Monday, September 20, 2010

Mere ham-nafas, mere ham-nava, mujhe dost banake daga na de – Shakeel Badayuni



mere ham-nafas, mere ham-nava, mujhe dost banake daga na de
main hun dard-e-ishq se janvalab, mujhe zindagi ke dua na de
mere dag-e-dil se hai raushani, usi roshni se hai zindagi
mujhe dar hai aye mere charagar, ye charag tu hi bujha na de
mujhe chod de mere hal par, tera kya bharosa hai charagar
ye teri nawazish-e-mukhtasar, mera dard aur bada na de
mera azm itna baland hai ke paraye sholon ka dar nahi
mujhe khauf aatish-e-gul se hai, ye kaheen chaman ko jala na de
wo uthe hain leke hom-o-subu, arey o ‘shakeel’ kahan hai tu
tera jam lene ko bazm mein koi aur hath bada na de


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



No comments:

Post a Comment