Wednesday, August 20, 2008

Ankhon Mein Samandar Ko Samette



Har Baar Hosla Karte Hain,Phir Khud Hi Toot Jate Hain
Is Dil Ko Khud Hi Samjha Kar , Is Dil Se Har Jate Hain


Phir Se Ret Ko Muthi Mein Pakad Ka R ,Phisalta Pate Hain
Ankhon Mein Samandar Ko Samette Samette , Chalkta Pate Hain


Har Baar Kuch Chah Kar , Woh Khud Hi Kar Jaate Hain
Intezar Karvate Karvate , Khud Hi Intezar Karta Pate Hain


Na Jane Kyun Is Dil Ko , Samjha Hi Nahi Pate Hain
Apne Aap Khud Ko Mana Hi Nahin Pate Hain


Woh Kya Samjhenge Jasbaat Jinhe ‘Ehsaas’ Hi Nahi
Na Jane Kyun Har Baar Kuch Aise Hi Dost Bana Jate Hain



No comments:

Post a Comment