Thursday, October 23, 2014

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daman Tham Le

Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,
jitna bhulna chahe tum utna yaad aaye,


Gujre zamane sangdil dekhi n teri surat,
dil ko tere sata rahe hai, tere pyar ki jarurat,


Haye aake yaad teri meri neend ruth jaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,


Tune kadar n jana, anmol chahto ka,
khaya hai maine dhoka, tujhse mohabbat ka,


Allah kare ye dhoka tu bhi kisi se khaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,


Mere dil mein reh gaye hai arman machal machal kar,
kushiyo ke saare sama ashqo mein reh gaye hai,


Aane a waaada karke tum laut ke n aaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,


Aye farkato tumhara, majar kuch nirala,
dekar lahu jigar ka ye rog maine pala,


‘saadik’ jo ho n aisa, koi rog n lagaye,
Tujhe bhulna to chaha lekin bhula n paye,

No comments:

Post a Comment