Teri Aankhon Main Mere Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Rasta Ho Bhi Sakta Hai
Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi ki Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai
Wo Apni Sard Mohri Se Mujhe Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai
Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kaun Sii Mushkil
Magar Eik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai
Yeh Seedhii Raah Par Chalna Kaha’n Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Ra’sta Dostii Ka Hai Yeh Tairha Ho Bhii Sakta Hai
Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Eik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai
Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai
No comments:
Post a Comment