YEh mashgala hai kisi ka najanay kia chahay
NA fasloon ko mitaay, nA faisala chahay
Meri bisaat hai kya mainhon brg awara
Ura kay lay chalay mujh ko jahan hawa chahay
Hazaroon doobnay walay bacha liyay laikin
Usay main kaisay bacahoon jo doobna chahay
Jo apna chahra dikhata hai mehrabaan ban kar
Us aainay ki tarf koon dakhna chahay….
Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai
Log Milte Hain Juda Hote Hai
Kab Bichad Jaaye Hamsafar Hi To Hain
Kab Badal Jaaye Ek Nazar Hi To Hai
Jaan-O-Dil Jispe Fida Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..
Baat Nikli Thi Is Zamane Ki
Jisko Aadat Hai Bhul Jane Ki
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..
Jab Rula Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Jab Sataa Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Tab Kahin Khush Woh Zaraa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa
koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka
garmi-e-shama ka afasana sunanevalo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka
chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka
ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka
ab to har manzil se guzarna to hai aasan “iqbal”
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka
Share with us more Ghazal lyrics .in comments section below.
No comments:
Post a Comment