Wednesday, November 18, 2015

Kahaniyan bhi gain qissakhvaniyan bhi gain – Kishwar Naheed



Kahaniyan bhi gain qissakhvaniyan bhi gain
wafa ke bab ke sab bezubaniyan bhi gain
wo beziyabi-e-gam ke sabil bhi na rahi
luta yun dil ke sabhi be-sabatiyan bhi gain
hawa chali to hare patte sukh kar tute
wo subah aayi to hairannumaiyan bhi gain
ve mera chehara mujhe aaine mein apna lage
usi talab mein badan ke nishaniyan bhi gain
palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahi
wo ahad-e-zabt bhi tuta shitabiyan bhi gain
mujhe to aankh jhapakana bhi tha garan lekin
dil-o-nazar ke tasavvurshi’ariyan bhi gain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kishwar Naheed



No comments:

Post a Comment