Saturday, August 2, 2008

Is waqt to yun lagata hai ab kuch bhi nahi hai – Faiz Ahmed Faiz



is waqt to yun lagata hai ab kuch bhi nahi hai
mahatab na suraj na andhera na savera
aankhon ke dariche mein kisi husn ke jhalakan
aur dil ke panahon mein kisi dard ka dera
mumkin hai koi vaham ho mumkin hai suna ho
galiyon mein kisi chap ka ek aakhiri phera
shakhon mein khayalon ke ghane ped ke shayad
ab aake karega na koi khwab basera
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana ki ye sun-san ghadi sakht badi hai
lekin mere dil ye to faqat ek ghadi hai
himmat karo jine ko abhi umr padi hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment