Friday, July 27, 2007

Isi mein khush hun mera dukh koi to sahata hai – Parveen Shakir



Isi mein khush hun mera dukh koi to sahata hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rehta hai
zamin-e-dil yun hi shadab to nahi ae dost
qarib mein koi dariya zarur bahata hai
na jane kon sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kon kis se kehta hai
mere badan ko nami kha gai ashkon ke
bhari bahar mein jaise makan dahata hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir



No comments:

Post a Comment