Sunday, August 31, 2008

Ye Arzoo Thi Meri Rah-Guzar Se Kabhi Wo

Ye Arzoo Thi Meri Rah-Guzar Se Kabhi Wo Guzray

Main Raah Takti Rahi Aur Umer Tamam Hui...

Ye Arzoo Thi Meri

Muje nazar lag jati to?

Muje aap se ye umeed nai thi,
aap ne ye kehty waqt kuch to
socha hota Aakhir aap ko hoa
kiya tha aap k zehan Me ye baat ayi kesy thi?
aap ko zarurat kiya thi k aap Mere bare me logon ko ye btao k ??????


I m so sweet.I am so cute.I am so nice.Agr Muje nazar lag jati to?

Saturday, August 30, 2008

Love Urdu Sms Messages

Kisi Ki Bebasi Ka TAMASHA Mat Bana KanwaL
Har Majboor Shakhs Bewafa Nahi Hota


*Keep $miling*
with KANWAL


Read More On: Love Urdu Sms Messages

Why u Love Someone

The hardest thing in life is to explain the reason


why u love someone…
Its like trying to explain the taste of water…..

Husband And Wife Went To A Picnic Spot

This is an ideal spot for a picnic, said the husband.


Yes, it must be, replied his wife.


A million insects cannot be wrong!

Have A Nice Day…

No one really knows
why they are alive until they know
what they would Die For.
Martin Luther King.
G()()|) MORNING
Have A nice Day…

Kehne Deti Nahi Kuch Muh Se Mohabbat

Kehne Deti Nahi Kuch Muh Se Mohabbat Meri

Lub Pe Reh Jati Hai Aa Aa K Shikaayat Meri...

Kehne Deti Nahi

Friday, August 29, 2008

Ruthna manana sms



Ruthna Mat Kabhi Hame Manana Nahi Aata,
Door Nahi Jana Hame Bhulana Nahi Aata,
Tum Bhool Jao Hame Tumhari Marzi,
Magar Hum Kya Kare Hame Bhulana Nahi Aata
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.


Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha..

Share with us more Ruthna manana sms .in comments section below.



Sardiyon Ki Sham Hai Or Dehaan Me

Sardiyon Ki Sham Hai Or Dehaan Me Hain

Dhund Me Lipte Hue Waade Kisi K...

Sardiyon Ki Sham

Thursday, August 28, 2008

Life Is Like A Cafeteria

Life Is Like A Cafeteria.
You Take Your Tray Select Your Food & Pay At The Other End.
You Can Get Anything You Want As Long As Your Willing To Pay The Price In Cafeteria.
If You Wait For People To Serve You, You will Wait Forever.
Life Is Like That Too. You Make The Choices & Pay The Price To Succeed

Aazma ke dekh liya

Unko Aazma Kar Dekh Liya


Ek Dhoka Kha Kar Dekh Liya


Kya Hua Hum Huye Barbaad


Unhone To Apna Dil Behlakar Dekh Liya … !!

Always Spread Smile

Love Is The Only Thing In This World,
Which Always Spreads Smiles,
ANd This Is You Love Thats The Way,
You Make Me Laugh When I Do not.
Even Want To Smile, I Love You.

Your Love Is An Ocean

Your Love Is An Ocean


Where Sand Meets The Sea



Waves Of Love Rolling Over Me


Your Love Comes To Me



As The Tide Comes To The Shore


Wanting And Needing To Embrace Me More



Your Love Is The Moon


Shinning Across The Shimmering Sea



Deep Wide Strong And Calm


Always There To Carry Me



Your Love Is My Shelter


My Compass My True North



Where Ever I Go Your Love Is Guiding Me Forth


Your Love Is The Fresh Ocean Breeze



Gently Sweeping Across My Face


Touching Me From Place To Place



Your Love Is The Salty Air I Smell


Clearing My Thoughts And Thinking



Your Love Is The Life Preserver


That Keeps Me From Sinking



When I Go There To The Sea


I Am Not Alone For Your Love Is With Me



I Feel You All Around


The Beauty The Wind The Mystery



Your Love Engulfs Me Takes My Breath Away


Holds Me In Wind’s Arms



When I Close My Eyes Dancing Memories Of Your Charms


Never Escape My Deepest Memory



So If Ever Our Souls Part To Say Goodbye


Meet Me There Where The Sea Meets The Sky



Your Love Will Forever Be With Me


Where The Sands Touch The Sea



Our Love Lives On


Our Love Flows Back Out Into All Eternity

Wednesday, August 27, 2008

Psychology Ka Practical Ho Raha Tha

Psychology ka practical ho raha tha.
Professor ne 1 Chuhe (Mouse) k liye 1 tarf CAKE
aur dusri trf CHUHIYA rakh di.
Chuha fouran Cake ki trf lapka.
Dusri bar Cake ko badal kr ROTI raki.
Chuha Roti ki trf lapka. Is tarah kai
bar food-item badle magar
Chuha hr bar food ki trf bhaga.
Profesr: Bas, sabit ho gya ki BHUKH hi
sbse bdi taqat h.
Itne me last row ki bench se awaz aai
Sir, 1 bar Chuhiya badal k bhi dekh lo,
ho skta h wo uski BEHAN ho..!
Backbenchers Rockz

Bebasi jurm hai hausala jurm hai – Ayaz Jhanswi



Bebasi jurm hai hausala jurm hai
zindagi teri ik-ik ada jurm hai


ae sanam tere bare mein kuch soch kar
apne bare mein kuch sochana jurm hai


yad rakhana tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe dusara jurm hai


kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhana jurm hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ayaz Jhanswi




Badal Gaya Zamana

Mujhay Es ka Gum Nai K Badal Gaya Zamana


Meri Zindagi hai tum sey kahin tum badal na jana

Zoo me ek Tota

1 Zoo me ek Tota


English,


Urdu


or Punjabi bol sakta tha.


ek admi ne 3 zubaney check karney ke liye us se pucha:


Who r u?


Tota: I’m parrot.


Admi: tum kon ho?


Tota: Main tota hon.


Admi: tu kon aien?


Tota:Teri pehan da yar,saleya tennu 1 wari das te ditta k main tota waan

Tuesday, August 26, 2008

Durood Sharif ki Fazeelat

Best Sms in My Life
. 1 DIN
Hazrat jibrail (A.S)
HUZOOR(S.A.W.W)K Paas aye
Or kaha
“ALLAH ne Mujhay itni
Taqat di hay k Main Sari Dunia K Darakhtoon K
Pat’tay Gin sakta hoon
Or Paani k saray Qatray Or Rait K saray Zar’ray Gin sakta hoon
LekiN
Us Aadmi par ALLAH ki Rehmat ki Tadad nahi Gin sakta
Jo
AAP(S.A.W.W)Per 1 Baar DAROOD parta hay”
.
AGAR AAP KO YEH SMS ACHA LAGAY TO KAM AZ KAM CHAND DOSTON KO LAZMI
FARWARD KAR Dain.
AUR KHUD B K

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh



Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh


Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh


Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh


Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh


Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh


Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-E-Yar Rakh


Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh



Apple Sath Laya Hoon

Banta pair pey charha to upar baithey
Bandar ne poocha: Upar kyon aaya?
Banta: Apple khane.
Bandar: Yeh to aam ka pair hai.
Banta: Pata hai, Apple saath laya hoon.

Hai aabidon ko ta’at-o-tajarid ke khushi – Nazeer Akbarabadi



Hai aabidon ko ta’at-o-tajarid ke khushi
aur zahidon ko zuhad ke tamahid ke khushi
rind aashiqon ko hai kai umeed ke khushi
kuch dil-baron ke val ke kuch did ke khushi


aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
pichale pahar se uth ke nahane ke dhum hai
shir-o-shakar sivayyan pakane ke dhum hai
pir-o-javan ko nema’ten khane ke dhum hai
ladako ko id-gah ke jane ke dhum hai


aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
koi to mast phirta hai jam-e-sharab se
koi pukarata hai ke choote azab se
kalla kisi ka phula hai laddu ke chab se
chatakaren jee mein bharate hain nan-o-kabab se


aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
kya hi muanqe ke machi hai ulat palat
milate hain daud daud ke baham jhapat jhapat
phirate hain dil-baron ke bhi galiyon mein gat ke gat
aashiq maze udate hain har dam lipat lipat


aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
kajal hina gazab masi-o-pan ke dhadi
pishavazen surkh sausani lahi ke phul-jhadi
kurti kabhi dikha kabhi angiya kasi kadi
kah “id id” luten hain dil ko ghadi ghadi


aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
roze ke khushkiyon se jo hain zard zard gal
khush ho gaye wo dekhte hi id ka hilal
poshaken tan mein zard, sunahari safed lal
dil kya ke hans raha hai pada tan ka bal bal


aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
jo jo ke un ke husn ke rakhte hain dil se chah
jate hain un ke sath ta ba-id-gah
topon ke shor aur doganon ke rasm-o-rah
mayane, khilone, sair, maze, aish, vah-vah
aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
aisi na shab-e-barat na baqrid ke khushi
jaisi har ek dil mein hai is id ke khushi
rozon ke sakhtiyon mein na hote agar amir
to aisi id ke na khushi hoti dil-pazir
sab shad hain gada se laga shah ta vazir
dekha jo hum ne khub to sach hai miyan “nazeer”


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nazeer Akbarabadi



Monday, August 25, 2008

Plans for Life

Beautiful Prayer


” O GoD, when I lose hope because my plans have come to nothing..


Then help me to remember that


Your Love is always greater than my disappointments


&


Your Plans for my life are always better than my dreams”


(Ameen) good night

one special friend

There is always that one special friend,
who you can not wait to see,
and just being with them
for even a few minutes makes your day better :)

What is Best

ALLAH Loves You S0 Much that He hears Y0u C0nstantly


He Always Answrs Ur Requests, May be N0t with a Yes But Always with ‘What is Best’ …

Sunday, August 24, 2008

I LOVE YOU FOREVER

Before Saying The Words


I LOVE YOU FOREVER


First Ask To Yourself If You Are Ready.. ??


Becoz


Most Of Us Are Ready For LOVE


But Not Everyone Is Ready For FOREVER

Apnay Liay Saza Mangtay Rehna



Maslay Hoy Pholon Say Aada Mangtay Rehna
Viraan Drichon Say Sada Mangtay Rehna


Ye Koi Dukh Hay Kay Kufranay Mohabat?
Apnay Liay Her Bar Saza Mangtay Rehna


Aankh Drichon Pay Ogay Nergasi Chehray
Un Kay Liay Lafzon Ki Rida Mangtay Rehna


Khushal Rahien Younhi Sabhi Dost Tumharay
Un Kay Liay Aachi Duaa Mangtay Rehna


Hath Uthtay Rahay Berson Ju Teri Duaa Ko
Un Kay Liay Sajid Hina Mangtay Rehna


Poet: Sajid Hadayat
(+92 333 4123 685)



rahi nagufta mere dil mein dastan meri-Meer Taqi Meer



rahi nagufta mere dil mein dastan meri
na is dayar mein samajha koi zaban meri
barang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanaha
khabar nahi hai tujhe aah karavan meri
usi se dur raha asl-e-mudda jo tha
gai ye umr-e-aziz aah rayagan meri
tere firaq mein jaise khayal muflis ka
gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri
diya dikhai mujhe to usi ka jalva “meer”
padi jahan mein ja kar nazar jahan meri


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Meer Taqi Meer



Is se pahale ke bevafa ho jayen – Ahmed Faraz



Is se pahale ke bevafa ho jayen
kyon na ae dost hum juda ho jayen
tu bhi hire se ban gaya pathar
hum bhi kal kya se kya ho jayen
hum bhi majaburiyon ka uzr karen
aur kaheen aur mubtala ho jayen
ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayen kimiya ho jayen
ab ke gar tu mile to hum tujh se
aise lipaten teri qaba ho jayen
bandagi hum ne chod di hai ‘faraz’
kya karen log jab khuda ho jayen



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Juz tere koi bhi din raat na jane mere – Ahmed Faraz



juz tere koi bhi din raat na jane mere
tu kahan hai magar ae dost purane mere


tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekar
barq-e-avara ke manind thikhane mere
shama ki lau thi ke wo tu tha magar hijr ke raat
der tak rota raha koi sirhane mere


khalq ke bekhabari hai ke meri rusavai
log mujh ko hi sunate hain fasane mere
lut ke bhi khush hun ke ashkon se bhara hai daman
dekh garatgare dil ye bhi khazane mere
aj ik aur baras bit gaya us ke bagair
jis ke hote hue hote the zamane mere
kash tu bhi meri aavaz sunata ho
phir pukare hai tujhe dil ke sada ne mere
kash tu bhi kabhi aajaye masihai ko
log aate hain bahut dil ko dukhane mere
kash auron ke tarah main bhi kah sakata
baat sun li hai meri aj khuda ne mere
tu hai kis hal mein ae zudfaramosh mere
mujh ko to chin liya ahad-e-vafa ne mere
charagar yun to bahut hain magar ae jan-e-‘faraz’
juz tere aur koi gham na jane mere


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



Taqdeer k faisly

Hazart Muhammad (S.A.W.W) ne farmaya


Dua ke siva koi cheez Taqdeer k faisly ko rud nai ker sakti


Aur Naiki k siwa koi cheez umer ko nai barha sakti


Hadees ka phelana sadqa jaria hai


q k NABI-E-PAK (S.A.W.W) ne farmaya sar sabz o shadab reh


wo sakhs jo meri Hadees ko suny aur usko aagy pohancey

Ek Sardar Larai Me

Ek sardar larai me bulit prof jekit ke jagah machar dani pehan kr gya,
.
.
Kisi ne poocha,
Sadar ji machar dani kyu pehne hoe ho?
.
.
Sardar bola…
.
.
.
.
.
.
.
Pagal jis me machar nhi ghus sakta us me goli kahan ghosay gi…!

Saturday, August 23, 2008

Arz kiya hai

Arz kia hai.


Hum apki judai mein Ro rahe hain


zara ghor se sunye ga


Or aap hain k Bund OONCHI kr k so rahe hai ??

CHAAND Hoon Insaan Nahi

Raat Ka Aakhri Pehar Tha…!


MuJh Se Chand Ne Kaha’


Humnasheen Alvida’


MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai’


Kl Milain Ge isi Jgah’


Mai Sun Kr Muskura Diya’


Us Ko ye Btla Diya’


Jaane wale Lout’tay Nhi’


Tum Nhi aao Ge’


MuJhe Hai Yaqeen’


Meri Baat Sun Ke Wo Ruk Gya’


or Kehne Lga’


Tm Se Waada Karoon’


Phir na Poora Kroon’


Aisa Mumkin Nahi’


Sun Aey HumnasheeN’


Mai CHAAND Hoon Insaan Nahi…!

Quran pak ki wo kon c surat hai

Q.1:Quran pak ki wo kon c surat hai jis me sirf ek zer ata hy .
ANS: SURA E IKHLAS


Q.2:Un 2 janwro k nam btaen jinhen bghair halal kye khaya ja skta hy.


ANS: FISH AND TIDDI


Q.3:qayamat k din sb se pehly kin ko kapry pahnay ja’ayn gy ?


ANS:HAZRAT IBRAHEEM A.S


Q.4:Sura yasin ko quran ka dil kaha jata hy sura REHMAN ko kia kaha jata hy?


ANS: QURAN KI ZEENAT
PLZ 4WRD THIS KNOWLEDGE.

islamic new year shayari



Islamic new year start at 1st Muharram. Following are some latest islamic new year shayari and poetry collection in Urdu.


. * ( . ‘ *. .’ .* . . ‘ . * .’ . ‘.* , .*’
Duaon k sath Zindgi ka 1 or HASEEN Saal Mubarak ho! “* . ‘ , . * ‘, ‘ .


“*” KHUDA aap ko wo KHUShI dy jis ki dua aap hmesha krty ho
“*” “.. *” NEW ISLAMIC YEAR”*


I wish you a very warm and joyful new islamic year. May your journey always bring in many memorable times. Allah bless you with love and care.


Share with us more islamic new year shayari /poetry in comments section below



Ganjey Mairi Talaash Mein Hain



Idher To Shehar Ke Ganjey Mairi Talaash Mein Hain
Udher Tamaam Lafangey Mairi Talaash Mein Hain


Main Unn Ka Maal Gaban Ker Ke Jab Say Bhaitha Hoon
Yateem Khaaney Ke Bachey Mairi Talaash Mein Hain


Mila Hai Nuskha Jawaani Palat Ka Jab Say Mujhey
Tumharey Shehar Ke Bhudey Mairi Talaash Mein Hain


Main Jinn Ke Waastey Jootey Chura Le Jail Gaya
Woh Ley Ke Haath Mein Jootey Mairi Talaash Mein Hain


Diya Hai Naam Kafan Chor Jab Say Tum Ne Mujhey
Puraani Qabron Ke Murdey Mairi Talaash Mein Hain


Patey Ki Baat Jo Moonh Say Nikal Gayi Paagal
Tumharey Shehar Ke Pagley Mairi Talaash Mein Hain



Friday, August 22, 2008

Hindi Vafaa Shayari – Wafaa SMS



Vafaa Ke Khvaab Muhabbat Kaa Aasara Le Jaa
Agar Chalaa Hai To Jo Kuchh Mujhe Diyaa Le Jaa


Maqaam-E-Suud-O-Ziyaan Aa Gayaa Hai Phir Jaanaan
Ye Zakhm Mere Sahii Tiir To Uthaa Le Jaa


Yahii Hai Qismat-E-Saharaa Yahii Karam Teraa
Ki Buund Buund Ataa Kar Ghataa Ghataa Le Jaa


Nadaamaten Hon To Sar Baar-E-Dosh Hotaa Hai
‘Faraz’ Jaan Ke Evaz Aabaruu Bachaa Le Jaa



Physics ka paper

Once a girl askd a boy:
Why we have units to measure Weight,
Height,
Force,
Speed,
Distance etc.
But nothng 2 measure
Love
Trust
Frndship,
Why?
Boy thought 4 a while,
took her in arms,
looked in her deep eyes and said:
“Dekh janu bkwas na kr mai date py aya hon Physics ka paper dainy nahi” lol :d

Azan ke Importance

Azaan Hoti Thi To Hazrat Ali Kanpney Lagte The


Or Rang Surkh Ho Jata Tha,Kisi Ne Puchha:Ye Kya Maajra Hai Jab Azaan Hoti Hai Aap Kanpney Lagte Hein!


Aap Ne Farmaya:Itni Barhi Hasti Ka Bulawa aaya Hai Pata Nahi Main Uska Farz Theek Tarah Se Adaa Kar Sakunga Ya Nahi!


Or aaj logon ko koi perwa hi nahi aazan Ki.ALLAH se daro or agr fre pkg hy to is msg ko itna phelao k log azan khamoshe se sunain or ALLAH hum sub ko namaz perhanay ki tofiq de(AAMEEN)

Aik Gali Mein

Aik Gali mein……
bachay khel rahay thai uss gali mein se aik ……..
aurat guzri Uss ………
aurat ne hath mein ………
pakri thi un ……..
bachon ne uss …….
Aurat ki ……
gira di.
in 7 khali jaga main ek hi word aye ga,
Reply must
If u r genius…

Aitbaar shayari



UCHIAN LAMBIAN LAL KHAJURAN.. AATE PATTER JINA DE SAAVE..
JIS DUM DE NAAL PREET E-SAADI.. KITE OH DUM NAZAR NA AAVE..


Pyar Khata Hai Ya Saza Hai Ab Tak Ye Na Samjhe Hum..
Kab Tak Ashk Bahe Dil Me Chup Ke Chup Ke Sehke Hum..
Jisse Dil Lagayia Usse He Begane Ho Gaye..
Geet Mahobbat Ke Saare Jhuthe Afsane Ho Gaye..


KISI DA DIL PAVE LAKH KHUSHIAN, KISE DA DIL TUT JAVE..
JAVE SAJJNA MAIN NAI KARNA TERA AITBAAR..!


KOI DIL SE BURA NAHI HOTA.. WAQT JO BEWAFFA NAHI HOTA..
USKE HALAAT BURE HOTE HAIN.. AADMI KHUD BURA NAHI HOTA..


Badi Kathin Hoti Hai Pyar Ko Rahein Kasam Se O..
Koi Kabhi Na Chuuraye Apni Nigahein Sanam Se O..
Tum Kisi Apne Ko Aise Bewaffa Na Samjho..
Ashiqe Me Bebasi Ko Tum Daga Na Samjho..
Pyar Ke Gehre Sagar Me Ek Seep Ka Moti Mann Hai..
Na Bas Me Takdeer Ka Likha Na Dil Ki Dharkan Hai..


APNI MARZI SE KISMAT KO.. KAISE KOI LIKHAVE..
JAVE SAJJNA MAIN NAI KARNA TERA AITBAAR.




Share with us more ...Aitbaar shayari ..in comments section below



Thursday, August 21, 2008

Baam-e-Urooj Pr Bhi Kabhi Aaun Ga

Baam-E-Urooj Par Bhi Kabhi Aaunga Zaroor,
Humdam Mera Zawaal Chaar Din Ka Hai...

Baam e Urooj Pr Bhi Kabhi Aaun Ga Zaroor

Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain - Tabish Dehlavi

Dost-Kia-Nusrat

Tabish Dehlavi Ghazal

Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
Har Naye Mor Par Aik Zakham Naya Dete Hain

Tum Se To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain

Kese Mumkin Hai Ke Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Dete Hain

Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
Waqt Parne Pe Wohi Loog Dagha Dete Hain

Video by Nusrat Fateh Ali Khan

Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain Video by Nusrat Fateh Ali Khan

Ek Raat Wo Gaya Tha Jahan Bat Rok Kr

Ek Raat Wo Gaya Tha Jahan Bat Rok Kr
Ab Tak Ruka Hua Hun Wahin Raat Rok Kr...

Ek Raat Wo

aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi – Himayat Ali Shayar



aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi


aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi
waqt kat jayega kuch pyar ke baten hi sahi


yun to katati hi rahegi gam-e-dauran mein hayat
aj ke rat gam-e-yar ke baten hi sahi


zinda rahane ke kabhi to koi surat nikale
isharat-e-alam-e-didar ke baten hi sahi


koi to bat chide aj bahut jee hai udas
kam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahi


ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht
kuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahi


ye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasib
aj gul ke na sahi khar ke baten hi sahi


ye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein hum
un ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Himayat Ali Shayar



Dad Write on Facebook Wall

Dad writes on Sons facebook wall


Dear son…!!!


How r u???


All r fine…


Miss u alot..


Please !!


Turn Off the Computer and Come down for dinner. 😛

Wednesday, August 20, 2008

Apni Mohabbaton k Azaab

Hum pe guzray thay ranj saare.
Jo khud Pe guzray To log samjhay.
Jab apni apni mohabbaton k azaab jhelay to log samjhay.
Wo jin darakhton ki chhaon men se musafron ko utha diya tha……
Unhi drakhton se aglay mosam jo phal na utray to log smjhay……
Us aik kachi c umr walay k falsafay ko koi na samjha……
Jb us k kamray se laash nikli,,,
khatoot nikly to log samjhay……
Wo gaon ka ik zaeef dehqaan sarrak k bannay pe kyun khafa tha……
Jb us k bachy jo shehr ja kar,,,,
Kabhi na loatay to log samjhay……

Jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya – Meer Taqi Meer



jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya
us ke divar ka sar se mere saya na gaya
dil ke tain aatish-e-hijran se bachaya na gaya
ghar jala samane par hum se bujhaya na gaya
kya tunak hausla the dida-o-dil apne aah
ek dam raz mohabbat ka chupaya na gaya
dil jo didar ka qayel ke bahot bhuka tha
is sitam-kushta se yak zakhm bhi khaya na gaya
shahar-e-dil aah ajab jaye thi par uske gaye
aisa ujada ki kisi tarah basaya na gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Meer Taqi Meer



Ankhon Mein Samandar Ko Samette



Har Baar Hosla Karte Hain,Phir Khud Hi Toot Jate Hain
Is Dil Ko Khud Hi Samjha Kar , Is Dil Se Har Jate Hain


Phir Se Ret Ko Muthi Mein Pakad Ka R ,Phisalta Pate Hain
Ankhon Mein Samandar Ko Samette Samette , Chalkta Pate Hain


Har Baar Kuch Chah Kar , Woh Khud Hi Kar Jaate Hain
Intezar Karvate Karvate , Khud Hi Intezar Karta Pate Hain


Na Jane Kyun Is Dil Ko , Samjha Hi Nahi Pate Hain
Apne Aap Khud Ko Mana Hi Nahin Pate Hain


Woh Kya Samjhenge Jasbaat Jinhe ‘Ehsaas’ Hi Nahi
Na Jane Kyun Har Baar Kuch Aise Hi Dost Bana Jate Hain



tera qasor likhon ga

Aik ghazal tere liye zaror likhon ga.


Be hisab us mein tera qasor likhon ga.


Tu guftaar ka mahir tu qirdaar ka mahir


Par husn ko tery tera ghuroor likhon ga.


Toot gye bachpan k tery sary khilony


Ab dilon sy khailna tera dastoor likhon ga..


Raha ishq ka dawa tuje tamam umr


Wafa ki dehleez sy tuje mafroor likhon ga..


Khud sakhta jo hy tera judai ka faisla


Aesy har iqdaam ko na manzoor likhon ga.


Humain kehny ki aadat nhi likhny ka shouq hy


Jazboon ko apne qalam ki taseer likhon ga..


Tera wajood mera wajood muje ik sa lgy


Par tuje main khud ko bht dor likhon ga..


Aik ghazal tery liye zaroor likhon ga


Be hisab us main tera qusoor likhon ga.

Thokar sms



Mohbat ka bharam hota to phir kuch soch kr jaaty,
WagRna zindagi ban kar mery hamdam guzar jatay,
Thaky hary prindon ko jo dekha to khayal aya,
Koi jo muntzair hota to hum bhi apny ghar jaty,
Main kha kr dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhen lagti to tum khud bhi bikhar jatay,
Or is TANHAI ka hum pe bara ehsan hy “Mohsin”,
Na deti sath ye apna to jany hum kidhar jatay..




Thokar Lagi To, Apne Muqaddar Pe Ja Gira! Phir Yu Huwa K, Aaina Pathar Pe Ja Gira! Ehsaas_e_Farz Jab Bhi Huwa, Neend Aa Gayi, Chalna Tha Pul-Saraat Pe, Bister Pe Ja Gira Baazi Mohabbaton Ki Jahalat Ne Jeet Li Wo Bn Gaya Khateeb, Jo Mimber Pe Ja Gira Khusbu Qasoor-War, Nhi IsKo Chor 2 Me Phool Torte Huwe Kanton Pe Ja Gra Sahraaon Me Liye Phira IQBAL Paani Ki Justaju Jb Piyas Mr Gyi To, Samundar Pe Ja gira



Share with us more ­­­­­­­­­­­­­­­­­­­Thokar sms in Comments section below




Aey! Kya Bolti Tu?



(“,)/ aey! Kya
<)) Bolti Tu?
_//_
(.”) Ay! Kia me
<((> Bolon?
_/”_
(“,)/
<)) Sun!
_/L
(.”)
<((>
_//_ Suna
(“,)/
<)) Teri light aa
_/|_rahi hai kya?
(.”)
<((> Oh tu ne ye
_/”_kia puch liya
(“,)/
<))
_//_ary aati hy jati hy, har pal satati hy, tension barhaati hy or kia;-(:(:-



mera dil dhadak jaye

Rukwa dena mere janazay ko agar uska ghar aye
Rukwa dena mere janazay ko agar uska ghar aye
Kash jhank le wo khidki se tho mera dil dhadak jaye

Mohabbat Kii Tabiyat Mei



Mohabbat Kii Tabiyat Mei
Ye Kaisaa Bachapanaa Qudarat Ne Rakkhaa Hai


Ke Jitanii Puraanii Jitanii Bhii Mazabuut Ho Jaaye
Ise TaaIid-E-Taazaa Kii Zaruurat Phir Bhii Rahatii Hai
YaqiiN Kii Aakhirii Had Tak DiloN MeN LahLahaatii Ho
NigaahoN Se Tapakatii Ho Lahuu MeN JagMagaatii Ho
HazaaroN Tarah Se DilKash Hasiin Haale Banaatii Ho
Use Izhaar Ke LafzoN Kii Haajat Phir Bhii Rahatii Hai


Mohabbat MaaNgatii Hai YuuN Gavaahii Apane Hone Kii
Ke Jaise Tifl-E-Saadaa Shaam Ko Ik Biij Boye
Aur Shab MeN Bauraa Uthe
ZamiiN Ko Khod Kar Dekhe
Ke Paudhaa Ab KahaaN Tak Hai


Mohabbat Kii Tabiyat MeN Ajab Takaraar Kii Khuu Hai
Ke Ye Iqraar Ke LafzoN Ko Sunane Se NahiiN Thakatii
BichhaDane Kii GhaDii Ho Yaa KoIi Milane Kii Sa’at Ho
Ise Bas Ek Hii Dhun Hai
Kaho Mujh Se Mohabbat Hai
Kaho Mujh Se Mohabbat Hai


Kuchh Aisii Besakuunii Hai Vafaa Kii SarZamiiNoN MeN
Ke Jo Ahal-E-Mohabbat Ko Sadaa Bechain Rakhatii Hai
Ke Jaise Phuul MeN Khsuhbuu Ke Jaise Haath MeN Taaraa
Ke Jaise Shaam Kaa Taaraa
Mohabbat Karane VaaloN Kii Sahar RaatoN MeN Rahatii Hai
Gumanaam Ke ShaakhchoN MeN AashiyaaN Banataa Hai Ulfat Kaa
Ye Ain Visaal MeN Bhii Hijr Ke KhadshoN MeN Rahatii Hai


Mohabbat Ke Musaafir Zindagii Jab Kaat Chukate HaiN
Thakan Kii KarachiyaaN Chunate Vafaa Kii AjarakeN Pahane
Samay Kii RahGuzar Kii Aakhirii Sarhad Pe Rukate HaiN
To KoIi Duubatii SaaNsoN Kii Dorii Thaam Ker
Dhiire Se Kahataa Hai
Ke Ye Sach Hai Naa
Hamaarii Zindagii Ik Duusare Ke Naam Likhii Thii
Dhundhalakaa Saa Jo AaNkhoN Ke Qariib-O-Duur Phailaa Hai
Isii Kaa Naam Chaahat Hai
TumheN Mujh Se Mohabbat Thii
TumheN Mujh Se Mohabbat Hai


Mohabbat Kii Tabiyat MeN
Ye Kaisaa Bachapanaa Qudarat Ne Rakkhaa Hai



Tuesday, August 19, 2008

Six ways to earn

Six ways to earn even after death.


1)Give a copy of Qur’an to some one. Each time they read from it,you gain.


2)Donate a wheelchair to a hospital.Each time sick person uses it,you gain.


3)Participate in building a Masjid.


4)Place water cooler in a public place.


5)Plant a tree.you gain when ever a person,animal sits in its shade or eats from it.


6)Share this message with peoples. Even if 1 applies any of the above, you gain

The Monkey In The Zoo

SomeOne..
MiSSES U..
NeeDS U..
Worries About U
Lonely Without U
Guess Who?
THE MONKEY IN
… THE ZOO .

Monday, August 18, 2008

Har Aik Se Tumhara Ta'aluq Mujhe Gawara

Har Aik Se Tumhara Ta'aluq Mujhe Gawara Nahi

Jab Dil Aik Hai To Chahaten Be-Shumaar Kiun???

By: Waqas

Definition of Human being

Definition of Human being by a philosopher:


A creature that cuts trees & makes paper,&
On those paperz
writes,
“SAVE TREES”:-)

Wapda waleo jan deyo



Wapda waleo jan deyo
.
Thori jai bijli te aan deo
.
Mobile di battery mukki pai ae
.
Paani wali tenki sukki pai ae
.
Toilet vich v jaa nai sak’dy
.
Tissu naal kam chala nai sakde
.
Ki ki apne dukhry dasiye
.
Pal vich roiye pal vich hassiye
.
O baaz v aa jao HARAAM DEO


Thori jai bijli te aan deo.;->



Is ka gila nahi ki dua be-asar gai – Tilok Chand Mehroom



Is ka gila nahi ki dua be-asar gai
ik aah ke thi wo bhi kaheen ja ke mar gai
ae ham-nafas na puch javani ka majara
mauj-e-nasim thi, idhar aai, udhar gai
dam-e-gam-e-hayat mein ulajha gai umid
hum ye samajh rahe the ki ehsaan kar gai
is zindagi se hum ko na duniya mili na din
taqadir ka mushahida karte guzar gai
bas itna hosh tha mujhe roz-e-vida-e-dost
virana tha nazar mein jahan tak nazar gai
har mauj aab-e-sindh hui vaqf-e-pech-o-tab
“mehroom” jab vatan mein hamari khabar gai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Tilok Chand Mehroom



Bas Ek Raat Mulaqat Ka Hua Wadaa - Neend

Bas Ek Raat Mulaqat Ka Hua Wadaa,
Wo Din Aur Aaj Ka Din, Neend Phir Nahi Aai…

Raat Neend

Ho Chuka Hai Qata-e-Talluq To Jafaaen Kesi

Ho Chuka Hai Qata-e-Talluq To Jafaaen Kesi
Jin Ko Matlab Nahi Rehta Wo Sataty Bhi Nahi Hain....

Ho Chuka Hai Qata-e-Talluq

May The 12 Hours Of AM

May the 12 hours of AM;
The 12 hours of PM;


And the 12 months of the New Year be filled with
love, peace, happiness, contentment, riches and bliss!


Happy New Year!

Sunday, August 17, 2008

Challenge For You.

a boy & his father are injured in a car accident.
both r taken to a hospital.the father dies at arrival.
but the boy lives & taken to surgery.
grey haired, bespectacled surgeon looks at the boy & says “I CAN NOT OPERATION THIS BOY..HE IS MY SON!”….


why surgeon said this???

Be Hiss Hai Yahan Loag



Be Hiss Hai Yahan Loag,Bhala Soach Kai Karna..
Is Doar Main Logoon Sai Wafa Soch Kai Karna


Ik Baar Jo Rothey,To Mana Tum Na Sakhoo Gay,
Hum Jaisai Diwanoon Ko Khafa Soch Kai Karna


Gul Shaakh Sai Bichrai To Kahin Ka Nahi Rehta
Tum Zaat Mere Khud Se Juda Soch Kai Karna.



Mujhe Khabar Hai K Kahani Ka Antt A Gaya

Mujhe Khabar Hai K Kahani Ka Antt A Gaya Hai
Mujhe Khabar Hai K Hona Hai Raigaan Mujh Ko...

Mujhe Khabar Hai

World Best Feeling

Worlds Best Feeling..
.
.
.
.
.
.
.
.
.
It Comes When We See A Very Wonderful Question


Paper In Examinations Hall And We Smile At Each Other


And Say Ek Bhi Nahi Aata Yaar…

Marriage Is That Relation

Marriage is that relation between
man and women in which
the Independence is Equal,
the Dependence mutual and
the Obligation Reciprocal.
Best Wishes Messages for Happy Wedding Anniversary.

1 Namaz Qaza karne Per

1 namaz qaza karne se 2 karor 88 lak sal jahanam me jalne ki saza he aur 1 din 50000 sal ka hoga
Aap fazool sms to rozana send karte ho aaj
Yeh sms dsrn ko send karo is liye ke is se 1 bhi banda namazi ho gaya to is ka sawab aap ko us ke marne tak milta rahe ga.
JAZAK-ALLAh

Is Bheegi Shaam K Sayee Main | Urdu Sad Shayari


‎--Is Bheegi Shaam K Saye Main-
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao
---------------------------
----------------------------------
Ye Shaam Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye
-------------------------------
Wo Bat Jo Hum Keh Na Sky
Ankho Ki Zubani Ho Jaye
----------------------------------
----------------------------------
Koi Pyari Baat Tum Chero
Koi Pyar Ki Baat Sunain Hum
----------------------------------
Haan Pyar Krain Yon Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye
----------------------------------
----------------------------------
Is Bheegi Shaam Suhani Me
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao


Tags: bheegi shaam shayari, rangeen kahani, shaam suhani, urdu shayari, udas shayari, urdu poetry, urdu sad poetry, chupke se, romantic poetry

Be-Rukhi-e-Yaar Pe Shikwa Na Kar Zari

Be-Rukhi-e-Yaar Pe Shikwa Na Kar Zari
Tareekh Gawah Hai Husn Pe Gharur Hi Sajta Hai...

Submitted By: Zari

Saturday, August 16, 2008

Koi To Faisla Karta Hai Pathar K Muqaddar

Koi To Faisla Karta Hai Pathar K Muqaddar Ka

Kise Thokar Me Rehna Hai Kise Bhagwaan Ban'na Hai...

Koi To Faisla Karta

Computer Shairi – Part 5



 Urdu Computer Shairi , Computer Poetry , Funny Hindi Computer Poetry , Hindi Computer Shayari , Urdu Funny Shayari , Urdu News , Urdu Pakwan , Hindi News


Computer Shairi – 5


Tere Pyar Ka E-MAIL Mere Dil Ko Lubhata Hai
Par Beech Mein Tere Bhai Ka VIRUS Aa Jata Hai!


Sirf Aap Jaiso Ke Liye Dil Ko CUT Karte Hai
Warna Baki CASES Mein COPY PASTE Se Kaam Karte Hai!


Aap Ka Hasna,Aap Ka Chalna,Aap Ki Wo Style
Aap Ki In Aadaoon Ki Humne SAVE Karli Hai Ek FILE!


Ab Aur Nahi Sah Sakte Hum Intezaar
Humare Dil Ki SITE Pe Jaldi ENTER Kato Yaar!


Na Jaane Mere Pyar Kee
Kisne Laggadi Sweep
Aaj Hamne In(Boot) Kiya
To Nahin Aayee Woh Beep


Kaise Milega Tumhara Saath Batado
Apne Dil Ka Poora <Path> Batado



Me Dhoondne Ko Zamany Me Jab

Me Dhoondne Ko Zamany Me Jab Wafa Nikla

Pata Chala K Galat Le K Me Pata Nikla...

Me Dhoondne Ko

Jhoothi duniya ke

Naa Janay Kiyon, Magar Es Jhoothi Dunya Key Jhootay Log..


Wafaaein Kar Nahi Saktay Baatien Hazaar Kartay Hain..!!!

Friday, August 15, 2008

DESI bhi chalti hai

Ek ladka ladki ko dekhne gaya
.
.
.
Ladke ne english me baat karne ki sochi Aur bola- English chalti hai na ?
.
.
.
Ladki sharmate hue-
.
.
.
.
SODA saath ho to DESI bhi chalti hai

Thursday, August 14, 2008

Tera Ghuroor-E-Ebaadat Tujhe Naa Le Dooby

Tera Ghuroor-E-Ebaadat Tujhe Naa Le Dooby

Suna Hai Parhta Tha Iblees Bhi Namaaz Bohat...

Tera Ghuroor-E-Ebaadat

Ramzan mubarak shayari





Ramadhan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dar-e-taurba Khula Hai Is Mahine Mein



Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumhe jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet,
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe.


Raat ko naya chand mubarak,
Chand ko chandni mubarak,
Falak ko sitare mubarak.
Sitaroon ko bulandi mubarak.
Aur aap ko hamari taraf se,
“RAMADAN MUBARAK


YA ALLAH Ramadan Mubarak Ke Ibtida Hai
Hamay Ziada Se Ziada Nekian Kamanay
Or buraiyon Se Dur
Hone Ki toufeeq Ata Farmaye
Ameen


Share with us more ..Ramzan mubarak shayari …in comments section below



Aey Boss Kaisa Hai Ray Tu

Aey Boss…..
Kaisa hai ray tu….?
.
Wo kya hai na….Eid k din sala network khalas ho jata hai to apun tairay ko advance main.,
Eid mubarak thokta hai..

KAMYABI mile

Hr koi chahta he
k usay KAMYABI mil JayE
Lkn


Jb MASJID se din me 5 dafa Awaz Ati hai
“HAYYA ALAL FALAH”
Aao kamyabi ki Trf
Lkn koi zehmt ni krta
K jis Chiz ko wo sari Zindgi
Hr jaga Talash kr rha hai
Wo to khud Usay apne Pas Bula rhi hay.

Yeh bakra kitne ka hai

Memon: Yeh bakra kitne ka hai?


Aadmi: 38,000 Ka!


Memon heran ho kr:
.
.
.
.
.
.


Touch screen wala he kya..?

Cutest Proposal to Girl

Cutest Proposal by A Boy


Boy: Can you please close your eyes for a moment?


Girl: Ok, Done


Boy: Thanks, What a darkness isnt it?


Girl: Yeah


Boy: That is my life without you ..!

Wednesday, August 13, 2008

Dolat matti ki trah hy

Dolat matti ki trah hy,
Or matti ko paon k niche rehna chahiye
Agr
Sir pr charhao ge
To qabar ban jaegi.
Or qabrain zinda insano k liye ni hoti.
HAZRAT ALI(R.A)

Wo Doobty Suraj Ko Dekhta Hai Faraz

Wo Doobty Suraj Ko Dekhta Hai Faraz
Kaash Main Bhe Kisi Shaam Ka Manzar Hota...

Submitted By: M. Rafiq Bugti

Mery Watan k

Mery Watan k Udas Logo, na khud ko itna Hqeer samjo,


K koi tm sy Hisab mangy, Khahishon ki Kitab mangy.


Na khud ko itna Qleel samjo, K koi uth kr kahy ye tm sy,


Wafain apni hmay luta do, Watn ko apny hmay thama do.


Utho or uth kr bata do unko, K hm hain ehl-e-Eman sary,


Na Hm ma koi Sanam-Kada hy, Hmary dil main to ik Khuda hy.


Mery Watan k Udas Logo..!


Jhuky Saron ko Utha k Dekho, Qadm to Agay barha k dekho,


Hy ik Taqat tmhary Sr pr, Kary gi Saya jo un Saron pr.


Qadm Qadm pr jo Sath degi, Agar giray to Sambhal degi,


Mery Watn k Udas Logo..! Utho chalo or Watan sambhalo.

Jala Kar Shama-e-Ulfat Aap Ne

Jala Kar Shama-e-Ulfat Aap Ne Foran Hi Gul Kar Di
Khudara Ye Bata Dijiye K Parwano Ka Kya Ho Ga...?

Jala Kar Shama

Tuesday, August 12, 2008

Hum Ap K Dil Main Rehte Hain

hum ap k dil main rehte hain,
Is liye her dard sehte hain,


Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
Is liye sub se pehlay “Happy Ramadan ul mubarak” kehte hain

Father and Mother I Love You

F.A.M.I.L.Y
is one of the sweetest word
Anyone can say,
Because
The letters of FAMILY means…
Father and Mother I Love You.. !!

Monday, August 11, 2008

Importance of Precious Life

if you have only one Bread and you are Hungry,
you will never give it to the Birds,


if you have only one Bottle of Water and you have to cross a Desert,
you will never Wash your Feet with it,


You have only one Life with which you have to earn JANNAT,
so how can you Waste it in useless Deeds ???


Realize the importance of your Precious Life,
Bcz we will be Questioned by ALLAH PAAK about it on the day of Judgment.

Sada Kise Nayi Ethy Rehna Sub Da Door

Sada Kise Nayi Ethy Rehna, Sub Da Door Thikana
Tann Ek Pinjra, Rooh Ek Panchi, Panchi Ne Urh Jana...

Sada Kise Nayi

Mohabbat Karna Koi Zulm Nahi



Mohabbat Karna Koi Zulm Nahi,
Agar Ki Jaye Usool Se,
Khuda Ko Bhi Muhabbat Thi,
Apne Rasoul Se
Chaand Raaat Ko Sabhi Dekhain, Hilaal-E-Eid Ko
Ik Hamara Hi Naseeba Hadiyan Turva Gaay
Hum Thy Chaand Ke Nazaare Main Khoye Hue
Bus Achanak Chand Ka Abba Wahan Pe Aa Gaye



Aks-o-Aina Me Ab Rabt Ho Kya Tere Baad

Aks-o-Aina Me Ab Rabt Ho Kya Tere Baad

Hum To Phirte Hain Khud Apne Se Khafa Tere Baad...

Aks-o-Aina Me Ab

Saturday, August 9, 2008

Zoq-e-Ehsas Main Hoti Hai Takleef Sara'sar

Zoq-e-Ehsas Main Hoti Hai Takleef Sara'sar
Ache Rehte Hain Wo Log Jo Kisi Ki Parwah Nahi Karte...

Blogger: Waqas Ali

Chaltay Chaltay Khud

Chaltay Chaltay KhUd Hi MuSkUra raHay
Ho Saahib.
PaagaL Ho…?
Yaa…
M0habbat kI ShUrUwaAt hUi hAi..?

Teri Khoobsoorti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte

Teri Khoobsoorti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte,
Hajoom-e-Husn Mein Tum Nawab Lagte Ho…

Royal Love

Zindagi barbad ker le

Wo Muhabbat Ko Khail Kehtay Hain


Hum Ne Barbad ZIndgi Ker li

Friday, August 8, 2008

Baarishon se keh do

In Baarishon se keh do kahi aur ja k barsaen Pappu


Q K meri China di Chapal Chickar wich tilak jandi ay…

UNKI Gali me

UNKI Gali me


NASEEB Se


Jana NASEEB Ho


Phir LOT K


Wahan Se Na


ANA NASEEB Ho


Aisa


DAR-e-RASOOL Pe SAJDA


Ho AKHRI


K MUJH Ko APNA Sar Na UTHANA NASEEB Ho


*AMEEN*

2 tarah ke log

Dunyia mein 2 trhan k log hain 1 haseen aur 2sry zaheen…


Haseenwoh jis ka msg AAP parh rhe hain,


Aur Zaheen woh jis ne yeh msg AAP ko send kia hai…

os pade bahar par aag lage kanar mein – Jigar Moradabadi



os pade bahar par aag lage kanar mein
tum jo nahi kanar mein lutf hi kya bahar mein
us pe kare khuda raham gardish-e-rozagar mein
apni talash chodakar jo hai talash-e-yar mein
hum kaheen janevale hain daman-e-ishq chodakar
zist tere huzur men, maut tere dayar mein


Poet of the poem  / Ghazal or Nazam :Jigar Moradabadi



No Greeting Card To Give

No greeting card to give,
No beautiful flowers to send,
No cute pictures to forward,
Just a loving heart saying
.
.
.
–HAPPY ANNIVERSARY–

Thursday, August 7, 2008

Lovely thing about Christmas

A lovely thing about Christmas
is that its compulsory,
like a thunderstorm,
and we all go through it together.

Ishq mujhko nahi vahshat hi sahi – Mirza Ghalib



Ishq mujhko nahi vahshat hi sahi
meri vahshat teri shoharat hi sahi
qata kije na ta’alluq hum se
kuch nahi hai to adavat hi sahi
mere hone mein hai kya ruswai
ye wo majalis nahi khalvat hi sahi
hum bhi dushman to nahi hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi
apni hasti hi se ho jo kuch ho
aagahi gar nahi gafalat hi sahi
umr har chand ke hai barq-e-khiram
dil ke khoon karne ke fursat hi sahi
hum koi tarq-e-vafa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi
kuch to de ae falak-e-nainsaf
aah-o-fariyad ke rukhasat hi sahi
hum bhi taslim ke khu dalenge
beniyazi teri aadat hi sahi
yar se cheda chali jaye “asad”
gar nahi vasl to hasrat hi sahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Girtay Rahe Sajdon Mein

Girtay Rahe Sajdon Mein Hum Apni Hi Hasraton Ki Khatir,


Agar Ishq-e-Khuda Mein Giray Hotey Toh koi Hasrat Adhori Na Hoti.

Taisha-e-Bakaf Hawaon Ko Shayad Khabar Nahi

Taisha-e-Bakaf Hawaon Ko Shayad Khabar Nahi
Khushbu Hayat-e-Noo Ki Hai Zakhmi Gulaab Me...

Submitted By: Dua

Waqfa-e-Maatam

Jab Raat Shiddat O Zulmat Se Tapp Uthti Hai Aye Nadeem;


Log Us Waqfa-e-Maatam Ko Sehr Kehte Hain..

Wednesday, August 6, 2008

TERI MEHRBANI

Ab to khubsurat larki ko dek k hoti hai pareshaani,


Faraz
kaHin wo b na keh de …!


“TERI MEHRBANI” :-)
geo Ufone, 😉

Sharminda Hoon In Phoolon Se Jin Ko Tere Liye Tehni Se

Sharminda Hoon In Phoolon Se Jin Ko Tere Liye Tehni Se Juda Kia,
Wo Mere Haathon Main Hi Sookh Gaye Tera Intizaar Karte Karte...

Sharminda Hoon In Phoolon Se Jin Ko Tere Liye Tehni Se

Batao Zara Kon Si Bahar Laya Hai January

Batao Zara Kon Si Bahar Laya Hai January
Tum To Kehte The Bohat Veraan Hai December...

Batao Zara Kon Si

Hopeful Man

A hopeless man feels Dificulty in every chance. And a Hopeful man feels a chance in every dificulty.


Be hopeful and trust in ALLAH.


Good Evenin

Aik larka Bhaagte Hoe

Ek ladka bhagte hue ek ladki ke pas gaya aur bola


mai tumse dosti karna chahta hu
.
.
.
.
.
.
.
.


Ladki boli: to hamari dushmani kab thi BHAAIIIYYA


Ladka shocks


Ladki rocks

Hui takhir to kuch bais-e-takhir bhi tha – Mirza Ghalib



hui takhir to kuch bais-e-takhir bhi tha
aap aate the magar koi inangir na tha
tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila
us mein kuch shaib-e-khubi-e-taqadir bhi tha
tu mujhe bhool gaya ho to pata batala dun
kabhi fitarak mein tere koi nakhchir bhi tha
qaid mein hai tere vahashi ko wohi zulf ke yaad
han kuch ek ranj-e-garanbari-e-zanjir bhi tha
bijli kaund gai aankhon ke aage, to kya
baat karate, ke main lab tashna-e-taqarir bhi tha
yusuf us ko kahun aur kuch na kahe, khair hui
gar bigag baithe to main layaq-e-ta’zir bhi tha
dekh kar gair ko q ho na kaleja thanda
nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha
peshe mein aib nahin, rakhiye na farhad ko naam
hum hi aashufta-saron mein wo jawan ‘meer’ bhi tha
hum the marane ko khade pas na aaya na sahi
aakhir us shaukh ke tarakash mein koi tir bhi tha
pakade jate hain farishton ke likhe par nahak
aadmi koi hamara dam-e-taharir bhi tha
rekhta ke tumhin ustad nahi ho “ghalib”
kahate hain agale zamane mein koi ‘mir’ bhi tha


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib




Wada Karo Jo Nibha Sako

Wada na karo agar tum nibha na sako,
Chaho na usko jise tum pa na sako,
Dost to duniya me bahot hote hai,
Par ek khas rakho jiske bina tum muskura na sako.

Tuesday, August 5, 2008

Amal Se Zindagi

Amal Se Zindaagi Banti Hai Jannat Bhi Jahanum Bhi
Ye Khaki Apni Feetrat Mai Na Noori Hai Na Nari Hai

ishq e kayinaat main

main ishq e kayinaat main zanjeer ho sakoo………..
mujh ko hasar e zaat k shar se rihayi dy………..


Submitted By: kashaf

Tujhe Khawabon Me Aksar Log Mujhse Cheen Lete

Tujhe Khawabon Me Aksar Log Mujhse Cheen Lete Hain

Tujhe Wasta Muhabbat Ka Mujhe Sone Na Dia Kar...

Tujhe Khawabon Me

Humko Aata Hi Nahin…

Humko Aata Hi Nahin Zakhmon Ki Numaish Karna
Khud Hi Rote Hain, Tarapte Hain, Sojaate Hain

Mobile Me Kuch Songs

Pathan : Mobile Me Kuch songs Load Krwane Hein…
Dukandar : Memory Card Hy?
Pathan : Shanaakhti Card hai Memory card to abhi nahi banwaya…

Zindagi ke safar mein

Beet gaye hain kitney din,
Jab tum ney ye mujhsey kaha tha
Zindagi kay safar mein mera hath thamon ge
Or merey hathon par tum ney,
Ek wo lamha chor dia tha,
Wo lamha jo an dekhi zanjeer ki sorat,
Rooh sey lipta dil me utra,
Khoon me tayr gaya,
Aj usi lamhey ko thamey,
Khari hoi hun Raha par.


Suno Jaana.!
Ab lout aaaaoo naaaa, Ab lout aaao naa :(

Monday, August 4, 2008

Talakh Itni Thi K Peeny Se Zubaan Jalti

Talakh Itni Thi K Peeny Se Zubaan Jalti Thi

Zindagi Aankh K Paani Me Mila Li Mene...

Talakh Itni Thi

Punjabi Shayri in Punjabi Language

ਦਿੱਲ ਦੇ ਰਿਸ਼ਤੇ ਟੁੱਟਦੇ, ਡੂੰਗੇ ਜ਼ਖਮ ਲਗਾ ਜਾਂਦੇ…
ਪੀੜ ਸਹਿਣ ਦੀ ਉਸਤਤ ਹੌਲੀ ਹੌਲੀ ਆਉਂਦੀ ਏ…


ਤੱਕਣਾ ਛੱਡਿਆ ਤੈਨੂੰ, ਵੇਖੀਂ ਭੁਲ ਵੀ ਜਾਵਾਂਗੇ…
ਜਾਨ ਨਿਕੱਲਦੀ ਆਖਿਰ ਥੋੜਾ ਚਿਰ ਤਾਂ ਲਾਉਂਦੀ ਏ…


ਦਿੱਲ ਵਿੱਚ ਰਹਿੰਦੇ, ਦਿੱਲ ਚੋਂ ਇਕ ਦਮ ਕੱਢਣੇ ਸੌਖੇ ਨੀ…
ਸੱਜਣ ਹੁੰਦੇ ਨਸ਼ੇਆ ਵਰਗੇ ਛੱਡਣੇ ਸੌਖੇ ਨੀ…


ਖੂਨ ‘ਚ ਰਚਿਆ ਤੋਂ, ਜਦ ਵੱਖਰੇ ਹੋਣਾ ਪੈ ਜਾਂਦਾ…
ਓਹਿਓ ਸਕਦਾ ਜਾਣ ਘੜੀ ਏ ਜਿਸ ਦੀ ਆਉਂਦੀ ਏ…


ਗੁਜ਼ਰ ਜਾਣੀ ਏ ਲਗਦੀ ਏ, ਤੂੰ ਗੁਜ਼ਰੇ ਕਲ ਜਿਹੀ
ਸੀਨੇ ਦੇ ਵਿੱਚ ਸਦਾ ਰੜਕਣੇ ਵਾਲੀ ਗੱਲ ਜਿਹੀ….


ਗੱਪ ਜਿਹੀ ਲੱਗਦੀ ਏ, ਜੇ ਕਰ ਮੈਨੂੰ ਕੋਈ ਕਹੇ
ਨੀਲੀਆਂ ਅੱਖਾਂ ਵਾਲੀ ਤੈਨੂੰ ਅਜੇ ਵੀ ਚਾਹੁੰਦੀ ਏ….

Vaada Kar baithe

Hum Toh Uski Har Khwahish Poori Karne Ka Vaada Kar Baithe


Humein Kya Pata Tha, Ke Humein Chhodna Bhi Uski Ek Khwahish Hai.

People In Life

There will always be


people in life who treat


you wrong.


Be sure you thank them for making


you srong.

Sunday, August 3, 2008

Safar Mein Humsafar

“SAQI Chalo Mushkil Sahi Lekin Guzara Kr Liya Jaye,,
Bhula Kr Us Ko Bas Jeenay Ka Chara Kr Liya Jaye..
:
Kitaab-E-Ishq Mein Aisa Nahi Quliya Jisay Parrh Kr,,
Teri Mehfil Mein Dushman Ko Gawara Kr Liya Jaye..
:
Andheri Raat Mein Tanha Safar Krna Nahi Acha,,
Safar Mein Humsafar Koi Dobara Kr Liya Jaye..
:
Musalsal Ghum Uthanay Se Yehi Behtar Hai Agar Samjho,,
Kinara Karne Walon Se Kinara Kr Liya Jaye….

Happy Parents Day

The Best Dad Who Always Had A Smile 4 Me.


Though We May B Far Apart Right Now,


Bt Heres A Big Hug And Kiss 4 U


To Let U Know How Special U R


Happy Parents Day !

Imam Ghazali


Log tung-dasti se jtna darty hain
agar dozakh se dare’n tou dono’ se bach jaye’n


Maal se jtni mohabbat karty hain
agar jannat se kare’n tou dono’ pa le’n”


Imam Ghazali

Roz Khawabon K Jazeeron Me Nikal Jata

Roz Khawabon K Jazeeron Me Nikal Jata Hun

Tujh Se Milne Ki Nayi Raah Nikali Mene...

Roz Khawabon K

Aankhon Main Abhi Tak Lali

Aankhon Main Abhi Tak Lali
Lagta Hai Tu Aj Bhi Usi Ka Hai...

Submitted By: Arman Rajput

Aankhon Main Abhi

Saturday, August 2, 2008

Nadan Nargis

Bachpan me jb me Ksi parosi k ghr jati To dupata lena


Kbi Na bhulti ALBATTA Kbi kbi Wpsi pr Shlwar Pehenna Bhool Jati thi


William NargisKitab: NADAN NARGIS

Is waqt to yun lagata hai ab kuch bhi nahi hai – Faiz Ahmed Faiz



is waqt to yun lagata hai ab kuch bhi nahi hai
mahatab na suraj na andhera na savera
aankhon ke dariche mein kisi husn ke jhalakan
aur dil ke panahon mein kisi dard ka dera
mumkin hai koi vaham ho mumkin hai suna ho
galiyon mein kisi chap ka ek aakhiri phera
shakhon mein khayalon ke ghane ped ke shayad
ab aake karega na koi khwab basera
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana ki ye sun-san ghadi sakht badi hai
lekin mere dil ye to faqat ek ghadi hai
himmat karo jine ko abhi umr padi hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Happy Children Day 2012

There r some things, many cnt buy,


1 of such thing is our childhood, enjoy de spirit of childrens day…


Happy Childrens Day!

Wo Bare Zabt Bare Hosle Wala

Wo Bare Zabt, Bare Hosle Wala Banda

Jab Teri Yaad Se Larta Hai To Ro Parta Hai...

Wo Bare Zabt

Friday, August 1, 2008

Handsome Dog on River Side

A handsome dog said to a beautiful female dog on a candle light dinner,


near a romantic river side in open moon light.. . .


“BHOW BHOW BHOW BHOW”.


tou aur kya kutty ne ghazal kehni thi 😀 😛 😉

What is Light

What is Light.?
.
.
Light is daughter of WAPDA & she is extremely loose character.
.
.
She doesn’t tell anyone & goes anytime anywhere even at midnight.:D

Teri tarif karte hain to isamen kya burai hai – Saeed Rahi



Teri tarif karte hain to isamen kya burai hai
khuda ne apne hathon se teri surat banai hai
hazaron ke tarah sun le teri rusavai ke dar se
teru tasvir hum ne kitabon mein chupai hai
teri masum surat ke yahi tarif hai sun le
zaban pe hai yahi sab ke khudai hai khudai hai
marz ye ishq ka aisa laga ki phir nahi chuta
dua bhi hum ne ke “rahi” dawa bhi aazamai hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi