Kabhi ae haqiqat-e-muntazir nazar aa libas-e-majaz mein
ke hazaron sajde tadap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab aashana-e-kharosh ho tu nava hai maharam-e-gosh ho
wo surur kya ke chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina
ke shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kaheen jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-navaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gazanavi mein tadap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sir Muhammad Iqbal
No comments:
Post a Comment