Monday, March 31, 2014

Dard badakar fugan na ho jaye – Jigar Moradabadi



Dard badakar fugan na ho jaye
ye zamin aasaman na ho jaye
dil mein duba hua jo nashtar hai
mere dil ki zuban na ho jaye
dil ko le lijiye jo lena hai
phir ye sauda giran na ho jaye
aah kije magar latif-tarin
lab tak aa kar dhuan na ho jaye




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Sunday, March 30, 2014

Bazm-e-Wafa Mein Apni Ghareebi Na - Sad Dard Shayari


Sad Urdu Poetry

Bazm-e-Wafa Mein Apni Ghareebi Na Poochiye,
Ik Dard-e-Dil Hai, Wo Bhi Kisi Ka Diya Hua….

Tujhe Kya Khabar Teri Yaadon Ne Mujhe Kis Tarha

Tujhe Kya Khabar Teri Yaadon Ne Mujhe Kis Tarha Sata Dia

Kabhi Akele Me Hansa Dia To Kabhi Mehfilon Mein Rula Dia...

Tujhe Kya Khabar Teri

Ishq Dariya Hai

मेरी दुवाओं में, मेरी सदाओं में,
हर वक़्त रहे वो शख्स शामिल,
ऐ खुदा, गर वज़ूद है तेरा कहीं,
तो तुझसे बस ये इल्तिज़ा है मेरी!!


न ये जहां चाहिए न वो जहां,
मुझे मिले तो बस मेरा प्यार मिले,
न मिल सके तो कोई बात नहीं,
जहाँ रहे उसे क़ायनात की हर ख़ुशी मिले!!


मैं प्यार करता हूँ उससे, जरुरी तो नहीं,
की वो भी मुझसे प्यार करे,
जो करे भी तो करता रहे,
कोई जरुरी तो नहीं की इक़रार भी करे!!


मेरी मुफलिसी, मेरी दीवानगी पे,
खुद मुझको भी तरस आता है,
पर वक़्त शय ही है ऐसी,
इंसान को कैसे कैसे नज़ारे दिखाता है!!


उसको ज़िद है की भूल जाए मुझको,
हक़ है की अपने ज़ेहन से मिटाये मुझे,
मेरी नज़रों के सामने उतरे हैं सारे गुनाह मेरे,
उसकी जुदाई ही है जो सज़ा, तो क़ुबूल है मुझे!!


मुझे मेरी जान से भी प्यारा है वो,
मेरे ज़िंदा रहने का बस एक ही सहारा है वो,
हो सकता है इस बात का न हो इल्म उसको,
इसीलिए मुझसे दुश्मनों की तरह पेश आता है वो!!

Ye Alag Bat Hai K Zahir Na Ho Saka Tujh Par

Ye Alag Bat Hai K Zahir Na Ho Saka Tujh Par
Kitna Mehsoos Kia Mene Tujhe Tere Baad...

Ye Alag Bat

Saturday, March 29, 2014

Na ho gar aashana nahi hota – Seemab Akbarabadi



Na ho gar aashana nahi hota
but kisi ka khuda nahi hota
tum bhi us waqt yaad aate ho
jab koi aasara nahi hota
dil mein kitna sukun hota hai
jab koi muddava nahi hota
ho na jab tak shikar-e-nakami
aadmi kam ka nahi hota
zindagi thi shabab tak “seemab”
ab koi saneha nahi hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi



Laakh Samjhaya Usy Ghairon Se Na Mila Kro

Laakh Samjhaya Usy Ghairon Se Na Mila Kro
Hans Kar Kehne Lage Tum Bhi To Pehle Ghair Thi...

Laakh Samjhaya Usy

Ye tajaruba bhi karun ye bhi kar dikhalaun main – Mazhar Imam



Ye tajaruba bhi karun ye bhi kar dikhalaun main
ki khud ko yaad rakhun us ko bhool jaun main


fareb-e-kar mein kuch to hai koi baat to hai
ki jan bujh ke itane fareb khaun main


wo pal kahan hain jo duniya se jodata tha mujhe
jo paun tujh ko to sab ke qarib aaun main
kabhi to ho mere ehasas-e-kamtari mein kami
kabhi to ho ki use khul ke aaun main
wo shakhs hai ki nasim-e-sahar ka jhonka hai
bikhar hi jaun jo us ko gale lagaun main


azan ke bad dua ko jo hath uthaye wo
‘imam’ apni namazen bhi bhool jaun main



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam



Mil bhi jate hain to katara ke nikal jate hain – Bashir Badr



mil bhi jate hain to katara ke nikal jate hain
haye mausam ke tarah dost badal jate hain
hum abhi tak hain giraftar-e-muhabbat yaro
thokaren kha ke suna tha ki sambhal jate hain
ye kabhi apni jafa par na hua sharminda
hum samajhate rahe pathar bhi pighal jate hain
umr bhar jin ke vafaon pe bharosa kije
waqt padane pe wohi log badal jate hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr



Thursday, March 27, 2014

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota – Mirza Ghalib



Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab gham se yun behis to gham kya sar ke katane ka
na hota gar juda tan se to zannon par dhara hota
hui muddat ke ‘ghalib’ mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kahana ke yun hota to kya hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Wednesday, March 26, 2014

Pyar Se Dil Mein

(GHAZAL)


Koi ilzam Lga Kr To Saza Di Hoti


Phir Meri Lash Sare-Bazar Jala Di Hoti


Itni Nafrat Thi To Piyar Se Dekha Kioun Tha


Mjhe Pehle Hi Meri Okat Bata Di Hoti


Dekh Kar Zakham Mere Ankhain Chura Li Tu ne


Poch Kar Kuch To Zkhmon Ki Dawa Di Hoti


So Jate ham B Chain Se Jana


Tu Ne Agar Shoq Se Aanchal Ko Hawa Di Hoti


Zindagi Apni B Chain Se Guzar Jani Thi


Tu Ne Agar Pyar Se Dil Main Jaga Di Hoti..

Eid Ka Din Shayari

Eid Ka Din Shayari | Urdu Shayari, Hindi poetry & Sher o Shaeri SMS
























–==Eid Ka Din–==


Is Eid Per


Wo Mere Saath nahi


Magar Wo


Uski Yadain


Us Ki Batain


Sab Mujhe Yaad Hai


Us ne Mujhe


Yaad Kia Hoga


Phir Mere Khialon Mein


Khooye Huey


Tasawar Ke


Kisi Lamhe Mein


Dheeray Se Kaha Hoga


~~~EiD MuBaRaK~~~!













































Tuesday, March 25, 2014

Har Waqt Ranj-O-Malaal Kya



Har Waqt Ranj-O-Malaal Kya, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Use Yaad Karke Na Dil Dukha, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya


Na Gila Kiya, Na Khafa Huye, Yoon Hi Raaste Mein Khuda Huye
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya


Voh Ghazal Ki Ek Keetab Tha, Voh Gullon Mein Ek Gulab Tha
Zara Der Ka Koi Khwab Tha, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya


Mujhe Patjhadon Ki Kahaniyan Na Suna-Suna Ke Udas Kar
Tu Khizaan Ka Phool Hai Muskura, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya


Ye Safar Bhi Kitna Taveel (Lamba) Hai Yahan Waqat Kitna Kaleel Hai
Kahan Laut Kar Koi Aayega Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya


Voh Wafayein Thi Ke Jafayein Thi, N Ye Soch Kiski Khatayein Thi
Voh Tera Hai Usko Gale Laga Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya


Tujhe Aitbar-O-Yakeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri Nahi
N Malaal Kar Mere Saath Aa Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
– Bashir Badr



Muhabbat Hath Me Pehni Hui Choori Ki Manid

Muhabbat Hath Me Pehni Hui Choori Ki Manid Hai

Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kr Toot Jati Hai...

Muhabbat Hath Me Pehni

Monday, March 24, 2014

Khamoshiyan Yad e Yar Ye Zalim Log Aur Me

Khamoshiyan, Yad-e-Yar, Ye Zalim Log Aur Me Akela
Muskura Deta Hun Bali Jab Buss Nahi Chalta...

Submitted By: Bilal Khan

Examination Hall

In exam hall a girl askd to a sardar:
‘Muje bas is answer ki starting bata do baki mai likh lungi.’
Sardar ne dhyan se idhr udhr dekha,phr dhire se bola


“The” 😉

Qalam Se Likh Nahi Sakta Pareshan Dil

Qalam Se Likh Nahi Sakta Pareshan Dil K Afsaane

Hamary Saath Jo Hota Hai Acha Nahi Hota...

Qalam Se Likh

Young generation in tention

Young generation ko sb se zyada
tention kb hote hai?
.
.
.
.
.
.
.
.
Papers mein?? Nai .
.
.
.
.
.
.
Jab wo so kr uthen aur unka mobile
unke paas na ho 😛 😛 😀

Need to focus on

Teacher: Who is the President of Iraq ?
Johnny: I dont know Miss


Teacher: You need to focus more on your studies.
Johnny: Please Miss, can I ask a question?


Teacher: Yes
Johnny: Do U know Angela?


Teacher: No, why ?
Johnny: You need to focus more on your husband! =))

Sunday, March 23, 2014

Ajnabi Logo Mai

Ajnabi logo mai bhi dost mila krte hain…


Kitabo mai bhi phool khila krte hain…


Hamain kante smjh kr bhul mat jana….


Kyu ke kante hi phool ki hifazt kia krte hain.

Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log



Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log
Merey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke Log


Main Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney Wala
Kiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke Log


Jab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke Saath
Meri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke Log


Aur Kiyaa Doon Tujhey Ain Apni Wafaaon Ka Suboot
Ab Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log



Mahavir Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Mahavir Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Mahavir Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Mahavir Jayanti sms greeting.


Tu karta woh he jo tu chahta hai
Par hota he woh jo me chahta hu
Tu woh kar jo me chahta hu
Fir wo hoga jo tu chahta ha
Happy Mahavir Jayanti 2015
Inse sikho
Seva=Shravan se
Mitrata=krishan se
Maryada=Ram se
Daan=Karan se
Lakshay=Eklavya se
Ahinsa=Buddha se
Tapasya=Mahavir se


Arihant ki boli
siddhon ka saar
Acharyon ka path
sadhuo ka sath
Ahinsa ka prachar
Yahi Mahavir ka saar!


JAY JIN SHASHAN ,
JENUM JAYTI SASHNUM,
JAIN DHARM KI JAY JAY KAR KE SATH
MAHAVIR JAYANTI KI SHUBH KAMNAYE


mahmahavir jinka naam hai,
palithana jinka dham hai,
ahinsha jinka nara hai,
aise thri shla nandan ko
lakh pranam hamara hai


Happy Mahavir Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team



god ki rehamat sare sansar par barse



god ki rehamat sare sansar par barse ,,
mere hisse ki rehamat mere yar par barse ,,
hai bhagwan mujhe bana dena pani ,,
agar mera dost kabhi pyas ko tarse,,, (speciol soniya mirja k liye)
soniya mat sawaro apni in julfo ko ,,
tere chehre pe nikhar aa jati hai ,,
kya dekhu ab mudkar tujhe ,,
tu to bewafa najar aati hai….


from r.k 09746754681



Lamhon ke aazab sah raha hun – Athar Nafees



Lamhon ke aazab sah raha hun
main apne vajud ke saza hun
zakhmon ke gulab khil rahe hain
khushbu ke hujum mein khada hun
is dasht-e-talab mein ik main bhi
sadiyon ke thaki hui sada hun
benam-o-numud zindagi ka
ik bojha uthaye phir raha hun
ik aisa chaman hai jis ke khushbu
sanson mein basaye phir raha hun
ik aisi zamin hai jis ko chukar
takadis-e-haram se aashna hun
ae mujh ko fareb dene wale
main tujh par yaqin kar chuka hun
main tere qarib aate aate
kuch aur bhi dur ho gaya hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Athar Nafees



Saturday, March 22, 2014

Wo Khawab Me Bhi Nahi Muyassar

Wo Khawab Me Bhi Nahi Muyassar

Hijaab Ki Intihaa To Dekho...

Wo Khawab Me

Barish Sharab-e-Arsh hai - Barish Sharab Shayari

Barish-Sharab-Poetry

Barish Sharab Poetry

Barish Sharab-e-Arsh hai, Ye Soch Kar ‘Adm’
Barish Ke Sab Haroof Ko Ulta Ke Pee Gaya...

Dussehra Shayari

ek choti si bhul ne maa ki aakho ka sitara chhin liya,
isi kahani me


~jay mata di~


2005 ki ek sachhi ghatna, me rajgiri market ke ek bekri me kam kar raha tha, bekri se rum jane ke liye hamko rajana 1 k.m. pedal chalna parta tha, ek din 5 baje kam khatm hone bad me dhire dhire rum ki or aa raha tha tabhi raste me ek budha aadmi ko dekha uska ek per nahi tha wah raste ke kinare khada hokar logo se paise mang raha tha par usse koi paisa nahi de raha tha mene budhe ki halat dekhkar usko 10rupya diya to budha thora muskuraya shayad wo hamko kuchh bolna chaha lekin uska aawaz ne sath nahi diya, dusre din sem time par me bekri se aa raha tha mene dekha wah budha sadak ke kinare betha huwa tha, jese hi me uske samne gya budha bola beta kuchh to de ke jao to mene usko bola baba sadak me itne aadmi ja raha hai aapne kisi se nahi manga lekin hamse hi kyo manga, to budha bola beta aadmi ki pahachan uski bhawna se ki jati hai, mene kal tumko pesa nahi manga lekin tumne khud aake mujhe 10rupye diye isse pata chalta hai ki aapke dil me dusro ke parti dya hai dard hai bhikhari bhi unhi logo se bhikh lena pasand karte jinke dil me garibo ke liye dya hoti hai isiliye mene aapse phir manga aaj, mene phir se use 10ru, de diya, isi tarah me us budha ko roj 10r, dene laga, dekhte hi dekhte durga puja aa gya dasehara ka din tha charo taraf mela laga huwa tha har ghar me khusiya hi khusiya thi, me mela dekhne ke liye rajgiri market me gya me waha par ja ke dekha charo taraf aadmiyo ka mela laga huwa tha, sabhi ke chehro par muskan thi kewal un logo ke chehre par nahi thi jo kinare me khade hokar chupchap bhikh mang rahe the, me bhi mata ke darbar ke samne khada hokar mandir ki sajawat nihar raha tha tabhi ek dukyarin bhikhari ki beta bolta hai maa mujhe paise do mujhe mela ghumna hai uski maa boli beta ye mela ham jese logo ke liye nahi hai, me chupchap wahi khada hoke unki bate sun raha tha, uska beta jid me ad gya mujhe paise chahiye mela ghumna hai bete ki jid ke samne maa har gai or apne bete ko 20ru, de diya, uska beta khusi se uchhlata huwa mela ke bhid me jakar ghumne laga, thori der bad ek shor sunai diya maro maro ki aawaz aa raha tha me samne jake dekha to dekhta hi rah gya usi bhikharin ke bachhe ko char panch aadmi milke mar raha hai, tabhi udhar se ek mota tagra aadmi aaya or puchha kya huwa bhai ek aadmi bola sala poket mar ke bhag raha tha usne bhi bache ke baal pakarkar ek chata jad diya, aakhir ek bachhe me kitni sahan shakti hoti hai bachha behos hokar gir pda, tabi ek bujurg aadmi ne aakar bola is bachhe kyo itna mara ki ye bachha behos ho gya, ek aadmi aage aake bola ye mera poket mar ke bhag raha tha, tabhi bujurg ne behos pde bache ke sare sharir me chek kiya use sirf 20r. mile jo uske maa ne diye the bujurg bola bhai aapke kitne paise ki poket mar hui, wah aadmi bola mera pura parce gayab hai, to wah bujurg bola is bache ke pas to parce nahi hai lagta hai aapko galatfemi ho gya hai aapne kisi or ki saja is masum bachhe ko de dali, wahi bhid me khada ek doctor bhi tha wah aage aakar bachhe ki hath pakarkar dekha or bola are ye bachha to mar chuka hai, marne ki baat sunkar us mele ki bhid me logo ke chehre me ek ajab sa dard peda ho gya jise labjo me byan karna bahut hi muskil hai, kisi ne sach hi kaha hai marte to bekasur log hai, kusurwar to aish karte hai,
mera aaplogo se winti hai ki galat afwah na felaye kyo ki ek choti si bhul kisi ki jaan le leti hai..


garibo ke jeewan me andhera hi andhera hota hai,


inke jeewan me kabhi kabhi sawera hota hai,


har jakham ubhar jata hai bina kisi marham ke,


kyoki inke jeewan me maa ka pehra hota hai..


r. indian 09746754681

Wo Jhoote Motiyon Ki Chamak Par Phisal Gai

Wo Jhoote Motiyon Ki Chamak Par Phisal Gai
Me Hath Me Liye Hue Almaas, Reh Gaya...

Almaas = Diamond

Wo Jhoote Motiyon

Na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao – DaaG Dehlvi



Na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao
ki jee na chahe to nachar dekhte jao
bahar-e-umr mein bag-e-jahan ke sair karo
khila hua hai ye gulazar dekhte jao
uthao aankh na sharmao ye to mahafil hai
gazab se janib-e-agayar dekhte jao
hua hai kya abhi hangama abhi kuch hoga
fugan mein hashr ke aasar dekhte jao
tumhari aankh mere dil se besabab-bevajah
hui hai ladane ko tayyar dekhte jao
na jao band kiye aankh raharavan-e-adam
idhar-udhar bhi khabaradar dekhte jao
koi na koi har ik sher mein hai baat zarur
janab-e-“dag” ke ashar dekhte jao


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



Friday, March 21, 2014

Ek Taveel Arsy K Bad

Ek Taveel Arsy K Bad
Hansi Ai Bhi To Apne Hi Hal Par...

Ek Taveel Arsy

Most Busy Generation In The World

“GIRLS”
are the ALSO most busy generation in da world.
BCOZ
1 hand on JHARO
1 hand on PONCHA.
1 MIND on EDUCATION
1 MIND ON.COOKING
1 ear on music
1 ear on mobile
1 eye on  MAKE UP
1 eye on DRESSES
Nose on PURFUMS,
Mouth on TALKING
All tentions at 1 time
Phir b log larkIYON ko farigh kehte Hain.
That s Not fair yaar..;-)

Safar Par Sathi Chali Thi Jo Rehbaroun Ki Tarah



Safar Par Sathi Chali Thi Jo Rehbaroun Ki Tarah
Judaa Hovi Woh Bhi Akhir Musafiroun Ki Tarah


Mein Sochtaa Hon Woh Kaise Bichaar Gyi Mujh Sy
Jo Dhop Mein Milti Thi Mujhe Badaloon Ki Taraah


Ajeeb Larki Thi Hawaoun Sy Dushmani Le Kr
Woh Rait Pr Likhti Thi Mera Nam Pagloon Ki Taraah


Woh Chahton Ki Mukamal Kitab Thi Yaaroon
Mujhe Fasana Sunti Thi Shairoun Ki Taraah..!!!



Apne hothon par sajana chahata hun – Qateel Shifai



apne hothon par sajana chahata hun
aa tujhe main gunagunana chahata hun
koi aansu tere daman par girakar
bund ko moti banana chahata hun
thak gaya main karate-karate yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chahata hun
cha raha hai sari basti mein andhera
roshni ho ghar jalana chahata hun
aakhari hichaki tere zanon pe aaye
maut bhi main shayarana chahata hun


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



Thursday, March 20, 2014

Anti Terrorism Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Anti Terrorism Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Anti Terrorism Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Anti Terrorism Day sms greeting.


A Punjabi Woman Talking
2 An English Doctor
In LONDON Abt Her Ill Child:


“My Kaka Is Ill Ek Week Da
Na Eat DA Na Sleep Da
  Base Weep DA Tye Cheek..


Ek Aadmi Taxi Driver Se:
Bhai Speed Slow Karo,
Mere 17 Chotay Chotay Bachay Hain.


Taxi Driver:
Kanjra.
Apni Speed Vekhi Aa.


Ek Shaks Susral Gaya
Uski Saas Nay Use 7 Din Tk
Subah Sham Palak Or Saag Khilaya
8wn Din Pucha Kya Khao Gy..?


Damad:
Khait Dikha Do Khud He Char Aaon Gaâ€


Happy Anti Terrorism Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



Wednesday, March 19, 2014

Na Tha Kuch To Khuda Tha - Mirza Ghalib Ghazal

Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Hota To Khuda Hota,
Dabooya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Mein To Kia Hota..

Hua Jab Gham Se Yun Be_His To Gham Kia Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zanoo Par Dhara Hota…

Hui Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya, Par Yaad Aata Hai,
Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yun Hota To Kia Hota…

na-tha-kuch-mirza-ghalib

Aye Muhabbat Tujhe Paany Ki Koi Raah Nahi

Aye Muhabbat Tujhe Paany Ki Koi Raah Nahi,
Tu To Usy Mile Gi Jis Ko Teri Parwah Nahi...

Aye Muhabbat Tujhe Paany

Monday, March 17, 2014

Log Parh Lete Hain Aankhon Se Dil Ki Halat

Log Parh Lete Hain Aankhon Se Dil Ki Halat
Mujhse Ab Tere Gham Ki Hifazat Nahi Hoti...

Submitted By: Raja Hamza

Sunday, March 16, 2014

Let me be your friend today



Let me be your friend today
that’s what I’d like to do.
I’ll show you a smile a country mile
and give my heart to you.


If you are feeling lonely –
and don’t know what to do.
Just take my hand and walk with me,
and I’ll be a friend for you.


I’ll give you a day with sunshine –
and flowers all in bloom,
and take you to the Master,
He’ll take away your gloom.


Let me be your friend today –
and chase away your fears.
I’ll show you love you’ve never seen,
and dry away your tears.


I will treat you very special –
and ease your worried mind.
and rest assured you’ll always be
a favorite friend of mine.



Usay Kehna ke Jab Ulajhti hai to Aur Ulajh Jati Hai



USE KEHNA JAB ULAJHTi HAi TO PHiR AUR ULJH JATi HAi..!!

YEH MERi ZiNDAGi HAi TERi ZULF NAHi JO SANWAR JAYEGi..!!

Nafratoon Ki Dunya Me Piyar Na Kar - Wasi Shah Shayari

Urdu Wasi Shah Shayari

Nafratoon Ki Duniyan me Piyar Na Kar 'Wasi'
Rooh Fana ho Jati hai Lekin Wafa nahe Milti..!

Wo Din Mohabbat Ka Aaj Bhi Yaad Hai




Wo Din Mohabbat Ka Aaj Bhi Yaad Hai Mujhko


Mere Sang Bitaye Pal, Kya Yaad Hai Tujhko



Aaj Bhi Dil Tadapta Hai Mera, Ussi Sirhane Ko


Mere Baalon Ki Khushbu, Kya Yaad Hai Tujhko



Wo Din Suhane The, Bada Josh Tha Dil Diwane Ko


Mera Pal Pal Tujhpe Marna, Kya Yaad Hai Tujhko



Aadhi Raat Ki Baatein, Wo Khawabon Ki Mulakate


Mahobaat Ki Vo Sogaatein, Kya Yaad Hai Tujhko



Wo Har Baat Pe Jagadna, Wo Apni Meethi Takrare


Mera Wo Ruthna Tujhse, Kya Yaad Hai Tujhko



Mera Hi Ban Jaane Ko, Tera Bhi Dil Machalta Tha


Mere Wo Pyaar Ka Anchal, Kya Yaad Hai Tujhko



Nahi Hota Gujar Mera, Abh Bina Tere Ek Pal Bhi


Tera Naam Leti Har Pal, Wo Sandhaya Yaad Hai Tujhko




Saturday, March 15, 2014

Samjh Nahi Aati Wafa Karen To Kis Se

Samjh Nahi Aati Wafa Karen To Kis Se Karen,
Matti K Bany Ye Log Kaghaz K Tukron Pe Bik Jate Hain...

Samjh Nahi Aati Wafa Karen To

A Girl Phoned Me

A girl phoned me
the other day and said …
Come on over, theres nobody home.
I went over. Nobody was home

Tareekh De Rahi Hai Ye Awaaz Dum Ba Dum



Tareekh De Rahi Hai Ye Awaaz Dum Ba Dum
Dasht-E-Sabat-O-Azm Hai Dast-E-Bala-O-Gham
Sabr-E-Maseeh Wa Jura’at Suqraat Ki Qasam
Is Rah Main Hai Sirf Ek Insaan Ka Qadam
Jis Ki Rago’n Mein Aatish-E-Badr-O-Hunain Hai
Us Soorma Ka Isme Girami ”HUSSAIN” Hai



Thursday, March 13, 2014

Mein Teray Liye Hi Bana Hun Sanam

Mein Teray Liye Hi Bana Hun Sanam,
Bas Dil Se Kisi Din Mango To Khuda Se....!

Submitted By: Ayaz

Wednesday, March 12, 2014

We salute pathans

Quotes of Mind…


1.Russian General in 1987:


“Pathans are the most brave people ever born on the earth,these people cant be defeated by force.”


2. By American General in 2004:


“We are fighting a meaningless war against the Rocks.”


3. By indian General in Siachin War:


“If there were no NWFP province in pakistan.


I am sure that atleast Kashmir was 0urs”


*Dont send ONLY bad msgs about pathanz.


We salute pathans.


Be united , We r all Pakistanis.

Pappu Aik Story

Teacher : pappu ek story sunao with moral
.
.
.
pappu : me ne use call ki wo so rhi thi
.
.
.
phr us ne mujhe call ki to me so raha tha
.
.
.
Moral : jesi krni wesi bharni

Dab-daba aayi wo ankhen jo mera naam aaya – Taskeen Qureshi



Dab-daba aayi wo ankhen jo mera naam aaya
ishq nakam sahi phit bhi bahot kam aaya
lazzat-e-marg-e-mohabbat koi us se puche
jisake lab par dam-e-akhir bhi tera naam aaya
zindagi tere tasavvur se alag rah na saki
nagma koi ho magar saz yahi kam aaya
hum pe aisi bhi gam-e-ishq mein raten guzarin
jab tak aansu na bahe, dil ko na aaram aaya



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Taskeen Qureshi



Safar Tanha Nahi Kartey



Safar Tanha Nahi Kartey Suno Aysa Nahi Kartey
Jessey Shaffaaf Rakhna Ho Ussey Maila Nahi Kartey


Teri Aankheyn Ejazat Dain To Hum Kiya Kiya Nahi Kartey
Bohat Ujrey Huway Ghar Per Bohat Socha Nahi Kartey


Safar Jis Ka Muqqadar Hoo Usey Roka Nahi Kartey
Jo Milkar Khud Se Kho Jaey Usey Ruswa Nahi Kartey

Chalo Tum Raaz Ho Apna Tumheyn Affshan Nahi Kartey
Ye Ounchey Paer Kesey Hain Kahin Saya Nahi Kartey


Jo Dhhun Ho Kar Guzarney Ki To Phir Socha Nahi Katey
Kabhi Hansney Se Dartey Hain Kabhi Roya Nahi Kartey


Teri Ankon Ko Partey Hain Tujhey Daikha Nahi Kartey
Sahar Se Pooch Lo Mohsin Keh Hum Soya Nahi Kartey



Hum Ishq Se Kya Waaqif, Waaqif Hain To

Hum Ishq Se Kya Waaqif, Waaqif Hain To Bus Itna,
Aaghaaz Halaakat Hai, Anjaam Khuda Jany...

Hum Ishq Se Kya Waaqif

Use Mera Ya Mujhe Uska Karde



Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde


Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde


Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde


Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde


Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde



Tuesday, March 11, 2014

Tera hijr mera nasib hai tera gham hi meri hayat hai – Nida Fazli



Tera hijr mera nasib hai tera gham hi meri hayat hai
mujhe teri duri ka gham ho kyon tu kaheen bhi ho mere sath hai
mere vaste tere naam par koi harf aaye nahi nahi
mujhe khauf-e-duniya nahi magar mere ru-ba-ru teri zat hai
tera vasl ae meri dilaruba nahi meri kismat to kya hua
meri mahajabin yahi kam hai kya teri hasaraton ka to sath hai
tera ishq mujh pe hai maharaban mere dil ko hasil hai do jahan
meri jan-e-jan isi baat par meri jan jaye to baat hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



Navakhana Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Navakhana  Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Navakhana  2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Navakhana  sms greeting.


Navakhana is the post harvest festival of Chhattisgarh and celebrated every year in the Hindu month of Bhadrapad or Bhadav (September). Navakhana falls on the bright fortnight of 9th day or Navmi of Bhadav by the Gond tribe.


This festival marks the harvest of rice crop. People present the new harvested crop and liquor as offering before the family deity. Presenting new rice grains and eating dish prepared by the dame is considered very auspicious in the region. Communal dance programs are also organized at night.


Happy Navakhana  Mubarak to all of you from shayari Online Team



Yeh Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-Ru Karte - Aatish's Poetry


Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte, 
Hum aur bul_bul-e-betaab guftagu karte...

(ru-ba-ru = in front of; guftagu = conversation)

Payaam bar na mayassar hua to Khoob hua,
Zabaan-e-Gair se kya shar ki aarzu karte...

(mayassar = available; shar = mischief)

Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aavaaraa, 
Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte...

(maah-o-mahar = moon and sun; habib = friend)

Jo dekhate teri zanjeer-e-zulf kaa aalam, 
aseer hone ke aazaad aarazuu karte...

(aseer = prisoner)

Na pooch aalam-e-baragashtaa taali-e-'Aatish',
Barasati aag main jo baaraan  ki aarazu karte..

(baragashtaa = turn around/against; baaraan = rain)
(taali-e-aatish = burning fate)

By: Haider Ali Aatish

Monday, March 10, 2014

Kabay Ki Qasam Arsh Pe Mehshar Ki Ghari

Kabay Ki Qasam Arsh Pe Mehshar Ki Ghari Thi
Ek Tifl Ki Jaan Moj-e-Talatum Se Lari Thi

Kal Sham Se Jannat Me Bhi Matam Ka Samaan Tha
Pani K Kinary Pe Koi Laash Pari Thi...

Kabay Ki Qasam

Zindgi ABCD Hai



Zindgi ABCD Hai


A= Aitbaar
B= Bharosa
C= Chahat
D= Dosti
E= Enaayat
F= Fesla
G= Gum
H= Humdam
I= Intjar
J= jasbat
K= Kismat
L= Lamhe
M= Mohabbat
N= Narajgi
O= Or
P= pyar
Q= Qurbani
R= Riste
S= Samjhota
T= Tanhai
U= Umeed
V= Viraniya
W= waada
X= Xcuse
Y= Yaadein


Or in sub feeling se milkar banti hai..


Z= Zindgi



Yoon To Saamny Hai Darya Ravaan Mere

Yoon To Saamny Hai Darya Ravaan Mere,
Magar Ek Boond Ki Pyas Hai Jo Bujhti Nahi...

Yoon To Saamny Hai Darya

Sunday, March 9, 2014

Khushbu Ki Tarah Aaya Vo



Khushbu Ki Tarah Aaya Vo Tez Hawaon Mein
Manga Tha Jise Humne Din-Raat Duaon Mein


Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Bhi Ghar Se Nahi Nikla
Ye Chand Bahut Bhatka Sawan Ki Ghataon Mein


Ek Shaher Mein Ek Ladki Bilkul Hai Ghazal Jaisi
Bijli Si Ghataon Mein Khushbu Si Hawaon Mein


Mausam Ka Ishara Hai Khush Rehne Do Dilon Ko
Masoom Mohabbat Hai Phoolon Ki Khataon Mein


Hum Chand Sitaron Ki Rahon Ke Musafir Hain
Har Raat Chamakte Hain Andheri Khalaon* Mein



Happy Friendship Day

Happy friendship day of my all cute friends.
All of u make my memories beautiful.

Saturday, March 8, 2014

Udaas Shayari SMS



Udaas Chand Khulay Paaniyon Mein Chhorr Gaya
Woh Apna Chehra Mere Aansu-On Mein Chhorr Gaya


Hawa K Jhonkay Se Larzi Thi Aik Shaakh-E-Gul
Kissi Ka Dhayaan Mujhe Khushbu-On Mein Chhorr Gaya


Galay Milay Thay Muhabbat Ki Taiz Dhoop Mein Hum
Yeh Kaun Urrtay Huay Baadlon Mein Chhorr Gaya

Yeh Kiss Ne Hum Ko Sajaya Geeli Mitti Se
Phir Is K Baad Ghhani Baarishon Mein Chhorr Gaya


Safar K Pehlay Parraao Mein Marnay Wala Shakhs
Ajeeb Khauf Humaray Dilon Mein Chhorr Gaya


Is Ehtamaam Se Bikhray Huay Hain Phool HASSAN
Nishani Jaisay Koi Raaston Mein Chhorr Gaya..!!



Faraz ab koi sauda koi junun bhi nahi



‘faraz’ ab koi sauda koi junun bhi nahi
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahi
lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fan bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahi


meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi


‘faraz’ jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ahmed Faraz



Friday, March 7, 2014

Kon Jane K Naye Saal Me Tu Kis Ko

Kon Jane K Naye Saal Me Tu Kis Ko Parhe
Tera Mayaar Badalta Hai Nasaabon Ki Tarha...

Kon Jane K

Bohat Aahistagi Se Har Lamha Doobti Aik Sada Ki Soorat

Bohat Aahistagi Se Har Lamha Doobti Aik Sada Ki Soorat,
Mein Kaloot-e-Jaan Mein Bujh Raha Hun, Mujhe Dua’on Mein Yaad Rakhna

Dua

Thursday, March 6, 2014

Be patient

If Allah took from you


what you did not expect to lose,


know that Allah can give you


what you did not expect to have


So, be patient with your loss

Wednesday, March 5, 2014

Ye Qayaam Kesa Hai Raah Me

Ye Qayaam Kesa Hai Raah Me
Tere Zauq-e-Ishq Ko Kya Hua

Abhi Chaar Kantay Chubhe Nahi
Tere Sub Iraaday Badal Gaye...

Ye Qayaam Kesa

Kon Bewafa



.@kon bewafa @
Ek larki thi masom si is duniya se
dari dari na pyar kbhe kiya tha na
pyar kbhe krna chahti thi phr kuch
waqt aisa aya wo rotey hwe rab se
kuch mang rahi thi ay khuda tune sb mujhe diya ek dost humsafar
pyar q nhe diya us ne apni ankhen
bnd ki phr kuch awaz ai us ne uth k
upar se dkha to ajnabi akela ek
larka khara tha par us larki ne gor
nhe kiya 2sre din wo waps dikha use phr achanak larka pas aya khat
diya us larki ko wo dar gai jahan us
ne rab se manga wo usi jaga jakr
beth gai phr parha phr dosti hoi
asta asta larki ko pyar hwa larka
kbhe samjha nhe use mazak laga larki kuch kehti thi to us ka jawb 2
din 2 ghante k bd ata hai larki ko
laga wo use tang krti hai phr larki
ne guse me bola @|! Tm kuch
samjhtey nhe agr dil bhar gaya to
bta do q mujhe tarpa reh ho larka bi guse me jo aya bolta gaya achanak
bola i love you larki heran ho gai
larki yehi chahti thi k mujhe or kuch
nhe chahye ek i l u bola kro larka
gusa ho gaya us ne bolna chor diya
kaha k jo tm chahti ho wo me nhe bol sakta larki asta asta dor chali gai
q k larka na use pyar karta tha na
kuch samjhta tha akeli rab se khafa
ho gai us ne rab se kuch mangna
chor diya ye ksa khuda hai jo mujhe
mera pyar dtey bi majbor hai phr waqt badla larki nhe bhul pai use
larka jb bi dikha khush hasta hwa
ye ksa pyar hai us larkey ka numbr
he tha jo wo apne dil me rakh k
bethi rhi kuch sal ho gay larkey ne
yad tak nhe kiya larki ne wada kiya ek din usi jaga pe jaungi usi rishtey
ki shurwat hogi jb wo gai to wo
larka kahen nhe dikha usi jaga ek
chota bacha dikhta tha roz larki ne
socha jb bi me use yad karti hn ye
bacha q ajata hai samne ek dafa wo bacha us k pas aya us ne pyar kiya
gale lagaya phr jb kisi larki se pocha
ye kn hai q mere samne ata hai ye
usi ka bacha hai larki heran ho gai
ye aisa kse ho sakta hai dukha diya
jb me itna intzr kr sakti hn to wo q nhe kal bi wo bewafa tha aj bi bs ek
br dil se sach bta dta har bt us ne
jhot boli jhoti kasme jhote wade aj
kehta hai k wo larki me himat nhe S zindagi



Naraz Shayari



Pyar Kya Hai,
Jo Hume Aksar Rula Deta Hai
Pyar Kya Hai,
Jo Hume Zindagi Se Khafa Karta Hai,
Pyar Kaun Hai
Jo Hame Apno Se Juda Karta Hai
Pyar Kaun Hai,
Jo Hame Majboor Karta Hai..
Pyar Shayad Khushi Hai,
Jis Mein Hum Dard Mehsoos Karr Lete Hai
Pyar Shayad Zindagi Hai,
Jis Se Hum Naraz Hua Karte Hai
Pyar Shayad Kisi Ka Izhaar Hai
Jis Se Hum Inkaar Kiya Karte Hai
Pyar Shayad Duniya Hai,
Jahan Premi Mil Karr Bichad Jaaya Karte Hai…



Bohat Kuch Tujh Se Barh Kr Bhi Muyassar Tha

Bohat Kuch Tujh Se Barh Kr Bhi Muyassar Tha Muyassar Hai

Na Jane Phir Bhi Kiun Teri Zaroorat Kam Nahi Hoti...

Bohat Kuch Tujh Se

Tuesday, March 4, 2014

Hai justaju ke khub se hai khubtar kahan – Altaf Husain Hali



hai justaju ke khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye thaharati hai ja kar nazar kahan
yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko hum se rabt, magar is qadar kahan
ik umr chahiye ke gavara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
hum jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
aalam mein tujhase lakh sahi tu magar kahan
hoti nahi qubul dua tark-e-ishq ke
dil chahata na ho to zuban mein asar kahan
‘hali’ nishat nagma-o-mai dhundhate ho ab
aaye ho waqt-e-subh, rahe raat bhar kahan



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Altaf Husain Hali



Sadyon Se Ik Sapna Hai,



Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karo Gey Tum?

Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?


Nhi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bus Mery Ho Jao Tum,


Kabi Na Chor Ke Jao Gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?


Faqt Ik lafz Sunne Ko,
Kai Barson se Tarsy Hain,


MUJHE APNA BANA LO TUM,
Kaho Aisa Karo Gey Tum…??



Nigaah Ko Apni Lagaam Mei



Ek Roz Hum Se Kehne Lagi Ek Gulbadan
Ainak Se Baandh Rakhi Hai Kyun Aap Ne Rasan


Milta Hai Kya Isi Se Ye Andaz-E-Fikr-O-Fun
Hum Ne Kaha Ki Aisa Nahi Hain Janab-E-Man


Baithe Jahan Hasin Hon Ek Bazm-E-Aam Mein
Rakhte Hain Hum Nigaah Ko Apni Lagaam Mein…..



Monday, March 3, 2014

Mohabbat Jeet Hoti Hai

'Mohabbat Jeet Hoti Hai'
'Magr Ye Haar Jati Hai'

Kabhi Sil Sooz Lamhon Se,
Kabhi Bekaar Rasmon Se
Kabhi Taqdeer Walon se,
Kabhi Majboor Qasmon Se,

'Mohabbat Jeet Hoti Hai'
'Magr Ye Haar Jati Hai'

Kabhi Ye Chand Jesi Hai,
Kabhi Ye Dhoop Jesi Hai,
Kisi Ka Chain Banti Hai,
Kisi Ko Rool Deti Hai,
Kabhi Ye Lehje Par Jati Hai,
Kabhi Ye Maar Jati Hai,

'Mohabbat Jeet Hoti Hai'
'Magr Ye Haar Jati Hai'

Greetings for Mothers Day



From the distance of our separation
I see the whole of which I was a part;
I see the way my temper tore your heart,
And then the love beneath the laceration.
I see the landscape shaping our relation:
Your fear that I might choose with little art,
My anger at the dreams you would impart,
The ancient paths that lead to confrontation.
But knowledge needn’t linger in regret,
Nor wait upon some wind to clear its sky.
We are none the worse for what is gone.
The moments that I never will forget
Are those whose careless grace must make me cry,
Safe within a heart forever won.



Sunday, March 2, 2014

Bas ki dushwar hai har kam ka aasan hona – Mirza Ghalib



Bas ki dushwar hai har kam ka aasan hona
aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona


giriya chahe hai kharabi mere kashane ke
dar-o-divar se tapake hai bayaban hona


wa-e-diwangi-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jana udhar aur aap hi hairan hona


jalva azbas ke taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona


ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamashir ka uriyan hona


le gaye khak mein hum dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur aap basadrang-e-gulista n hona


ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona


ke mere qatl ke bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona


haif us char girah kapade ke qismat ‘ghalib’
jis ke qismat mein ho aashiq ka gareban hona



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Khalish-e-hijr-e-dayami na gai – Munir Niazi



Khalish-e-hijr-e-dayami na gai
tere rukh se ye berukhi na gai
puchate hain ke kya hua dil ko
husn valon ke sadagi na gai
sar se sauda gaya muhabbat ka
dil se par is ke bekali na gai
aur sab ke hikayaten kah din
baat apni kabhi kahi na gai
hum bhi ghar se ‘munir’ tab nikle
baat apanon ke jab sahi na gai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya




Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain


Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga



Tu Mila Hai To Ehsaas Hua Hai Mujhko


Ye Meri Umr Mohabbat Ke Liye Thodi Hai


Ik Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai Jispar


Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi Hai


Tujhpe Ho Jaaoonga Qurbaan Tujhe Chaoonga


Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga



Apne Jazbaat Mein Nagmaat Rachaane Ke Liye


Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe


Main Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon


Maine Kimsat Ki Lakiron Se Churaaya Hai Tujhe


Pyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe Chahoonga


Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga