Kab yaad mein tera sath nahi kab hath mein tera hath nahi
sad shukr ke apni raton mein ab hijr ke koi raat nahi
mushkil hain agar halat vahan dil bech aayen jan de aayen
dil valo kucha-e-janan mein kya aise bhi halat nahi
jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahati hai
ye jan to aani jani hai is jan ke to koi baat nahi
maidan-e-vafa darbar nahion yan nam-o-nasab ke puch kahan
aashiq to kisi ka naam nahi kuch ishq kisi ke zat nahi
gar bazi ishq ke bazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jit gae to kya kahana hare bhi to bazi mat nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment