Thursday, August 7, 2008

Ishq mujhko nahi vahshat hi sahi – Mirza Ghalib



Ishq mujhko nahi vahshat hi sahi
meri vahshat teri shoharat hi sahi
qata kije na ta’alluq hum se
kuch nahi hai to adavat hi sahi
mere hone mein hai kya ruswai
ye wo majalis nahi khalvat hi sahi
hum bhi dushman to nahi hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi
apni hasti hi se ho jo kuch ho
aagahi gar nahi gafalat hi sahi
umr har chand ke hai barq-e-khiram
dil ke khoon karne ke fursat hi sahi
hum koi tarq-e-vafa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi
kuch to de ae falak-e-nainsaf
aah-o-fariyad ke rukhasat hi sahi
hum bhi taslim ke khu dalenge
beniyazi teri aadat hi sahi
yar se cheda chali jaye “asad”
gar nahi vasl to hasrat hi sahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment