Sunday, March 2, 2014

Bas ki dushwar hai har kam ka aasan hona – Mirza Ghalib



Bas ki dushwar hai har kam ka aasan hona
aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona


giriya chahe hai kharabi mere kashane ke
dar-o-divar se tapake hai bayaban hona


wa-e-diwangi-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jana udhar aur aap hi hairan hona


jalva azbas ke taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona


ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamashir ka uriyan hona


le gaye khak mein hum dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur aap basadrang-e-gulista n hona


ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona


ke mere qatl ke bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona


haif us char girah kapade ke qismat ‘ghalib’
jis ke qismat mein ho aashiq ka gareban hona



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment