Teri tarif karte hain to isamen kya burai hai
khuda ne apne hathon se teri surat banai hai
hazaron ke tarah sun le teri rusavai ke dar se
teru tasvir hum ne kitabon mein chupai hai
teri masum surat ke yahi tarif hai sun le
zaban pe hai yahi sab ke khudai hai khudai hai
marz ye ishq ka aisa laga ki phir nahi chuta
dua bhi hum ne ke “rahi” dawa bhi aazamai hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi
No comments:
Post a Comment