Sunday, July 5, 2015

Gile fuzul the ahad-e-vafa ke hote hue



gile fuzul the ahad-e-vafa ke hote hue
so chup raha sitam-e-narava ke hote hue
ye qurbaton mein ajab fasale pade ki mujhe
hai aashna ke talab aashna ke hote hue
wo hilagar hain jo majaburiyan shumar karen
chirag hum ne jalayen hawa ke hote huye
na kar kisi pe bharosa ke kashtiyan dubin
khuda ke hote huye nakhuda ke hote huye
kise khabar hai ki kasa-ba-dast phirate hain
bahut se log saron par huma ke hote hue
‘faraz’ aise bhi lamhen kabhi kabhi aaye
ki dil girifta raha dilruba ke hote hue


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment