Friday, July 27, 2007

Mirza Asad Ullah Khan Ghalib Shayari



Mirza Asad Ullah Khan Ghalib


Ye Na Thi Hamari Qismat, K Visaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte, Yehi Intezaar Hota


Tere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot Jana
K Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar Hota



Rug-E-Sung Say Tapakta, Wo Lahoo K Phir Na Thumta
Jese Ghum Samajh Rahay Ho, Ye Agar Sharaar Hota


Kahoon Kiss Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Mujhay Kya Bura Tha Marna, Agar Aik Baar Hota


Huwe Mar K Hum Jo Rusva, Huwe Kyun Na Gharq-E-Darya
Na Kabhi Janaza Uth’ta, Na Kahin Mazaar Hota


Ye Masail-E-Tasav’vuf, Ye Tera Bayan “Ghalib”
Tujhay Hum Wali Samajhte, Jo Na Baada Khuwar Hota


Urdu Version:


یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتا
اگر اور جیتے رہتے ، یہی انتظار ہوتا


کوئی میرے دل سے پوچھے ترے تیرِ نیم کش کو
یہ خلش کہاں سے ہوتی، جو جگر کے پار ہوتا


غم اگر چہ جاں گسل ہے پہ کہاں بچیں کہ دل ہے
غمِ عشق گر نہ ہوتا، غم روزگار ہوتا


مرزا اسد اللہ خان غالب



No comments:

Post a Comment