Wednesday, August 6, 2014

Bahut dinon ke bat hai – Salaam Machhli Shehri



Bahut dinon ke bat hai
fiza ko yad bhi nahi
ye bat aj ke nahi
bahut dinon ke bat hai


shabab par bahar thi
fiza bhi khush-gavar thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
kisi ne mujh ko rok kar
badi ada se tok kar
kaha tha laut aaiye
meri qasam na jaiye


par mujhe khabar na thi
mahaul par nazar na thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
main shahar se phir aa gaya
khayal tha ke pa gaya
use jo mujhase dur thi
magar meri zarur thi


aur ik hasin sham ko
main chal pada salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
mujhe badi khushi hui
main kuch isi khushi mai tha
kisi ne jhank kar kaha
paraye ghar se jaiye
meri qasam na aaiye


vahi hasin sham hai
bahar jis ka nam hai
chala hun ghar ko chodakar
na jane jaunga kidhar
koi nahi jo tok kar
koi nahi jo rok kar
kahe ke laut aaiye
meri qasam na jaiye


meri qasam na jaiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Salaam Machhli Shehri



No comments:

Post a Comment