Sunday, August 31, 2014

Pani vich Be Ke Hawa Labda Rea



Pani vich Be Ke Hawa Labda Rea
Ik Be Wafa vichun Wafa Labda Rea
Hathin Talash Kita Si Jera Pathar Da Bhoot
Us Wichun Khuda Labda Rea
Te Tar Tar Kita Jine Aapni Ruh Da Lybas
Os Nange Baadan vichu Haya Labda Rea
Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C
O Hor Kise Nu Chaunde Rae
O Hasde Rahe Begaaneya Naal
Sanu Utle Mano Bulaunde Rae
Asi Kitia Duava Piyaar Dia
Te O Daag Ishq Nu Launde Rae
O Daag Mitaaya Nai Mitde
Asi Hanjua Naal Mitaaunde Rae
O Hi Raah Vich Saanu Dob Gae
Jinu Asi Kinaare Launde Rae..!!



Apka Naam Kiya Hai

Boy: Apka Naam Kiya Hai?
Girl: Pehan K Batau Ya
Dikha Kar?
Boy: Kiya Matlab?
Girl: Payal. Our Ap Ka?
Boy: Lekar Batau ya Dekh
Kar
Girl: Matlab?
Boy: Pappi.

Me Gunah Gaar Thehra Dia Gaya Yoon Qasmen

Me Gunah Gaar Thehra Dia Gaya Yoon Qasmen Kha Kha Kar
Magar Us Ko Qasam Se Qasam Par Bhi Aitbar Na Aya...

Submitted By: Naveed Khan Raaz

Saturday, August 30, 2014

Yaar Buna Bethe

Ek jurm Hua Hai Hum se


Ek Yaar Bana Bethey Hain


Kuch Apna sa Us ko samaj kar


Sab Raaz Bata Bethey Hain


Phir Us ke Pyaar Ki Raah Mein


DIL-o-Jan Ganwa Bethey Hain


Wo Yaad Bohat AAte Hain,


Jo Hum ko Bhula Bethey Ha…!

Friday, August 29, 2014

Rasmo Riwajo Ki Jo Parwah Karte Hai

sheerazi poitry, raat hawain chali kuch lamhon ki methay mosam main,
phr yaad i whi raat bht.
CHAND chup k badal main shyd roya raat bht,
phr yaad i whi raat bht.
ghamon ki sugat main ambar barsa rat bht,
phr yaad i whi raat bht.
barish k qatry moti bany,ye ansu ban k ankhon se barsy bht,phr yaad i whi raat bht.
kuch lamhen beetay yadon k,aye yaad bht,
phr yaad i whi raat bht.
woh mast nigahen ankhon ki i yaad bht,
phr yaad i whi raat bht.
teri meethi adain chehray ki,mujhe g bhar k dekhna aya yaad bht,
phr yaad i whi raat bht.
hathon main hath,namkeen hatkaten shararat teri palkon ki i yaad bht,
phr yaad i whi raat bht.
wo pal do pal main muskura k chup jana,muskan teri phr yaad i,
phr yaad i whi raat bht.
tery daawy,irady,wady py tha itmad bht,phr yaad aya tera piyar bht.
phr yaad i whi raat bht.AY CHAND…
phr yaad i whi raat bht.[CHAND SHEERAZI]

Thak Kr Girti Hai Zindagi To Khayal

Thak Kr Girti Hai Zindagi To Khayal Aata Hai,
Jaan Leva Hai La-Hasil Ki Tamanna Karna...

Thak Kr Girti Hai Zindagi To

Bheegi Hui Ek Shaam Ki Dehleez Pe Bethe

Bheegi Hui Ek Shaam Ki Dehleez Pe Bethe

Me Dil K Sulagne Ka Sabab Soch Raha Hun

Duniya Ki To Aadat Hai Badal Leti Hai Ankhain

Me Us K Badalne Ka Sabab Soch Raha Hun...

Bheegi Hui Ek

Thursday, August 28, 2014

Tum Yaad Bhi Ao To Chup Rehte Hain

Tum Yaad Bhi Ao To Chup Rehte Hain
K Aankhon Ko Khabar Hui To Baras Jaengi...

Tum Yaad Bhi

Kab Do Ge Nijaat Mujhe In Raaton Ki Tanhai Se

Kab Do Ge Nijaat Mujhe In Raaton Ki Tanhai Se

Aye Ishq Apne Zulm Dekh Aur Meri Umer Dekh...

Kab Do Ge Nijaat

Wednesday, August 27, 2014

Tumhari yaad aati hai

Kahy ga JhoOt wO hum sy k Tumhari yaad aati hai


Koi hai muntazir kitna? ye lehjy bOl dety hain.

Suljha Hua Sa Fard Samjhte Hain Mujh Ko Log

Suljha Hua Sa Fard Samjhte Hain Mujh Ko Log
Uljha Hua Sa Mujh Me Koi Dusra Bhi Hai...

Suljha Hua Sa Fard

Wafa ke Jail sw Bhaga

Wafa Ki Jail se Bhaga Hua Majboor Qaidi Hoon
Agar Dil Ki Adalat me Tumhein Mera Khayal Aye


To MujhKo Yaad k Dhundlay Katehray me Talab Krna
Meri iltaja Hai k Tm MujhKo Wohi Smjho


Jo me ne Tum Ko Smjha hai Tumhein Ab Tak Smjhta Hoon
Mere Daireena Sathi Ho Tumhein Ye To Khabar Ho gi


K me Apni Safayi me Kbhi B Kuch Nhi Kehta
Agr Phir B Kisi Pehlu se me Mujrim Nazar Aaon


Wafa Ki Raah me Naadan Samajh Kar Dar-Guzar Karna

Tuesday, August 26, 2014

Dil mein ik lahar si uthi hai abhi – Nasir Kazmi



Dil mein ik lahar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil mein
koi divar si giri hai abhi
kuch to nazuk mizaj hain hum bhi
aur ye chot bhi nai hai abhi
bhari duniya mein jee nahi lagata
jane kis cheez ke kami hai abhi
tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya
ham-sukhan teri khamoshi hai abhi
yaad ke be-nishan jaziron se
teri aavaz aa rahi hai abhi
shahar ke becharag galiyon mein
zindagi tujh ko dhundhati hai abhi
so gaye log us haveli ke
ek khidaki magar khuli hai abhi
tum to yaro abhi se uth baithe
shahar mein raat jagti hai abhi
waqt acha bhi aayega ‘nasir’
gham na kar zindagi padi hai abhi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



Ek Nadi Mein 2 Insaan Doob Rahe Hai

(Love Exam)
Ek nadi mein 2 insaan doob rahe hai.
1 wo jise aap pyar karte ho,
Aur
Dusra vo jo aapko pyar karta hai.
Aap kisko bachaoge?
Aur kyu!!
Plz Reply

Reh na paoge bhula kar dekh lo,


Reh na paoge bhula kar dekh lo,
Yakin na aaye to aajzma kar dekh lo,
Har jagah mehsus hogi meri kami,
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo

Aap ko bhool jayen hum itane to bevafa nahi – Tasleem Fazli



aap ko bhool jayen hum itane to bevafa nahi
aap se kya gila karen aap se kuch gila nahi
shisha-e-dil ko todana unaka to ek khel hai
hum se hi bhull ho gai unaki koi khata nahi
kash wo apne gam mujhe de den to kuch sukun mile
wo kitana badanasib hai gam hi jise mila nahi
karana hai gar wafa to kya kaise wafa ko chod dun
kahate hain is gunah ke hoti koi saza nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Tasleem Fazli



Ashiki Sher



Teri Bewafai Ka Ashiqui Ka Maatam Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,


Mujhe Dass Gaye Dekho Saanp Astino Ke,
Dushmano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Maatam Hai,


Ro Rahe Hain Dushman Bhi Aaj Meri Mayat Par,
Aa Ke Dekha Teri Berukhi Ka Maatam Hai,

Ho Gayi Khata Humse Tum Ko Toot Kar Chaha,
Jo Hume Na Raas Aayi Us Khushi Ka Maatam Hai,


Kal Chiraag Baat-Te The Hum Saari Duniya Ko,
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Maatam Hai.



Shayari on Beauty for beautiful girls




The Beauty Of A Woman


Is Not In The Clothes She May Wear,


Nor The Way She Combs Her Hair.


The Lovely Figure That She Carries,


Or Any Innocence Before She Marries



The Beauty Of A Woman


Is Seen In The Depth Of Her Eyes


The Place Where Her Love Resides.


Where The Doorway To Her Heart Is Seen


If You’re Invited In By Some Lovely Colleen


 Beauty Poetry

The Beauty Of A Woman


Is Where Virtue And Passion Convene


Not In Any Place She May Have Been


And Not Things Superficial As A Facial Mole,


Her True Beauty Is Reflected In Her Soul.



The Beauty Of A Woman


Is The Care And Comfort Offered To Others


And Their Amazing Skill At Being Mothers


The Unselfish Loving And Giving She Shows


Her Beauty With Passing Years, Only Grows



Please share with us more poetry or shayari on beauty of girls in comments section below




reh aasan ho gai hogi – Saifuddin Saif



reh aasan ho gai hogi
jan pehchan ho gai hogi
phir palat kar nigah nahi aayi
tujh pe quraban ho gai hogi
teri zulfon ko chedati thi saba
khud pareshan ho gai hogi
maut se tere dardmandon ke
mushkil aasan ho gai hogi
un se bhi chin loge yaad apni
jin ka iman ho gai hogi
dil ke taskin puchate hain aap
han meri jan ho gai hogi
marane valo pe ‘saif’ hairat kyon
maut aasan ho gai hogi


Poet of The / Ghazal or Nazam : Saifuddin Saif



Monday, August 25, 2014

Ek Jakkas New Year

Aap Jahan jaye wahan se kare Fly all Tear
Sab Log Aap ko hi mane apna Dear
Aap ki har Raah ho Always Clear
Aur Khuda dey Aap ko Ek Jakkas New Year

Sunday, August 24, 2014

Ramadan Greeting Phrases



Aey Maah-E-Ramzan Aahista Chalna,
Hamen Khasa Qarz Chukana Hai,
Kuch Khawab Hain Jinko Likhna Hai,
Or Tabeeron Ko Pana Hai,
Kuch Log Hain Ujray Dil Waly,
Un Sb Main Pyar Basana Hai…
Or Khizan Raseeda Angan Main,
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai,
Kuch Toba Krni Baqi Hai,
Or Rab Ko Hamain Manana Hai.
Aey Maah-E-Ramzan Aahista Chalna,
Hamen Khasa Qarz Chukana Hai.



Gharoor-e-husn serapa nayaz ho tera



Gharoor-e-husn serapa nayaz ho tera


Taweel raaton mein tu bhe qarar ko tersay
Teri nigah kisi gham gusaar ko tersay
Khizaan raseedah tamanna bahar ko tersay


Koi jabeen na teray sunnat-e-aastaan pe jhukay


Keh Jins-e-izz-o-aqeedat se tujh ko shaad keray
Fareb-e-wadah farda pe aitemaad keray
Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aye


Woh dil keh teray liye beqarar ab bhe hai
Woh aankh jis ko tera intezaar ab bhe hai



Thank You My Angel Friend





In My Whole Life,


There Is No One Else Like You.


Someone Who Changed My Life,


Just By Being You.


You Are An Angel To Me.



The Music Of Your Laughter


Still Lightens My Inner Ear.


You Showed Me You Believe,


That There Really Is Good Here.


You Are An Angel For Me.



You Showed Me That You Care,


When I Was Really Down,


You Never Turned Away,


Nor Showed Me A Saddened Frown.


You Are An Angel Beside Me.



Even When You Are Sad And Blue,


And Life Is Hard On You,


You Spare Me One More Smile,


Just Like God’s Loving Child.


You Are God’s Angel To Me.



You Have Done So Much For Me,


And Given Me Your Time.


I Have A Gift For You,


With This Imperfect Rhyme.



Thank You My Angel Friend








Saturday, August 23, 2014

Jab kabi tera dil ghabraye to lot ana



Jab kabi tera dil ghabraye to lot ana,
Agr tuje meri yad aye to lot ana,

Kuch wqt acha guzra ha sath tumhare,
Wo wqt yad aye to lot ana,


Ek pal mein dost ban gaey hum,
Agr kabi wo pal yad aye to lot ana,


Agr kabi dil ki drkan tez ho jye to lot ana,
Log to aksr sath nhi dete dil walo ka,Pas reh kar be agr koi sath na de to lot ana,


Na jane teri itni yad keu ati ha,
Agr ye paigam pohanch jae tu, “LOT ANA” –



Love For Me Is Life In Its Best Form




Love For Me Is Life In Its Best Form


Love Is What My Guru Says Is Security



Love Is What I Am Willing To Give Unconditionally


Love Is What I Yearn For All Times.



Love Is What Makes Me Live


Love Is What Gives Me Warmth



Love Is What Helps Me Breathe


Love Is What Makes Me Bright.



Ask The Ones Who Love, It Makes One Dreamy


Ask The Ones Who Love, It Makes One Seeking



Ask The Ones Who Love, It Makes One Faithful


Ask The Ones Who Love, It Makes One Crave For More



Love Has Forms That Keep Me Warm


Love Has Forms That Make Me Thirsty



Love Has Forms That Makes Me Loving


Love Has Forms That Makes Me Yearn



In All Its Forms Love Is Life For Me


In All It Does Love Is Life For Me.




Wishing U 1 Month Of Ramadan

Wishing u 1 month of ramadan,
4 weeks of barkat,
30 days of forgiveness,
720 hours of guidance,
43200 minutes of purification,
2592000 secs of Noor..!!
Ramadan Mubarak

Friday, August 22, 2014

Rajiv Gandhi Death Anniversary Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Rajiv Gandhi Death Anniversary Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Rajiv Gandhi Death Anniversary 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Rajiv Gandhi Death Anniversary sms greeting


 I believe that coming from the era of Pandit Jawaharlal Nehru, then Mrs Gandhi, followed by Rajiv Gandhi and then Mrs Sonia Gandhi, and now Rahul Gandhi, times are changing. And if we talk about this legacy, this family then Mulayam Singh also has a legacy. But his daughter-in-law lost the election two years back. And in his own hometown


It is unfortunate if the funds in flagship programmes by the Centre do not reach the people


Happy Rajiv Gandhi Death Anniversary to all of you from shayari Online Team



Likhna Mere Mazar K Kutbay Pe Ye

Likhna Mere Mazar K Kutbay Pe Ye Haroof
Marhoom Zindagi Ki Haraasat Main Mar Gaya...

Likhna Mere Mazar

Thursday, August 21, 2014

Aasu Ko Aankhon Ki Dehliz Par



Aasu Ko Aankhon Ki Dehliz Par Laya Na Karo,
Aapne Dil Ka Hal Kisiko Bataya Na Karo,


Log Muthi Mein Namak Liye Goom Rahe Hai,
Apne Zakhm Kisiko Bataya Na Karo


Aankhe Kholun To Chehra Uska Ho,
Aankhe Band Karu To Sapna Uska Ho,


Maar Bhi Jaau To Koi Gam Nahi, Agar…
Kafan Ke Badle Dupatta Uska Ho!



Aye Dil-e-Be-Qaraar Chup Ho Ja

Aye Dil-e-Be-Qaraar Chup Ho Ja
Jaa Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja

Ab Na Aayen Ge Roothne Wale
Deeda-e-Ashk-Baar Chup Ho Ja

Jaa Chuka Karvaan-e-Laal-O-Gul
Urh Raha Hai Ghubaar Chup Ho Ja

Choot Jaati Hai Phool Se Khushbu
Rooth Jate Hain Yaar Chup Ho Ja

Hum Faqiron Ka Is Zamany Me
Kon Hai Gham-Gusaar Chup Ho Ja

Haadson Ki Na Aankh Khul Jaye
Aye Hasrat-e-Sogvaar Chup Ho Ja

Geet Ki Zarb Se Bhi Aye Saghar
Toot Jate Hain Taar Chup Ho Ja...

Aye Dil-e-Be-Qaraar

Wednesday, August 20, 2014

Punjabi lines




Ek Pal Da Pharosa Na Zindgi Da……….
Bas Ajj Samajh K Gujaar Mitra………
Hass Khed Lai Yaaran De Naal Thodha……..
Ki Pata Kal Rahe Na Rahe Tera Eh Yaar Mitra……….!!!


Ki likhan main us baare
koi lafz hi mere kol nahin….
lakh shohrat b koi ni



Raati Sohnya Nu MiLn Gaye Te Aundya Der Ho Gai,
Der Kaadi Hoi Ji Saver Hi Ho Gai,
Fer,
Fer,
. Fer Ki Ji Baapu Daang Laike Baith C Darwaaje Te,Te Saver 6.A.M To PahLa Hi Yaara Di “Repair” Ho Gai…,



meri kitab ch paye us Chocolate
wale wrapper cho, hale vi Mehak
aundi tereyan Hathan di,,


ki mere us teddy layi vi thodi jaga hai
tere kol, jisnu kehndi si sambh sambh ke
rakhagi,,



Share with us more Punjabi lines in comments section below.



Yah Rimjhim Ye Barish

Yah Rimjhim Ye Barish | Urdu Shayari, Hindi poetry & Sher o Shaeri SMS
























Yah Rimjhim Ye Barish


Yah Awargi ka Mosam


Kash Aaj koi Mojza ho


K Deedar-e-Yaar Ho Jaye


Happy Rimjhim..













































Ghazal lyrics




YEh mashgala hai kisi ka najanay kia chahay
NA fasloon ko mitaay, nA faisala chahay


Meri bisaat hai kya mainhon brg awara
Ura kay lay chalay mujh ko jahan hawa chahay


Hazaroon doobnay walay bacha liyay laikin
Usay main kaisay bacahoon jo doobna chahay


Jo apna chahra dikhata hai mehrabaan ban kar
Us aainay ki tarf koon dakhna chahay….



Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai
Log Milte Hain Juda Hote Hai


Kab Bichad Jaaye Hamsafar Hi To Hain
Kab Badal Jaaye Ek Nazar Hi To Hai
Jaan-O-Dil Jispe Fida Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..


Baat Nikli Thi Is Zamane Ki
Jisko Aadat Hai Bhul Jane Ki
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..


Jab Rula Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Jab Sataa Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Tab Kahin Khush Woh Zaraa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa



koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka


garmi-e-shama ka afasana sunanevalo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka


chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka


ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka


ab to har manzil se guzarna to hai aasan “iqbal”
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka


Share with us more Ghazal lyrics .in comments section below.



Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai



Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai


Rona Chahoon Toh, Rona Chahoon Toh
Aansoo Na Aaye, Aisi Hai Tanhai


Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai


Jo Aise Chor Ke Mehboob Jaaye
To Jeene Se Na Kyoon Dil Oogh Jaaye


Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai…


Paya Hum Ne Ye Bin Tere
Ranj Ki Raahein Aur Gham Ke Andhere

Ranj Ki Raahein Aur Gham Ke Andhere
Woh Bhi Toh Humse, Woh Bhi Toh Humse


Kho Gaye Hai, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai


Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai…
Yaad Aate Hain, Beetey Zamaane


Jab Tum Aaye The Humko Manaane
Jab Tum Aaye The Humko Manaane


Ab Toh Dil Roothey, Abh Toh Dil Roothey
Dard Manaaye, Aisi Hai Tanhai


Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chor Jaaye, Aisi Hai Tanhai


Rona Chahoon Toh, Rona Chahoon Toh
Aansoo Na Aaye, Aisi Hai Tanhai


Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai
Saya Bhi Saath Jab Chod Jaaye, Aisi Hai Tanhai



Tuesday, August 19, 2014

Tujhe Badnaam Kion Karta, Mein Aisa Kaam Kion Karta?

Tujhe Badnaam Kion Karta,
Mein Aisa Kaam Kion Karta…?

Jo Apne Sath Beeti Hai,
Use Mein Aam Kion Karta….!

Naam Badnam Shayari

Muddat K Baad Dekha Usy Badla Hua Tha Wo

Muddat K Baad Dekha Usy Badla Hua Tha Wo

Na-Jane Kya Hadisa Hua Sehma Hua Tha Wo

Mujhe Dekh Kar Us Ne Chehra To Chupa Lia Magar

Ankhein Bata Rahi Thi K Roya Hua Tha Wo

Uski Aankhon Me Dekh Kar Mehsoos Hua Mujhe

Meri Tarah Kisi Soch Me Dooba Hua Tha Wo

Uski Sone Jesi Rangat Zard Par Gai Thi

Jese Kisi K Pyar Me Jala Hua Tha Wo

Qurbaan Jaun Us Shakhs Par Me Mohsin

Yaad Me Jis Ki Khoya Hua Tha Wo...

Muddat K Baad Dekha

Saturday, August 16, 2014

zindagi ke Dua

”Ye na samaj k bichre hon to bhol gye hon tujhe !


”Tari baton ki khoshbu meri baton main aaj bhi hai !


”Ye or baat hai majboreyon ne nebhane na diya !


”Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai !


”Mohabat say barh kr tum say aaqedat hai mujhay !


”Yon maqam tera boland sab main aaj bhi hai !


”Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon
tujhe !


”Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi hai.

Full of Colors

Our life is full of Colors
I hope this 14th Aug will
add more colors to ur life
Happy Independence Day

Us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya-Ahmed Faraz



us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya
hijr ke raat bam par mah-e-tamam rakh diya
aamad-e-dost ke navid ku-e-vafa mein aam thi
main ne bhi ik chirag-sa dil sar-e-sham rakh diya
dekho ye mere khwab the dekho ye mere zakhm hain
main ne to sab hisab-e-jan barsar-e-am rakh diya
us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
main ne to us ke panon mein sara kalam rakh diya
shiddat-e-tishnagi mein bhi gairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya
aur ‘faraz’ chahiye kitni muhabbaten tujhe
ke maon ne tere naam par bachon ka naam rakh diya


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam Ahmed Faraz



Friday, August 15, 2014

Ghafil Tujhe Gharyal Ye Deta Hai Manadi

Ghafil Tujhe Gharyal Ye Deta Hai Manadi,
Gardoon Ne Ghari Umer Ki Ik Aur Ghata Di…

Inspiration-watch-poetry

Log Deewany Hain Banawat K

Log Deewany Hain Banawat K
Hum Kahan Jaen Sadgi Le Kar...

Log Deewany Hain

Dard-e-dil mein kami na ho jaye – Bekhud Dehlvi



Dard-e-dil mein kami na ho jaye
dosti dushmani na ho jaye
tum meri dosti ka dam na bharo
aasman muddai na ho jaye
baithata hun hamesha rindon mein
kaheen zahid vali na ho jaye
apne khu-e-vafa se darta hun
aashiqi bandagi na ho jaye




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bekhud Dehlvi



catch ch0rnay k mamlay

Based on the telenor ad:


Biwi: Suna hy catch ch0rnay k mamlay me aap baray dil phenk thay..ap k bhai umer akmal bta rahay thay


Der raat tk sattaybaz0n k sath bethe rehte the..ap ki ammi ko call ki thi wo bta rahi theen..


Kamran: kya sara credit aj hi khtm krdya?


Biwi: Ahan…


Han tou yeh r0ss tayl0r k0n tha 😀

Larkion Ko I Love You Bolny

Boy 1: Larkion ko I love you bolny ki sab se achi jagah konsi hai?
Boy 2: Daata Darbar
Boy 1: Kion ??
.
Boy 2: Kionky wahan larkiyon ne chapal nahi pehni hoti

Thursday, August 14, 2014

Zara c Baat

Zara c bat pr Tanha chor jaty hain


Muhabat kr k logon sy sambhali ni jati

Azmatain Sab Teri Khudai Ki

Azmatain Sab Teri Khudai Ki
Haisiyat Kya Meri Ekai Ki...

Azmatain Sab Teri

Wednesday, August 13, 2014

Funny Taxi Driver jokes in urdu

TAxidriver: Ab tak me 10 pregnant ladkiyon ko airport chod chuka huun..


Girl: par mai to pregnant nahi hun


Driver : abhi airport bhi kahan aaya hai madam..

Dekh Me Ho Gaya Bad-Naam

Dekh Me Ho Gaya Bad-Naam Kitaabon Ki Tarha

Meri Tash'heer Na Kar Ab To Jala De Mujh Ko...

Dekh Me Ho

Tuesday, August 12, 2014

Ya Zindagi Ka Faasla Mita Sakoo To Sath Doo



Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo
Ya Zindagi Ka Faasla Mita Sakoo To Sath Doo


Baray Faraib Khaoo Gay Baray Sitam Uthaoo Gay
Ya Umer Bhur Ka Sath Hai Nibha Sakoo To Sath Doo


Jo Tum Kahoo To Ya Dil To Kia Main Jaan Bhi Fida Karoon
Jo Main Kahoon Bus Ik Nazar Luta Sakoo To Sath Doo


Hazaar Imtyhan , Hazaar Aazmaishain
Hazar Dukh Hazar Ghum Utha Sakoo To Sath Doo


Ya Zindagi Yahan Khushi Ghamoon K Sath Hai
Rula Sakoo To Sath Doo Hunsa Sakoo To Sath Doo



A letter To Director Examinations ICAP

A letter 2 Direct0r Examinations ICAP,
“Salam Sir Jee,
with due respect I beg to sy that I M,
Aaby Pehle To Ye Bata Ye Paper k0n Iblees Bnata Hai.?
Hmari to jan he nikal jati hy,
Uper se paper ki checking aise h0ti hy jaise badla le rhy h0,
Syllabus to aisa h0ta hy jaise sb Einstein hain…!
Tu Bahar Mil Zara,
Phir Bataon Gay
Yours Faithfully,
.
.
.
Pagal Hon Jo Naam Likhon”

Monday, August 11, 2014

Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi



Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho
Tarapnay Pay Mairay Na Phir Tum Haso Gay
Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker To Daikho
Hoonton K Paas Aaye Hasi Kia Majaal Hai
Dil Ka Moamla Hai Koi Dillagi Nahi
Zakhm Pay Zakhm Pay Kha K Ji Apnay Laho K Ghoont Pe
Aah Na Ker Laboon Ko See Ishq Hai Dillagi Nahi
Dil Laga Ker Pata Chalay Ga Tumhein
Aashqi Dillagi Nahi Hoti
Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Laag
Pani Na Samajh Yeah Aag Hai Aag
Khoon Rula’ay Gi Yeah Lagi Dil Ki
Khail Samjho Na Dillagi Dil Ki
Yeah Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Li Jay
Ik Aag Ka Darya Hai Aur Doob K Jana Hai
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho
Tarapnay P Mairay Na Phir Tum Haso Gay
Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker To Daikho
Wafaoon Ki Hum Say Tawwaqu Nahi Hai
Magar Aik Baar Aazma Ker To Daikho
Zamanay Ko Apna Bana Ker To Daikha
Hamein Bhi Tum Apna Bana Ker To Daikho
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Rukh Say Naqaab Utha Ke
Bari Dair Ho Gaye Maahol Ko Tilawat-E-Quran Kiyeah Hoay
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Hum Na Samjahy Teri Nazroon Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Pardah Kabhi Jalwa Yeah Tamasha Kia Hai
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Jane E Jaan Hum Say Yeah Uljhan Nahi Dekhi Jati
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Ke Hein Aaj Hum Tum Nahi Ghair Koyi
Shab-E-Wasl Bhi Hai Hijaab Is Qadar Kiyoon
Zara Rukh Say Aanchal Utha Ker To Daikho
Jafa’ein Bohot Kiii Bohot Zulm Dha’ay
Kabhi Ik Nigah-E-Karam Is Taraf Bhi
Hamesha Ho’ay Daikh Ker Mujh Ko Barham
Kisi Din Zara Muskura Ker To Daikho
Jo Ulfat Mein Har Ik Sitam Hai Gawara
Yeah Sub Kuch Hai Paas E Wafa Tum Say Warna
Sata’tay Ho Din Raat Jiss Tarah Mujh Ko
Kisi Ghair Ko Yoon Sata Ker To Daikho
Agar Chay Kisi Baat Per Woh Khafa Hein
To Acha Yeah He Hai Tum Apni Si Ker Lo
Woh Manay Na Manay Yeah Marzi Hai Un Ki
Magar Un Ko Purnam Mana Ker To Daikho
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho



Sunday, August 10, 2014

Sad poetry Mohabbat



Umari fitrat mei he nhe bewafai krna
Mgr
lgtha hai tumhari adat he n wafa krna…
2)
Je to rhy h mgr sansein madam se h…
Tu kise r ko cahe mgr phr b
Dil mei phr bhe terya nam ke
chittyan chapi h….
3)
Hum badal bhe jay to hamari to adt h bdlna
mgr
Teri fitrat aise na thi….?
3)Mbht to kr le mgr
phr bhe na aya…
Tujhry kbhi nibhana…
4)Ankhn mei ajj ansou h to qasoor hamara
Bewafai kr letay to acha
is mhbt ne to humein kahein ka na chora…



Some one Asked Clown

Someone asked a clown


why do you wear a mask??


Clown replied:


Everyone wears it


mine is visible

Jis Din Mout Ki Godd Me Sona Hoga

Jis Din Mout Ki Godd Me Sona Hoga

Na Koi Takkiya Na Koi Bichona Hoga

Sath Rahengi Bas Ap Jese Logon Ki Duaaen

Or Qabristaan Ka Ek Chota Sa Kona Hoga...

Jis Din Mout Ki

Ab Jo Kuch Bolun Bhi To Zeher Ugalta Hun

Ab Jo Kuch Bolun Bhi To Zeher Ugalta Hun
Choti Umer Se Azhan Dasti Rahi Tanhai Mujhe...

Submitted By: Azhan Khan

Tum Ne Aankhon Ko Parh Liya Hota

Tum Ne Aankhon Ko Parh Liya Hota
Kese Kese Sawaal Likhe The...

Submitted By: Waqas

Your Beauty Astonishes Me



Your Beauty Astonishes Me.
Your Eyes Are Like Diamonds,


Purer Than Diamonds,
Bluer Than A Spring Sky,Majestical.


Your Laugh Reminds Me Of A Morning Bird,
Singing Without A Care In The World!


Your Composure Likens That Of An Eagle,
Elegant, Strong, And Independent Yet Delicate, Dainty.


Your Lips, So Soft, And Bold, And Tempting.
Like A Rose, Delicate, Intriguing And Inviting.



Afat Ki Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Men



Afat Ki Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Men
Mehashar Ke Fitane Khelate Hain Jalwa-Gah Men


Wo Dushmani Se Dekhate Hain Dekhate To Hain
Main Shad Huun Ke Huun To Kisi Ki Nigah Men


Ati Bat Bat Mujhe Yad Bar Bar
Kahata Huun Daud Daud Ke Qasid Se Rah Men


Is Taubah Par Hai Naz Mujhe Zahid Is Qadar
Jo Tuut Kar Sharik Huun Hal-E-Tabah Men


Mushtaq Is Ada Ke Bahot Dard-Mand The
Ae Dag Tum To Baith Gaye Ek Ah Men



Saturday, August 9, 2014

Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi – Rajesh Reddy



Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi
tere daman mein mere vaste kya kuch bhi nahi
mere in hathon ke chaho to talashi le lo
mere hathon mein lakiron ke siva kuch bhi nahi
hum ne dekha hai kai aise khudaon ko yahan
samane jin ke wo sach much ka khuda kuch bhi nahi
ya khuda ab ke ye kis rang se aayi hai bahar
zard hi zard hai pedon pe hara kuch bhi nahi
dil bhi ik zid pe ada hai kisi bache ke tarah
ya to sab kuch hi ise chahiye ya kuch bhi nahi


Poet  of  the Poem / Ghazal or Nazam : Rajesh Reddy



Friday, August 8, 2014

Aatish-E-Ishq Se Khailo Ge To Jal Jao Ge

Aatish-E-Ishq Se Khailo Ge To Jal Jao Ge

Abhi Moqa Hai Meri Jaan Sambhal Jao Ge

Tum Na Badlo Ge Kabhi Aaj To Ye Kehte Ho

Sach To Ye Hai K Kabhi Tum Bhi Badal Jao Ge...

Aatish-E-Ishq Se

Horan Wangu Ohnu Dil Cho Kadh Vi Sakde Si

Horan Wangu Ohnu Dil Cho Kadh Vi Sakde Si
Ishq Da Boota Apne Hathi Vadd Vi Sakde Si
Ki Kariye Majboori Nahi Kamjori Aa Oh Sadi
Nahi Tan Duniya Vangu Ohnu Chhad Vi Sakde Si…

Thursday, August 7, 2014

Aapko Maine Nigaho Mein Basa Rakha Hai



Aapko Maine Nigaho Mein Basa Rakha Hai
Aaina Chodhiye Aaine Mein Kya Rakha Hai


Tune Te Phool Jo Zulfo Mein Saja Rakha Hai
Ye Diya Hai Jo Andhere Mein Jala Rakha Hai


Tu Bhi Kehti Ho Qayamat Mein Milenge Hamko
Chodhiye Chodhiye Is Baat Mein Kya Rakha Hai


Jeet Le Jaaye Koi Mujhko Naseebo Wala
Zindagi Nein Mujhe Daaw Pe Laga Rakha Hai



Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi



gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
ye nazarana tera bhi hai mera bhi
apne gham ko geet banake ga lena
rag purana tera bhi hai mera bhi
tu mujhko aur main tujh ko samjahaun kya
dil divana tera bhi hai mera bhi
shahron shahron galiyon jis ka charcha hai
wo afsana tera bhi hai mera bhi
maikhane ki bat na kar waiz mujh se
aana jana tera bhi hai mera bhi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Shahid Kabir



Wednesday, August 6, 2014

Yehi Zindagi Ka Usool Hai

Yehi Zindagi Ka Usool Hai
Jo Bichar Gaya Usy Bhool Ja
Jo Mila Hai Dil Se Laga K Rakh
Jo Nahi Mila Usy Bhool Ja
Na Wo Dhoop Tha Na Wo Chandni
Na Chiragh Tha Na Wo Roshani
Wo Khayal Tha Koi Khawab Tha
Wo Tha Aaina Usy Bhool Ja
Wo Jo Tere Dil K Qareeb Tha
Wo Na Jane Kis Ka Naseeb Tha
Tujhe Hans K Us Ne Bhula Dia
Tu Bhi Muskura K Usy Bhool Ja...

Yehi Zindagi Ka

Yaadon Ka Karobar

Buhat Mushkil Se Hota Hai Teri Yaadon Ka Karobar……!!!


Munafa tu Nahi Hai Lekin Guzara Ho Hi Jata Hai…..!!!!

You and I Together

Everytime i look at the keyboard,


I always see U and I together

Bahut dinon ke bat hai – Salaam Machhli Shehri



Bahut dinon ke bat hai
fiza ko yad bhi nahi
ye bat aj ke nahi
bahut dinon ke bat hai


shabab par bahar thi
fiza bhi khush-gavar thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
kisi ne mujh ko rok kar
badi ada se tok kar
kaha tha laut aaiye
meri qasam na jaiye


par mujhe khabar na thi
mahaul par nazar na thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
main shahar se phir aa gaya
khayal tha ke pa gaya
use jo mujhase dur thi
magar meri zarur thi


aur ik hasin sham ko
main chal pada salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
mujhe badi khushi hui
main kuch isi khushi mai tha
kisi ne jhank kar kaha
paraye ghar se jaiye
meri qasam na aaiye


vahi hasin sham hai
bahar jis ka nam hai
chala hun ghar ko chodakar
na jane jaunga kidhar
koi nahi jo tok kar
koi nahi jo rok kar
kahe ke laut aaiye
meri qasam na jaiye


meri qasam na jaiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Salaam Machhli Shehri



Tuesday, August 5, 2014

raz ke baten likhi aur khat khula rahane diya-Sabir Jalalabadi



raz ke baten likhi aur khat khula rahane diya
jane kyon rusavaion ka silasila rahane diya
umr bhar mere sath rahakar wo na samajha dil ke baat
do dilon ke daramiyan ik fasala rahane diya
apni fitarat wo badal paya na isake bavajud
khatm ke ranjish magar gila rahane diya
main samajhata tha khushi degi mujhe “sabir” fareb
is liye main ne gamon se rabata rahane diya


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Sabir Jalalabadi



Monday, August 4, 2014

Koi Deewana Kehta Hai




Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai


Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai


Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai


Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai



K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai


Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai


Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai


Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai



Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta


Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta


Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le


Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta



Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama


Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama


Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka


Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama





Udaasi Shaam Tanhai Kasak Yaadon Ki

Udaasi, Shaam, Tanhai, Kasak Yaadon Ki Be-Chaini

Mujhe Sab Sonp Kar Sooraj Utar Jata Hai Paani Me...

Udaasi Shaam Tanhai

Air Force Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Air Force Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Air Force Day 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Air Force Day greeting.


Good Morning,
Meri Taraf Se Aap Sab Ko Pakistan Ka 64van
Jashan E Youme Azadi
Bht Bht Mubarak Ho,
Duwa Hai Humara Mulk Taraki Kre
Hemesha Salamat Rhe
Allah Tala Ise Aman Ka Gehwara Banaye
Ameen,


Hum Zinda Qom Hain
Painda Qom Hain
Hum Sb Ki Hai Pehchan
Pakistan Pakistan,
Jeve Pakistan, Pakistan Zinda Bad…
Happy Independence Day


Ya Allah Awam 10/10 Hours
Loadshading Ke Azaab Main Mubtla Hay.
Aye Allah Wapda Ko Loadshading Ka Order
Denay Walon Ko Sirf 3 Minute Ke Liye
11000 Wali Active Line Se
Lohay Ki Zangeer Se Baandh Kar
Aazadi De Day
Takay Wo Apnay Routine Works Bhi Kar Sakain
Aamin.


Happy Air Force Day Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Sunday, August 3, 2014

Jhoote Vaade Kar Ke Jis Ne



Tom Ho Ya Jerry Ho
Bush Ho Chahe Kerry Ho


Vohee Bane Ga Haakim
Jo Hum Sub Ka Bairee Ho


Jhoote Vaade Kar Ke Jis Ne
Public Saree Ghairee Ho


Tom Ho Ya Jerry Ho
Bush Ho Chahe Kerry Ho


Saaf Ho Voting
Chahe Hera Phairee Ho


Jald Aaye Nateeja
Ya Gintee Men Dairee Ho


Koi Bhee Jeete Jeet
Meree Ho Na Teree Ho


Bush Ho Chahe Kerry Ho
Choro Ye Qisse Kyun Mujhe


Tension De Rahee Ho?
Tum Saaf Saaf Keh Do
Us Kee Ho Ya Meree Ho??



Bachiyon K Chakker Me



Bachiyon K Chakker Me Larke Jate Lutt
Or Khatey Hain Un K Bhaiyon Se Wo Kutt…


Iss Waja Se Larke Larkiyon Ko Chor Detay Hain
Moqa Mil Tey Hi Un K Bhaiyon Ko Phor Dete Hain..


Na Kare Makeup To Un Se Banda Dar Jata Hay,
Karti Hain Itna Makeup K Weight Barh Jata Hay



Saturday, August 2, 2014

Yeh Mohabbat Hai



Yeh Mohabbat Hai


Azal Say Mohabat Mawara Alfazon Ki Mala Hy,
Magar Yeh Haqeqat Hy,
Mohbt Soch K Akash Pr Badal Ki Surat Main,
Sada Parwaz Karti Hy,
Kabhi BARISH Ki Bundon Main Simat Kr Dil Ki Dharti Pr
Utarti Hy’ Bikharti Hy


Ada Lay Kar Saba Ki Yeh,Ghulabon Say Mehak Lay Kr
Dhanak Rang Ly Kar Or Sitaron Say Chamak Ly Kr,
Haseen Anchal Banati Hy,
Usi Anchal Say Phir Khuwabon K Kachay Ghar Banati Hy,
MOHABAT Azmati Hy


Kabhi Shair Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hy,
Kabhi Saaz Ban Kr Dhiray Dhiray Gungunati Hy,
Sara-Pa Ankh Ban Jati Hy Yeh Mehbob Ko Pa Kar,
Anokha Lams Ban Jati Hy Yeh Koe-E-Yaar Ja Kr,
Na Jane Kon Sa Mantar Yeh Parh K Hole Hole Say,
Kisi Ki Band Palkon Main Bina Dastak Diye Yak-Dam,


Utar K Ghar Banati Hy
Mohabat Muskurati Hy…..!!


Yeh Khusboo Hy Humesha Phool Ki Sanson Main Hoti Hy,
Bana Day Chand, Yeh Tera Shab Ko Jo Yeh Aisa Moti Hy,
Kasaak Hy Daaimi Is Main,Buhat Bay Naam Lazaat Hy,


MOHABAT Ki Yehi Tareef Hy K


Yeh Mohabbat Hai



Mohsin Hamary Saath Bara Haadisaa Hua

Mohsin Hamary Saath Bara Haadisaa Hua

Hum Reh Gaye Hamara Zamana Chala Gaya...

Mohsin Hamary Saath

One Of The Joys In Life

One of the joys in life
is waking up each day
with thoughts that somewhere,
Someone cares enough to
send a warm morning greeting!
Good morning and enjoy the day!

Friday, August 1, 2014

Hum Gaye The Un Ko Manane Ke Liye - Sad Poetry

best sad poetry

Roman Urdu Poetry

Hum Gaye The Un Ko Manane Ke Liye,
Wo Khafa Achay Lage, Hum Ne Khafa Rehne Diya...

Urdu Poetry

،ہم گئے تھے ان کو منانے کے لئے
وہ خفا اچھے لگے،ہم نے خفا رہنے دیا

Libas Tann Se Utaar Dena Kisi Ko Baahon K Haar Dena

Libas Tann Se Utaar Dena,
Kisi Ko Baahon K Haar Dena,
Phir Us K Jazbon Ko Maar Dena,

!! Agar Mohabbat Yehi Hai Jana !!
!! To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai !!

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Unki Aankhen Hi Noch Lena,

!! Agar Mohabbat Yehi Hai Jana !!
!! To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai !!

Kisi Ko Lafzon K Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,

!! Agar Mohabbat Yehi Hai Jana !!
!! To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai !!

Andhair Nagri Me Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,

!! Agar Mohabbat Yehi Hai Jana !!
!! To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai !!

Libas Tann Se Utaar Dena

Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile – Rahat Indori



Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile
dastar kahan milenge jahan sar nahi mile
aavaragi ko dubate suraj se rabt hai
magrib ke bad hum bhi to ghar par nahi mile
kal aainon ka jashn hua tha tamam raat
andhe tamashbinon ko pathar nahi mile
main chahata tha khud se mulaqat ho magar
aaine mere qad ke barabar nahi mile
pardes ja rahe ho to sab dekhte chalo
mumkin hai vapas aao to ye ghar nahi mile


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori