Friday, October 31, 2014

Agar Dil Haar Bethe Ho, Mere Humdum - Sad Love Poetry

Roman Urdu

Agar Dil Haar Bethe Ho.. Mere Hamdum Mohabbat Mein,
Fana Kesi? Baqa Kesi? Saza Kesi? Jaza Kesi......??

Urdu

,اگر دل ہار بیٹھے ہو...میرے ہمدم محبت میں 
فنا کیسی؟ بقا کیسی؟  سزا کیسی؟ جزا کیسی؟ 


A Break Before The Flower Blooms




A Break Before The Flower Blooms


Petals Vibration Wet With Dew



Natures Tears As The Effective Begins.


I Guess Every One Of Us



Is Just Hoping To Turn Out To Be One


Of Those Forgotten Little Chosen Ones, Right



Man, You Know About Spells


There Are So Many



Reaching The Sun Warms Embracing Delicate Stems


Drawing Its Beauty From Within.



She Sighs At The Sight


Captivated By The Moment,



A Pause Before The Flower Blooms.


And Life Would Pay No More



A Breath Held Before The Kiss


Of Ecstasy Arrives.



Wilfred John





Itni Hai Sirf Meri Mohabbat Ki Dastan - 2 Line Poetry

Urdu 2 Line Sad Poetry

Itni Hai Sirf Meri Mohabbat Ki Dastan,
Ik Shakhs Tha Jo Zakham-e-Shanasai Day Gaya...!!!
Zakham-e-Shanaasai = Wound of Familiarity

THE ANGRY MOMENT IN EXAMS

THE ANGRY MOMENT!


when u tell ur friend a sentence during exam and…


she says:nhi yar ye nhi tha and u are like, dafa ho khud he kr phr :p 😀

Thursday, October 30, 2014

Jo Mar Chuky Hain Kisi Aur Par

Jo Mar Chuky Hain Kisi Aur Par
Hum Zinda Un K Liye Hain...

Submitted By: Ali

Mar Khao Ghar Wali Say

Dosti karo college wali se,
pyar karo office wali se,
programe karo pados wali se,
ankh ladao sali se,
love karo dilwali se,
aur mar khao ghar wali say:p.

Wednesday, October 29, 2014

TIBB-E-NABWI (S.A.W.W)

TIBB-E-NABWI (S.A.W.W)


Jo Log Khany Se Pehly
Thora Namak Chakh Len
Wo Log 30 Qism Ki Bimarion se Mhfuz Rehte hn.


Khajur Ko Nashty Me istemal Kro Ta k Tmhare Andruni Jrasim ka Khatma Hojye.


Gham Ka Shikar Hoto Kheer Kha lya kro.


Zukam Se Mt Gabrao
Ye Tmhen Junon Se Mhfoz
Rkhta Ha.


Kalonji Me Mot K Swa hr Bemari ka elaj ha.


Aankh ka dukhna Andhy Hony se Mhfuz rkhta hy.


Khansi k hony se falij se hfazt rhti hy


Ek bar darud shareef par k apne doston ko is tohfy se zaroor nawazain.

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Me Aa Jati Hai

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Me Aa Jati Hai
Maa Dua Karti Hui Khawab Me Aa Jati Hai...

Jab Bhi Kashti

Tuesday, October 28, 2014

Selective in Sharing Your Problems

Be selective in sharing your problems with others..


because only few are really concerned,


others are just interested.

Monday, October 27, 2014

Hum Se Bewafai Ki Intiha Kya Puchte Ho

Hum Se Bewafai Ki Intiha Kya Puchte Ho

Wo Hum Se Pyar Sekhta Raha Kisi Aur K Liye...

Hum Se Bewafai

India aur Pakistan k Border per khara

1 Bakra India aur Pakistan k Border per khara Hy


Paani India Se peeta hy aur
Ghaas Pakistan Se khata Hy


Doodh pe Kis Mulk ka haq Hy?


Reply If you Intelligent.

Sunday, October 26, 2014

Likh Kar Mera Naam Zameen Par Mita Dia

Likh Kar Mera Naam Zameen Par Mita Dia

Uska Tha Faqat Khail Khaak Me Mujh Ko Mila Dia...

Likh Kar Mera Naam

Taras Taras k

*~Taras Taras k Barastay hain
Meray Aansu Roz Is Waqt ,DOST,


K Aaj Ek Or SoOraj Dhal gaya
Rab ki na’farmani Karty Karty.!!

Meezan e Mohabbat

Mreezan-e-Mohabbat Ko Faqat Deedaar Kafi Hy,
Hazaaron Tibb K Nuskh0n Sy Nigah-e-Yaar hay behtar.

Saturday, October 25, 2014

Tujhe Barbaad Kar Dun Gi Abhi Bhi Lout

Tujhe Barbaad Kar Dun Gi, Abhi Bhi Lout Jaa Waapis

Mujhe Qaatil Bhi Kehte Hain Muhabbat Naam Hai Mera...

Tujhe Barbaad Kar

New Is The Year

New is the year,
New is the year, new are the hopes and the aspirations, new is the resolution, new are the spirits and forever my warm wishes are for u.Have a promising and fulfilling new year.

Kaam Aa Sakin Na Apni Wafaen To Kya

Kaam Aa Sakin Na Apni Wafaen To Kya Karen
Us Bewafa Ko Bhool Na Jaen To Kya Karen...

Kaam Aa Sakin

Hmari 1 Shrarat ko Tarsenge

Jis Din Band krli Hum Ne Aankhen,


Us Din Un Aankho Se Aansu Brsenge,


Jo kehte Hain k Boht Tang krte Hain Hum,


Wohi Hmari 1 Shrarat ko Tarsenge..!

Tujhi se ibtada hai tu hi ik din intaha hoga – Jigar Moradabadi



Tujhi se ibtada hai tu hi ik din intaha hoga
sada-e-saz hogi aur na saz-e-besada hoga
hamen malum hai hum se suno mahashar mein kya hoga
sab us ko dekhte honge wo hamako dekhata hoga
sar-e-mahashar hum aise aasiyon ka aur kya hoga
dar-e-jannat na va hoga dar-e-rahamat to va hoga
jahannum ho ki jannat jo bhi hoga faisala hoga
ye kya kam hai hamara aur us ka samana hoga
nigah-e-qahar par hi jan-o-dil sab khoye baitha hai
nigah-e-mehar aashiq par agar hogi to kya hoga
ye mana bhej dega hum ko mahashar se jahannum mein
magar jo dil pe guzaregi wo dil hi janata hoga
samajhata kya hai tu divanagana-e-ishq ko zahid
ye ho jayenge jis janib usi janib khuda hoga
“jigar” ka hath hoga hashr mein aur daman-e-hazarat
shikayat ho ki shikwa jo bhi hoga baramala hoga


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Friday, October 24, 2014

Its A Challenge

Question:
4___4___4___4 = 20
Use +, -, /, * To Solve It.
It’s A Challenge…
Reply The Answer.

Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue Habib

Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue Habib

Hum Behtareen Din Bhi Ganwaty Chale Gaye...

Behtar Dinon Ki

Thursday, October 23, 2014

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daman Tham Le

Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,
jitna bhulna chahe tum utna yaad aaye,


Gujre zamane sangdil dekhi n teri surat,
dil ko tere sata rahe hai, tere pyar ki jarurat,


Haye aake yaad teri meri neend ruth jaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,


Tune kadar n jana, anmol chahto ka,
khaya hai maine dhoka, tujhse mohabbat ka,


Allah kare ye dhoka tu bhi kisi se khaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,


Mere dil mein reh gaye hai arman machal machal kar,
kushiyo ke saare sama ashqo mein reh gaye hai,


Aane a waaada karke tum laut ke n aaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,


Aye farkato tumhara, majar kuch nirala,
dekar lahu jigar ka ye rog maine pala,


‘saadik’ jo ho n aisa, koi rog n lagaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,

Aansuon ke jahan payamali rahi – Bashir Badr



aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr



Main Pyaas Ka Sehra Houn

Maqrooz K Bigrre Hue HALAAT Ki Manind


Majboor K Honton Pe SAWALAAT Ki Manind


DiL Ka Teri Chahat Mein Ajab HaaL Hua Hai


Sailaab Se Barbaad MAKKANAT Ki Manind


Main Un Mein Bhatkey Hue Jugnu Ki Tarha Hun


Us Shakhs Ki Ankhen Hein RAAT Ki Manind


Dil Roz Sajata Hun Main Dulhan Ki Tarha Se


Ghum Roz Chale Aate Hein BARAAT Ki Manind


Ab Ye Bi Nahi Yad K Kya NAAM Tha Us Ka


Jis Shakhs Ko Manga Tha MANAJAT Ki Manind


KiS Darja Muqaddas Hai Tere QURAB Ki Khawahish


Masoom Se Bache K KHAYALAT Ki Manind


Us Shakhs Se Milna Mera Mumkin Hi Nahi Hei


Main Pyaas Ka Sehra Houn
Wo BARSAAT Ki Manind…!.


Submit By: Muhammad Younus (03337723144)

Jo Zabaan Se Bayan Nahi Hote

Jo Zabaan Se Bayan Nahi Hote
Unhi Lafzon Se Ashq Bante Hain...

Jo Zabaan Se

Yaad say Dekho Nikalty ja

Humein likh kar kisi lamhey main kaheen mehfuz kar lo tum…


Tumhari yaad say dekho nikalty ja rahay hein hum.!!

Wednesday, October 22, 2014

Anaon Nafraton Khud Garziyon K Thehre

Anaon Nafraton Khud Garziyon K Thehre Pani Me

Muhabbat Gholne Wale Bare Darvesh Hote Hain...

Anaon Nafraton Khud

Kya faida aisi ladki se pyaar karke

Faqat Ik Tum Mare hote Mara Sara jahan hota


Mari janat Mari Dunya Mara ye ashyan hota


Bhatkta Yun na phirta ma akela gum ki Dunya ma


Koi manzil Mari hoti Koi namonisha hota


Mjy ab yad ati Han Tari chaht bhari baty


Mari zindgi sawar Jati agr to Mahrba hota


Content no
03016088438
03416088438

Tuesday, October 21, 2014

Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna

Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna,
Apne Badle Hue Lehje Ki Wazahat Karna

Tum To Chahat Ka Shahkaar Hua Karte The
Kis Se Seekha Hai Ye Ulfat Mein Milawat Karna

Ham Sazaaon Ke Haqdaar Bane Hain Kab Se??
Tum Hi Keh Do Kia Jurm Hai Mohabbat Karna??

Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain
Kabhi Aana Mere Ashkoon Ki Ziyarat Karna

Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan
Dekh Bhooley Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna….

sad girl

Asmaan Se Chand Utray



Humara DIL Saweeray Ka Sunehra Jaam Ho Jaye
Chiraghon Ki Tarah Ankhein Jalein Aur Shaam Ho Jaye


Kabhie Tow Asmaan Se Chand Utray Jaam Ho Jaye
Tumharay Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye


Ajab Halaat Thay Yun Dil Ka Soda Ho Geya Akhir
Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye


Sumandar K Safar Mein Iss Tarah Awaz De Hum Ko
Hawayen Teez Hon Aur Kashtiyun Mein Shaam Ho Jaye


Mujhay Maloom Hai Usska Thikana Phir Kahan Ho Ga
Parinda Asmaan Choonay Mein Jab Nakaam Ho Jaye


Ujalay Apni Yaadon K Humaray Sath Rehnay Do
Najanay Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye



Sunday, October 19, 2014

rahi hai dad talab unaki shokhiyan hum se- Nisar Akhtar



rahi hai dad talab unaki shokhiyan hum se
ada shanas to bahut hain magar kahan hum se
suna diye the kabhi kuch galat-salat qisse
wo aj tak hain usi tarah badaguman hum se
ye kunj q na ziarat gahe muhabbat ho
mile the wo inhin pedon ke darmiyan hum se
hamin ko fursat-e-nazzaragi nahi varana
ishare aj bhi karati hain khidakiyan hum se
har ek raat nashe mein tere badan ka khayal
na jane toot gai kai surahiyan hum se


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Jan Nisar Akhtar



14 August Jashn E Azadi Mubarak



Jis Desh Ke Koochey Koochey Mein
Aflus Awara Phirta Ho


Jo Dhaarti Bhouk Uglti Ho
Dukh Dard Faluk Sy Girta Ho


Jahan Bhokey Nangey Bachey Bi
Aahun Pe Paaley Jatey Hoon


Jahan Sachai Keh Mujrim Bi
Zindan Mein Daley Jatey Hoon


Jahan Majborun Ke Khoon Sy Apne
Paap Bi Dhoye Jatey Hoon


Uss Desh Ki Matti Barsoon Sy Ess
Desh Ke Be Hiss Logon Ko


Azadi Mubarak Kehti Hay
Azadi Mubarak Kehti Hay.!!



Saturday, October 18, 2014

Tarteeb Se Rakhe Hain Khawabon K Janazy

Tarteeb Se Rakhe Hain Khawabon K Janazy
Aa Dekh Le Tera Koi Pyara To Nahi Hai...

Submitted By: Ameer Hamza

Azadi Ka Din

Bubbli ko 14 August wale din
Us k papa ne date pr pakar lya


Major Rohail-
Beshrm khulam khula ya kya
Kr rhi ho?


Bubbli-
Papa plz tng na kro,
Aaj AZADI ka din hy


From: Asma Zafar

Gawah Milta Hai Is Ka Na Laash

Gawah Milta Hai Is Ka Na Laash Milti Hai
Log Isi Liye "Ehsas" Qatal Karte Hain...

Gawah Milta Hai

Mile Ga Kya Dilon Me Nafratain Rakh Kar

Mile Ga Kya Dilon Me Nafratain Rakh Kar

Bari Mukhtasar Si Hai Zindagi Muskura K Mila Karo...

Mile Ga Kya Dilon

Kahin Sy Tera Saath Ley Aaon - Sad Poetry

Kahin Sy Tera Saath Ley Aaon
Wisal Ki Chand Raat Ley Aaon
Beth Jaon Kisi Doorahey Par
Maang Kar Tera Haath Ley Aaon
Kitni Sadiyon Key Baad Boloon Mein
Lab Pe Aik Teri Hi Baat Ley Aaon
Apni Aankhon Ki Band Galiyon Sy
Aansuon Ki Baaraat Ley Aaon
Itni Pooja Karon Ke Mein Aik Din
Apni Zaat Mein Teri Zaat Ley Aaon…!

Mohabbat-Love-Dard-Poetry
By: Laiba Kanwal

Friday, October 17, 2014

Rab rab karde budhe ho gaye - Bulleh Shah Poetry


Rab rab karde budhe ho gaye, Mulla Pandat saray,
Rab da khooj khurra na Lubha, Sajde kar kar haare,
Rab te tere andar wasda. Wich Qur'aan ishaare,
'Bulleh Shah'! Rab unho milsi jhehra apne Nafs nu mare..

By: Bulleh Shah

Barabar se bachakar guzar jane wale – Jigar Moradabadi



Barabar se bachakar guzar jane wale
ye nale nahi be-asar jane wale


muhabbat mein hum to jiye hain jiyenge
wo honge koi aur mar jane wale


mere dil ke betabiyan bhi liye ja
dabe paon munh pher ke jane wale


nahi janate kuch ki jana kahan hai
chale ja rahe hain magar jane wale


tere ik ishare pe sakit khade hain
nahi kah ke sab se guzar jane wale



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Ab Bhi

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Ab Bhi Had-E-Intihaa Tak,
Mujhe Bayaan Karna Nahi Ata Aur Samjhna Tumhare Bus Ki Bat Nahi...

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Ab Bhi Had-E-Intihaa Tak

Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi – Qadeer



Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi
hai ashk aankhon mein aur muskura rha hai koi
nazar nazar mein tajalli dikha raha hai koi
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa raha hai koi
takhayulat ke dhoke hain sab shab-e-vada
na aa raha hai koi aur na ja raha hai koi
ye husn-o-ishq ke tasvir ke hain do manzar
ki ro raha hai koi muskura raha hai koi
“qadeer” hashr mein pahunche to hum ne kya dekha
kisi ke hath se daman chuda raha hai koi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qadeer



Wednesday, October 15, 2014

Sulagta Jism

Kya aapki girl friend ke paas yeh sab hai..?


Sulagta Jism
Nashili Aankhen
Kapkapate Honth
Thartharata Badan
Agar hai


To usko
DENGI VIRUS hai.


TAKE CARE.

Tuesday, October 14, 2014

I Always Think About U

I always think about U.
I cant live without U.
I really need U.
I am totally mad about U.
I just wanna be with U.
I am crazy 4 U.
I wanna marry U.
I LOVE U.
U = Ur friend (Uroosa)

Monday, October 13, 2014

Koi Pal Aisa Nahi K Jis Me Tu Yaad Na Aya

Koi Pal Aisa Nahi K Jis Me Tu Yaad Na Aya Ho

Sach Kahun To Meri Har Sans Ghulam Hai Teri...

Koi Pal Aisa Nahi

Sunday, October 12, 2014

Tare Ankhun Ka Haseen Jaal Mai Aa Jaon Ga Mai



sad poetry


Tare Ankhun Ka Haseen Jaal Mai Aa Jaon Ga Mai


Muj Ko Lagta Hai Teri Chaal Mai Aa Jaon Ga Mai



Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin


Ye Na Socha Tha K Is Haal Mai Aa Jao Ga Mai



Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya


Ik Din Us K Khadokhaal Mai Aa Jao Ga Mai



Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey


Tum To Kehte They K Ik Saal Mai Aa Jaon Ga Mai



Sur Mai Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se


Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.



Bari Masoom Si Apnaaiyat Thi

Bari Masoom Si Apnaaiyat Thi
Wo Mujhse Roz Jab Milta Nahi Tha...

Bari Masoom Si

Subah ki shayari



Subah ki khilti laali tere chehre ki raunak hai


phool par Oons ki bunde labo ki sabnam hai


neela aasman tera sokh lahrata aanchal hai


kali ghata hai ya teri ghani Julfo ke badal hai


andheri raat ke saye teri ankho ka kajal hai


bhauro ki gunjan yeh teri khanakti payal hai


kya kare shayari kya sher kahe Aadin tujh par


Jo phoonte tere hoto se har lafj ek ghajal hai.




kale kale badal jab chayenge, tab ham tumko yaad aayenge


bhanware jab gungunayenge, tab ham tumko yaad aayenge


jab baharo ke mausam aayenge, tab ham tumko yaad aayenge


jab jab baago me phool khilenge, tab hum tumko yaad aayenge


jab dhadkan tej tumhari hogi, tab ham tumko yaad aayenge


jab aankhe band karoge tum, khwabo me bhi ham aayenge




~Meri har subha ki ibadat wo hai~


Meri Har Subah Ki Ibtada Wo Hai !!
Meri Har Raat Ki Inteha Wo Hai !!


Mera Marz Na Koi Samjh Saka !!
Mere Har Zakham ki Dawa Wo Hai !!


Jab Bhi Haath Uthaye KHUDA Ki Janib !!
Baad_e_Hamd_o_Sana Meri Dua Wo Hai !!


Share with us more Subah ki shayari .in comments section below.



Saturday, October 11, 2014

Hum Ne Her Dukh Ko Muhabbat Ki Anaayat

Hum Ne Her Dukh Ko Muhabbat Ki Anaayat Samjha,
Hum Koi Tum The K Tum Se Shikayat Karte...

Hum Ne Her Dukh Ko Muhabbat

Aj Phir Din Bhar Kuch Qatray Palkon Me

Aj Phir Din Bhar Kuch Qatray Palkon Me Rahenge
Raat Phir Usy Khawab Me Bicharta Hua Dekha...

Aj Phir Din Bhar

Friday, October 10, 2014

Roshni Meri Bohat Door Tak Jaegi

Roshni Meri Bohat Door Tak Jaegi
Shart Ye Hai K Saleeqe Se Jalao Mujh Ko...

Roshni Meri Bohat

Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain



Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga
Tu Mila Hai To Ehsaas Hua Hai Mujhko
Ye Meri Umr Mohabbat Ke Liye Thodi Hai
Ik Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai Jispar
Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi Hai
Tujhpe Ho Jaaoonga Qurbaan Tujhe Chaoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga
Apne Jazbaat Mein Nagmaat Rachaane Ke Liye
Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe
Main Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon
Maine Kimsat Ki Lakiron Se Churaaya Hai Tujhe
Pyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe Chahoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga



Thursday, October 9, 2014

Musafir shayari urdu



Hoga Musafir Jo Jahan Me Aayega
Safar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega…..


Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir Bohut
Koi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega…..


Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar Saare
Jism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega….


Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun Se
Zyada Se Zyada Haar-E-Gul Pehnaya Jayega…


Ek Hi Baat Hai Sachi Har Damm
Ruhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega…..




kis rah nikal jaon kuch kah nahi sakta


be_naam meri manzil be_naam thikana hay


kis dar pay main ruk jaon. kuch keh nahi sakta


iss paar to roshan hay sara mera rasta


us paar andhera ho kuch keh nahi sakta


tinkay ki tarah main bhi beh jaon


samandar main mil jaye ga kinara kuch keh nahi sakta


mil jaye gi tabeer mery khawaboon ki aik din


ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta


Share with us more Musafir shayari urdu in Comments Section below.




Shab e Qadar 2011

” Shab e qadar mubarik ” ..
Pakistan, muslamaan aur tamam logo k liye zarur dua ki jiye ga..
ALLAH humari ummat, mulk aur logo pr reham keray aur humain khud bhi iss chiz ka ehsaas jagaye k hum bhi apni halat badalnay k liye kaam kewrain..aameen..

Chalo Ye Zindagi Ab Ham Tumhare Naam - 2 line poetry

Urdu Best Poetry

Roman Urdu

Chalo Ye Zindagi Ab Ham Tumhare Naam Karte Hain,

Suna Hai Be-Wafa Ki Be-Wafa Se Khoob Banti Hai…!

Urdu

چلو یہ زندگی اب ہم تمہارے نام کرتے ہیں
سنا ہے بے وفا کی بے وفا سے خوب بنتی ہے

 

Wednesday, October 8, 2014

Mushkilen Zameeni Thi Mas'aly Zamani The

Mushkilen Zameeni Thi, Mas'aly Zamani The
Aur Jo Saheefy The, Sary Asmani The...

Mushkilen Zameeni Thi

When Is Navaratri in 2015



Navaratri in 2015 will start on Wednesday, the 28th of September and will continue for 9 days until Thursday, the 6th of October.


The Navratri commences on the first day (pratipada) of the bright fortnight of the lunar month of Ashwin. The festival is celebrated for nine nights once every year during the beginning of October, although as the dates of the festival are determined according to the lunar calendar, the festival may be held for a day more or a day less.



Tuesday, October 7, 2014

Kasmein Na Khao Tum



Kasmein Na Khao Tum K Humein Aitbaar Hai
Hum Jantay Hain Khoob Tumhain Hum Se Piyaar Hai


Ek Pal Ko Bhi Sakoon Muyasir Nahi Mujhay
Dil Badhawas Hai Tow Nazar Bayqaraar Hai


Woh Baat Jo Kissi Se Kahi Bhi Nahi Kabhie
Woh Baat Kuch Dinoon Se Meray Dil Pe Baar Hai


Sach K Siwa Zubaan Se Kabhie Kuch Nahi Kaha
Shayad Issi Liye Tow Muqaddar Main Daar Hai


Usman Uss Se Haal E Ghum Dil Main Kiya Kahon
Yeh Baat Bhi Tow Uss Ko Bohat Nagawaar Hai


(Usman Badaiwani)



Silsila Pyar Ka Aghosh Dar Aghosh Bhi Hai

Silsila Pyar Ka Aghosh Dar Aghosh Bhi Hai

Mojza Ye Hai K Thora Sa Mujhe Hosh Bhi Hai

Meri Takhleeq Mere Jurm Ki Tazeer Sahi

Zindagi Ghor To Kar Is Me Tera Dosh Bhi Hai

Be-Jhijak Peeta Chala Jaye Magr Faash Na Ho

May-Kasho Tum Me Koi Aisa Bala-Nosh Bhi Hai

Wo Jo Cheekha Hai Mimbar Pe Zara Si Pi Kar

Uski Taqdeer Me Jiddat Hi Nahi Josh Bhi Hai

Aa Gham-e-Zeest Tujhe May Se Gulabi Kar Dun

Rang Bhi Faq Hai Tera Aj Tu Khamosh Bhi Hai

Chand Ehbaab Mujhe Yaad Rahenge

Un Me Shamil Wo Mera Zood Faramosh Bhi Hai...

Silsila Pyar Ka

Her Koi Ro K Dikhaye Ye Zaruri To Nahi

Her Koi Ro K Dikhaye Ye Zaruri To Nahi
Khushk Ankhon Me Bhi Sailaab Hua Karte Hain...

Her Koi Ro K

Hum Intizar Karenge Tera Qayamat Tak

Hum Intizar Karenge Tera Qayamat Tak

Khuda Kare K Qayamat Ho Aur Tu Aaye...

Hum Intizar Karenge

Itni Kashish To Ho Nigah-e-Shoq Me

Itni Kashish To Ho Nigah-e-Shoq Me SAQI

Idhar Dil Me Khayal Aye Udher Wo Be-Qarar Ho Jaen...

Itni Kashish To

Monday, October 6, 2014

Meri Tarah Hota Agar Khud Par Zara Bharosa



Meri Tarah Hota Agar Khud Par Zara Bharosa


Toh Kuch Door Tum Bhi Saath Saath Aate


Rang Meri Aankhon Ka Baantte Zara Sa


Toh Kuch Door Tum Bhi Saath Saath Aate


Nasha Aasman Ka Joh Choomta Tumhe


Hasratein Tumhari Naya Janam Paati


Khud Doosre Janam Mein Meri Udaan Chhoone


Kuch Door Tum Bhi Saath Saath Aate




Khamoshi kah rahi hai kan mein kya – Jaun Eliya



Khamoshi kah rahi hai kan mein kya
aa raha hai mere guman mein kya


ab mujhe koi tokata bhi nahi
yahi hota hai khanadan mein kya
bolate kyon nahi mere haq mein
aabale par gaye zuban mein kya


meri har baat be-asar hi rahi
nuqs hai kuch mere bayan mein kya


wo mile to ye puchana hai mujhe
abhi hun main teri aman mein kya


sham hi se dukan-e-did hai band
nahi nukasan tak dukan mein kya
yun jo takata hai aasaman ko tu
koi rehta hai aasaman mein kya
ye mujhe chain q nahi padta
ik hi shakhs tha jahan mein kya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jaun Eliya



Saturday, October 4, 2014

My Confession Is Life Is Worth Living




My Confession Is Life Is Not Worth Living


I Wish Everything Would All Just Disappear



I Wanna Cry And Cut My Wrist


But Like Otep Sayssuffering Will Free You



Now I Know Im Not Alone


Im Braking All By My Self Ive Got A Knife



Im Cutting Now Ive Got A Knife


But Youll Turn It Aganist Me



Im Nothing I Hold My Breath Now


Im Seeping Under Ill Say Good Bye



But I Will Always Love You My Sanity







Tere Siva..Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva…!!!



Tere Siva


Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva…!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi


Tere Siva .. Tere Siva !!



Hai Aashaqi Me Rasm Alag Sab Se Bethna

Hai Aashaqi Me Rasm Alag Sab Se Bethna,
But Khana Bhi, Haram Bhi, Kaleesa Bhi Chor Day...

Soda_Gari Nahi Yeh iBadat Khuda Ki Hai,
Aye Be_Khabar! Jaza Ki Tamanna Bhi Chor Day...

Allama Iqbal Designed Poetry

Friday, October 3, 2014

Positive Thinking

POSITIVE THINKING is not about EXPECTING the Best to Happen…


It is about ACCEPTING that whatever will happen, Is The Best…..!!


HAVE A NICE DAY

Saya E_ Deewar Na Maango

Hum Ne To Apni ZINDAGI Se Yehi Seekha…..


*SaqI*


Jal Jao Kari Dhoop Mein Khamoshi Se Lekin,


Apno Se Kabhi Saya_E_ Deewar Na Maango..!!

Har sham jalate jismon ka gadha dhuan hai shahar – Aziz Qaisi



har sham jalate jismon ka gadha dhuan hai shahar
mar-ghat kahan hai koi batao kahan hai shahar
phutapath par jo lash padi hai usi ke hai
jis ganv ko yaqin tha ki rozi-rasan hai shahar
mar jaiye to nam-o-nasab puchata nahi
murdon ke sil-sile mein bahut meharaban hai shahar
rah rah ke chikh uthate hain sannate raat ko
jangal chupe hue hain waheen par jahan hai shahar
bhuchal aate rehte hain aur tutata nahi
hum jaise muflison ke tarah sakht-jan hai shahar
lataka hua tren ke dibbon mein subah-o-sham
lagata hai apni maut ke muh mein ravani hai shahar




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aziz Qaisi



Thursday, October 2, 2014

Shahar mein dhund raha hun ke sahara de de – Rahat Indori



Shahar mein dhund raha hun ke sahara de de
koi hatim jo mere hath mein kasa de de
ped sab nange faqiron ke tarah sahame hain
kis se umeed ye ke jaye ki saya de de
waqt ke sangzani noch gai sare naqush
ab wo aaina kahan jo mera chehara de de
dushmanon ke bhi koi baat to sach ho jaye
aa mere dost kisi din mujhe dhoka de de
main bahut jald hi ghar laut ke aa jaunga
meri tanhai yahan kuch dinon pehara de de
dub jana hi muqadar hai to behatar varana
tune patavar jo chini hai to tinka de de
jis ne qataron ka bhi mohataj kiya mujh ko
wo agar josh mein aa jaye to dariya de de
tum ko “rahat” ke tabiyat ka nahi andaza
wo bikhari hai magar mango to duniya de de


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori



Jab Jeena Mushkil Ho Jaye Aur Marna Bhi

Jab Jeena Mushkil Ho Jaye Aur Marna Bhi Asaan Na Ho
Phir Hosh To Khona Parta Hai Pagal To Hona Parta Hai...

Blogger: Waqas Ali

Hindi Roman Poetry – Chaand Kehte Hain



Vo Gazal Vaalon Kaa Usluub Samajhate Honge
Chaand Kahate Hain Kise Khuub Samajhate Honge


Itanii Milatii Hai Merii Gazalon Se Suurat Terii
Log Tujhako Meraa Mahabuub Samajhate Honge


Main Samajhataa Thaa Muhabbat Kii Zabaan Khushbuu Hai
Phuul Se Log Ise Khuub Samajhate Honge


Bhuul Kar Apanaa Zamaanaa Ye Zamaane Vaale
Aaj Ke Pyaar Ko Maayuub Samajhate Honge