Dab-daba aayi wo ankhen jo mera naam aaya
ishq nakam sahi phit bhi bahot kam aaya
lazzat-e-marg-e-mohabbat koi us se puche
jisake lab par dam-e-akhir bhi tera naam aaya
zindagi tere tasavvur se alag rah na saki
nagma koi ho magar saz yahi kam aaya
hum pe aisi bhi gam-e-ishq mein raten guzarin
jab tak aansu na bahe, dil ko na aaram aaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Taskeen Qureshi
No comments:
Post a Comment