakulmaut taqaza koi din aur
mujhase tumhen nafrat sahi, nayyar se ladai
bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur
guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhush
karana tha javanmarg! guzra koi din aur
nadan ho jo kahate ho ki kyon jite ho ‘ghalib’
qismat mein hai marane ke tamanna koi din aur


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Hangama hai q barpa thodi si jo pi li hai – Akbar Allahabadi



hangama hai q barpa thodi si jo pi li hai
daka to nahi dala chori to nahi ke hai
na-tajurbakari se waiz ke ye baten hain
is rang ko kya jane pucho to kabhi pi hai
us mein se nahi matalab dil jis se hai begana
maqasud hai us mein se dil hi mein jo khinchati hai
van dil mein ki sadame do yan jee mein ke sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab jee hai
har zarra chamakata hai anavar-e-ilahi se
har sans ye kahati hai hum hain to khuda bhi hai
suraj mein lage dhabba fitarat ke karishme hain
but hum ko kahe kafir ALLAH ke marzi hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Akbar Allahabadi



Ankhon ki masti hai

Bohat Pur Lutf Rishta Hai Nigahon Ka Nigahon Se


Meri Ankhon Ki Hasrat Mein, Teri Ankhon Ki Masti Hai

Teacher Pathan Say

Teacher pathan say:
Alama Iqbal k is shair ki tashri kro


“KHOL ANKHaIN ZAmin dAIKH FALAK DAIKH FIZA DAIKH,
MASHRIQ SE UBHrty HVA SURAJ KO ZRa DAIKH”


Pathan; is shair mai Alama Iqbal kahty hain k


“GOOD MORNING” 😛

Apne Khwabon Ko Samjhana Tum



Apne Khwabon Ko Samjhana Tum
Apne Afsano Ko Smjhaana Tum
Bahut Sataati Hai , Humein
In Yaado’n Ko Samjhaana Tum
.
Kyun Aati Ho Tum
Kyun Jalaa Jati Ho Tum
Tumhare Sapno Mein Kho Jaane Ko
Apne Saapno Ko Samjhaana Tum
.
Subhah Yu’n Hi Jga Jati Ho
Shaam Ban Kr Dhal Jaati Ho
Rat Mein Hume Sulane Ko
Apni Ratoo’n Ko Samjhaana Tum
.
Baarish Mein Bhiga Jati Ho
Aansu Ban Kr Bah Jaati Ho
Mein Ro Lu Tum Na Rona
Na Rone Ko Apni Aankho Ko Samjhaana Tum..!!!



Hell Poetry Heaven Poetry




Imagine There’s No Heaven,


It’s Easy If You Try,



No Hell Below Us,


Above Us Only Sky,



Imagine All The People


Living For Today



Imagine There’s No Countries,


It Isnt Hard To Do,



Nothing To Kill Or Die For,


No Religion Too,



Imagine All The People


Living Life In Peace



Imagine No Possesions,


I Wonder If You Can,



No Need For Greed Or Hunger,


A Brotherhood Of Man,



Imagine All The People


Sharing All The World



You May Say Im A Dreamer,


But Im Not The Only One,



I Hope Some Day You’ll Join Us,


And The World Will Live As One




Difference Between School And College

A Big Difference


Between School & Collage:
.
.
In School If You Were Late,


You Had To Sit On Last Bench..
.
.
.
But In Collage If You Were Late,


You Had To Sit On First Bench.. 😉 😛 😀

Friday, September 10, 2010

Sri Vithappa Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Sri Vithappa Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Sri Vithappa Fair greeting.


People of the village of Vithappa in Karnataka hold the Sri Vithappa fair in honor of the eponymous deity of the village. The fair, which is held for three days immediately after the traditional festival of Shigi Hunnive, attracts a large congregation of devotees from adjoining areas.


As per the religious observations, a procession is taken out with devotees carrying the holy deity in a palanquin. The procession is accompanied by about 60 parties of drummers assembled from different parts of the state. Devotees offer animal sacrifices to appease the deity of Vithappa. The Pujari sells them and the amount realized is credited to the temple funds.


Large processions are carried out and devotees shouldering the deity in a sanctum palanquin. Altogether there are sixty groups of drummers joining the processions. Animal sacrifices are made as a part of ritual ceremony. The funds that are collected from these sacrifices are used for the temple welfare.The fair is associated with a large number of spiritual beliefs. Formulation of milk into curd before the offerings is considered as omen by the devotees. The fair was first held two hundred years back and still it is conducted and people enjoy to the extreme. The fair is usually celebrated on the fourteenth and fifteenth day of Ashwija.


Happy Sri Vithappa Fair Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Musalsal Hon Mulaqaaten To Dilchaspi Nahi Rehti

Musalsal Hon Mulaqaaten To Dilchaspi Nahi Rehti
Be-Tarteeb Yaraaney Bare Rangeen Hote Hain...

Musalsal Hon Mulaqaaten

hadees related to jannat

kisi ne HAZUR (SAW) sy


pucha , jannat kitni door hai?


SARKAR ny farmay , JANNAT 2 QADAM per hai


PEHLA qadam NAfs par rakho ,


DOSRA jannat mei ho ga

Bakra Eid Shayari Sms in Hindi



Eid Shayari


Ab Maza Ayega Eid Ka
Bacha Bacha Muntazir Hai Deed Ka


Ab Nahin Hijr Gawara Ke Kareeb Ajao
Eid Ka Bhi Hai Ishara Ke Kareeb Ajao


Ubhra Nahin Hai Chand Nazar Beqarar Hai
Aese Mein Bhala Khaak Aye Eid Ka Maza


Abr-E-Rehmat Ban Kar Cha Jao Peyam E Eid Hai
Chaar Soo Noor Barsao Peyam E Eid Hai




Jo Log Mot Ko Zaalim Qaraar Dete Hain

Jo Log Mot Ko Zaalim Qaraar Dete Hain

Khuda Milaye Unhe Zindagi Ki Maaron Se...

Jo Log Mot Ko

Pyar SMS Shayari



Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy
Mohabbato’n Ki Kitaab Tu Hy


Be-sabat Jaha’n k Rung Saray
Meri Nazar Mein Shabaab Tu Hy


Ye Kainaat Hy Jis Se Roshan
Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hy


Kabhi Tou HoTa Hy Paas Mere
Kabhi Chamakta Saraab Tu Hy


Phool, Kaliyo’n Ka Khush-Rung Pairhen
Khushbuo’n Ka Hijaab Tu Hy


Tu Meri Khwahish, Tu Meri Hasrat
Meri Aankho’n Ka Khwaab Tu Hy


Nisaab-e-Zindagi Hy Ishq
Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hy … !!



Ejaazat Ho Agar Teri To Ek Baat Me Puchun

Ejaazat Ho Agar Teri To Ek Baat Me Puchun

Jo Hum Se Ishq Sekha Tha Wo Ab Tum Kis Se Karte Ho???

Ejaazat Ho Agar

Live with Character

you may fall iN love with the beauty of some oNe


but remember,


fiNally u have to live with the character,


Not with beauty.

Lamk lamk ke

Sardar:


Interveo deny gaia,


Officer:


Tmhari talem keia,


Sardar:


L . L . K . M . P .


Officer:


Ye kon’c digri he,


Sardar:


Lamk làmk k metrik pas.

Naadim Hoon Mene Koi Bhi Rahat Na Di Tujhe

Naadim Hoon Mene Koi Bhi Rahat Na Di Tujhe
Tu Jis Ka Mustahiq Tha Wo Chahat Na Di Tujhe

Apne Hi Roz-o-Shab K Jhamelon Me Gum Raha
Jis Per Tera Tha Haq Wo Rafaqat Na Di Tujhe

Tu Paas Tha To Meri Anaa K Ghuroor Ne
Pathar K Aik Butt Ki Bhi Wuq'at Na Di Tujhe

Darya Tha Me Khuloos Ka Har Shakhs K Liye
Per Boond Bhar Bhi Mene Muhabbat Na Di Tujhe

Kaghaz K Qamqamon Ko Jalane K Shauq Me
Afsos, Koi Sham-e-Rafaqat Na Di Tujhe

Tu Sochta To Ho Ga K Shayar K Pyar Ne
Apni Kisi Ghazal Ki Bhi Surat Na Di Tujhe

Me Kya Karun K Mere Bohat Se Azaab The
Bus Is Liye Kabhi Koi Zehmat Na Di Tujhe...

Naadim Hoon Mene

Thursday, September 9, 2010

Adat se ker de

Sirf Main Hi Tham Sakon Hath UsKa Mjh Per Tu Itni Inayat Si Kr De..


Wo Reh Na Paye Ik Pal Bi Mere Bina Aye Khuda Tu UsKo Meri Aadat Si Kr De

Mujhe Raat Ki Tanhaiyon Me Yoon Tanha Mat

Mujhe Raat Ki Tanhaiyon Me Yoon Tanha Mat Chora Karo
Darr Lagta Hai Kahin Ye Mujhe Apna Na Bana Len...

Blogger : Waqas Ali

Ek Couple Date Pe Tha

Ek couple date pe tha, Dad ne


dekh liya !!!


Dad ne call kiya..beta kaha ho …?


Beta := exam dene aaya hu !


Dad := par dhyan se, agar es


exam ka result aa gya to jan se mar dunga =P

is line me khade rehna warna

Badsha ne Elaan krwaya k Shadi Shuda Mard 2 lines me kharre hon.


1 line me wo jo BV se darte hen 0r


1 me wo jo nhi darte.


Darne walon ki lambi line thi.


Jb k na darne walon ki line me 1 Aadmi tha.


Badsha ne us se kaha: To aap BV se nhi drte. Us ne kaha: Pata nhi g.


Muje to Bv keh gai hai k is line me kharre rhna warna tangain tor du gi!

Udaasiyan To Mere Ehad Ki Alaamat Hain

Udaasiyan To Mere Ehad Ki Alaamat Hain
Main Hans Para to Bohat Pechy Laut Jaun Ga...

Blogger: Waqas Ali

Wednesday, September 8, 2010

Toheen Muhabbat Ki

Unhain bewafa jo bolun tou toheen hai muhabat ki


Wo sarasar nibha rahay hain wafa ko idhr udhr.

Ager Alif Se Lo Insann Ali



Ager Alif Se Lo Insann Ali
Be Se Kamil-Burhan Ali
Te Se Tatheer Ki Jaan Ali
Se Se Saqlain Ki Shaan Ali
Har Makhfi Baat Ka Raaz Ali
Aur Jeem Se Pak Jawaz Ali
Makdoor Ali Taqdeer Ali
He Se Haq Ki Tasweer Ali
Khe Se Khatmul-Quran Ali
Aur Khaliqa Ka Shahkar Ali
Shazada-E-Husun-O-Jamal Ali
Re Se Rehbar Har Haal Ali
Wahid Ki Qasam Wajid Bhi Ali
Hai Ze Se Zahid Bhi Ali
Be-Badal Ali Baaqi Bhi Ali
Mera Sin Se Hai Saaqi Bhi Ali
Sucha Sacha Kafi Bhi Ali
Aur Sheen Se Hai Shafi Bhi Ali
Hai Suad Se Sabik Zikr-E-Ali
Aur Zuad Se Zamin Fiqr-E-Ali
Ta Se Tarfain Mein Noor-E-Ali
Za Se Purnur Zahoor-E-Ali
Rutba Hai Khuda Ke Wali Ka Ali
Aur Ain Se Naam Ali Ka Ali
Hai Gain Se Pak Gani Bhi Ali
Fe Se Fazal-E-Rabbi Bhi Ali
Mera Kaaf Se Kibla Ali Ali
Aur Kaaf Se Kaaba Ali Ali
Hai Mim Se Shan-E-Ma Bhi Ali
Aur Mun Kunto Maula Bhi Ali
Hai Noon Se Noor-E-Khuda Bhi Ali
Wow Se Wajhul-La Bhi Ali
Sun Lo Ain-Ul-Lah Peer Ali
Aur Ye Se Yad-Ul-Lah Peer Ali
Emaan Ali Eeqaan Ali
Sultan Ali Meri Jaan Ali



Happy propose day

1 ladka Dusre Ladke Se
Tum Ne Meri Gf Ko Propose Kyo Kiya??
.
Ladke Ne Mast Jawab Dia:
.
.
.
.
.
Jab Tak Ladki Kunwari Hai..
.


Na Tumhari Hai..
Na Hamari Hai..
Bas Sarkari Hai..:p :O 😀 😀
Happy propose day…;)

Yun Mujhe Bhej K Tanha Sar-E-Bazaar

Yun Mujhe Bhej K Tanha Sar-E-Bazaar-E-Faraib
Kya Mere Dost Meri Saada Dili Bhool Gaye

Ab Mere Ashk-E-Mohabbat Bhi Nahi Aap Ko Yaad
Aap To Apne Hi Daaman Ki Nami Bhool Gaye

Ab Koi Mujh Ko Dilaye Na Mohabbat Ka Yaqeen
Jo Mujhe Bhool Na Sakte The Wohi Bhool Gaye

Kya Kahain Kitni Hi Baatain Thi Jo Ab Yaad Nahi
Kya Karain Hum Se Bari Bhool Hui,Bhool Gaye...

Yun Mujhe Bhej K

Tere Khwab Ka Lalach

Bari Mushkil Se Khud Ko Sulaya Hai Main Ne,
Apni Ankhon Ko Tere Khwab Ka Lalach De Ker.

Are You Hungry

Are you hungry?
Never mind I have two bowls,
1 for wishes and
1 for luck.
Wishes are mine and
luck is yours.
you can take it or leave it,
choice is yours.

Tuesday, September 7, 2010

Make ker ke

Ab to larkian rat main b make-up kr k soti hain


FARAZ


Q K.
.


.


.
Koi dekhy na dekhy SHABBIR TO DEKHY GA..!

Kaamp Uthi Hoon

Kaamp uthti hoon main yeh soch kar tanhayi mein,
Mere chehrey pe tera naam na parrh le koi..

attend ur wedding

Only true friends stand wid u during bad times of ur lyf..


So..


I “—–” here by, promise that I will definitely attend ur wedding…. 😀

Monday, September 6, 2010

Have a great Year

I wish U to have a …..
Sweetest Sunday,
Marvellous Monday,
Tasty Tuesday,
Wonderful Wednesday,
Thankful Thursday,
Friendly Friday,
Successful Saturday.
Have a great Year. HAPPY NEW YEAR

char zero aik sath

TEST


Ager ap sy kaha jaye k,


“char zero aik sath”


likh k dikhain
To ap kaisy likhain gy?


.
.
.
.
.
.
0000
.


.


Aisy?


G nai


4017


Puttar parhya kar.

Art Of Rest

DEFINITION OF LAZINESS:


“It is The Art Of Taking Rest Before Getting Tired” 😛

Kaho Agar To Bhula Doon Tum Ko

Kaho Agar To Bhula Doon Tum Ko

Sab Kuch Bata Kar Rulaa Doon Tum Ko

Bohat Dushwaar Guzre Ga Mujh Pr

Kaho Agar To Sazaa Doon Khud Ko

KIun Ab Roz Roz Ka Rona Rahe Aakhir

Aj Hi Kiun Na Mitaa Doon Dukh Ko

Kaho Agar To Bhulaa Doon Tum Ko...

Kaho Agar To

Ehsaas-E-Muhabbat Ki Mithaas Se Mujhe

Ehsaas-E-Muhabbat Ki Mithaas Se Mujhe Agaah Na Kr,
Ye Wo Zeher Hai Jo Me Pehle Bhi Pi Chuka Hun...

Ehsaas-E-Muhabbat Ki Mithaas

Na waqt itna

Na waqt itna k syllabus pura kiya jaye..,
…..
Na tarkeeb koi k exam pass kiya jaye..,
…..
Na jane konsa dard diya hai is parhai ne..,
…..
Na roya jaye aur na soya jaye…..:-(
Haal-E- Students!
Phir bhi “Ä££ ì$ //Ell”

Mokhtasir lafzon main

Mokhtasir lafzon main ab ye hy meezaaj-e-ishq unka
Mohsin
Raabta to hay
Laykin ,wasta koi nahi.

Halat e sadgi

Itne ghor se Na dekh Meri


Halat-E-sadgi ko


bikhre howe log Aksar isi Haal me hote hyn.

Sunday, September 5, 2010

Koi Poochta Hai Mujh Se Meri Zindagi Ki Qeemat

Koi Poochta Hai Mujh Se Meri Zindagi Ki Qeemat
Mujhe Yaad Aa Jata hai Tera Halka Sa Muskarana...

Saturday, September 4, 2010

Mujh Se Kiya Perda Hai



Mujh Se Kiya Perda Hai Chalo Utha Deta Hoon
Tumhen Dekh Ker Ik Ghazal Sunaa  Deta Hoon


Koi Chaand Ho Sooraj Ya Aasmaan Ka Tara
Tere Cherey Ko Kya Kya Bana Deta Hoon


Phool Kalyaan Khushboo Bikhri Hon Charsoo
Aaj Sara Gul O Gulzar Saja Detaa Hoon



Tum Se Mil Ker Ye Ehsaas Ho Raha Hai
Jesey Shabnam Ko Honton Sy Laga Deta Hoon


Youn Muskura Ker Na Dekha Karo Mujhey
Pal Bhar Main Sari Duniyaan Bhula Deta Hoon


Aa Jaao Ke Abhi Raat Buhat Hy Baaqi
Apney Khawaabon Mein Tumhen Sulaa Deta Hoon


Kitni Chaahat Kitna Piyaar Hy Hamien Tum Se
Apny Dil Ki Her Baat Bataa Detaa Hoon


Jab Bhi Bujhti Hai Aag Is Dil Ki
Chingaari Yaadon Ki Phir Se Jala Deta Hoon



Ramzan Ki Judai

” Dekho Kia Aajib Sa Sama Ho Raha Hai
.
.
Ramzan Ki Judai Mein Aasman Bhi Ro Raha Hai ”


“Alwida Alwida Mah E Ramzan ” ALWIDA

Aik Baar Wo Keh De

Kaash k Ab ik baar Wo ye keh de..


Aao k main Tanha hoon,
Tumhari qasam,
Tumhari tarha,
Tumhary liye.

Friday, September 3, 2010

Weakest Point

Golden Quote by Abraham Lincoin:


“If Friendship is your Weakest point,


then you are the Strongest person in the World”luv u frndz.

Shaadi Ki Salgirah



Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay
Khud Ko Itni Dhoom Se Sooli Charhana Yaad Hay


Teen Moqay Bhi Diye Qazi Ne Ghor-O Fikr Ke
Aaj Tak Who Qeemati Moqay Ganwana Yaad Hay


Aik Nah Kafi Thi Her Muskil Se Bachne Ke Liye
Hum Ko Han Ka Faislaa Who Ehmaqana Yaad Hay
Ghar Jise Laye The Hum Roti Pakane Ke Liye
Ab Pakati Hay Hamen Us Ka Pakana Yaad Hay


Nah Silaee Janti Hay Nah Cooking Maloom Hay
Han Oose Shohar Ko Ungli Per Nachaana Yaad Hay


Uski Her Ik Baat Per Kehna Hi Parta Hay ‘Bajaa’
Is Tarah Ooska Hamen Barson Bajana Yaad Hay


Mantay Hen Hum Husaini Hadesaa Hoga Shdeed
Kiyon Keh Tum Ko Waqeaa Itna Puranaa Yaad Hay


Khozema Husaini Khandwi



Dil ke sunsan jaziron ke khabar layega – Ahmed Rahi



Dil ke sunsan jaziron ke khabar layega
dard pehlu se juda ho ke kahan jayega
kon hota hai kisi ka shab-e-tanhai mein
gam-e-furqat hi gam-e-ishq ko bahalayega
chand ke pehlu mein dam sadh ke roti hai kiran
aj taron ka fusun khak nazar aayega
rakh mein aag dabi hai gam-e-maharumi ke
rakh ho kar bhi ye shola hamen sulagayega
waqt khamosh hai ruthe hue yaron ke tarah
kon lau dete hue zakhmon ko sahalayega
dhup ko dekh ke us jism pe padati hai jhamak
chaon dekhenge to us zulf ka dhyan aayega
zindagi chal ki zara maut ka damkham dekhen
warna ye jazba lahad tak hamen le jayega


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Rahi



Madine ko jayen jee chahata hai



madine ko jayen jee chahata hai
muqaddar banayen jee chahata hai
madine ke aaka do aalam ke maula
tere pas aayen jee chahata hai
jahan donon aalam hain mahar-e-tamanna
vahan sar jhukayen jee chahata hai
muhammad ke baten muhammed ke sirat
sune aur sunayen jee chahata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Poet Unknown



Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Ye Safar

Sad Poetry

Roman Urdu

Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Ye Safar,
Ab Sham Ho Rahi Hai, mera hath Tham Lo....

Urdu

تم سے نہ کٹ سکے گا اندھیروں کا یہ سفر
اب شام ہو رہی ہے، میرا ہاتھ تھام لو

Best Message For All Women

Someone will always be prettier. Someone will always be smarter. Someone s house will be bigger. Someone will drive a better car. Someone will earn more. Someone will travel more. Just let it go. Take care of yourself. Love yourself and your circumstances. The prettiest, slimmest woman in the world may have sadness in her heart. The most highly favored woman in your office may not be able to have children. The richest woman you know may have the car, the house, and the clothes – but might be very lonely. So, love yourself. Love who you are right now. Tell yourself “I am too blessed to be stressed.” Be well. Be happy. Be blessed.  Send this to all of the wonderful strong women you know..

Thursday, September 2, 2010

DASS LE

1 aurt ne apni Sas k pas SANP betha dekha to SANP se boli: DASS LE! DASS LE


SANP BOLA : kya dass loon?? Me khud in sy zeher ka


“EASY-LOAD”


krwane aaya hoon.

Meaning Of Love

Love :
Its not the “presence” of something which brings “meaning” to life, but its the
way that “someone” touches ur heart which gives life a beautiful meaning..


From: zulqarnain haroon (00971552543943)

Theek Se Chalta Bhi Nahi



Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi
Yeh Dil Hai Ke Tere Baad Sambhalta Hi Nahi


Is Umer Ke Sehra Se Teri Yaad Ka Baadal
Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi


Unwaan-E-Ishq Har Dil-E-Kitaab Mein Nahi
Ye Wo Kushboo Hai Ke Har Gulaab Mein Nahi


Wo Sawaal Na Mere Sawaalon Mein Kabhi Aaya
Wo Jawaab Bhi Uske Jawaab Mein Nahi


Tere Tasavvur Se Koi Din Nahi Hai Khaali
Aisi Nahi Raat Jab Tu Khawaab Mein Nahi


Mai-Kashee Se Gham-Kashee Behtar Hai
Jo Nasha Hai Ashq Mein Sharaab Mein Nahi



Dawar-e-hashar

Dawar-e-hashar! mujhay teri kasam,
umer bhar menay ibadat ki hay,
tu mera nama-e-aimaal tu dekh,
menay insan sy muhabbat ki hay….!

Jo Aala Zarf Hote Hain

Ab tere shehr me rehne ki arzu na rahi
Kiu ke pehle ki tarah tujh se guftugu na rahi


Uske badle huwe tewar ka Sabab puchna Tha
Haai afsoos meri jaan rubaru na rahi


Hamsafar he meri tanhai meri nadani
Tujhko paaney ki sanam mujme justuju na rahi


Me ne his piar ko bakhsha Tha ibadat ka sharaf
Wadi e ishq me ab uski aaabro na rahi


Ham ne khai he qasam tarak e watan karma he
Wo dost yar wo apne bhi Lala roo na rahi


Waqt ab agaya samaan e safar baandh Nagri
Ke tujhme or thehrne ki justuju na rahi……

lov u awl my lovable idiots

Frends are da cutest, lovable idiots in dis world!


Bcoz they can die for friendship at any instant


But


At da same time,
they will demand a treat for Dying:D
lov u awl my lovable idiots

Wednesday, September 1, 2010

COLLEGE ki MiSS

Bara mushkil hai COLLEGE ki MiSS se pyar karna


MohsiN


Love letter bheja tha


Sign kr k 3 star de diya..(‘.’)


<))>dekh yar!


_/?¿ Assignment Thori thi…

Muje Apna Mobile Dedo

Girl:
Muje Apna Mobile Dedo Me Isko Dekh K
Tumhe Yaad Krungi,
Boy:
Tum Ye Soch K Mujhe Yaad Ke Lena K
Mane Manga Tha Usne Nahi Dya.
Wadi Ai Chlako.

Urdu Chand Raat Mubarak

Deep jaltay jagmagatay rahay,
Hum apko aap hamain yaad aatay rahay,


Jub tuk zindagi hai, yeh dua hai hamari,
Aap eid k chand Raat ki tarah jagmagatay raho.


Chand Raat MUBARAK

Pehle Barish Hoti Thi To Yaad Aate They - Barish

Sad-Love-Rain

Barish Sad Poetry

Pehle Barish Hoti Thi To Yaad Aate They
Ab Jab Yaad Aate Ho To Barish Hoti Hai…

Rehmat Sy mayos na Hona

Aye Kuda


jb bi tera aasmaan dekhta hun os mein basa ek jahan dekhta hun


Na jany kitney he jahanon ki sair krta hun


khol kr jb tera QURAN dekhta hun


tery ehsaah kitney hain bandon py


jb b surah rehmaan dekhta hun


Tu to kehta hai RAG-E-JAAN sy b hun MAIN qareeb


Phir pareshan kiun aj ka insan dekhta hun


0s ki rehmat sy kbi mayos na hona aye dost


Tujh py main OS ki rehmat k nishan dekhta hun

To Phr Aj Q Wo Tanha

Us ne to kaha tha k hr barish me hm sath sath bheegain gy…


.


.


.


To phr Aj Q wo tanha, main tanha, aur ye barish tanha..

Nasha Mohabbat Aur Sharab Ka

Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka


Hosh Dono Main Kho Jata Hai,


Fark Sirf Itna Hai.


Sharab Sula Deti Hai,


Aur Mohabat Rula Deti Hai..


Gud morning frindss:-)