Sunday, July 22, 2007

Is bar wo mila to ajeeb us ka rang tha – Himayat Ali Shayar



is bar wo mila to ajeeb us ka rang tha
alfaz mein tarang na lahaja dabang tha


ek soch thi ki bikhari hui khal-o-khad mein thi
ek dard tha ki jis ka shahid ang-ang tha


ek aag thi ki rakh mein poshida thi kaheen
ek jism tha ki ruh se masaruf-e-jang tha


main ne kaha ki yar tumhen kya hua hai ye
us ne kaha ki umr-e-ravan ke ata hai ye


main ne kaha ki umr-e-ravan to sabhi ke hai
us ne kaha ki fikr-o-nazar ke ata hai ye
main ne kaha ki sochata rehta to main bhi hun
us ne kaha ki aaina rakha hua hai ye
dekha to mera apna hi aks-e-jamal tha wo
wo main tha aur “himayat ali” tha wo


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Himayat Ali Shayar



No comments:

Post a Comment