Wednesday, August 20, 2008

Jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya – Meer Taqi Meer



jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya
us ke divar ka sar se mere saya na gaya
dil ke tain aatish-e-hijran se bachaya na gaya
ghar jala samane par hum se bujhaya na gaya
kya tunak hausla the dida-o-dil apne aah
ek dam raz mohabbat ka chupaya na gaya
dil jo didar ka qayel ke bahot bhuka tha
is sitam-kushta se yak zakhm bhi khaya na gaya
shahar-e-dil aah ajab jaye thi par uske gaye
aisa ujada ki kisi tarah basaya na gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment