Talkhi-e-may mein zara talkhi-e-dil bhi gholen
aur kuch der yahan baith ke pi lain ro lain
har taraf ek purasarar si khamoshi hai
apne saye se koi baat karen kuch bolen
koi to shakhs ho jee jan se chahen jis ko
koi to jan-e-tasavvur ho ke jis ke ho lain
aah ye dil ke kasak haye ye aankhon ke jalan
neend aa jaye agar aj to hum bhi so lain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam: Krishan Adeeb
No comments:
Post a Comment