Saturday, October 10, 2009

Kis ne bhige hue balon se ye jhataka pani – Arzoo Lucknawi



kis ne bhige hue balon se ye jhataka pani
jhum ke aayi ghata toot ke barasa pani
ro liya phut ke sine mein jalan ab kyon hai
aag pighala ke nikala hai ye jalta pani
koi matavali ghata thi ke javani ke umang
jo baha le gaya barsat ka pahala pani
tik-tiki bandhe wo phirate hain main is fikr mein hun
kaheen khane lage chakkar na ye gehara pani
baat karne mein wo un aankhon se amrit tapaka
‘arzoo’ dekhte hi muh mein bhar aaya pani


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Arzoo Lucknawi



No comments:

Post a Comment