Muhabat Ki Tabiyat Main Yeh Kaisa Banchpana Qudrat Ne Rekha Hai
K Yeh Jitni Purani Jitni Mazbot Ho Jaye
Ise Taeede Taza Ki Zarorat Phir Bhi Rehti Hai
Yaqeen Ki Akhri Had Tak Dilon Main Lehlahati Ho
Nigahun Se Tapakti Ho Lehu Main Jagmgati Ho
Hazaron Tarah K Dilkash Haseen Hale Banati Ho
Ise Izhaar K Lafzun Ki Hajat Phhir Bhi Rehti Hai
Muhabt Mangti Hai Youn Gawahi Apne Hone Ki
K Jaise Tifl E Sada Sham Ko Ik Beej Boye
Aur Shab Main Barha Utthe
Zameen Ko Khod Kar Dekhe , K Pooda Ab Kehan Tak Hai
Muhabt Ki Tabiyat Main Ajab Takrar Ki Khu Hai
K Yeh Iqrar K Lafzun Ko Suunne Se Nahi Thakti
Bichardne Ki Ghardi Ho Ya Koi Milne Ki Saaat Ho
Ise Bas Aik Hi Dhun Hai
Keho” Mujh Se Muhabat Hai
Keho Mujh Se Muhabbat Hai
Tumhain Mujh Se Muhabat Hai
Sumander Se Kahin Gehri,Sitarun Se Siwa Roshan
Pahardun Ki Tarah Qaim , Hawaon Ki Tarah Daaim
Zameen Se Asman Tak Jis Qadar Ache Manazar Hain
Muhabt K Kanaye Hain Wafa K Istaare Hain
Humare Hain
Humare Waste Ye Chandni Ratain Sanwarti Hain
Sunehra Din Nikalta Hai
Muhabt Jistaraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai”
Kuch Aisi Be-Sakooni Hai Wafa Ki Sarzameenon Main
K Jo Ehl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai
K Jaise Phool Main Khushboo, K Jaise Hath Main Para
K Jaise Sham Ka Tara
Mohabbat Karne Waloon Ki Seher Ratoon Main Rehti Hai
Guman K Shak-Choon Main Aashian Banta Hai Ulfat Ka
Ye Ain-E-Visl Main Bhi Hijr K Khadshoon Main Rehti Hai
Mohabbat K Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte Hain
Thakan Ki Kerchiaan Chunte, Wafa Ki Afrkiaan Pehne
Same Ki Rah Guzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rakhte Hain
To Koi Doobti Sansoon Ki Dori Tham Kar
Dheere Se Kehta Hai
”
Ye Sach Hai Na !!
Hamari Zindagi Ek Dosre Ke Naam Likhi Thi
Dhund-Laka Sa Jo Aankhoon K Qareeb-O-Door Phela Hai
Isi Ka Naam Chahat Hai
Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi
” Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ”
”
Mohabbat Ki Tabiat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai
Amjad Islam Amjad
No comments:
Post a Comment