hum sada hi aise the, ke yun hi pazirai
jis bar khizan aai, samajhe ki bahar aayi
aashob-e-nazar se ke hum ne chamn-arai
jo shay bhi nazar aayi gul-rang nazar aayi
ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon
tu aur teri mahafil main aur meri tanahai
van millat-e-bul-havasan aur shor-e-vafajui
yan khilvat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-rusavai
yak-jan na ho sakiye anjanna ban sakiye
yon toot gai dil mein shamashir-e-shanasai
is tan ke taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakkha hai maqtal mein ae chashm-e-tamashai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment