Saturday, August 16, 2014

Us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya-Ahmed Faraz



us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya
hijr ke raat bam par mah-e-tamam rakh diya
aamad-e-dost ke navid ku-e-vafa mein aam thi
main ne bhi ik chirag-sa dil sar-e-sham rakh diya
dekho ye mere khwab the dekho ye mere zakhm hain
main ne to sab hisab-e-jan barsar-e-am rakh diya
us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
main ne to us ke panon mein sara kalam rakh diya
shiddat-e-tishnagi mein bhi gairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya
aur ‘faraz’ chahiye kitni muhabbaten tujhe
ke maon ne tere naam par bachon ka naam rakh diya


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment