Thursday, May 1, 2014

Lau de uthe wo harf-e-talab soch rahe hain – Shakeb Jalali



Lau de uthe wo harf-e-talab soch rahe hain
kya likhiye sar-e-daman-e-shab soch rahe hain
kya janiye manzil hai kahan jate hain kis simt
bhataki hui is bheed mein sab soch rahe hain
bhigi hui ek sham ke dahaliz pe baithe
hum dil ke dhadakane ka sabab soch rahe hain
tute huye patton se darakhton ka ta’alluq
hum dur khade kunj-e-tarab soch rahe hain
is lahar ke piche bhi ravan hain nai laharen
pahale nahi socha tha jo ab soch rahe hain
hum ubhare bhi dube bhi siyahi ke bhanvar mein
hum soye nahi shab-hama-shab soch rahe hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeb Jalali



No comments:

Post a Comment