Friday, June 20, 2014

Rone se aur ishq mein bebak ho gae – Mirza Ghalib



Rone se aur ishq mein bebak ho gae
dhoe gae hum aise ki bas pak ho gae
sarf-e-baha-e-mai hue aalat-e-maikashi
the ye hi do hisab so yon pak ho gae
rusava-e-dahar go hue aavargi se tum
bare tabiyaton ke to chalak ho gae
kehta hai kon nala-e-bulbul ko beasar
parde mein gul ke lakh jigar chak ho gae
puche hai kya vajud-o-adam ahl-e-shauq ka
aap apni aag se khas-o-khashak ho gae
karne gaye the us se tagaful ka hum gila
ke ek hi nigah ki bas khak ho gae
is rang se uthai kal us ne ‘asad’ ke nash
dushman bhi jis ko dekh ke gamnak ho gae


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment