Thursday, May 9, 2013

Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya



Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya
Bas Abhi Rang-E-Mehfil Badal Jaye Ga
Jo Behosh Hai, Hosh Main Aye Ga
Girne Wala Jo Hai Woh Sambhal Jaye Ga
Tum Tasalli Na Do Sirf Bethe Raho
Waqt Kuch Mere Marne Ka Tal Jaye Ga
Kia Yeh Kam Hai Masiha Ke Hone Hi Se
Maut Ka Bhi Irada Badal Jaye Ga
Mera Daman To Jal Hi Chuka Hai
Magar Aanch Tum Par Bhi Aaye Gawara Nahi
Mere Aansu Na Ponchho Khuda Ke Liye
Warna Daman Tumhara Bhi Jal Jaye Ga
Phool Kuch Ais Tarah Tod Aye Baghbaan
Shakh Hilne Na Paye Na Aawaaz Ho
Warna Gulshan Main Phir Na Bahar Aye Gi
Har Kali Ka Kaleja, Dahal Jaye Ga
Teer Ki Jaan Hai Dil Dil Ki Jaan Teer Hai
Teer Se Yun Na Khelo Khuda Ke Liye
Teer Nikla To Dil Bhi Nikal Jaye Ga
Dil Jo Nikla To Dum Bhi Nikal Jaye Ga



No comments:

Post a Comment