Thursday, October 9, 2014

Musafir shayari urdu



Hoga Musafir Jo Jahan Me Aayega
Safar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega…..


Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir Bohut
Koi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega…..


Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar Saare
Jism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega….


Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun Se
Zyada Se Zyada Haar-E-Gul Pehnaya Jayega…


Ek Hi Baat Hai Sachi Har Damm
Ruhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega…..




kis rah nikal jaon kuch kah nahi sakta


be_naam meri manzil be_naam thikana hay


kis dar pay main ruk jaon. kuch keh nahi sakta


iss paar to roshan hay sara mera rasta


us paar andhera ho kuch keh nahi sakta


tinkay ki tarah main bhi beh jaon


samandar main mil jaye ga kinara kuch keh nahi sakta


mil jaye gi tabeer mery khawaboon ki aik din


ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta


Share with us more Musafir shayari urdu in Comments Section below.




No comments:

Post a Comment