Tuesday, May 13, 2014

Bol ki lab aazad hain tere – Faiz Ahmed Faiz



Bol ki lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutawan jism hai tera
bol ki jan ab tak teri hai
dekh ke aahangar ke dukan mein
tund hain shole surkh hai aahan
khulane lage quffalon ke dahane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thoda waqt bahot hai
jism-o-zaban ke maut se pahale
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahane hai kah le



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment